Tuesday, June 30, 2015

AAO ILM SEEKHEIN—PART-6












Bismillahirrahmanirraheem


AAO ILM SEEKHEIN—PART-6


Aao Wo Ilm Sikhien Jo Ehle Hadiso Ki Den H

Usool E Hadis Ka Illm Is Illm K Sikhne Se Aap Islam Zyada Asani Se Samjh Sakoge

72 Firke Is Illm Se Yateem Hote H Q K Un K Imamo Ne Ye Kaam Nhi Kiye ? Or Wo Na Samjhi Mai Gumrahi Mai Chale Jaate

Allah Rabulalameen Ne Quran Ki Hifazat Ki Zimmedari Lekar Usey Har Tarah Ki Kami Or Zyadati Se Mehfuz Farma Diya Wo Aaj Bhi Apni Asli Shakal Or Sino Daftaro K Andar Mehfuz H

Usi Tarah Hadis K Azeem Zakhirey Ki Hifazat Ka Aisa Bando Bast Farma Diya

Jis Tarah Allah Rabulalameen Ne Apne Bando Ki Ek Jamat Aisi Paida Ki Jis Ne Quran Ko Mehfuz Kiya ?

Usi Tarah Aisi Ek Jamat Paida Ki Jis Ne Akhaz E Tehmmul Or Hifz E Dardayat K Zariye Hadis Ki Hifazat Ki

Hadis Ki Hifazat Aise Alaa Miyari Usool Wa Zawabat Or Kawaneen Murattab Kiye Jin Ki Misal Puri Insani Tarikh Mai Nahi Milti Or Kisi Bhi Deeni Wa Tarikhi Sarmaye Ko Mehfuz Rakhne K Liye Un Se Behter Qanoon Ki Tashkeel Na Mumkin Hi Nahi Muhal Hai.,,

Is Haqiqat Ka Eteraf Gair Muslim Danishwaro Or Mufakreen Ko Bhi Karna Padha

Alhamdulillah

In Usool E Hadis Se Ehle Hadis Mohaddasin Ne Sunnat K Azeem Tareen Zakhriye Ko Ummat K Samne Is Tarah Pesh Kar Diya K 1400 Saal Ka Arsa Guzar Jaane K Baad Bhi Aisa Lagta H Jaise Nabi(S.A.W Or Sahaba(R.A Humare Samne Mojood Ho Or Sari Sunnatien Jaise Humari Nazro K Samne Ho

Note
--------------------­-------
Ye Usool E Hadis Ya Mustalhul Hadis K Naam Se Jante Hain ? Jitni Zyada Humari Tawwajjo K Mustahik They Hum Ne Un Se Utni Doori Ikhtyar Kar Li
--------------------­----------------

Aaj Ye Usool E Hadis Se Log La Illm H Is Azeem Ushan Fun Ki Ehmiyat Se Be Parwah

Allah Hidayat De Sab Ko Ameen Ya Rabalalameen

In Short Usool E Hadis Samjhaya Jaraha H

(1)Usool E Hadis Ki Tarif

Usool E Hadis Wo Illm H Jis K Zariye Ravi Or Marvi K Haal Maloom Kiye Jaate H

(2) Usool E Hadis Q Zaroori ???

Usool E Hadis Ki Garz Ye H K Hadis K Ehwal Maloom Kar K Makbul Par Amal Kiya Jaye Or Mardud Se Bacha Jaye ??

(3) Usool E Hadis Ka Mauzu

Usool E Hadis Ka Mauzu Ravi Or Marvi H Man He's Albakol Darad

(4) Hadis Ki Tarif

Nabi(S.A.W K Kaul, Amal, Takreer Ko Hadis Kehte H Usi Tarah Sahaba(R.A Or Taabaieen K Kaul, Amal, Takreer Ko Bhi Hadis Kehte H , Kabhi Hadis Ko Khabar Ya Asar Bhi Kehte H
1)Jo Kaam Aap K Samne Kiya Gaya Ho Or Aap Ne Us Se Mana Na Kiya Ho
2)Amuman Hadis Ki Yehi Tarif Ki Jaati H Lekin Jamiya Wa Maniya Tarif Ye H K Hadis Us Kaul. Amal.Takreer Or Sifat Ko Kehte H Jo Nabi(S.A.W Ya Sahaba(R.A Ya Taba Tabaeen Ki Taraf Mansub Ho

(5) Sanad

Rivayat E Hadis Ka Wo Tasalsul Jo Matan E Hadis Tak Phonchta H

(6) Asnaad

Rivayat E Hadis Ki Hikayat Ko Kehte H Or Kabhi Us Ko Sanad K Mana Mai Bhi Istemal Kiya Jata H

(7) Matan

Us Kalam Ko Kehte H Jahan Sanad Phonch K Khatam Ho Jaati H

Fr Example

Hadasna Abu Alimaan : Kaal ; Akhbarna Shoeb : Kaal Hadasna Abu Aznaad Ann Ila Raj An Abi Hurera Ann Rasool(S.A.W : Kaal : Wallazi Nafsi Beyadil Yoman Ahadkum Hatta Akun Ahabal Ilehe Man Walada Walada

Hadasna Se Abu Hurera Tak Sanad Or Ann Rasool(S.A.W Akhir Tak Matan Hai

Allah Se Dua H K Wo Hume Deen Samjhne Ki Nek Tofeek De Ameen Ya Rabalalameen

Continue,,,

#Imrankhansalafi
#Islamicleaks