Monday, June 15, 2015

AAO ILM SEEKHEIN--PART-1








HADEES KIYA HAI ? HADEES KISE KAHTE HAI ?  PART-1





Bismillahirrahmanirraheem





Sab Se Pahli Baat Ye Samhaj Lain Quran Aur Hadees Ek Hi Hai ,Dono Bhi Wahi Hai .
Dalil Quran Se :---
53.03 Aur Na Woh Apni Khuwaish Say Koi Baat Kehtay Hain.
 
53.04 Woh To Sirf Wahi Hai Jo Utari Jaati Hai.
Allah Ke Rasool Salaalwalihisalam Aapni Taraf Se Kuch Nahi Kahte Jo Bhi Kahte Hai Rab Ki Marzi Se Kahte Hai , Zaban Allah Ke Rasool Salaliwalihisalam Ki Hai Alfaz Allah Ke Hai .
Quran Ko = Wahi E Jalli Kahte Hai
Hadees Ko = Wahi E Qafi Kahte Hai
Dekhye Kuch Aayataito Ki Dalil De Raha Hoo Jaha Quran Hadees Ke Liye Hujjat Karta Hai
Dalil
Jo Kuch Rasool Dey Ley Lo Aur Jiss Say Rokay Ruk Jao
(Sureh Hashr : 7 )
 
33.36 Aur (Dekho) Kissi Momin Mard-O-Aurat Ko Allah Aur Uss Kay Rasool Kay Faislay Kay Baad Apnay Kissi Amar Ka Koi Ikhtiyar Baqi Nahi Rehta (Yaad Rakho) Allah Taalaa Aur Uss Kay Rasool Ki Jo Bhi Na Farmani Keray Ga Woh Sareeh Gumrahee Mein Paray Ga.
 
04.65 So Qasam Hai Teray Perwerdigar Ki! Yeh Momin Nahi Ho Saktay Jab Tak Kay Tamam Aapas Kay Ikhtilaf Mein Aap Ko Haakim Na Maan Len Phir Jo Faisla Aap Inn Mein Ker Den Inn Say Apney Dil Mein Kissi Tarah Ki Tangi Aur Na Khushi Na Payen Aur Farmanbardari Kay Sath Qabool Kerlen.
 

In Upper Ki Teen Ayatoo Mai Hjjat E Hadees Sabit Hoti Hai. Aur Bhi Ayatain Hai, Mai Ne Misal Ke Taur Pe Ye Teen Di.
Hadees Ke Lafzi Maine @@@@@@@@@@@@
 
Ahle Luqat Mai Abu Al Baqa Ke Bayan Ke Mutabiq Hadees Ka Lafz Tahadees, Ismm (None) Hai Ji Ke Meaning Hote Hai Khabar Dene Wala .
Hadith Ke Sharai Aur Istelahi Maine :----

Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Ke Farmaan, Kaam Ya Kisi Kaam Par Aapki Khamoshi Ko Hadith Kahte Hain,



Ek Baat Aur Zahen Nasheen Kar Lain Hadees Aur Sunnat Dono Ek Hi Hai , Is Mai Aap Ko Hanifi Muqaleed Ulljha Dete Hai Kahte Hai Hadees Alag Hai Sunnat Alag Hai .
 
Aur Hanfiya Jin Ka Fiqh Hi Qayas Ke Khodoo Pe Tika Hai Ye Log Hi Ijjam Ke Munkir Hai Poori Alam E Duniya Ka Is Baat Pe Itfaq Hai Ke Agar Quran Ke Baad Koi Kitab Hai Tu Wo Bukhari Hai ,Lekin In Ki Ankhoo Pe Pati Bandhi Hoi Hai Ye Sire Se Nakar Dete Hai Aur Bhukhari Ko Nakis Karne Ki Bejha Koshish Karte Hai .
 
Har Baat Pe Kahenge Bukhari Se Sabit Karo,Ab In Ki La Ilmi Ka Hamare Paas Jawab Nahi ,Bas Itna Kahunga
 
Qayamt Ki Subha Aasakhti Hai Lekin Bina Hadees Ke Ye Aapna Fiqh Sabit Hi Nahi Kar Sakhte .Agar Kisi Muqaleed Ki Maa Ne Wo Lal Jana Hai Tu Bana Ke Dekhai Bina Hadees Ke Fiqh.
Khair Dekhte Hai Hadees Ki Mukhtaliff Shaklain
 
Hadees Ikattha(Collect) Karne Me Muslim Alimon Ne Jo Misaal Pesh Ki Uska Namoona Kisi Dharm(Religion) Me Nahi Milta, Yahan Tak Ki Iske Liye Unko Ek Naye Science Ki Khoj Karni Padi Jisko Arabic Me ” Jirrah-Tadeel” Kahte Hai, Aur Iske Liye Definitions Bhi Banani Padi Jo Isse Pahle Nahi Thi, Isliye Unki Tashrih Zaroori Hai…
Sahih : Sahih Hadith Ke Liye In Sharton Ka Hona Laazmi Hai
 
1- Iske Bayan Karne Waale “Aadil” Yani Uska Charactor Bharose Ke Qaabil Ho
 
2- Unka Dimaagi Taqat Ho, Ya Phir Jo Kah Rahe Ho Wah Likha Huwa Hon
 
3- Uski Sanad Mutassil Ho, Yani Har Raawi (Bayan Karne Waala) Ne Wah Hadith Apne Ustaad Se Khud Suni Ho
 
4- Usme Koi ‘Shaaz’ Baat Na Batayi Gayi Ho
 
5- Usme Kisi Bhi Ki Tarah Ki Koi ‘Illat’ Na Paayi Jaati Ho -
 
Hasan
Dhaeef
Dhaeef Ziddan
Mawdoo
Mutawatir
Illat
Mahfooz
Shaaz
Maa’ruf
Munkar
Mar’fu
Munqa’ta
Mauqoof
Matan
Sanad
Jaami
Sunan
Musnad
Tabiee
Mursal

 
Asal Mohabbat Allah Ke Rasool Salaaliwalihisalam Ke Zabane Mubarak Se Nikli Baat Ke Age Tamam Tar Khweshat Ko Pasephusht Daldena Aapna Sar E Tasleem Wahi Kham Kardene Ko Mohabbat Kahte Hai .



Muqallideen Kahte Hain Ki  Hadees Aur Sunnat Me Zameen Asman Ka Farq Hai, Kahte Hain


“Har Sunnat Hadees Hogi Magar Har Hadees Sunnat Nahi”
Jaise Kuch Log  Na’pasandeeda Example Dete Hai
In Ke Muh Pe Within Second Aa Jata Hai Allah Ke



“Rasool Salalaaliwalihisalam Ne Khade Rahe Kar Peeshab Kiya Aap Baitdh Ke Kio Karte Ho” .Kahenge Hadees Hai Khade Rahe Kar Peeshab Karne Ki ,
 
In Logo Ki Ye Kam Zarf Hai , Ye Bas Aapna Fiqh Ko Bada Aur Aala Batane Ke Liye Aisa Karte Hai , Allah Ke Rasool Ne Khade Rahe Kar Peshab Kiya Kin Halat Mai Kiaya Ye Sab Moujod Hai Bas .
 
Khair Jo Reaction Aa Rahe Hai Bas Wo Batana Maqsad Tha Inhe Aapna Imam Apne Bado Se Bahut Payar Hai , Baat Chahe Galat Hi Kio Na Hoo , Ye Quran Hadees Mai Tak Tahreef Kar Dalte Hai Aapni Baat Sabit Karne Ke Liye ,
 
Allah Ke Rasool Salaaliwalihisalam Ke Dauor Mai Hadees Sirf Hadees Thi Koi Aur Is Ki Shakal Nahi Thi , Bad Mai Jab Logo Ne Is Mai Threef Ki Aur Manghdat Aur Jhooti Hadeese Ghdi .
Allah Ne Aapne Zikr Ka Zimma Liya Hai , Jis Mai Quran Aur Hadees Dono Ate Hai , Allah Ne Ek Appne Zikr Ki Hifazat Ke Liye Mohaddsin Se Kam Liya Aur Allah Tammam Muhaddisin Ko Jannat Mai Ala Muqam Ata Farmai ,Inhone Bahut Mahnat Ki Ek Ek Hadees Ke Liye. Tab Kahi Ja Kar Hume Ye Hadeeso Pe Remark Mile .
 

1.Hasan : Yah Wah Hadith Hai Jisme Sahih Hadith Ki Saari Shartein Paayi Jaati Ho, Sirf Raawi Ki Dimagi Taqat Kuch Kamzor Ho, Lekin Itni Bhi Na Ho Ki Wah ” Zaeff” Ban Jaaye
Sahih Hadees Ki Shartein Upper  Ghuzar Chuki Hain
 
Dhaeef : Yah Wah Hadith Hai Jisme Sahih Hadith Ke Kuch Masle Na Paaye Jaate Hon
 
Dhaeef Ziddan : Jiski Sanad Ka Koi Raawi Bahut Zyada Kamzor Ho Lekin Jhoota Naa Ho
 

Mawdoo : Yah Haqeeqat Me Hadith Hai Hi Nahi, Kyonki Yah Hadith Ki Wah Kism Hai Jisko Kisi Raawi Ne Apni Taraf Se Gadkar Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Taraf Mansoob Kar Diya, Lekin ‘ Mawdoo’ Ko Parakhne Ke Liye Bahut Zyada Koshih Karna Pada, Isliye Muhaddiseeno Ne Iske Mutallik Bahut Si Kitaaben Likhi Aur Jahan Jahan Mawdoo Hadithsen Aayi Unko Wajeh Kar Diya, Taaki Islam Me Koi Apni Taraf Se Kuch Daakhil Na Kar Sake, Isliye Ye Hadithen Hadith Ki Kitaabon Me To Daakhil Ho Gayi, Lekin Muhaddiseeno Ne Isko Waajeh Kar Diya
 
Mutawatir : Yah Hadith Ki Wah Qism Hai Jisko Bayan Karne Waale Itne Zyada Hon Ki Unka Jhoot Bolna Namumkin Ho Jaaye, Mutawatir Hadith Ke Liye Do Sharton Ka Paaya Jaana Zaroori Hai
 
1- Iske Bayan Karnewaale Sanad Ke Har Part Me Itne Paayen Jaayen Ki Inka Kisi Jhoot Par Sahmat Ho Jaana Na Mumkin Ho Jaaye
 
2- Mutawatir Hadith Ka 5 Masleh(Jo Sahih Hadith Ka Hai) Me Se Kisi Ek Ke Jimme Jaanna Zaroori Hai
Iske  Baad :


Illat
Mahfooz
Shaaz
Maa’ruf
Munkar
Mar’fu
Munqa’ta
Mauqoof
Matan
Sanad
Jaami
Sunan
Musnad
Tabiee
Mursal
 
Hadees Ka Ilm Rakhne Wale Bhai Mujh Se Koi Galti Ho Jaye Tu Zaror Bata Dain Ta Ki Mai Correction Kar Lu

Illat : Hadithon Par Research Karte Waqt Jo Sanad Aur Matan Me Kamiyan Paayi Jaati Hain Unko ‘ Illat’ Kahte Hain, Jiski Wajah Se Hadith Daeef Ho Jaati Hai, Kamiyon Ke Mutabik Hadith Me Illat Ghat’ti Badhti Rahti Hai, Kabhi Kamiyan Khatm Bhi Ho Jaati Hai, Aur Kabhi Nahi Bhi Hoti, Isko Parakhne Ke Liye Bahut Zyada Hadith Ki Science(Zirrah Wa Tadeel) Ki Zarurat Padhti Hai, Illat Parakhne Waale Mashoor Muhaddithon Me Imam Bukhari Rh, Imam Daar E Kutni Rh, Imam Baihaqi Khaas Hain.
 

Mahfooz :  Yah Sahih Hadith Ki Qism Hai, Yah Wah Hadith Hai Jo Kisi Kam Aadil Raawi Ke Khilaaf Zyada Aadil Raawi Ke Zariye Bayan Ki Jaati Hai, Zyada Adl Waale Raawi Ki Hadith Ko Mahfooz Kahte Hain Aur Is Tarah Ki Hadith Ke Mutabik Amal Karna Zaroori Hai
 

Shaaz : Wah Hadith Jo Kisi Zyada Aadil Raawi Ke Khilaaf, Kisi Kam Adl Waale Raawi Ke Zariye Bayan Ki Gayi Ho Shaaz Kahlaati Hai, Is Par Amal Karna Zaroori Nahi
 

Maa’ruf : Yah Bhi Sahih Hadith Ki Qism Hai Jiska Raawi Aadil Hota Hai Lekin Koi ‘Dhaeef’ Raawi Uske Mukhaalif Hadith Bayan Kare To Aadil Raawi Ki Hadith ‘Maaruf’ Kahlaayegi, Jisko Apnaana Zaroori Hai, Aur ‘ Dhaeef’ Raawi Ki Hadith Munkar Kahlaayi Us Amal Karna Haraam Hai
 

Munkar :Yah Daeef Hadith Ki Wah Qism Hai Jiska Raawi ‘Daeef’ Bhi Ho Aur Kisi Aadil Raawi Ke Khilaaf Me Hadith Bayaan Kare
 
Mar’fu : Yah Wah Hadith Hai Jisko Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Se Mansoob Kiya Jaaye, Yah Sahih Bhi Ho Sakti Hai Aur Daeef Bhi, Agar Uski Sanad Ya Matan Me Koi Illat Nahi Hai To Sahih Hogi, Aur Agar Koi Illat Paayi Gayi To Daeef Hogi
 

Munqa’ta : Yah Hadith Ki Wah Qism Hai Jiski Sanad Me Koi Raawi Aisa Mil Jaaye Jisne Apne Ustad Se Hadith Na Suni Ho, To Usko Muntaqa Kahte Hain, Yani Matlab Yah Hai Ki Sanad Beech Se Kat Gayi Hai, Munqata Hadith Bhi Zaeef Hadith Ki Qism Mese Hai, Kyonki Hadith Ke Sahih Hone Ke Liye Zaroori Hai Ki Wah Mutassil Ho Yani Kahin Se Kati Na Ho
 

Mauqoof : Yah Haqeeqat Me Hadith Nahi Hai, Lekin Hadith Ki Kitaabon Me Paayi Jaati Hai ‘Mauqoof’ Ka Maana Hai Rok Dena, Yani Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Se Mansoob Karne Se Rok Kar Kisi Sahabi Se Mansoob Ki Jaati Hai, Isliye Mauqoof Hadith Daeef Hadithon Ki Qismo Me To Aati Hai Lekin Wah Hadith Nahi Hai
 

Matan : Matan Se Muraad Wah Hadith Hai Jo Sanad Ke Baad Bayan Ki Jaati Hai, Kuch Kitaaben Hadith Ki Aisi Hain Jinme Sirf Matan Hota Hai, Lekin Ye Kitaben Hadith Ki Asal Kitaben Nahi Hain, Balki Logon Ki Sahooliyat Ke Liye Asal Se Likhi Gayi Hai, Jaise ‘ Mishqaat’
 

Sanad : Hadith Ki Kitabon Me Matan Bayan Karne Se Pahle Riwayat Karne Waalon Ke Silsile Ko Sanad Kahte Hai, Yah Tareeqa(Science) Kisi Aur Dharm Me Nahi Paaya Jaata
 

Jaami : Hadith Ki Us Kitab Ko Kahte Hain Jisme Ahkaam Ke Saath Saath, Imaan, Fitan, Tafsir Etc Bayan Ki Jaaye : Jaami Sahih Bukhari, Jaami Sahi Muslim
 

Sunan : Hadith Ki Wah Kitab Jo Ahkaam Aur Deen Ke Huqm Ke Base Par Likhi Gayi Ho, Jaise Sunan Abu Dawood, Sunan Nisai, Sunan Tirmizi, Sunan Ibne Maaja Etc.
 

Musnad : Us Kitab Ko Kahte Hain Jo Sahaba Ke Base Par Likhi Gayi Ho, Jaise ‘ Musnad Ahmad’
Tabiee : Jo Kisi Sahabi Se Mila Ho Aur Usse Hadithon Ka Ilm Haasil Kiya Ho Use Taabi Kahte Hain.
 

Mursal : Wah Hadith Jisko Taabi Bayan Karen Aur Allah Ke Rasool Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Se Mansoob Karen, Jabki Wah Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Se Milaa Hi Na Ho Jaise ‘ Hz Hasan Basri Rh ‘ Agar Kahen Ki Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya:-”……..” Is Tarag Ki Hadith Ko Mursal Kaha Jaayega, Kyonki Hasan Basri Rh Taabi Hain Aur Hadith Bayaan Karne Me Kisi Sahabi Ka Zikr Nahi Hai Jabki Hadith Ko Un Tak Pahunchaane Me Koi Na Koi Sahabi Zaroor Honge
 

Sheikh-Ul-Islam : Yah Hadithon Ke Aalimon Ki Wah Laqab Hai Jo Bahut Kam Logon Ko Mili Hai Kyonki Yah Un Logon Ke Liye Istemal Ki Jaati Hai, Jo Hadith, Fiqah, Etc Me Bahut Aage Nikal Gaye Hon Jaise Ibne Taimiyya
 
Haakim : Yah Hadith Ke Aalimon Ka Laqab Hai ,Jo Hadithon Ko Yaad Karne Ke Saath Saath Sanad Ka Bhi Aalim Ho, Aur Uska Ilm Bahut Faila

To Be Continued..

#ImranKhanSalafi
# IslamicLeaks