Friday, October 30, 2015

ILM E GHAIB KA AQEEDA AUR GUMRAAH FIRQE: PART 4








Bismillahirrahmanirraheem



ILM E GHAIB KA AQEEDA AUR GUMRAAH FIRQE: PART 4



USOOLI BAAT:



Mere Deeni Bhaiyyon Aawaam Ko Usooli  Baatein Nahin Bataayi Jaati, Who Toh Sirf Apne Apne Imamon Ki Sunkar Gumraah Hote Jate Hain, Lekin Mere Azeez Kal Maudaan E Hashr Me Aap Ye Kah Kar Nahin Bach Jaayenge Ke Hamen Malum Nahin Tha, Hamne Jaan Bhoojkar Shirk Nahin Kiya Tha, Hamen Toh In Malwion Ne Gumrah Kar Diya Tha, Yaqeen Jaano Ye Baat Kahne Se Aap Bari Nahin Ho Jaoge, Wahan Hare K Yahi Baat Kahega, Magar Wahan Kisi Ki Bilkul Nahin Suni Jaayegi Balke Allah Aap Par Ghazab Naak Hoga Kyonki Usne In Baton Se Pahle Hi Apna Kalaam Ne Bata Diya Hai, Lihaaza In Maolwion Ke Peeche Andhe Banker Chalne Ka Nateeja Qur’an Me Jahannam Me Jaane Ka Sabab  Bataya Gaya Hai,


Rabb Ka Farman Suno


“Is Din Inke Chehre Aag Me Ulat Pulat Kiye Jaayenge (Hasrat Aur Afsos) Se Kahenge, Kaash Hamne Allah Aur Rasool Ki Ita’at Ki Hoti, Aur Kahenge Ke Aiy Hamare Rabb Hamne Apne Sardaron Apne Badon Ki Maani Jinhone Hamen Raaste Se Bhatka Diya, Parwardigaar Tu Inpar Duhra Azaab Naazil Kar Aur Un Par Badi Se Badi Laanat Naazil Farma”


(Surah Ahzab Ayat No 66-68)


Toh Dekha Aapne Jahannum Me Sabke Chehre Aag Me Bhoone Jaayenge Mahaz Is Wajah Se Ke Ham Qur’an Aur Hadith Par Amal Nahin Karte Honge Aur In Maulanaon Ke Kahne Par Amal Karte Honge Jinhe Hamne Apni Qaum Ka Sardaar Bana Rakha Hai,


Mere Bhaiyyon Kal Kya Jawaab Doge Allah Ko Jab Who Poochhega Ki Qur’an Aur Nabi Ke Farmaan Par Amal Kyun Na Kiya ?? Kya Tumhare Paas Quraan Maujood Na Tha ?? Kya Nabi Ka Farmaan Maujood Na Tha, Kya Hamne Tumhe Aqal Na Di Thi Ki Sahih Aur Ghalat Ka Faisala Kar Sako, Har Kaam Ke Liye Aqal Ka Istemaal Kiya Magar Itni Badi Baat Jispar Jannat Jahannum  Ka Daromadaar Tha Aur Allah Ke Saath Shirk Ka Maamla Tha Use Aise Hi Hawa Me Uda Diya, Ab Koi Bahana Na Chalega, Jaao Apne Apne Mullion Ke Saath Tum Bhi Jahannum Ka Eindhan Bano,


Zara Socho  Tum Kahte Ho Ham Imaan Laaye Allah Aur Rasool Par Magar Tum Batao Quraan Ka Inkaar Karne Waala Kaafir Hai Ya Nahin ?? Kya Quraan Ki Ek Aayat Ka Bhi Inkaar Kufr Hai Ya Nahin ?? Kya Hamen Quraan Me Ghaur O Fikr Karne Ka Huqm Mila Hai Ya Nahin ??


Aiiyye Main Dikhaata Hoon Quraan Ki Who Aayat Jispar Aap Ghaur O Fikr Nahin Karte Toh Aayeten Jisko Padhkar Ibrat Haasil Nahin Kiya Jaata Balke Un Aayaton Ka Inkaar Kiya Jaata Hai, Ya Un Aayaton Ko Nazar Andaaz Kiya Jaata Hai, Allah Ka Khauff Khao Aur In Maolwion Ke Kahne Par Quraan Ki In  Saaf Saaf Aayaton Ka Inkaar Karke Kaafir Mat Bano Allah Ke Waste Shirk Se Bacho


“Kah Dijiye Zameeno Aur Aasmaano Me Allah Ke Siwa Koi Ghaib Nahin Jaanta”

(Surah Namal Ayat No.65)


Yahan Par Rabb Ne 2 Took Alfaaz Me Kah Diya Ke Zameen Me Aur Aasmano Par Nabi Wali, Jinn, Farishte Koi Bhi Ghaib Nahin Jaanta


“ So Aap Farma Dijiye Ghaib Ki Khabar Sirf Allah Ko Hi Hai Toh Tum Bhi Muntazir Raho Main Tum Tumhare Saath Muntazir Hoon”


(Surah Younus Ayat No 20)


Is Aayat Me Khuli Dhamki Di Ja Rahi Hai Ke Agar Tum Allah Ke Siwa  Kisi Dusre Ko Ghaib’daan Maante Ho Toh Intezaar Karo Dard’naak Azaab  Ka Yani Jahannum Ka,


“Beshaq Allah Waaqif Hai Aasmaan Aur Zameen Ki Cheezon Ka, Beshaq Wahi Ba’khabar Hai Dilo Ke Posheeda Raaz Se”


(Surah Fatir Ayat No. 38)


Allah Baar Baar Aur Acchi Tarah Zehan’nasheen Karaana Chaahta Hai Ki Main Hi Dilon Ke Dhadkan Tak Se Waaqif Hoon Aur Kisi Ko Kuch Bhi Khabar Nahin Hai,


“Aur Allah Hi Ke Paas Hai Ghaib Ki Kunjiyan Inko Koi Nahin Jaanta Siwaaye Allah Ke Aur Wo Tamam Cheezon Ko Jaanta Hai Jo Kuch Khuski Me Hai Aur Jo Kuch Tari Me Hai Aur Koi Patta Bhi Nahin Girta Magar Wah Use Zaroor Jaanta Hai Aur Zameen Ki Tareeqion Mekoi Daana Aur Na Koi Khusk Cheez Hai Magar Wah Noorani Kitab (Loh E Mahfooz)  Me Maujood Hai”


(Surah Anaam Ayat No. 59)


“Beshaq Allah Hi Ke Paas Qayamat Ka Ilm Hai Aur Wahi Paani Barsaata Hai Aur Jo Kuch Auraton Ke Pet Me (Yani Maa Ke Pet Me Palne Wala Baccha Jannati Hai Ya Jahannami) Hai Jaanta Hai Aur Koi Shakhs Nahin Jaanta Ki Wah Kal Khud Kya Karega Aur Koi Shakhs Ye (Bhi) Nahin Jaanta Hai Ki Wah Kis Sar’zameen Par Marega” Beshaq Allah (Sab Baton Se) Aagaah Hai “

(Surah Lukmaan Ayat No. 34)


“(Aiy Rasool) Log Tumse Qayamat Ke Bare Me Poocha Karte Hain Kah Do Iska Ilm Toh Bas Allah Ko Hai Aur Tum Kya Jaano Shayad Qayamat Qareeb Hi Ho”


(Surah Ahzaab Ayat No . 63)


Sirf Yahi Ek Aayat Hi Kaafi Hain Logon Ki Naseehat Ke Liye Ki Aiy Logon Nabi Se Kyon Poochhte Ho Qayamat Ke Bare Me Kya Nabi Ghaib Jaante Hain ?? Fir Allah Nabi Ki Taraf Mukhatib Hokar Farma Raha Hai, Aiy Nabi Tumhe Kya Khabar Qayamat Kab Aayegi, Aur Kya Pata Qayamat Qareeb Ho, Allah Ka Ye Baat Kahne Ka Maqsad Sirf Logon Ki Acchi Tarah Bata Dena Hai Ke Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ghaib Nahin Jaante


“Wahi Allah Hai Jiske Siwa Koi Mabood Nahin, Aur Wahi Ghaib Ka Janne Wala Hai”

(Surah Hashr Ayat No.22)


 Is Ayat Me Bahut Badi Baat Kahi Gayi Hai Ki Allah Ke Siwa Koi Mabood Nahin Aur Ghaib Allah Ke Hi Paas Hai, Toh Goya Jo Mabood Hoga Wahi Ghaib’daan Hoga Toh Jis Tarah Allah Ke Siwa Koi Dusra Mabood Nahin Hai Bas Isi Tarah  Dusra Ghaib’daan Bhi Nahin Hai


“Jab Ye Log  Apne Kapde Khoob Lapette Hain (Tab Bhi To) Allah (Unki Baton Ko) Jaanta Hai,, Jo Chhipakar Karte Hain Ya Khullam Khulla Karte Hain Beshaq Wahi Seenon Ke Bhedh Tak Ko Khoob Jaanta Hai”


(Surah Hud Ayat No. 5)

Isi Taarah Quraan Ki Hazaaron Aayatein Hain Jisme Allah Ne  Ghaibon Ko Jaanne Wala Sirf Apni Zaat Ko Hi Kaha Hai, Yahan Mukhtasar Hawale Diye Gaye Hain Jinko Naseehat Haasil Karni Hoti Hai Tph Toh Allah Ki Sirf Ek Aayat Dekhkar Hi Imaan Le Aate Hain, Yahan Toh Hamne Bahut Se Daleelein De Di Hain,

Mere Bhaiyyon Kya Ab Bhi Zidd Par Ade Rahoge, Kya Ab Bhi Yahi Kahoge Ki Allah Ke Siwa Aur Koi Bhi Ghaib Jaanta Hai,?
Mujhe Batao Tum Qur’an Ki In Aayaton Ko Kahan Le Jaoge ?? Kya In Aayaton Ka Inkaar Kar Doge ?? Lekin Ye Yaad Rakho Qur’an Ki Ek Ayat Ka Bhi Inkaar Kufr Hai Aur Allah Ke Kalaam Ka Inkaar Karne Wala Kaafir Hota Hai..

To Be Continued

#Irfanali
#Islamicleaks
#Umairsalafialhindi

Tuesday, October 27, 2015

ILM E GHAIB KA AQEEDA AUR GUMRAAH FIRQE: PART 3







Bismillahirrahmanirraheem


ILM E GHAIB KA AQEEDA AUR GUMRAAH FIRQE: PART 3


GHAIB KISE KAHTE HAIN ?


Ghaib Ke Mane Makhfi ,Poshida ,Or Mastoor Ke Hai ,Istalahan Isse Muraad Har Wah Cheez Hai Jo Malum Na Ho Sake Jis Tak Zaraaye Malumaat Ki Rasaayi Na Ho ,Mazi Mustakbil Ki Jo Bhi Cheezein Logon Se Ghayab Wa Poshida Ho Ya Aankhon Se Ojhal  Ho Use Ghaib Kaha Jaata Hai ,Duniya Me Bahut Si Cheez Hain  Jo Baaz Insane Ke Ilm Me Hai Or Baaz Ke Ilm Me Nahin Or Bahut  Si Cheezein  Aisi Hai Jo Poori Nu E Insaani Ke Ilm Me Nahi ,Na Kabhi Thi  Or Na Hai Or Na  Ainda Kabhi Aayegi,Aisa Hi Maamla Jinno ,Farishton Or Dusri Makhlooq Ka Hai ,Ke Baaz Cheezein  In Me Se Makhfi Or Kisi Ko Maloom Hai Or Be’shumaar Cheezein Hai Jo In Sab Se Makhfi Hai Or Kisi Ko Maloom Nahi Ye Tamam Iksaam Hai Ghaib Jo Sirf Ek Zaat Par Roshan Hai Or Who Zaat Allah Tala Ki Zaat Hai ,


Ja’al Haq Me ,Haji Ahmad Yaar Khan Page No ,37 Me Likhte Hai


“Agar  Koi Zariye Kisi Chhipi Hui Cheez Ko Zaahir Kar De Or Zaahir Ho Jane Ke Baad ,Hum Isko Maloom Kar Le ,Toh Ye Ghaib Nahi Hai ,Kyonki Ghaib Use Kahte Hai Jo Be’gair  Kise Zariye Se Poshida Baato Ko Jaan Le”


Maloom Hua Kise Bhi Zariye Poshida Baato Ka Maloom Ho Jana Ghaib Nahi Hota


ULUHIYYAT ILM E GHAIB KA GAHRA TALLUQ


Uluhiyat Aur Ilm E Ghaib Ke Darmiyaan Aisa Talluq Hai Ki Kadeem Tareen Zamaano Se Insaan Ne Jis Hasti Me Bhi Khudaayi Ke Kisi Shaabe Ka Ghumaan Kiya Hai Uske Mutaallik Ye Ghumaan Zaroor Kiya Hai Ki Iske Paas Hi Sab Qudrat Hai Aur Koi Cheez Bhi Isse Posheeda Nahin Hai,, Goya Insaan Ka Zehan Is Haqeeqat Se  Aagaah  Hai Ki Kismet Kismaton Ko Banana Aur Bigaadhna Duaon Ko Sunna Hajat Poori Karna Sirf Isi Hasti Ka Kaam Ho Sakta Hai Jo Sab Kuch Jaanti Ho Aur Jisse Kuch Bhi Posheeda Na Ho  Isi Bina Par Insaan Jisko Bhi Khudaayi Ikhtiyaar Ka Haamil Samjhta Hai, Aalim Ul Ghaib Bhi Use Hi Samjhta Hai Kyonki Iski Aqal Is Baat Ki Shahadat Deti Hai Ke Ilm Aur Ikhtiyaraat Baahim Laazim Aur Maljoom Hai, Agar Agar Ye Haqeeqat Hai Ki Khaliq Aur Mudabbir Aur  Raaziq Allah Ke Siwa Koi Bhi Dusra Nahin Hai Toh Aap Se Aap Ye  Bhi Haqeeqat Hai Ki Allah Ke Siwa Dusra Aalim Ul Ghaib Bhi Nahin Nhin Hai, Aakhir Kon Ye Apne Hosh O Hawaas Me Tasawwur Kar Sakta Hai Ke Kisi Farishtey Ya Jinn Ya Nabi Ya Wali Ya Makhlooq Ko Bhi Ye Malum Hoga Ke Samundra Me Aur Hawa Me Aur Zameen Ki Taho Me Aur Satah Zameen Ke Ooper Kis Kis Qism Ke Jaamwar Kahan Kahan Hain, Sitaaron Ki Tadad Kya Hai Aur Unmese Hare K Me Kis Tarah Ki Makhlooq Maujood Hai Aur In Makhlooq Ka Ek Ek  Fardh Kahan Hai Aur Kya Uski Zarooriyaat Hain, Ye Sab Allah Ko Laaziman Malum Hona Chahiye Kyonki Inhe Usne Hi Paida Kiya Hai Aur Isi Ko In Mamlaat Ki Tadbeer Aur Inke Haalaat Ki Nigraani Karni Hai Aur Wahi Inke Rizq Ka Intezaam Karne Waala Hai Aur Dusra Koi Apne Mahdood Wajood Me Ye Wasi Ilm Kaise Rakh Sakta Hai ??



KYA ILM E GHAIB KI KOI HADH BHI HAI??



Fir Ye Sifat Qabil E Tajziya Bhi Nahin Hai Ki Koi Banda Maslan Sirf Zameen Me Wah Bhi Sirf Insaanon Ki Hadh Tak Aalim Ul Ghaib Ho, Insaan Ki Takhleeq Se Aaj Tak Jitne Insaan Duniya Me Paida Hue Aur Qayamat Tak Paida Honge Aur Aakhiri Hayaat Tak In Sab Ke Tamam Halaat Aur Kaifiyaat Ko Jaanna Aakhir Kis Bande Ka Kaam Ho Sakta Hai, Aur Wo Kaise Aur Kyon Isko Jaanega, Kya Wo Is Kaaynaat Ka Khaliq Hai ?? Kya Isne Inki Maaon Ke Rahem Me Soorat’giri Ki Hai ?? Kya Isne Inki Zinda Walayat Ka Intezaam Kiya Tha ??


Kya Isne Inmese  Hare K Ki Kismet Banaayi Hai, Kya Wah Inki Maut O Hayat Sehat Aur ,Marz  Khush’haali Aur Bah’haali Ka Faisala Ka Zimmedaar Hai,… Aakhir Ye Kaam Kab Iske Zimme Hua, Sirf Insaan Ki Hadh Tak Iski Zimmedari Mahdood  Kaise Ho Sakti Hai Jo Hasti Kaaynaat Ki Tadbeer Kar Rahi Hai Wahi Toh Insaan Ki Kismaton Ka Bhi Zimmedaar Hai Isi Bina Par Ye Islaam Ka Buniyaadi Aqeeda Hai Ki AALIM UL GHAIB Allah Ke Siwa Koi Dusra Nahin Hai…

To Be Continued

#Islamicleaks
#Irfanali
#Umairsalafialhindi

Friday, October 23, 2015

ILM E GHAIB KA AQEEDA AUR GUMRAAH FIRQE :PART -2









Bismillahirrahmanirraheem


ILM E GHAIB KA AQEEDA AUR GUMRAAH FIRQE :PART  -2



Kasam Hai Allah Tala Ki Jiske Qabze Kudrat Me Meri Jaan Hai Ke Allah Ke Rasool Ko Zarrah Barabar Bhi Ilm E Ghaib Nahi Tha Balki Aap Muhammad Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Khud Yahi Kaha Hai Me Ghaib Nahi Jaanta Or Na Hi Mere Paas Allah Ke Khazaane Hain Or Agar Me Ghaib Jaanta Toh Mujhe Kabhi Koi Taqleef Na Hoti,

Qur’an Me Allah Tala Ne Jagah Jagah Muhammad Sallallaho Alaihi Wasallam Se Kahalwa Bhi Diya Hai Ke Aap Khud Sacchayi Bata Dijiye Duniya Walon Ko “Ki Me Ghaib Nahi Jaanta”, Kuch Log Rasoolon Ke Mojezon  Ko Daleel Ke Taur Par Pesh Karte Hai Or Kahte Hai
“Dekho Nabion Ko Ghaib Tha “;


Mujhe Tajjub Ho Ta Hai Ke Inhe Aqal Nahi ;Kiya Qur’an Nahi Padhte Hai ?


 Inhe Itni Bhi Tameez Nahi Sikhaayi Gayi Ke Mojeza Allah Tala Apne Nabion Ki Nubuwwat Ko Saabit Karne Ke Liye Apni Marzi Or Mansha Par Jab Chahta Hai Nabion Ki Haathon Par Zaahir Farma Deta Hai ;Nabion ko Is Par Koi Zor Or Akhtiyar Nahi Hota Hai ; Ke Wo Log Jab Chahe Apne Marzi Se Mojeza Zahir Karde Jaise Moosa (As) Ka Asa Achaanak Saanp Ban Jata Hai Jise Dekhkar Moosa (As) Darr Jaate Hai , Balke Qur’an Yun Farmaata Hai


“Aiy Moosa ! Tum Apni Chhadi Zameen Par Daal Do Fir Jab Daal Diya Toh Dekha Goya Wah Zinda Azdaha Hai Toh Peeth Fer Ke  Bhaage Aur Peeche Mudhkar Bhi Na Dekha Toh Hamne Farmaya Aiy Moosa Aage Aao Aur Daro Nahin Tum Par Har Tarah Aman Wa Amaan Me Ho”

(Surah Qasas Ayat No 31)


Ye Mojeza Aisa Hua Ke Moosa (As) Ko Khabar Tak Nahin Hui Ke Mere Haathon Par Abhi Mojeza Hone Wala Hai, Warna Wo Bhaagte Hi Kyun ??


 Isse Ye Bhi Pata Chala Ke Itne Jaleelul Qadr Nabi Ko Bhi Ghaib Nahin Tha, Warna Unko Pahle Hi Pata Chal Jaata Ke Abhi Mere Aasa Saanp Ban Jaayega Aur Wo Darrte Hi Nahin , Is Waaqiye Se Pata Chala Ke Mojeza Allah Taala Jab Chaahe Nabion Par Zaahir Kar De, Isse  Ye Bhi Pata  Chala Ke Mojeza Par Nabion Ka Koi Zor Ikhtiyaar Nahin Hota, Yahan Tak Ke Unhe Pata Bhi Nahin Chalta Ke Koi Mojeza Hone Wala Hai, Baaqi Allah Taala Achaanak Nabion Ko Wahiyy Ke Zariye Ittela Kar Deta,


Qur’an Me Bahut Waazeh Bayaanaat Aaye Hain, Magar Chunke Hamara Mauju Ghaib Par Hai Isliye Aapko Samjhne Ke Liye Itna Hi Likhunga,


Inhi Mijezon Ko Pesh Karke Ye Ulemaon Su Awaam Ko Bewaqoof Banaate Hain Aur Wahwaahi Loot’te Hain Aur Kahte Hain,


“Nabion Ko Saara Ikhtiyaar Allah Ne Ata Kar Diya Hai”


Ye Log Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Par Bohtaan Lagaate Hain Ke Nauzubillah Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Apne Pyaare Jaan’nisaar Sahaba Ke Qaatil Hain !!,
Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Jaante Boojhte Apne 70 Sahabaon Ko Kaafiron Ke Haathon Qatal Kara Diya!!,


Nabi Ne Jaante Bhoojhte Apne Sahabaon Ko Zehar Bhar Ghost Khilaakar Marwa Diya, Yahan Tak Ki Apni Bholi Bhaali Biwi Ko Sataane Wala Aur Be’wajah Maheeno Pareshaan Karne Wala Ghaib’daan Saabit Karte Hain,


Isi Tarah Ke Aur Ilzaam Pyaare Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Par Ghaib’daan Banaakar Ye Ghustaakh Log ilzaam Lagaate Hain, Aur Aap Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Tauheen Karte Hain Aur Jo In Ilzaamon Ko Nabi Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Par Se Hatata Hai Aur Ye Kahta Hai Ki

“Hamare Nabi Ghaib’daan Nahin They, Isliye Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Dhoke Se Zaher Kha Liya Tha Aur Apne Sahabaon Ko Bhi Khila Diya Tha, Agar Pyaare Rasool Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Maloom Hota Ke Is Ghost Me Zehar Hai Toh Aap Kabhi Wo Ghost Na Khate Na Khilaate, Lihaaza Jitney Bhi Isi Tarah Ke Waqeye Hue Hain Wo Mahaz Na Maloom Hone Ki Wajah Se Hue Hain,”


Toh Ye Log Hamae Gaaliyen Dene Lagte Hain Aur Wahabi Ghair Muqallid Aur Na Jaane Kya Kya Laqab Dete Hain, Agar Ham Log Inke Saamne Khaalis Tauheed Ki Baat Kar Den  Ya Allah Ke Shaan Me Kuch Kah De Toh Ye Log Sar Se Paon Tak Aise Dekhte Hain Aur Ek Dusre Se Kahte Hain Ke


“Ye Zaroor Wahabi Hai, Ghair Muqallid Hoga , Jo Allah Ki Baat Kar Raha Hai Chalo Yahan Se Nahin Toh Ye Log Sabko Gumraah Kar Denge,”


Jahan Kisi Tauheed Parast Ne Allah Tala Ki Shaan Ki Baat Kahi Ki Allah Tala Hi Saari Taqaton Ka Maalik Hai, Saari Kaaynaat Par Isi Ka Huqm Chalta Hai Wahi Maarta Hai, Wahi Jilaata Hai, Wahi Bigdi Banaata Hai, Wahi Beti Aur Beta Ata Karta Hai , Wahi Mushkil Kusha Hai,  Haajat Rawa Hai, Aur Wahi Ameero Aur Ghareebo Dono Ko Nawaazta Hai Aur Wahi Allah Saari Baton Ko Jaanne Waala Hai Akeela Ghaib’daan Hai, Toh Ye Log Kahte Hai

“Falan Hazrat Bhi Mushkil Kusha Hain, Falan Hazrat Bhi Haajat Rawan Hain, Yahan Tak Ke Naali Kinaare Baithne Wala Paagal Jo Namaz Aur Shariyat Se Koshon Door Rahta Hai, Ghalazaton Se Mashgool Rahne Wala , Chilam Peene Wala, Inke Yahan Awliya Hota Hai, Sunnat Se Door Rahne Wale Faasiqon Faajir Bhi Saara Ikhtiyaar Rakhta Hai, Aur Kahta Hai Jab Uska Aalam Ye Hai  Toh Ghaus Ka Aalam Kya Hoga ??, ”


Ab Itna Sunkar Jaahil Awaam Jise Kuch Pata Hi Nahin Deen Ke Bare Me Naare Risaalat Ghaus Ka Daaman , Khwaja Ka Daaman , Jaane Kya Kya Bechare Naare Lagaate Hain,


To Be Continued

#IslamiLeaks
#IrfanAli
#UmairSalafiAlHindi