Tuesday, October 20, 2015

ILM E GHAIB KA AQEEDA AUR GUMRAAH FIRQE: PART -1








Bismillahirrahmanirraheem


ILM E GHAIB KA AQEEDA AUR GUMRAAH FIRQE: PART -1


Tamam Qism Ki Hamd O Sana Qibriyaai Aur Badhai Us Allah Ke Liye Layeq Aur Zeba Hai Jisne Hamen Saari Qaaynaat Ko Paida Farmaya Aur Durood O Salaam Janaab Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam  Par Jo Saari Qaaynaat Ke Liye Rahmat Banaakar Bheje Gaye

Paak Hai Wo Zaat Jisne Insane Ko Paida Farmaakar Usko Aqal Bakhsi Aur Sochne Samjhne Ki Salaahiyat Ata Farmaayi Taaki Insaan Soche Samjhe Aur Kaayanaat Me Maujood Allah Ki Nishaanion Par Gaur Karen,  Yaqeen Karen , Gawahi Den Ke Allah Ek Hai Aur Uska Koi Bhi Shareek Nahin Hai Na Toh Uski Zaat Me Na Sifaat Me, Aurna Hi Uski Ibaadat Me Wo Allah Ek Hai, Saari Kaaynaat Par Bas Usi Ka Huqm Chalta Hai,

Allah Ki Sifaaton Me Ek Sifaat Hai Ghaib Jo Ki Hamari Kitab Ka Asal Mauju Hai, Allah Hi Ki Ye Shaan Hai Ki Wo Ghaib Ka Janne Wala Hai Zameeno Aasmaano Me Allah Ke Elaawa Koi Makhlooq Ghaib Nahin Jaanti, Wo Hamara Rabb Har Cheez Se Ba’khabar Hai, Kaali Raat Me Pahaad Par Kaali Cheeti Bhi Agar Chalti Hai Toh Hamara Rabb Us Raat Me Bhi Chalne Waali Cheeti Ki Awaaz Bhi Sunta  Hai Aur Usko Dekhta Bhi Hai, Allah Hi Ki Pak Zaat Hai Jo Samundar Ke Andar Taho Me Basne Waale Makhlooq Ko Dekhta Bhi Hai Aur Usko Bhi Rizq Deta Hai,

Makhlooq Chaahe  Satah Zameen Ke Upper Ki Ho Ya Aasmano Me Hone Wali Ho, Allah Sabko Dekhta Hai Suntan Hai, Aur Rizq Deta Hai, Satah Zameen Par Rahne Wali Saari Makhlooq Ko Chaahe Wo Jaanwar Ho Ya Fir  Jinn Ya Insaan Ho Allah Bas Ba’khabar Hai , Raat Ki Taareeki Lahraate Fasalo Me Kis Khet Me Kab Kaun Sa Daana Zameen Par Girta Hai Allah Us Daane Se Bhi Ba’khabar Hai, Kab Kaun Sa Patta Pedh Se Girta Hai Aur Uske Girne Wale Patton Ko Kaun Kaun Makhlooq Khaakar Apni Zindagi Ghuzarengi Allah Khoob Jaanta Hai , Kaun Kab Kis Zameen Par Marega, Kaun Kal Kya Kamaayega, Kab Kahan Par Sookha Padega, Aur Yahan Tak Ke Maa Ke Pet Me Palne Wala Baccha Paida Hokar Kya Banega Jannati Ya Jahannami, Jaahil Ya Aalim, Allah Hi In Baton Ka Jaanne Wala Hai,

Allah Ke Siwa Aur Koi Zaat Nahin Jo Ye Jaan Sake Kaun Shakhs Kitni Saans Lega, Kitni Umar Paayega , Kis Tarah Marega , Kahan Par Marega,, Allah Kle Siwa Koi Bhi Makhlooq Chaahe Wo Chhoti Se Chhoti Ho Ya Badi Nse Badi , Zameen Par Ho Ya Aasmaan Par Ghaib Nahin Jaanta Hai, Ye Sifaat Sirf Aur Sirf Allah Ke Hain,

Agar Koi Shakhs Allah Ke Elaawa Bhi Kisi Ko Ghaib’daan Jaane Ya Mane Toh Usne Is Sifat Me Allah Aur Us Makhlooq Ko Baraabar Kar Diya, Toh Bas Us Shakhas Ne Allah Or Us Shakhs Ko Ya Us Makhlooq Ko Barabar Karke Shirk Kiya Qki Allah Tala Ki Zaat Me Sifat Me Or Ibadat Me Koi Sajhidar Ya Sharik Nahi Ho Sakta Na Hi Barabar Ho Sakta Hai, Lihaza Wo Shakhs Kafir HoT Jata Hai

Kuch Log Muhammad Salllallaho Alaihi Wasallm Ko Ghaib’dan Sabit Karke Or Unka Sahara  Lekar Apne Apne Buzurgon Jin Ko In Logo Ne Awliya Allah Bana Rakha Hai Ui Ko Bhi Ghaib’dan Sabit Kate Hai

Jo Log Muhammad Sallallho Alaihi Ko Gaib’dan Kehte Hai Ye Log Gustakhe Nabi Hote Hai,,Ye Muhammad Sallallho Alaihi Wasallam Ki Farman Ke Khilaaf Aqida Rakhte Hain. Ye Muhammad Sallallho Alaihi Wasallam Ke Qoul Or Fa’el Par Amal Nahi Karte Unke Farman Ke Khilaaf Warji , Ye Qur’an Or Hadith Ka Inkar Kar Te Hai Or Is Ke Alewa Batil Or Be’buniyaad Mouju Haditho Se Ye Log Apna Batil Aqida Sabit Karne Ke Nakam Koshishkarte Hai ,

Qur’an Or Muhammad Sallallho Alaihi Wasallam Ke Farman Ke Muqabli Me Ye  Apne Apne Imamon Ke Qoul Or Jhooti Qisse Kahani Or Un Ki Likhi Neeli.Peeli Qitaben Jisme Qur’an Or Sahih Hadithon Ke Hawale Nahi Hote  Wo Pesh Karte Hai Or Jab Use Bhi Kaam Nahi Chalta To Qur’an Ki Aayaton Ko Kheench’taan Apne Mawafik Banana Ke Nakaam Koshish Karte Hai .

Main Challenge Karta Hoom Ke Ek Bhi Qur’an Ki Aayat Ya Ek Bhi Sahih Hadith Koi Shakhs Dikha De Jisme Allah Ke Rasool Muhammad Salllallaho Alaihi Wasallam Ne Kaha Ho Ki Main Ghaib Janta Hoon.

To  Be Continued….

#Umairsalafialhindi
#Islamicleaks
#Ifranali