.Bismillahirrahmanirraheem
AULAAD KI TAALEEM-- AULAAD KE HUQOOQ (PART-2)
Aulaad Ka Ek Haq Yah Hai Ki Waalidain Unhe Acchi Taaleem Dilaayen,
Aulaad Se Muhabbat Ka Jazba Toh Insaano Ke Saath Saath Haiwaanat Me Bhi Hai,
Gaaye,
Bhains, Bakri Aur Jumla Haiwaan Bhi Apne Bachhon Ko Dhoodh Pilaate
Hain, Unhe Muhabbat Se Choomte Hain, Unki Judaayi Mahsoos Karte Hain,
Unka Baccha Marr Jaaye Toh Gham Ki Shiddat Se Dhoodh DenA Band Kar Dete Hain,
Unke Bacche Jab Tak Chalne Firne Ke Qaabil Na Ho Jaayen, Unki Dekh Bhaal Me Lage Rahte Hain,
Yah Fitri Jazba Haiwaanaat Aur Insaano Me Mushtarak Hai,
Insaan
Ashraful Makhlooqaat Aur Kaaynaat Me Allah Taala Na Naayab hai, Use
Bahut Se Faraiz Saunpe Gaye Hain, Unme Aulaad Ki Taaleem Wa Tarbiyat Bhi
Shamil Hai,
Hafiz Ibne Qayyim (rh) Ne Baaz Ahle Ilm Se Naqal Kiya Hai Ki
Allah
Rabbul Izzat Qayamat Ke Din Aulaad Se Waalidain Ke Mutallik Sawal Karne
Se Pahle Waalidain Se Aulaad Ke Mutalliq Sawaal Karega.
Kyonki Jis Tarah Waalidain Ka Aulaad Par Haq Hai Usi Tarah Aulaad Ka Waalidain Par Haq Hai
Hafiz Ibne Qayyin (rh) Mazeed farmate Hain
" Jisne Apni Aulaad Ki Acchi Tarbiyat Karne Me Kotaahi Ki Aur Usko Nazar'andaaz Kar Diya toH Usne Bahut Badi Ghalti Ki.
Kyonki
Aulaad Me Aksar Fasaad, Waalidain Ki Taraf Se Hi AatA Hai Aur Agar
Unhone Be'parwaahi Se Kaam Liya Aur Deen Ke Faraiz Sunan Ki Taaleem Na
Di Toh Aisi Aulaad Na Toh Apne Aapko Fayeda De Sakegi Aur Na Apne
Waalidain Ke Liye Khair Ka Zariya Saabit Hogi,
Ek Baap Ne Apne Bete Ko Uski Bad'sulooki Par Daanta Toh Usne Kaha--
Abba
Jaan ! Aapne Bachpan Me Haqqe Khidmat Ada Ni Kiya Toh Maine Bade Hokar
Aap ki Na'farmani Ki Hai, Aapne Mujhe Bachpan Me Zaaya Kiya Toh Main Aap
Ko Budhaape Me Zaaya Kar Raha Hoon "
(Tohfatul Maudood 193)
Sayyidina Hz Anas Bin Malik (ra) Se Riwayat Hai Ki Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya
" Ilm Haasil Karna Har Musalman Par Farz Hai"
(Sunan Ibn Maajah 224)
Waalidain Par Farz Hai Ki Wah Khud Bhi Ilm Haasil Karen Aur Apni Aulaad Ko Bhi Ilm Ki Daulat Se Maalamaal Karen,
Maa
Ki Goad (Lap) Bacche Ke Liye Pahli Aur BahtareeN Dars'gaah Hai,
Haqeeqat Me Insaan Ki Seerat Maa Ki Goad Me Banti Aur Sawarti Hai,
Bacche Ka Sabse Zyada Raabta Maa Ke Saath Hota Hai Aur Baccha Maa Aur
Uske Mahaul Ka Asar Qubool Karta Hai,
LihaazA
Waalidah Hi Bacche Ko Ibtedaayi Taaleem De Taaki Use Deen e Fitrat
Yaani Islam Ki Khoobiyon Ka Ilm Ho Aur Uski Zindagi Islam Ke Saanche Me
Dhhal Sake,
Uske
Elaawa Bacche Ko Scienci Taaleem ki targheeb Bhi Di Jaaye, Kyonki
Scienci Uloom Ko Haasil Karne Se Insaan Kaar'khaane Kudrat Me Uske
Kawaaneen Se Aagaah Hoga Aur Allah Ke Ahkaam Ke Mutaabik Kaaynnaat Ki
Taskheer Ka Fareeza Anjaam De Sakega Aur Is Tarah Haqeeqe Maano Me
Zameen Me Khaleefa Hone Ka Khud Ko Haqdaar Thahra Sakega..
Aulaad Ka Aham Haq Hai Akhlaaq Ki Tarbiyat.
Islam
Me Sirf Zaati Nijaat Kaafi Ni hai, Islam Ye Zimmedari Har Shakhs ke
Supurd Karta Hai Ki Wah Dusron Ke Nijaat Ka Bhi Bando'bast Kare,
Khaandaan
Ke Sar'barah Ka Yah Farz Hai Ki Wah Ahlo Ayaal Ki Aisi Tarbiyat Kare Ki
Waah Allah Ki Azmat Ke Qaayel Hon, Allah Ke Ahkaam Ko Maane Aur
Aakhirat Ki Fiqr Karen,
Dunyawi Khush'hali Ke Elaawa Abdi Zindagi Me Sur'khuru Ka Khyaal Karen, Jaisa Ki Allah Taala Ka Farmaan Hai,
" Aiy Imaan Walon ! Tum Apne Aapko Aur apne Ahl O ayal Ko Us Aag Se Bachaao Jiska Eeindhan (fuel) Insaan Aur Patthar Hain"
(surah Tahreem 6)
Nabi e Akram Sallalo Alaihi Wasallam Ne Farmaya
"
Baccha Jab 7 Saal Ka Ho Jaaye Toh Use Namaz Padhne Ka Huqm Do Aur Jab
10 saal Ka Ho Jaaye Aur Namaz Na Padhe Toh Use Maar Kar Namaz Padhao Aur
Unhe Alag Alag Sulaaya Karo"
(Sunan Abu dawood 495)
Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Is Irshad Ke Pesh e Nazar
Waalidain Ko Chahiye Ki Wah Apne Bacchon Ko 7 Saal Ki Umar Tak Namaz Aur
Akhlaaq Ke Buniyaadi Usool Sikha Den,
Aam Tayr Par Waalidain Ki Tarbiyat Ka Asar Inki Aulaad Me Zaroor Hota Hai,
Misaal
Ke Taur Par Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Saahab'zaadi
Sayyida Hz Fatima (ra) Ki Shakhsiyat Se Andaaza Lagaya Ja Sakta Hai Ki
Nabi E Akram Sallalaho Alaihi wasallam Ne Inki Kis Qadr Be'misaal
Tarbiyat Ki Thi,
Hz
Fatima (ra) Sab Aurton Se Badhkar Daana Thin, Aapke Baat Karne Ka
Andaz, Husn e Akhlaaq, Waqaar Aur Mataanat Me Nabi e Akram Sallalaho
Alaihi wasallam Ka Aks Jhalakta Tha,
Isi
Tarah Sayyidina Hz Ali, Hz Hussain Hz Hasan (ra) Bhi Nabi E Akram
Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Tarbiyat Yaafta They, Unki Zindagiyan
Islami Akhlaaq Ki Aaala Namoona thi,
Imaam Ke Baad Dusra Darja Amal e Suwaleh Ka Hai, Quraan Kareem Me Kai Maqamaat Par Yah Alfaaz Aaye Hain
" Beshaq Wah Log Imaan Laaye Aur Unhone Nek Amal Kiye"
Maalun Hua Ki Sahih Islami zindagi Ki Gaadi Un 2 Pahiyon ke Be'ghair Ni Chal Sakti,
Lihaza
Waalidain Ko Chahiye Ki Aulaad Me Amal E Swaleh Ka Jazaba Paida Karen
Aur Uska Bahtareen Tareeqa yah Hai Ki Waalidain Khud Khuli Kitab Ki
Tarah Rahen, Unka Zaahir Aur Baatin Ek Ho, Qaul Aur Fel Me Koi Tazaad Na
Ho, Taaki Wah Aulaad Ke Liye Namoona Hon Aur Aulaad Khud Unhe Dekhkar
Apni Islaah Karti Rahe,
Ab
In sha allah Next Post Me Ham Bacchon Ke Wah Huqooq Tarteeb waar Bayan
Karenge Jinka Ada Karna Maa Baap Ke Liye Zaroori Hai...
To BE Continued....