Monday, July 8, 2013

ROZE'DAAR KHWATEEN KE NAAM:





 Bismillahirrahmanirraheem

 

ROZE'DAAR KHWATEEN KE NAAM:

 

Islami Bahno ! Ramzan Apni Nawazishon Aur Rahmaton Aur Barkaton Ke Saath Ham Par Saaya Fighan Hone Waala Hai, Is Azeem Maheena Ki Khair O Barqat Ke Liye Tamam Musalman Mard Aur Aurat Ko Mubarak Bad Deta Hoon Aur Saath Hi Saath Rabbul Aalameen Se Dua go Hoon Ke Is Mah Mubarak Ki Barkaton Me Hamen Shaamil Hone Ki Sa'aadat Naseeb Farmaaye

(Aameen)

Khaaliq E Kaaynaat Ne Bani E Nu E Insan Ko Maah E Ramzaan Ki Shakl Me Azeem Tareen Tohfa Ata Farmaya Hai Taake Uski Barkaton Ke Phuwware Se Gunaahgaar Insaan Apne Daaghdaar Daaman Ko Dhul Le..

Islami Bahno ! Is Maah E Muqaddas Ki Aamad Par Kuch Mufeed Wa Sood'mand Paigham Pesh Khidmat Hain Taake ilm E Hidayat Wa Shaoor Ki Roshni Me Ramzaan Ul Mubarak Ki Barkatein Sameti Ha Saken..

1- Is Maah Mubarak Ke Ek ek Lamha Keenti Samjhkar Iski Poori Qadr Karen Aur Apna Keemti Waqt Yun hi Zaaye Na Karen..

Allah Taala Ka Irshad Girami Hai

" Jis Baat Ki Khair Ki Na Ho Uske Peeche Na Pado , Kyonke Kaan ,Aankh, aur Dil Hain In mese Har Ek Se Pooch Gachh Hone Waali Hai "

(Surah Bani Israel 36)

Isliye Is Ba'barkat Maheene Ko Ghaneemat Jaankar Koi Lamha Barbaad Ni Karna Chahiye, Subah Wa Sham Zikr O azkaar Me Lage Rahna Chahiye

Allah Taala Ka Farman hai

" Zikr Karne Waale Mard Aur Zikr Karne Waaliyan un ( Sabke Liye) Allah Taala Ne Wasie Maghfirat Aur Bada Sawaab Taiyyar Kar Rakha Hai"

( Surah Ahzab 35)

Is Maheene Me Quran Ki Tilawat, Waaz Aur Taqreeri Cassette Sama'at Farmati Rahen.

Ghair Mufeed aur Ghair Zaroori Rasail Padhne Ki Bajaaye Islami Wa deeni Rasail Padhen,

Apna Waqt Fahash Aur Munkiraat wa Baqwaas Me Zaaya Na Karen.

Television Par Serial Aur Filmen Dekhne Se Parhez Karen,

2- Is Ba'barqat Maheene Me Husn Sulook Ka Muzaahira Karti Rahen, Roza Ka Poora Poora Ajr Paane ke Liye Is Maheene Me Khaas Taur Se Gheebat, Chugli, Fahash Kalaami Se Ijtenaab Karen, Apne Ahl Wa Bachhon Ke Liye Aap Kuch Uswa Wa Namoona Bane,

Sirf Khaane Peene Ko Chhod Dene Ka Naam Roza Ni Hai , Balke Behuda Harkaton Ko Tark Karna Zaroori Hai,

Aapse Koi Fahash Kalaami Par Utar Aaye Toh Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Is Qaul Ko Yaad Kar Lo,

" Roza Ki Haalat Me Tumse Agar Koi Gaali Galoch Kare Ya Qitaal Kare (Jihaalat Kare) Toh Tum Kah Do Ke Main Roza Hoon"

Ramzan Ul Mubarak Ke Fazail Me Ek Fazeelat Ye Bhi Hai Ke Is Muqaddas Maheene Me Allah Taala Apne Bandon Ki Duwaayen Sunta Aur Qubool Karta Hai,

Lihaaza Is Mubarak Maheene Me Nihaayat Aajizi Wa enksaari Se Duniya Wa Aakhirat Ki Falaah Ke Liye Dua Kare Aur Dua Ki Qabooliyat Ka Yaqeen Rakhen,

Dil Se Nikli Hui Duwaayen Qubuliyat Se Zaroor Nawazi Jayengi,

Apne Bete, Bhai, Bahno Par Bad'dua Karne Se Parhez Karen,

3- Meri Pyaari Bahno ! Waqt Allah Ki Nematon Mese Ek Nemat Hai, Is Waaste Besh Qeemat Lamha Ki Qadr Karen,

Ramzaan Ki Raaton Me Bazaar Jaane Se Ijtenaab Karen, Ramzan Ka Poora Maheena Khair O Barkat Ka Maheena Hai, Khususan Aakhiri Ashrah (aakhiri 10 Din) Badi Fazeelat Waale Hain..

Sahihain Me Ummul Momineen Hz Aisha (ra) Se Marwi Hai Ke

Jab Ramzan Ka Aakhiri Ashrah Aa Jaata Toh Aap Apni Kamar Kas Lete (Yani Biwion Se Alag Thalag Hokar Ibaadat Me Lag Jaate, Apni Raat Ko Zinda Rakhte They, Ibaadat Me Masroof Rahte) Aur Apni Biwion Ko Bhi Jagaate they.

Aakhiri Ashrah Allah Taala Ki Jaanib Se Ek Besh Qeemti Tohfa wa Inaam Hai, In Qeemti Raaton Ko Namaz. Tilaawat Quraan, Zikr wa Azkaar Waaz Wa Naseehat, Tauba Wa Istaghfar Me Ghuzaarein Aur Allah Ke Zikr Se Zinda Rakhen,

Kyunke Ye Raatein Ibaadaat Wa Itaa'at Mahnat Ki Raatein Hain, Beqaar Baith Kar Waqt Ghuzaari , Khel Kood,, Jaagne, Jashn Manaane, Bazaaron Wa Aam Jagahon Me Waqt Ko Zaaye Karne Ki Raatein Nahin Hain...

Koi Zaroori Nahin Ke Ye Qeemti Aur Anmol 10 Raatein Zindagi Me Dobara Hamen Milen,

Lihaaza Susti Wa Kaahili Chhod Kar Poore Ashrah Wa Aakhir Me Zyadah Se Zyadah Ehtemam Karen Aur Mauqa Ko Ghaneemat Samjh Kar Jitna Faayeda Uthaana Hai Utha len,

Zindagi Ka Kya Bharosa !!!!