Monday, July 8, 2013

ISLAAH E MU'AASHRAH




Bismillahirrahmanirraheem



 ISLAAH E MU'AASHRAH
 
★ "Hamare Mua’ashre main ye aik Badi hi be sharmi ki logon ko Aadat pd gayi hai, Nikah se Pehle jo Ladki Apne hi   Maa Baap Bhai aur Rishtedaro se Jo Parda karti hai wo Nikah k Baad khatam kardeti hai".
 
 •► Kya Allah ka Farman sirf Nikah se Pehle tak
hi hai?
 
 •► Kya Parda karna Nikah k Baad Aourat ko Muaaf hai? 
★ To phir jo Ladki jis ka Nikah na hua ho wo Nikah se Pehle apne sare Wujoode jism ko Parde main chupa kar rakhti hai Poore Libaas main aur Jab Nikah hojata hai to Saaree Pahen leti hai Astagfirullah aur sab k Samne apna Pait aur Peet dikhati phirti hai Bhai se Baap se Rishtdar Na Mahram mardo se, Kuch to gairat honi chahiye. Ye Islam nahi sikhata ye Saaree ka Pahenna to Hinduana Rasam hai.
 
 ★ Meri Pyari Bahno tum aik din budhi ho hi jaogi Lekin Shari’at Pehle bhi Jawan thi aaj bhi hai aur Ta Qayamat tk rahegi Islam main apne shohar k ilawa kisi aur ko Apna jism dikhana Haram Qarar diya hai. Toba kare Allah se aur jo is Gunah main hai unhe Samjhaye aur AaP khud bhi is par Aml kare ye Saaree pahenna chhode Islam ne jis tarah ka libas aourat k liye rakha hai us par aml paira hojaye
 ●══════════════════════◄►═════
═════════════════●
⇨ "O Children of Adam! We have bestowed
raiment upon you to cover yourselves (screen your private parts, etc.) and as an adornment,
and the raiment of righteousness, that isbetter. Such are among the Ayat (proofs,
evidences, verses, lessons, signs, revelations,etc.) of Allah, that they may remember 
(i.e. leave falsehood and follow truth)". 
(Qur'an 7:26)
 
 ★.....:: Islamic Hijab kya Hai Shariah k Mutabiq!! ::.....★
 
1. Sara jism dhanpna (COVER ) cahiye siwaye uske jo Allah Tala ne ijazat di hai masalan  aankh hatheliyan.
 (Quran 24:31, 33:59)
 
2. Kapdey aisey na ho jisey Dosron ki tawajja  jaye (attractive na ho).
(Quran 33:33)
 
3. Patla na ho jisey Jism ya Jism ka Shape nazer aye. 
(Sahih Muslim 2192 :: Ahmed 205)
 
4. Perfume ya Itr se mahekta na ho.
(Muslim 328 :: Abu Dawood 4175 :: Al Nasaai 154)
 
5. Kafiron ya Mardon k kapdon se milta julta na ho.
 (Abu dawood 4099, 4098 :: Ahmed 352 :: Sahih bukhari 39 :: Sahih Muslim 222)
 
6. Crosses na ho. 
(Sirat al Mustaqeem p 51)
 
7. Tasweerein na ho. 
(Sahih Bukhari 81)
 
8. Paak ho kisi bhi napak janwer k skin se bana na ho aur Na tiger aur dosrey gosht khane walA
 janwaron ki jild se bana ho.
 
 (Sahih Bukhari 111, 81 , 82 :: Sahih Muslim 1667, 1670)
 
9. Aisa NA ho jisey ghamand wa takabbur zaher ho.
  (Abu dawood 4129 :: Ibn majah3656 :: Sahih Bukhari 54 :: Sahih Muslim 1653)
 
10. Fuzool kharchi se kharida huwa Na ho.
 
(Sahih Bukhari 54 :: Sahih Muslim 1653)
 
11. Fashionnable Na ho . (Ahmed 181 :: Ibn Majah 3605)
 
 Allah Tala Har Muslimah ko Sahih HIjab Pahenne ki Toufeeq Ata kare.
 
 
★•.•´¯`•.•★ A A M E E N ★•.•´¯`•.•★