Bismillahirahmanirraheem
ILM E GHAIB KI
HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: (PART 11)
16 AYATEIN AUR USKA
JAWAB:
DALEEL NO .2
Molwi Sahab Ki Agli
Daleel
“Aur Ye Ghaib Ki
Khabrein Hain Jo Ham Tumhari Taraf Wahiy Karte Hain”
(Surah Aal E Imraan
Ayat No 44)
JAWAB:
Waqi Ghaib Ki
Khabrein Allah Tala Wahiy Ke Zariye Jab Chaahta Hai Nabi Sallalaho Alaihi
Wasallam Ko Khabar Kar Deta Hai Zindagi Bhar Ke Liye Ata Nahin Karta Ke Jab
Chaho Apni Marzi Se Kuch Bhi Pata Kar Lo, Agar Aisa Hota Toh Nabi Salallaho
Alaihi Wasallam Ko Koi Pareshaani Nahin Hoti Aur Na Hi Wo Wahiy Ka Intezaar
Karte Balke Posheeda Baton Ko Jaannne Ka Ek Hi Zariya Hai Aur Wo Wahiyy Hai
Bas,
DALEEL NO. 3
Molwi Sahab Ki Agli
Daleel
“Aur Ye Ghaib Ki
Baatein Hain Jo Khufiya Taur Par Tumhe Bataate Hain”
(Surah Aal E Imraan
Ayat No 44)
JAWAB:
Yahi Toh Ham Bhi Kah
Rahen Hain Ki Baatein Bataayi Jaati Hain, Ghaib Ko Pata Karne Ka Power Yani
Quwwat Ata Nahin Kiya Gaya Aur Kisi Ke Kuch Bata Dene Se Baatein Malum Ho Jaana
Ghaib Nahin Hai, Aur Khufiya Taur Par Isliye Bataayi Jaati Hain Ki Kahin
Sarkash Jinn Na Sun Lein, Isliye Farishton Ka Pahra Laga Diya Jaata Hai,
DALEEL NO. 4
“Allah Ki Shaan Ye
Nahin Ki Tumhe (Aiy Sahaba) Ghaib Ki Baton Se Aagaah Karen Balki Allah Tala
Apne Rasoolon Mese Jise Chaahta Hai Chun Leta Hai”
(Surah Aal E Imraan
Ayat No 179)
JAWAB:
Molwi Sahab Aur Unke
Tamam Party Is Aayat Ko Aur Is Daleel Ko Khud Hi Inkaar Kar Dete Hain Yahan Toh
Wo Khud Iqraar Kar Rahen Hain Ke Allah Tala Ki Ye Shaan Nahin Ki Sahaba Ko
Ghaib Ata Karen, Allah Sirf Nabion Ko Hi Aagaah Karta Hai, Magar Yahi Log Umar
(Ra) Ko Aur Tamam Buzurgaan E Deen Ko Ghaib’daan Saabit Karte Hain. Inki Pooroi
Ki Poori Kitaabein Awliyaon Ke Ghaibi
Kaarnaamon Se Bhari Padi Hain,
Kya Main Sawaal Kar
Sakta Hoon Ki Aap Log Apne Apne Awliyaon Aur Buzurgon Ko Ghaib’daan Saabit
Karke Is Aayat Ka Inkaar Karte Ho Ya Is Aayat Ko Qur’an Hi Nahin Samjhte Ho,
Yahan Par Toh Aap Log Nabi Sallaho Alaihi Wasallam Ko Ghaib’daan Saabit Karne
Ke Liye Ye Aayat Pesh Kar Diya Aur Iqraar Kiya Ki Allah Tala Nabi Ke Elawa
Sahaba Ko Bhi Ghaib Ata Nahin Karta, Duniya Me Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam
Ke Baad Sabse Azeem Hastiyon Ko Yani Sahaba Ko Jab Allah Ghaib Nahin Ata Karta
Toh Fir Tumhare Babaon Ko Kahan Se Ata Ho Jaata Hai ?? Jo Sahaba Ke Nakhun Ke
Baraabar Bhi Nahin Hain, Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Ke Taalluq Se Upar
Jawab Diya Ja Chukka Hai
DALEEL NO. 5
“Ye Nabi Ghaib
Bataane Me Bukhl Nahin”
(Surah At Taqweer
Ayat No 24)
JAWAB:
Nabi Sallalaho Alaihi
Wasallam Deen Ki Baatein Bataane Me Bukhl Nahin Karte Kyonki Deen Ki Baton Par
Imaan Laana Hi Tauheed Hai Aur Imaan Ye Hai Ki Jannat, Jahannum, Mehshar,
Barzakh Aur Farishton Aur Allah Tala Ko Beghair Dekhe Sirf Qur’an Aur Nabi
Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Farmaan Ko Sunkar Imaan Laaya Jaaye Lihaaza Ye
Deeni Baatein Jiska Taalluq Islaam Se Hai Aur Jiske Bare Me Allah Taala Ne
Qur’an Me Bata Diya Hai Ki Ache Amal Par Jannat Hai Warna Jahannam Jaise Jannat
Ki Nematein, Jahannum Ki Holnakiyan, Mehshar Ki Pareshaniyan Is Tarah Ki Posheeda
Baatein Jo Allah Taala Ne Nabion Ko Bataayi Aisi Baatein Baataane Me Nabi Bukhl
Nahin Karte, Baaki Raha Ghaib Ka Ilm Ata
Karna Toh Ye Power Quwwat Kisi Ko Ata Nahin Kiya Gaya, Tabhi Toh Rabb Ne
Farmaya Ke Kah Do
“Mere Paas Allah Ke
Khazaane Nahin Hain Aur Na Hi Main Ghaib Jaanta Hoon”
Balke Allah Ne Saaf
Kah Diya Ki Zameeno Aasmaano Me Allah Ke Elaawa Koi Ghaib Nahin Jaanta
DALEEL NO. 6
“Aur Sikha Diya Jot
Um Nahin Jaante They Aur Allah Ka Tumpar Bada Fazl Hua”
(Surah Nisa Ayat No
113)
JAWAB:
Bechare Molwi Sahab
Is Aayat Se Ye Saabit Karna Chaahte Hai Ke Allah Tala Ne Nabi Sallalaho Alaihi
Wasallam Ko Ghaib Sikha Diya, Jabke Allah Tala Ne Quraan Me Kai Jagah Saaf Saaf
Farma Diya Ke Zameeno Aasmaan Me Allah Tala Ke Siwa Koi Ghaib Nahin Jaanta Magar
Ye Molwi Sahab Jo Hai Jo Quraan Ki In Saaf Saaf Aayaton Ka Ya Toh Inkaar Karke
Ya Nazar’andaaz Karke Un Ayaton Ki Taraf Rukh Karte Hain Jo Inke Muwafiq Hoti
Hi Nahin Hain,
Aiyye Quraan Dekhen
Ki Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Allah Taala Ne Kya Sikhaaya, Allah Tala
Quraan Me Farmaata Hai
“Aiy Nabi Isse Pahle
Aap Jaante Hi Nahin They Ki Imaan Kya Hai, Aur Islaam Kise Kahte Hain”
(Surah Shura Ayat No.
52)
Isse Pahle Nabi
Sallalaho Alaihi Wasallam Nahin Jaante They Ki Imaan Aur Islam Ke Bare Me Fir
Allah Taala Ne Nubuwwat Ata Farma Kar Aur Wahiyy Bhejkar Nabi Sallalaho Alaihi
Wasallam Ko Isse Aagaah Kiya Aur Sikhaya Namaz , Roza, Hajj, Zakaat, Tauheed,
Shirk, Bidat Wagerah Wagerah Aur Jo Kuch Is Deen Ke Liye Zaroori Baatein Thi
Allah Taala Ne Wo Sab Baatein Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Sikha Di,
Ek Baar Abu Talib
Gaar E Hira Ki Taraf Se Guzre Dekha Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Namaz Padh
Rahen Hain, Namaaz Ke Baad Chavcha Ne Pooche Bhateeje Ye Kya Kar Rahe They,
Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya Chacha Namaz Padh Raha Tha, Chacha Ne
Kaha Is Atarh Namaz Padhna Kisne Sikhaaya ?? Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ne
Farmaya:
“Mere Rabb Ne Jibreel
(As) Ko Bhejkar Namaz Padhna Sikhaaya” (Abu Dawood)
Malum Hua Allah Ne
Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Namaz , Roza , Hajj Wagerah Ki Wo Baatein Jo
Is Deen Ke Liye Zaroori Thi Wo Baatein Sikhaaya Hai Aur Nabi Sallalaho Alaihi
Wasallam Ne Ham Ummat Ke Logon Ko Wahi Baatein Sikhaayi Hain Ke Namaz Aise
Padho, Roza Aise Rakho, Wgerah, Toh Pata Chala Ki Nabi Sallalaho Alaihi
Wasallam Ko In Tareeqon Ke Bare Me Pata Nahin Tha Yahan Tak Ke Nabi Sallalaho
Alaihi Wsallam Ko Ye Tak Malum Nahin Tha Ki Imaan Kise Kahte Hain Aur Islaam
Kya Cheez Hai Fir Allah Taala Ne Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Ko Nubuwwat
Ata Karke In Baton Ko Sikhaaya Take Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Apni Ummat
Tak In Baton Ko Aur Ibaadat Ke Tareeqon Ko Sikha Den, Toh Malum Hua Allah Tala
Ne Sikha Diya Un Baton Ko Jise Aap Nahin Jaante They Aur Allah Tala Ka Bada
Fazal Hua Na Ke Ghaib Ka Ilm Sikhaaya
To Be Continued
#Umairsalafialhindi
#Islamicleaks
#Irfanali