Friday, November 27, 2015

ILM E GHAIB KI HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: (PART 10)








Bismillahirahmanirraheem




ILM E GHAIB KI HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: (PART 10)



16 AYATEIN AUR USKA JAWAB:

Ek Maulwi Sahab Hain Jinka Naam Saabir Hussain Hanafi Barkati Hai Inhone Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Aur Awliyaon Ko Ghaib’daan Saabit Karne Ki Naqaam Koshish Ki Hai, Unhone Qur’an Ki 16 Ayatein Urdu  Akhbaar Siyaadad Jaded Me Shaya Kiya, Ye Daleelein Unhone Ek Kitaab Jaal Haq Se Li Thi Jiske Musannif Ahmad Yaar  Khan Naemi Hai, Aur Ye Kitaab Nagpur Se Chhapi Hai,


Jaisa Ki Maine Bayan Kiya Hai Ki Pata Nahin Kyon Ye Log Allah Ki Qibriyaai Aur Badhayi Aur Tareef Sunna Gawaara Nahin Karte Jahan Kisi Ne Allah Ki Shaan Uski Qudrat Taqat Wa Quwwat Ki Badhayi Ki Fauran Hi Ye Log Wahi Shaan Wahi Quwwat Apne Apne Babaon Me Saabit Karna Shuru Kar Dete Hain, Ab Babaon Ko Itna Taqat Wala Wa Ikhtiyaar Wala Agar Bana Denge Toh Duniya Sawaal Karegi Ke


“Inse Afzal Toh Nabi Wa Rasool Hote Hain, Unme Ye Taqat Toh Hai Nahin Fir In Babaon Me Kahan Se Aa Gayi”


Is Sawaal Se Bachne Ke Liye Ye Log Sabse Pahle Nabion Ko Ghaib’daan Saabit Karne Ki Naqaam Koshish Karte Hain, Fir Apne Aap Inka Raasta  Saaf Ho Jaata Hai,


Qasam Hai Rabbe Qaaba Ki In Logon Ne Apne Apne Babaon Ko Itna Badawa Diya Hai Ki Saare Nabi Milkar Bhi Inke Sirf Ek Baba Ki Barabari Nahin Kar Sakte, Aap Hairaan Nah On Inshaallah Agle Posts Me Main Inki Jhalak Dikhaunga Aap Daanton Tale Ungali Daba Lenge Aur Hairaan Wa Pareshaan Ho Jaayenge, Aiyye Dekhen Ye Hanafi Sahab Kya Pesh Kar Rahern Haim


DALEEL NO. 1


“Ghaib Ka Jaanne Wala Apne Ghaib Par Kisi Ko Zaahir Nahin Karta Siwaaye Apne Rasoolon Ke Jise Wah Pasand Kar Le”

(Surah Jinn Ayat No. 26-27)

Maulwi Sahab Likhte Hain

“Allah Nabion Ko Ghaib Ata Kar Deta Hai Yahan Tak Ke Apne Nabion Ko Qayamat Ka  Ilm Bhi Ata Kar Diya”

JAWAB:

Maulana Sahab Ne Poori Ayat Nahin Likhi , Agar Poori Ayaton Ko Likh Dete Toh Ye Ayat Khud Hi Masla Saaf Kar Deti, Poori Ayat Is Tarah Hai

“Ghaib Ka Jaanne Wala Apne Ghaib Ko Kisi Par Zaahir Nahin Karta Siwaaye Apne Rasoolon Ke Jise Wah Pasand Kar Le, Aur Unke Aage Peeche Pahre’dar Muqarrar Kar Deta Hai”

(Surah Jinn Ayat No. 26-27)

Is Ayat Se Toh Pata Chalta Hai Ki Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Ilm E Ghaib Ata Hi Nahin Kiya Gaya, Agar Ghaib Ata Hi Kar Diya Gaya Hai Toh Fir Hz Jibreeel (As) Ko Aakar Khabar  Dene Ki Kya Zaroorat  Aur Us Khabar Ko Itni Nigraani Ki Kya Zaroorat Ki Aage Peeche Farishtey Un Baton Ki Hifaazat Karen Aur Sarkash Jinn Ko Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Se Door Rakhen,

Farishton Ki Itni Shakht Nigraani Is Baat Ki Daleel Hai Ki Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Ghaib Ata Nahin Kiya Gaya Balke Jibreel Un Posheeda Baton Ko Bataate Hain Tab Nabi Ko Maalum Hota Hai, In Baton Se Pata Chala Ki Jis Tarah 2 Log Aapas Me Koi Khoofiya  Baatein Karte Hain Toh Raaz Ko Bar’qaraar Rakhne Ke Liye Teesre Shakhs Ke Paas Aane  Par Pabandi Laga Di Jaati Hai Take Raaz Faash Na Ho Jaaye,   Theek Usi Tarah Sarkash Jinno- Shaitano Par Pabandi Laga Di Jaati Hai Take Wo Paas Jaakar Baatein Na Sun Saken Kyonki Wo Sarkash Jinn Chupke Se Baton Ko Sunkar Kisi Kaahin Ya Najoomi Ko Wo Baatein Bata Deta Jise Sunkar Ye Faasiq Log Jhooti Nubuwwat Ka Daawa Kar Sakte They Ya In Aayaton Me Fer Badal Kar Sakte They Aur Logon Me Apni Maqbooliyat Qayam Kar Lete,

Isi Tarah Kai Wujuhaat Ki Bina Par Jise Allah Hi Khoob Jaanta Hai Ke Tahat Pahra Laga Diya Jaata Tha, Malum Hona Chahiye Ki Shaitaan Logon Ko Gumraah Karne Ke Liye Faasiq Wa Faajiron Aur Kaahin Wa Najoomion Ko Aur Shobda’bazon Ko Apna Elchi Banaayen Rakhte Hain Aur Unse Ulte Seedhe Kaam Karwa Kar  Logon Ke Aqeede Ko Barbaad Karte Hain Isi Baat Ko Allah Tala Ne Yun Farmaya

“Suno Main Bataun Shaitaan Ki Par Utarte Hain,  Har Jhoote Gunahgaar Par Utarte Hain Jo Suni Hui Baat (Inke Kaan Me) Daalte Hain Aur Wo Aksar Jhoote Hain”

(Surah Ash Shura Ayat No. 221,222,223)

Is Ayat Se Pata Chala Ki Agar Shaitaano Ko Farishton Se Door Na Rakhen Toh Wo Log Bhi In Posheeda Baton Se Aagaah Ho Jaate Jo Nabion Ko Bataayi Jaati Thi, Toh Kya In Baton Ko Chupke Se Sun Lene Se  Ya Un Posheeda Baton Ke Pata Chal Jaane Se Wo Bhi Ghaib’daan Ho Jaate ??

Zaahir Si Baat Hai Kisi Ki Koi Baat Sun Lene Se Koi Ghaib’dan Nahin Ho Jaata Fir Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Se Pahle In Baton Ko Jibreel (As)  Ne Suna Aur Un  Baton Ko Sunkar Nabi Ko Baataane Aaye Toh Kya Jibreel (As) Ko In Baton Ka Pata Ho Jaane Se Wo Bhi Ghaib’daan Ho Gaye ??

Balke Unhone Toh Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Se Pahle Un Baton Ko Jaana Toh Kya Jibreel (As) Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Se Bhi Bade Ghaib’daan Ho Gaye Kyonki Unhone Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Se Pahle Un Baton Ko Jaana Jabki Allah Tala Qur’an Me Farmaata Hai

“Zameeno Aasmano Aur Saari Kaaynaat  Me Allah Ke Siwa Koi Ghaib Nahin Jaanta”

Jinno Aur Farishton Ke Mutaallik Maine Pahle Hawaale Pesh Kar Diya Hai Ki Unhe Ghaib Ka Ilm Nahin Hai Toh Pata Chala Ki Allah Apne Rasoolon Ko Posheeda Baatein Batata Toh Hai Magar Unhe Ghaib Jaanne Ki Ya Ghaib Ki Pata Karne Ki Quwwat Nahin Ata Karta Balke Farishton Ke Zariye Khabar Bhejta Hai Aur Ye Baat Sab Jaante Hain Ki Jo Baatein Jibreel (As) Ne Nabi Sallalaho Alaihi Wasllam Ko Bataayi Wahi Baatein Nabi Sallaho Alaihi Wasallam Ne Ummat Ko Bataayi Toh Jab Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Un Baton Ko Sunkar Ghaib’daan Ban Sakte Hain Toh Ummat Wahi Baton Ko Jaan Rahi Hai Toh Inhe Aap Kya Kahenge ??

To Be Continued


#Umairsalafialhindi
#Irfanali
#Islamicleaks