Tuesday, November 3, 2015

ILM E GHAIB KI HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: PART 5








Bismillahirrahmanirraheem




ILM E GHAIB KI HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: PART 5



FARISHTON KO ILM E GHAIB NAHIN :



DALEEL NO. 1



 Ab Aiiye Main Quran Ki Wo Daleelein Pesh Karta Hoon Jisse Saabit Hota Hai Ke Zemeen O Aasmaan Me Allah Ke Siwa Koi Ghaib Nahin Jaanta, Allah Tala Quran Me Fermata Hai


“Allah Ne Aadam Ko Tamam Naam Sikhaakar Un Chezon Ko Farishton Ko Saamne Pesh Kiya Aur Farishton Se Kaha, Agar Tum Jaante Ho Toh Batao, In Sab Ne Kaha Aiy Allah Teri Zaat Paak Hai, Hamen Toh Sirf Itna Hi Malum Haijitna Tone Hamen Sikha Rakha Hai, Poore Ghaibon Aur Hikmat Ka Jaanne Wala Toh Sirf Tu Hi Hai”


(Surah Baqarah Ayat No. 31-32)


Ye Aayat Is Baat Ki Daleel Hai Ke Farishton Ko Malum Hi Nahin Tha Ki Allah Ne Duniya Me Kya Kya Bana Rakha Hai Aur Ye Sab Allah Tala Ne Adam (As) Ko Sikhaaya Ke Falan Ka Naam Ye Hai Aur Falan Ka Ye Tab Jaakar Adam Ko Malum Hua Ki Kis Cheez Ka Kya Naam Hai? Aur Wo Usi Tarah Naam Gina Dete Hain Jaise Allah Ne Unhe Sikhaaya Tha Aur Farishtey La’jawab Ho Jaate Hain, Aur Iqrar Karte Hain Ke Aiy Allah Hamen Nahin Malum Ki Teri Kya Hikmat Hai, Adam (As) Ko Paida Karne Ki Beshaq Beshaq Saare Ghaibon Ka Jaanne Waala Sirf Tu Hi Hai,


NOTE:


Allah Tala Ne Tamam Cheezon Ke Naam Sikhaaya, Iski 2 Wajah Toh Zaahiri Hain

1-     
 Kaafir Ye Na Kahen Ki Us Waqt Un Cheezon Ke Naam Hi Na Pade Hon Jin Cheezon Ke Mutaallik Poocha Ja Raha Tha. Maslan Pahad Jharna, Nadiyan Wagerah, Agar Farishtey Sahih Naam Bata Bhi Dete Toh Kah Diya Jaata Ki Iska Naam Ye Nahin Balke Dusra Hai, Kaafiron Ke Is Shubuhaat Ko Allah Tala Ne Is Tarah Door Kiya Ki Adam Ko Pahle Hi Sabke Naam Bata Diye, Taaki Adam Gawah Rahen Ki Agar Farishton Ne Sahih Jawab Diya Toh Unke Saath Dhoka Nahin Kiya Jaayega.


2-       Dusri Zahiri Wajah Yah Thi Ke, Aiy Farishton Agar Tum Ghaib Jaante Ho Toh, Maine Jo Kuch Aadam Ko Sikhaya Hai Tum Ghaib Se Malum Kar Lo Ki Maine Adam Ko Kya Sikhaaya ? Aur Agar Ye Bhi Nahin Kar Sakte Toh Adam Ke Dil Me We Tamam Baatein Mahfooz Hai, Jo Ghaib’daan Hota Hai Wo Dilon Ki Baton Ko Bhi Jaanta Hai, Lihaaza Agar Tum Ghaib Jaante Ho Toh Adam Ke Dil Ka Raaz Jaan Lo, Ayr Bata Do, Itni Aasaani Aur Sahooliyat Ke Baad Bhi Farishte Naam Bataane Se Aaziz Rahe,
Ghair Muslim Sawaal Karte Hain Ki Allah Ne Adam Ko Kyun Sikhaaya ?? Jab Farishton Ko Sikhaaya Hi Nahin Toh Poocha Kyon ?? Kya Ye Chalaaki Nahin Hai ??

Arz Ye Hai Ki Imtehaan Farishton Ka Tha, Adam Ka Nahin, Farishton Ki Isliye Nahin Bataya Ki Agar Jawab Hi Bata Diya Jaaye Toh Sawaal Ka Faayeda Hi Kya, Dusre Ye Ki Farishtey Ghaib’daan Hote Toh Unhe Batao Ya Na Batao Khabar Ho Hi Jaati,

SHUBUHAAT:

Maolwion Ka Ye Kahna Ke Jab Adam Ko Tamam Kaaynaat Ka Ilm Sikhaaya Gaya , Toh Mere Nabi Ka Kya Kahna ??

JAWAB:

Arz Hai Agar Kisi Shakhs Ko Koi Cheez Dikhaakar Uska Naam Bataya Jaaye,  Ke Ye Falan Cheez Hai Aur Ye Falan Cheez, Kya Ye Ghaib Hai ?? Jabke Ja’al Haq Ke  Musannif Khud Likhte Hain Ke Kisi Ke Baatne Se  Kisi Cheez Ka Malum Ho Jaana Ghaib Nahin Hai,

Dusri Baat Ye Tamam Naam Sikhaakar Un Cheezon Ko Farishton Ke Saamne Pesh Karne Ka Matlab Yah Nahin Ki, Allah Apni Saari Sultanate Aur Apni Tamam Rubuwiyat Ke Tamam Poshida Raaz Adam Ko Sikhaaye, Balke Agar Kuwen Ke Mendak Se Sawaal Kiya Jaaye Toh Sirf Kuwen Ke Andar Ka Hi Maamlaat Ke Bare Me Poocha Jaayega, Samundar Ke Bare Nahin,

Allah Tala Ke Ilmi Samundar Kea Age Farishton Ka Ilm Kuwen Ke Mendak Sa Hai, Isliye  Allah Ne Sirf Is Kuwen Jaisi Choti Cheezon Ke Andar Ka Haal Aadam Ko Sikhaaya Hai, Aur In Cheezon Ko Farishton Kea Age Pesh Karke In Tamam Cheezon Ke Naam Ke Bare Me Poocha, Ke In Cheezon Ke Naam Ki Bata Do Jo Tumhari Rasaayi Ke Andar Hai,

Isi Tarah Agar Kisi Primary Ke Bacche Se Paper Liya Jaayega Toh Un Tamam Cheezon Ke Bare Me Poocha Jaayega Jo Uski Primary Kitab Me Hai Ye Nahin Ke BA, B.COM, M.COM, Ke Bare Me, Ya Duniya Ke Jitney Bhi Taalimi Ilm Hain Inke Bare Me Poocha Jaayega,

Primary Ke Bacchon Ke Liye Ye Class Aur Kitaben Ki Poori Duniya Hai Ab Ye Kya Baat Hui Ki Is Class Wala Ilm Toh Seekha Hi Nahin, Aur BA, B.ED, YA DR. Engineer, Ke Course Ke Mutaallik Ilm Hone Ka Dawa Kar Do, Aur Jab Master Daawe Ke Imtehaan Ke Liye Tumhare Hi Class  Ki Kitabon Ke Bare Me Kisi Dusre Ladke Ko Bataakar Tumhara Imtehaan Le Toh Tum Lachaar Ho Jao, Toh Master Yahi Kahega Ki Tumhe In Cheezon Ka Ilm Toh Hai Hi Nahin, Jo Tumhare Saamne Aur Tumhari Rasaayi Ke Andar Hai Aur Daawa Tamam Jahan Ka, Lihaaza Ye Kahna Kea Dam Ko “Ma Kaan Aur Ma Yaqoon” Ka Yani Saari Kaaynaat Ka Ilm Diya Gaya Tha Mahaz Jihaalat Hai,

DALEEL NO. 2

“Allah Tala  Qayamat Me Farishton Ko Jama Karke Poochega, Kya Tumne Kaha Tha Mujhe Poojo Aur Aur Allah Ki Betiyan Qarar De Do, Farishtey Kahenge, Aiy Allah Hamen Kya Khabar Ke Ye Hamen Pukaarte They Ye Toh Mahaz Shaitan Ko Poojte They”

(Surah Saba Ayat No.40-41)

Is Ayat Se Poori Tarah Wazahat Ho Gayi Ki Farishton Ko Ye Tak Khabar Nahin Ki Kuffar Unko Poojte Aur Allah Ki Betiyan Qarar Dete They Aur Aaj Tak Kaafir Farishton Ko Devta Ke Roop Me Poojte Hain Qayamat Me Jab Allah Unko Batayega Tab Un Logon Ko Malum Hoga Aur Wo Shakhti Se  In Pooja Path Ka Inkaar Kar Denge…

To Be Continued

#Islamicleaks
#Irfanali
#Umairsalafialhindi