Thursday, December 11, 2014

KYA IMAM BUKHARI WA DEEGAR MUHADDISEEN MUQALLID THEY ???




Alhamdulillhi rabbil aalameen,was salaatu was salaamu ala ashrafil ambiyaaee wal mursaleen, ammaa baad:

Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..


Bismillahirrahmanirraheem ..

Topic : Kya Imam Bukhari r.al Aur Degar Muahaddisen v Muqallid the ?

Jawab :

Imam Bukhari r.al Aur Degar Akaber Muhaddisen Hadees wa Feka me Apne Dourk Asa'atin Alim Aur Mujtahid wa Fakai the,Un Aima Muhaddisen ki Amanat wa Deyanat Aurr Fekahat wa Ijtehaad Maruof hai Aur unke Martaba Karda Kitab ko Degar Kitabo se Mumtaz Aur Sahi Taren Qarar Deya Gaya hai Aur Imam Bukhari r.al ki Kitab k Mutalliq tou ye Jumla jubaan Zaid-Aam wa khash hai.

''As-Sahul kutubi baada kitabillah-hil Bukhari''

Allah ki kitab k baad Sabse jayada Sahi Kitab Imam Bukhari r.al ki ''Bukhari Sareef '' hai Aur Imam Bukhari r.al ki Feka wa Ijtehad k baare me v ye Jumala Aam hai.

''Fika-hu-Bukhari Fi Tarazumhe''

Imam Bukhari r.al ki Fekahat unke Tarzuma Abwaab me hai.

Imam Bukhari r.al k Mujtahid hone ki Gawahi tou Kabar-Aima-Muhaddeisen Ne de hai jo katab rajaal me unke Tarzuma me Mouzood hai , Hum yaha Serf ''Darul-Uloom Deoband '' k Shaikh ul Hadees Moulana Anwer Saah Kasmiri k Ek Qoul zekar karte hai :

''Jaan lo k Imam Bukhari Bela Sak wa Subah Mujtahid hai Aur unke Baare me ye Mashoor hai k Wo Safaii hai tou uske Wajah Mashoor Masail me unke Taraf se Imam Safaii ki Muwafiqat hai Warna Imam Abu Hanifa se unke Muwafiqat Imam Safaii k Sath Muwafiqat me kam Nahi''

[Faiz Al baari jild-1 Safa-58]

Allama k Bayan k es Baat se Sabit hota hai k Imam Bukhari r.al bela-sak Mujtahid the Aur Muqallido ne Chand Masail me kisi Imam k sath Muwafiqat ki wajah se unhe unka Muqallid bana deya hai,Wo kavi v kisi Imam k Muqallid na the Aur Na uske Pukta Dalill Moujud hai,Imam Bukhari r.al jaise Imam al feka wa Al-Muhaddisen ko Muqallid Qarar Dena Sarasar jayadai Aur Zulm hai,Unhone Feka-Alhadees per kaam keya hai,kisi Maksus Imam k Nazariya ko Nahi apnaya,Wo Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ki Ahadees k jama hai Aur Sahi wa Sakim k Parakhne ki Mokammal Salahiyat rakte the, unhone Sahi Bukhari me Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam se Marwi Sahi Ahadees ko Mukhtalif Fakhe Abwaab k tahat yakza keya hai Balke unke Jama karda Ahadees k Bare Allama Kashmere ne lekha hai :

''Sahieen ki Ahadees Qataeen k Faida dete hai,Hafiz Ibn Hazar Askalani,Samas Allama sarkashi ,Ibn Tayimeya Aur Ibn Al Salar.al k yahi Qoul hai Aur Goya tadaad k lehaza se kam hai Magar Durust raaye yahi hai''

[Faiz Al Baari jild-1 Safa-45]

Imam Bukhari r.al ki Tarah Imam Abu daood ,Imam Muslim,Imam Tirmizi,Imam Nishai,Imam Ibn Maza,Imam Hamide,Imam Ibn Khuzaima ,Imam Ibn Hibban,Imam Abu Awa'an Wagaira hum v Hadees wa Feka me Imam the Aur Unhone kisi v Imam wa Mujtahid ki Taqleed Nahi ki, Un Aima Hadees ne Apne Apne kitab Me Ahadees ko La ker Abwaab Qayam kar k Be-Sumaar Masail k Istenabaat wa-Istekharajaat keya hai, Saah Waliullah Muhaddis r.al k Sawal wa jawabaat k jekar kar karte hue lekha hai :

''Un Aima Muhaddisen k ha Pahle Bujuge k yaha Taqleed Na the Aur wo ye v Dekhte the k Mazhab me se Her Mazhab ki baaz Rewayat wa Asaar Mtanaqas wa Mukhalif hai, Es leye Unhone Apne Mukarrar karda Quwaid wa Jawabat ki Roo se Nabi(s.a.w) ki Ahadees,Asaar Sahaba Aur Tabai wa Mujtahiden ki Pairwe ki.''

[Hujjatul Balagat jild-1 safa-149,Al Insaaf Safa-26]

Malum hua k Muhaddisen kisi v Imam k Muqallid ne the Aur Na unke Andha-Dhund Pairwe karte the Balke jo Qawaid wa Sawabat unhone Rewayat k leye Wajeh keya Wo unke Ahadees wa Asaar Wagira ki pairwe karte the Aur Asal Tareka v yahi hai k kisi Khas Admi ki Taqleed k Bagair Quraan wa Hadees ki pairwe ki jaye Aur Hanfi,Safaii,Malaki Aur Humbale banne ki Bajae Saccha Musalman ban ker Ummat e Musalma ko Tafarka-Bande me Takseem hone se bachaya jaye , 


Sab Nesbat e Tark karke Sahi Islam ki Rah Apnaye jaye Aur Salf-Salehen k Tareka ko lazim pakra jaye, Jo loog Taqleed ko Lazim Qarar dete hai Wo Ummat e Musalma ko Ferka Bandi me Taqseem karne k Tareka hai Aur Feka Bandi k Azaab ko Ummat per Musallat kar rahe hai,Unhe es se Ijtenaab karna karna Chaye Aur Kitab wa Sunnat ki Rah per Khud v Chalna Chayye Aur Dusro ko v Uske Targeeb Dene Chayye.


#ImranKhanSalafi
#IslamicLeaks