Sawal : Kya Aqela Admi Apne Namaz k leye Azaan Aur Iqamat kah Sakta hai? Jawab de kar Mamnu Farmaye.
Jawab :
Ager Namazi Akela Namaz padhe Tou Azaan wa Iqamat kah Sakta hai,Hadees e Nabwi hai k Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya :
''Tumhara Rabb Ayse Charwahe se khus hota hai Jo Paha'ar ki Choti per Apna Rewar Chadata hai Aur Namaz k leye Azaan kahta hai Aur Namaz Ada karta hai Tou Allah Tala kahta hai :
''Mere us Bande ki Taraf Dekho jo mujhse Darte hue Namaz k leye Azaan Aur Iqamat kahta hai,Maine Apne Us Bande ko Maaf kar Deya Aur Maine Use Jannat me Dakhil kar deya''
[Abu Daood,Kitab Salat al safar : Baab Al Azaan fi Al safar Hadees No-1203]
Es Sahi Hadees se Malum hua k Admi Akela Namaz Padhe Tou Azaan Aur Iqamat kah Sakta hai,Ye Uske leye Bakhsis k Zariya Bante hai.
#ImranKhanSalafi
#IslamicLeaks