Saturday, December 20, 2014

BIWI KI BAD'TAMEEZI PAR SHAUHAR KO ITMINAN AUR SABR SE KAAM LENA CHAHIYE:




.Bismillahirrahmanirraheem

BIWI KI BAD'TAMEEZI PAR SHAUHAR KO ITMINAN AUR SABR SE KAAM LENA CHAHIYE:

Biwi Se Hone Wale Bahut Saare Maamlaat Se Raham Dili Aur Safaqqat Ki Wajah Se Sirf Nazar'andaz Kar Dena Chahiye,

Allah Tala Ka Irshad Hai

"Unke Saath Bahut Acche Tareeqe Se Ghuzar Basar Karo"

(Surah Nisa Ayat No. 19)

Hz Anas (Ra) Farmate Hain

"Maine Apne Ahal O Ayaal Ke Saath
Rasoollullah (Sws) Se Zyadah Rahem Karne Wala Kisi Ko Ni Dekha, Aapki Biwiyan Aapki Baaton Ka Jawaab Deti Aur Koi Biwi Din Se Lekar Raat Tak Aapko Chhod Deti"

(Sahih Bukhari Hadith No. 2336, Sahih Muslim Hadith No, 1479)

Biwi Ka Ye Haq Banta Hai Ke Shauhar Use Apni Muhabbat Ka Ehsaas Dilaane Ki Khaatir Uski Baatein Tawajjoh Se Sune Aur Deen Aur Murawwat Ke Daayere Me Rahte hue Uski Izzat Kare,

Aur Jo Uska Rishtey'dar Uske
Ghar Aaye Uske Liye Khaane Aur Peene Ka Bando'bast Karne Me Khushi Aur Raza'mandi Ka Izhaar Kare,

Islam Ne Shauhar Ke Liye Apni Biwi Ko Raazi Rakhne Aur Dil Me Jo Uski Muhabbat Hai, Usse Badhkar Izhaar Karne Me Jhoot Ka Sahara Lene Ki Ijaazat Bhi Di Hai,

Taake Wah Apne Shauhar Ke Saath Khush Aur Raazi Rahe,

Shauhar Ko Chahiye Ke Kabhi Kabhi Gharelu Kaamon Me Uski Madad Kare, Khaas'kar Aise Kaamon Me Jo Mushkil Aur Uske Liye Thaka'wat Ka Zariya Hon,

Nabi E Kareem Sallalaho Alahi Wasallam Kabhi Kabhi Apni Biwiyon Ke Kuch Kaam Kar Dete,

Hz Aisha (Ra) Se Poocha Gaya Ke Nabi E Kareem (Sws) Apne Ghar Me Kya Karte They ??

Toh Unhone Farmaya

"Aap Apne Ghar Me Baaz Pesha'warana Kaam Karte Jaise Ghar Sawaarna, Kapde Rafu Karna, Joota Marammat Karna, Doodh
Duhna"

(Musnad Ahmad 6/256)

#UmairSalafiAlHindi
#RabbatUlBait
#IslamicLeaks