Monday, December 22, 2014

BETI TOH RAHMAT HOTI HAI


BETI TOH RAHMAT HOTI HAI

.Daur E Jihaalat Ke Parwar'dah Ek Shakhs Ne Aap (Sws) Beti Hz Fatima (Ra) Ke Saath Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Muhabbat Ka Aalam Dekha Toh Hairat'zadah Rah Gaya,

Aakhon Se Aansu Nikal Aaye, Sochne Laga Ke

"Aah ! Kis Be'dardi Se Maine Apni Beti Ko Sirf Daur E Jihaalat Ki Aseebat Ki Bina Par Zinda'dargor Kar Diya Tha,"

Aur Fir Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Istefsaar Par Apni Daastaan Bayan Karna Shuru Kar Di,

"Meri Biwi Hamila (Pregnent) Thi, Unhi Dino Main Ek Safar Par Majboor Ho Gaya , Arse Baad Palat Kar Aaya Toh Apne Ghar Me Ek
Bacchi Ko Khelte Dekha,

Biwi Se Poocha, Ye Kaun Hai ??

Toh Biwi Ne Kaha, Ye Tumhari Beti Hai, Aur Fir Kisi Na'malum Khauff Ke Tahat Ilteja'amez Lahze Me Kaha:

"Zara Dekho Toh Kis Qadr Pyari Bachi Hai, Iske Wajood Se Ghar Me Kitni Raunaq Hai, Ye Agar Zinda Rahegi Toh Tumhari Yaadgaar
Bankar Tumhare Khaandaan Aur Qabeele Ka Naam Zinda Rakhegi "

Maine Gardan Jhuka Li, Biwi Ko Koi Jawab Diye Be'ghair Ladki Ko Dekhta Raha,

Ladki Kuch Der Toh Ajnabi Nigaahon Se Mujhe Takti Rahi, Fir Na Jaane Kya Soch Kar Bhaagti Hui Aayi Aur Mere Seene Se Lipat Gayi,

Maine Bhi Jazbaat Ru Me Use Aagosh Me Bhar Liya Aur Pyar Karta Raha,

Kuch Arsa Yunhi Ghuzar Gaya Ladki Aahista Aahista Badi Hoti Rahi Aur Hoshiyar Hui,

Saane Buloogh (Adolecent Age) Ke Qareeb Pahuch Gayi,

Ab Maa Ko Meri Taraf Se Bilkul Itminan Ho Chuka Tha, Mera Rawaiiya Bhi Beti Ke Saath
Muhabbat'amez Tha,

Ek Din Maine Apni Biwi Se Kaha

"Zara Isko Bana Sanwaar Do, Main Qabeele Ki Ek Shadi Me Ise le Jaunga"

Maa Bechari Khush Ho Gayi Aur Jaldi Se Saja Sanwaar Kar Taiyyar Kar Diya,

Maine Ladki Ka Haath Pakda Aur Ghar Se Rawaana Ho Gaya, Ek Ghair'abaad Bayabaan Me Pahunch Kar Pahle Se Taiyyar'shuda Ek Ghadhe Ke Qareeb Main Khada Ho Gaya,

Ladki Jo Badi Khushi Ke Saath Uchhalti Kood'ti Chali Aa Rahi Thi Mere Qareeb Aakar Ruk Gayi,Aur Badi Masoomiyat Se Sawaal Kiya

"Baba Ye Ghadha Kis Liye Hai ??"

Maine Sapaat Lehze Me Usse Kaha

"Apne Khaandani Rasm O Riwaaj Ke Mutaabik Main Tumko Usme Dafan Kar Dena Chaahta Hoon Taaki Tumhari Paidaish Se Hamare Khaandaan Aur Qabeele Ko Jo Zillat Wa Ruswaayi Hui Hai Usse Nijaat Mil Jaaye"

Ladki Ko Soorat E Haal Ka Andaaza Hua Toh Uske Chehre Ka Rang Udh Gaya Aur Qabl Uske Uski Taraf Se Kisi Radd E Amal Ka Izhaar Ho,
Maine Usko Ghadhe Me Dhakel
Diya,

Ladki Der Tak Roti Aur Gidgidaati Rahi Lekin Mujhpar Uske Rone Aur Faryaad Karne Ka Koi Asar Na Hua, Maine Ghadhe Ko Mitti Se Daba Diya,

Agarche Aakhir Waqt Tak Wah Haath Uthaaye Mujhse Zindagi Ki Ilteja Kar Rahi Thi,

Lekin Afsos ! Maine Apne Dil Ke Tukde Ko Zinda Dar'gor Kar Diya,

Lekin Uski Aakhiri Ilteja Aaj Bhi Mere Kaanon Me Laawa Tapkaati Rahti Hai

"Baba Tumne Mujhko Dafan Toh Kar Diya Lekin Meri Maa Ko Haqeeqat Na Bataana,

Kah Dena Ke Maine Apni Beti Ko Qabeele Waalon Me Chhod Aaya hoon"

Apne Arab Sahabi Se Ek Beti Ke Zinda'dargor Kar Diye Jaane Ki Daastaan Suni Toh Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Aankhon Se Aansuon Ka Sailaab Jaari Ho Gaya,

Us Waqt Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Aagosh Me Hz Fatima Zahra (RA) Baithi Hui Thi, Unki Aankhon Me Bhi Nami
Nazar Aayi,

Nabi E Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Beti Ko Seene Se Laga Liya Aur Nabi E Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Honton Par Ye Jumle Jaari Ho Gaye

"Beti Toh Rahmat Hai"

Aur Fir Aasmaan Ki Taraf Dekte Hue Farmya

"Main Fatima Ko Dekh'kar Apne Mashaam Jaan Ko Bahist Ki Khushboo Se Mu'atir Karta Hoon.

Ya Allah ! Main Tujhse Maut Ke Waqt Aaraam Wa Raahat Aur Qayamat Ke Hisaab Wa Kitab
Ke Waqt Affuw Maghfirat Ka Taalib Hoon"

(Sunehre Auraq)

#UmairSalafiAlHindi
#RabbatUlBait