Thursday, May 29, 2014

NAUJAWAAN TABQE ME ZINA'KAARI (MOLESTATION) KI BIMAARI AUR USKA ILAAJ (PART-6)





.Bismillahirrahmanirraheem

NAUJAWAAN TABQE ME ZINA'KAARI (MOLESTATION) KI BIMAARI AUR USKA ILAAJ (PART-6)


Is Waqt Hamare Mulk Me Be'hayaayi Bade Zoron Par Hai,

Gande Novel, Gande Gaane, Nangi Tasweerein , Be'parda Aur Be'haya Ladkiyan, Badkaar Dost Aur T.V Etc Ke Aam (Common) Ho Jaane Se Zina'kari (Molestation) Ke Mauqe Bahut Bad Gaye Hain,

Ab Ya Mushkil Aur Bura Kaam Nahin Samjha Jaata, Balke Ladke Aur Ladkiya Ek Dusre Ki Talaash Me Rahte Hain Aur Jahan Mauqa Mila Shaitaan Ke Aage Sar Jhuka Dete Hain,

Apni Izzat Wa Ghairat Ki Lutiya Dubo Dete Hain, Maa Baap Ke liye Zillat Ka Sabab Ban Jaate Hain, Aur Jo Ladka Ya Ladki Ek Baar Is Jaal Me Fans Jaata Hai Uska Chhutkaara Mushkil Se Hota Hai,

Kyonki Jagah Ya Mauqa Talaash Karne Me Unhe Koi Khaas Dikkat Mahsoos Nahin Hoti

ROOHAANI ILAAJ:

zina'kaari Ruhaani Aur Akhlaaqi Bimaari Hai Aur Gunaah E Kabeera Hai,

Iska Roohaani Ilaaj Yah Hai Ki Ladkiyon Ki Taraf Na Dekha Jaaye, Kyonki Agar Unhe Dekha Jaayega Toh Shaitaan Unse Raabta (Contact) Qayem Karne Ki Targheeb Aur Daawat Dega Aur Dono Ko Bahla Fusla Kar Apni Taraf Le Aayega,

Quraan Majeed Me Allah Paak Ne Huqm Diya Hai Ki

"Ghair Mard, Ghair Auraton Ko Aur Ghair Aurtein, Ghair Mardon Ko Na Dekhen, Balke Nigaah Neeche Kar Lein, Ek Dusre Se Mel Jol Na Rakhen"

Hamne Jin Buraaiyyon Se Bachne Ke Liye Ehtelaam (Wet Dream) Aur Ziryaan (Spermatorrhea) Ke Post Me Likha Hai, Unse Bachte Rahen,

Gande Dost, Ishqiya Novel, Gaane Aur Nangi Tasweerein, Ladkiom Ka Peecha Karna , Sab Cheezein Aakhir'kaar Zina'kaari Tak Pahuncha Deti Hain..

MEDICAL ILAAJ:

1- anda (Egg), Macchhli (Fish), Gost (Meat), Tea, Aur Garm Wa Muraghghan Ghizaon Se Mumkin Hadj Tak Parhezz Kiya Jaaye, Taaki Shahwat Na Bhadke

2- Un Jagahon, Mauqon Aur Haalaton Se Door Raha Jaaye Jahan Ladkion Se Aazadana Mel Jol Ho Sake

3- Agar Koi Ladki Aisi Harqat Kare Jisse Zina Ki Daawat Ka Andaaza Paaya Jaaye Toh Usse Fauran Bacha Kaaye Aur Uska Khyaal Wa Dimaagh Se Is Tarah Nikaal Diya Jaaye Ki Dobaara Usme Dil'chaspi Lene Ki Khwaahish Paida Na Ho,

4- Yaad Rakhiye Agar Zina Ki Baatein Ki Jaayen Ya Suni Jaayen Ya Usme Dil'chaspi Li Jaaye Ya zahni Taur Par Unka Chat'kaara Liya Jaaye Fir Zina'kaari Se Bachna Mushkil Hai,

Lihaaza In Baaton Ko Kaano Ki Raah Se Dil Me Na Utarne Den Aur Na Dimaagh Me Inke Liye Jagah Paida Hone Den,

5- Agar Fir Bhi Shahwat Tang Karen Ya Fahash Khyaalaat Dil Wa Dimaagh Par Ghalba Haasil Karen, Ya Be'chaini Ya Be'qaraari Mahsoos Ho Aur Gunaah Karne Ka Iraada Hi Ho Jaaye Toh Aap Fauran

"Slix Niqra Q Mother Tinxture" Ki 30 Drops 1/4 Glass Pani Me Daalkar Pee Jaayen,

15-20 Min Me Sukoon Ho Jaayega, Agar Fir Bhi Shahwat Ka Zor Ho Toh Dobara 30 Drops 1/4 Glass Paani Me Daalkar Pee Jaayen,

In sha allah Yah Khwaahish Dab Jaayegi Aur Tabi'at ka Jinsi (Sexual) Hezaan Jaata Rahega

GHUSL

Agar Khuda Na Khwaasta Zina Kar Liya Hai Toh Fauran Tauba ki Jaaye Aur Ghusl Waajib Ho Jaane Ki Wajah Se Pahle Fursat Me Dono Ghusl Karen,

Aaindah (Future) Ke Liye Allah Se Tauba Karke Maafi Maangen Aur isse Chhutkaara Haasil Karne Ke Liye Allah Paak Se Madad Ki Dua Karke Ahad Karen Ki Kisi Qeemat Par Zina Nahin Karenge......

Note: Bataayi Gayi Dawa Homeopathic Hai,

In Sha allah Agle part Me Aasaabi Kamzor Ke Baare Me Hoga....

Tuesday, May 27, 2014

MARDON ME LAVATAT (GAYISM) KI BIMAARI AUR USKA ILAAJ AUR (FOR BOYS)- (PART-5)





Bismillahirrahmanirraheem

MARDON ME LAVATAT (GAYISM) KI BIMAARI AUR USKA ILAAJ AUR (FOR BOYS)- (PART-5)


Kisi Ladke Ke Jism Se Lazzat Hasil Karna Yani Usse Badkaari Karna Lavatat Hai, Ise Ighlaam Bhi Kahte Hain,

Yah Gunaah E Kabeera Hai (Bada Gunaah),

Aksar Aapne Kitaabon Me Padha Hoga Ki Qur'aan Majeed Me Qaum E Loot Ka Zikr Aaya Hai, Jo Pelestine Ke Us Ilaaqe Me Raha Karti Thi Jahan Ab Baher E Marwaar Hai,

Is Qaum Ne Duniya Me Sabse Pahle Ladko Se Badkari (Same Gender Sex) Kiya Aur Iska Chalan Badh Gaya,

Allah Taala Ne Hz Loot (As) Ke Zariye Unhe Is Bure Kaam Se Mana Kiya Magar We Bad'bakht Log Baaz Na Aaye,

Nateeja Yah Hua Ki Allah Pak Ne Us Qaum Ko Tabaah Kar Diya Aur Unke Shaher Zameen Ke Andar Dansha Diye, Baher E Marwaar In Sheharon Ki yaadgaar Hai,

Ladkon Ke Saath Zina (Anal Sex) Karne Wala Qatal (Maut) Ki Saza Paata Hai Aur Yah Bada Gunaah Bhi Hai,

Yaas Rakhiye Apne Biwi Se Bhi Is Tarah Ka Anal Sex Karna Haram Hai,

Jis Qaum Me Yah Buraayi Fail Jati Hai,Allah Taala Use Halaaq Kar Deta Hai,

Lavatat Karne Waale In Tarah Ki Bimaarion Me Fas Jaate Hain

LAVATAT SE PAIDA HONE WAALI BIMAARIYAN:

1- Aazu (Penis) Ki Ragen (Veins) Kharaab Ho Jaati Hain

2- Ziryaan (Spermatorrhea), Ehtelaam (Wet Dream), Jald Injaal Ke Baad Na'mard Ho Jaata Hai,

2- Jo Aadmi Zyadati Se Lavatat Karta Hai, Wah Aadmi Agar Na'mard Ho Jaaye Toh Na'mumkin Hai

3- Updansh, Sujaaq Jaise Marz Ho Sakte Hain

4- Apni Biwi Ke Kaam Ka Nahin Rahta, Isliye Zaleel Wa Khwaar Hota Hai

5- Lavatat Karne Waala Tarah Tarah Ki Bimaarion Me Mubtela Ho Jaata Hai

ILAAJ:

Yah Ek Buri Aadat Hai, Jise Quwwat E Iraadi (Willpower) Se Khatam Kiya Ja Sakta Hai,

Iske Liye Koi Dawa Nahin Hai,

Khoobsoorat Ladkon Se Mel Milaap Band Kar diya Jaaye,

Is Tarah Ki Baatein Sunne Se Bacha Jaaye,

Tauba Wa Istaghfaar Karke Neki Ki Raah Akhtiyaar Ki Jaaye,

Bure Kaamon Se Bachne Ka Ahad Karen,

Agar Kabhi Sahwat Ya Jinsi Khwaahish Zyada Pareshaan Kare Toh

"Slix Nigra Q Mother Tinxture" Ki 30 Drops 1/4 Glass Pani Me Milaakar Pi Li Jaaye Isse Sukoon Milega Aur Khawaahish Kamzor Pad Jaayegi,

Agar Yah Dawa Waqt Waqt Par Josh Aur Khwaahish Ke Waqt Pee Li Jaaye Toh Khwaahish Jaati Rahegi,

Zyadatar Apne Aapko Padhne Ya Kisi Aur Dusre Kaam Me Masroof (Busy) Rakha Jaaye Aur Lavatat Karne Waale Ya Karaane Waale Ladkon Se Door Raha Jaaye

Kasrat Se " Ya Ayyuhal Qayyoom" Padha Jaaye,

Allah Taala Se Is Buraayi Se Bachne Ke Liye Madad Maangi Jaaye Aur Mazboot Iraada Karke Is Khabees Aadat Ko Hamesha Ke Liye Chhod Diya Jaaye, Warna Deen Aur Duniya Dono Ki Tabaahi Hai

GHUSL

Is GUnaah E Kabeera Kar Ghuzarne Ke Baad Ghusl Waajib Ho Jaata Hai,

Isliye Pichle Post Me Bataaye Gaye Tareeqon Ke Mutaabik Dono Ke Liye Ghusl Karna Zaroori Hai,

Warna Paleed Rahne Ki Wajah Se Namaz ; Quran Wa Zikr , Sab Mana Hai Aur Nahoost Wa Laanat Saara Din Peecha Na Chhodegi,

Agar Khuda'nakhwaasta Yah Gunaah Kar Liya Gaya Ho Toh Fauran Sacche Dil Se Tauba Ki Jaaye Aur Aainda Na Karne Ka Saccha Aur Pakka Ahad Kiya Jaaye...

Note: Batayi Ki Dawa Homeopathic Hai...

In sha Allah Agla Post Zina'kaari (Molestation) Ke Taalluq Se Hoga

Monday, May 26, 2014

MUSHT'ZANI (MASTURBATION) KI WAJAH SE AAZU (PRIVATE PART)ME AAYI KHARAABIYAN AUR UNKA ILAAJ AUR (FOR BOYS)- (PART-4)







Bismillahirrahmanirraheem

MUSHT'ZANI (MASTURBATION) KI WAJAH SE AAZU (PRIVATE PART)ME AAYI KHARAABIYAN AUR UNKA ILAAJ AUR (FOR BOYS)- (PART-4)


Musht'zani Ki Wajah Se Aazu Tedha Ho Jaata Hai, Beech Se Patla Ho Jaata Hai, Sakhti Kam Ho Jaati Hai, Is Haalat Me Jab Biwi Se Jima (Husmbistari) Kiya Jaayega Toh Naadh'waari Zaahir Karegi, Isliye Musht'zani Se Parhezz Laazimi Hai, Lekin Agar Aisa Ho Chuka Hai Toh Ye Dawa Istemaal Karen

1- Arnica Q Mother Tinxture 10ml

2- Lycopodium Q Mother Tinxture 10ml

3- Olive Oil 30ml

In Teeno Ko Aapas Me Milaakar Khoob Hilaayen Aur Phir Isse Aazu Ki Maalish Kiya Karen, Din Me Sirf Ek Baar,

Agar Tedha'pan Zyada Ho Toh 2 Baar Maalish Karen, Lekin Haath Se,

Peshaab Ke Suraakh Ke Aas Paas Jagah Chhodh Den, Agar Josh Aaye Toh Maalish Band Karke Kisi Kaam Me Masroof Ho Jaayen,

Kyonki Maalish Karte Hue Musht'zani Bahut Nuksaan Deh Hai....

Note: Uper Bataayi Gayi Dawaayen Homeopathic Hai,

2- Musht'zani Ki Khatarnaakiyaon Ke Liye Part-3 Ko Padhen.....

3- In sha allah Agle Post LAVATAT (GAYISM) Ke Baare Me Hoga

Saturday, May 24, 2014

MASNOON NAMAZ

Alhamdulillhi rabbil aalameen,was salaatu was salaamu ala ashrafil ambiyaaee wal mursaleen, ammaa baad:

Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..

Bismillahirrahm
anirraheem ..

**Sabse pahle Azan k Bayan me Hanfi mazhab se **


''Azan Farsi wagaira Her Juban me jaiz hai,Ager loog ye Samjh le k Azan hue hai''


[Dure Mukhtar jild-1,safa-225
,Hidaya jild-1,safa-349]

**Namaz ki kaifeyat Ahnaaf hazrat k Mulaiza ho**


1-Namaz me roze ki Neyat kare tou Durust hai.

[Durr e Mukhtar jild-1,Safa-205
]

2-Ek pair ki jagah v paak ho tou Dusre paao ko uthae rakhe tou kaafi hai.

[Bahesti Zewar ,safa-34]

3-Suru karna Namaz k Sewai Arbi k Durust hai,Ager che Arbi Janta ho.

[Durr-e-Mukhtar
,jild-1,Safa-210,224, Fatwa Aalm Giri jild-1,safa-93]

4-Bajai ''Allah hu Akber'' k ''Allah Al akber '' ya ''Allah kaber'' ya ''Allah al kaber'' ya ''Allah Akba'ar'' ya ''Allah la kaber'' kahna jaiz hai.

[(Abu Yusuf r.al) durr e Mukhtar jild-1,safa-224
,Hidaya jild-1,safa-345,Qadwari safa-22, ]

4-Bajae ''Allah hu Akber'' k ''Alhamdullilah
'' ya ''Tabarak Allah'' ya ''Allah azal'' ya ''Allah Azim '' ya ''Arahman Akber '' kahe tou jaiz hai.
[Fatwa Alam giri jild-1,safa-96,
Hidaya jild-1,safa-344,saareh Waqiya safa-96,Qadrawi safa-22]

5-Bajae ''Allah hu Akber'' k ''SubhanAllah''
ya ''Lailahaillah'' kahe tou Namaz jaiz hai.
[Fatwa Alam giri jild-1,safa-96,
Hidaya jild-1,safa-344,Sareh waqiya safa-96,Kazar safa-34,Munya safa-74]

6-Allah hu Akber ko farsi me padhe tou jaiz hai.

[Fatwa Alam giri jild-1,safa-93,
Hidaya jild-1,safa-345,Manya safa-74]

7-Namaz k sab Arkan Aur Khutba aur Sana wagaira her Zuban me Durust hai. [ (Abu hanifa r.al) Durr e Mukhtar jild-1,safa-224
,225,sareh waqiya safa-96,Hidaya jild-1,safa-349]

8-Farsi Juban Faiq hai (goya Arbi janta ho).

[Durr e Mukhtar jild-1 safa-224]

9-Sab arka'an sewai Quraan k bawajud Arbi janne k gair juban me jaiz hai. [ (Abu Hanifa r.al) Durr e Mukhtar jild-1,safa-225
]

10-Salam ya jawab Salam Aur Takber Waqt jabah k Aur Quraan gair juban me jaiz hai. [Durr e Mukhtar jild-1,safa-224
,fatwa Alam giri jild-1,safa-94, Hidaya jild-1,safa-347,Sareh waqia safa-96,Kazul alqaid safa-35]

11-Namaz me Subahnakaqa padte waqt hanth latkaye rakye jab khatam kar chuke tou hanth bandh le.


[Durr e Muktar , jild-1,safa-226
]

12-Aurte Seene per hanth bandhe.


[Durr e Mukhtar ,jild-1,safa-22
6,Fatwa Alam giri jild-1,Safa-99,Hidaya jild-1,safa-351, sareh waqia jilld-1,safa-93,Kanzar safa-35,]

13-Imam Quraan padhe tou muqtadee ''SubhanakaAlla
h humma'' pad le.

[Fatwa Alam giri jild-1,Safa-123
,Manyatul musli-safa-83 ]

Note : Ab Sureh Aaraf,para 9, ayat 204,Tarjuma,''a
ur jab quran padha jaaye to uski taraf kaan lagaaye raho,aur chup raho,taa ki tum par raham kiya jaaye'' k hukm kaha gaya .

14-Muqtade Serri Namaz me Sureh Fatiya Imam k piche padhe tou ye Zaif hai (Imam Mohammad r.al).


[Durr e Mukhtar jild-1,safa-252
]

15-Muqtadi k Quraan fatiya padna Mager wo Tahreme hai mager namaz sahi hoge (Abu hanifa r.al,Imam yusuf r.al).


[Durr e Mukhtar jild-1,safa-252
,Fatwa Alam giri jild-1,safa-150]

**ye the 15 Masle Farz Namaz jo rojana Ada keye jate hai ab dusre Namazo k haal dekhe Ahnaaf ki kitabo me...


16-Namaz e Janaja me Sureh Fatiya k baad Sana padhe jaye tou jaiz hai.


[Durr e Mukhtar jild-1,safa-87 wa 114]


17-Baaz Ulma ne kaha k Ager may Muqtadi hu Aur Fatiya na padhu tou Imam Safaii r.al mujper Aita'ab kare Aur padhu tou Abu Hanifa r.al gussa ho,Esleye maine Imamat ko ekhteyar keya.


[Durr e Mukhtar jild-1,safa-256
]

18-Ager Pichle 2 rekato me Alhamdullilah wa tasbeh chor de tou jurm nahi.


[Fatwa Alam giri jild-1,safa-102
]

19-Fatiya k bajae koi hissa Quraan se padle tou Farz ada ho jayega.


[Hidaya jild-1,safa-425
]

20-Namazi sirri wa Zahiri me Muqtadi kuch Qirrat Na padhe.


[Hidaya jild-1,safa-428
]

21-Imam k piche Alhamdullilah padne wale k moo me Aag k Angare or pattar hai.


[Hidaya jild-1,safa-438
]

22-pichle 2 rekato me bajaye Alhamdullilah k 3 dafa subhanAllah kahe tou durust hai.


[Bihistijewar hissa-2,safa-39
]

23-Pichle 2 rekat me kuch Na padhe tou durust hai.


[Bihtezewar hissa-2,safa-39
]

24-Ager Musafer kaser kare tou Muqtade puri karle mager Muqtade rekat me Alhamdullilah na Padhe.


[kanzul aqaid safa-59]


25-Ameen bil zaher Makruh hai.


[Munyatul musli safa-106]


26-Rafadaain kabl al ruku wa baad al ruku Makruh hai.


[Munyatul musli safa-88]


27-Sajda serf Naak ya serf Pesaani per karna jaiz hai.


[(Abu hanifa r.al) Hidaya jild-1,safa -375]


28-Aurat sadja me pait ko apne 2no jaano se mela hua rakhe.


[Durr e Mukhtar jild-1,safa-234
,Fatwa Alam giri,jild-1,safa-61,101,Hidaya jild-1,safa-381,sarr­eh waqiyat jild-1,safa-100,kanzer safa-36,Munyatal musli safa-85]

29-Attaheyat sewae Arbi k har Zuban me jaiz hai.


[ (Imam abu Hanifa r.al) Hidaya jild-1,safa-349
]

30-Aurat Attaheyat k Waqt apne 2no paao ko dahene taraf Neqal ker apne back (bump) per baithe.


[Fatwa Alam giri jild-1,safa-102
,Hidaya jild-1,safa-391,sareh waqiyat jild-1,safa-106,kanzer safa-37, musli safa-86,behestijewar hissa-2,safa-35]

31-Darood padna humare Nazdeq Farz nahi hai.


[Hidaya jild-1,safa-398
,sareh waqiyat jild-1,safa-102]

32-Salam k waqt kasdan hajat kare (paad mare) tou Namaz fased nahi hoge, salam ferne ki jarurat Nahi.


[Durr e Mukhtar jild-1,safa-245
,Hidaya jild-1,safa405,480, sareh waqiaya safa-115,kanzer safa-44,Qadrawi safa-28,Munyatul musli safa-81]

33-Imaam ne Baad Tashaud k Bate ki ya Masjid se Nekal gaya tou Namaz jaiz hai.


[sareh waqiya safa-112]


34-Muqtade Tashud pad k Imam se bool para tou Namaz durust hoge.


[Durr e Mukhtar jild-1,safa-245
]

35-Salam k Waqt Amadan kah-kaha ker tou Namaz Nahi tute. (yaani khil khila ker hasse tou Namaz batil nahi hote ,Namaz k halat me)


[Hidaya jild-1,safa-53
]

Friday, May 23, 2014

NAMAAZ KA GHALAT TAREEQA

Alhamdulillhi rabbil aalameen,was salaatu was salaamu ala ashrafil ambiyaaee wal mursaleen, ammaa baad:

Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..


Bismillahirrahm
anirraheem ..

**Sabse pahle Azan k Bayan me Hanfi mazhab se **


''Azan Farsi wagaira Her Juban me jaiz hai,Ager loog ye Samjh le k Azan hue hai''


[Dure Mukhtar jild-1,safa-225
,Hidaya jild-1,safa-349]

**Namaz ki kaifeyat Ahnaaf hazrat k Mulaiza ho**


1-Namaz me roze ki Neyat kare tou Durust hai.

[Durr e Mukhtar jild-1,Safa-205
]

2-Ek pair ki jagah v paak ho tou Dusre paao ko uthae rakhe tou kaafi hai.

[Bahesti Zewar ,safa-34]

3-Suru karna Namaz k Sewai Arbi k Durust hai,Ager che Arbi Janta ho.

[Durr-e-Mukhtar
,jild-1,Safa-210,224, Fatwa Aalm Giri jild-1,safa-93]

4-Bajai ''Allah hu Akber'' k ''Allah Al akber '' ya ''Allah kaber'' ya ''Allah al kaber'' ya ''Allah Akba'ar'' ya ''Allah la kaber'' kahna jaiz hai.

[(Abu Yusuf r.al) durr e Mukhtar jild-1,safa-224
,Hidaya jild-1,safa-345,Qadwari safa-22, ]

4-Bajae ''Allah hu Akber'' k ''Alhamdullilah
'' ya ''Tabarak Allah'' ya ''Allah azal'' ya ''Allah Azim '' ya ''Arahman Akber '' kahe tou jaiz hai.
[Fatwa Alam giri jild-1,safa-96,
Hidaya jild-1,safa-344,saareh Waqiya safa-96,Qadrawi safa-22]

5-Bajae ''Allah hu Akber'' k ''SubhanAllah''
ya ''Lailahaillah'' kahe tou Namaz jaiz hai.
[Fatwa Alam giri jild-1,safa-96,
Hidaya jild-1,safa-344,Sareh waqiya safa-96,Kazar safa-34,Munya safa-74]

6-Allah hu Akber ko farsi me padhe tou jaiz hai.

[Fatwa Alam giri jild-1,safa-93,
Hidaya jild-1,safa-345,Manya safa-74]

7-Namaz k sab Arkan Aur Khutba aur Sana wagaira her Zuban me Durust hai. [ (Abu hanifa r.al) Durr e Mukhtar jild-1,safa-224
,225,sareh waqiya safa-96,Hidaya jild-1,safa-349]

8-Farsi Juban Faiq hai (goya Arbi janta ho).

[Durr e Mukhtar jild-1 safa-224]

9-Sab arka'an sewai Quraan k bawajud Arbi janne k gair juban me jaiz hai. [ (Abu Hanifa r.al) Durr e Mukhtar jild-1,safa-225
]

10-Salam ya jawab Salam Aur Takber Waqt jabah k Aur Quraan gair juban me jaiz hai. [Durr e Mukhtar jild-1,safa-224
,fatwa Alam giri jild-1,safa-94, Hidaya jild-1,safa-347,Sareh waqia safa-96,Kazul alqaid safa-35]

11-Namaz me Subahnakaqa padte waqt hanth latkaye rakye jab khatam kar chuke tou hanth bandh le.


[Durr e Muktar , jild-1,safa-226
]

12-Aurte Seene per hanth bandhe.


[Durr e Mukhtar ,jild-1,safa-22
6,Fatwa Alam giri jild-1,Safa-99,Hidaya jild-1,safa-351, sareh waqia jilld-1,safa-93,Kanzar safa-35,]

13-Imam Quraan padhe tou muqtadee ''SubhanakaAlla
h humma'' pad le.

[Fatwa Alam giri jild-1,Safa-123
,Manyatul musli-safa-83 ]

Note : Ab Sureh Aaraf,para 9, ayat 204,Tarjuma,''a
ur jab quran padha jaaye to uski taraf kaan lagaaye raho,aur chup raho,taa ki tum par raham kiya jaaye'' k hukm kaha gaya .

14-Muqtade Serri Namaz me Sureh Fatiya Imam k piche padhe tou ye Zaif hai (Imam Mohammad r.al).


[Durr e Mukhtar jild-1,safa-252
]

15-Muqtadi k Quraan fatiya padna Mager wo Tahreme hai mager namaz sahi hoge (Abu hanifa r.al,Imam yusuf r.al).


[Durr e Mukhtar jild-1,safa-252
,Fatwa Alam giri jild-1,safa-150]

**ye the 15 Masle Farz Namaz jo rojana Ada keye jate hai ab dusre Namazo k haal dekhe Ahnaaf ki kitabo me...


16-Namaz e Janaja me Sureh Fatiya k baad Sana padhe jaye tou jaiz hai.


[Durr e Mukhtar jild-1,safa-87 wa 114]


17-Baaz Ulma ne kaha k Ager may Muqtadi hu Aur Fatiya na padhu tou Imam Safaii r.al mujper Aita'ab kare Aur padhu tou Abu Hanifa r.al gussa ho,Esleye maine Imamat ko ekhteyar keya.


[Durr e Mukhtar jild-1,safa-256
]

18-Ager Pichle 2 rekato me Alhamdullilah wa tasbeh chor de tou jurm nahi.


[Fatwa Alam giri jild-1,safa-102
]

19-Fatiya k bajae koi hissa Quraan se padle tou Farz ada ho jayega.


[Hidaya jild-1,safa-425
]

20-Namazi sirri wa Zahiri me Muqtadi kuch Qirrat Na padhe.


[Hidaya jild-1,safa-428
]

21-Imam k piche Alhamdullilah padne wale k moo me Aag k Angare or pattar hai.


[Hidaya jild-1,safa-438
]

22-pichle 2 rekato me bajaye Alhamdullilah k 3 dafa subhanAllah kahe tou durust hai.


[Bihistijewar hissa-2,safa-39
]

23-Pichle 2 rekat me kuch Na padhe tou durust hai.


[Bihtezewar hissa-2,safa-39
]

24-Ager Musafer kaser kare tou Muqtade puri karle mager Muqtade rekat me Alhamdullilah na Padhe.


[kanzul aqaid safa-59]


25-Ameen bil zaher Makruh hai.


[Munyatul musli safa-106]


26-Rafadaain kabl al ruku wa baad al ruku Makruh hai.


[Munyatul musli safa-88]


27-Sajda serf Naak ya serf Pesaani per karna jaiz hai.


[(Abu hanifa r.al) Hidaya jild-1,safa -375]


28-Aurat sadja me pait ko apne 2no jaano se mela hua rakhe.


[Durr e Mukhtar jild-1,safa-234
,Fatwa Alam giri,jild-1,safa-61,101,Hidaya jild-1,safa-381,sarr­eh waqiyat jild-1,safa-100,kanzer safa-36,Munyatal musli safa-85]

29-Attaheyat sewae Arbi k har Zuban me jaiz hai.


[ (Imam abu Hanifa r.al) Hidaya jild-1,safa-349
]

30-Aurat Attaheyat k Waqt apne 2no paao ko dahene taraf Neqal ker apne back (bump) per baithe.


[Fatwa Alam giri jild-1,safa-102
,Hidaya jild-1,safa-391,sareh waqiyat jild-1,safa-106,kanzer safa-37, musli safa-86,behestijewar hissa-2,safa-35]

31-Darood padna humare Nazdeq Farz nahi hai.


[Hidaya jild-1,safa-398
,sareh waqiyat jild-1,safa-102]

32-Salam k waqt kasdan hajat kare (paad mare) tou Namaz fased nahi hoge, salam ferne ki jarurat Nahi.


[Durr e Mukhtar jild-1,safa-245
,Hidaya jild-1,safa405,480, sareh waqiaya safa-115,kanzer safa-44,Qadrawi safa-28,Munyatul musli safa-81]

33-Imaam ne Baad Tashaud k Bate ki ya Masjid se Nekal gaya tou Namaz jaiz hai.


[sareh waqiya safa-112]


34-Muqtade Tashud pad k Imam se bool para tou Namaz durust hoge.


[Durr e Mukhtar jild-1,safa-245
]

35-Salam k Waqt Amadan kah-kaha ker tou Namaz Nahi tute. (yaani khil khila ker hasse tou Namaz batil nahi hote ,Namaz k halat me)


 

          Via- imran khan salafi

 [Hidaya jild-1,safa-53 ]

Thursday, May 22, 2014

NAMAAZ KE SAATH KHILWAAD

Alhamdulillhi rabbil aalameen,was salaatu was salaamu ala ashrafil ambiyaaee wal mursaleen, ammaa baad:

Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..


Bismillahirrahm
anirraheem ..

Aaj ki es post k jo bayan hai wo behad ibrat naak or soch o fekar karne wale baat hai..


**Kitab Hayatul Haiwan Matbua jild-2 safa-214 me hai :


''Badsah Saltalanat Mahmood Imam Abu Hanifa r.al k Mazhab per tha Aur Elm Hadees ki hirsh (sok) rakhta tha , Aur Mashekh se Hadees Sunta Aur Istefsar keya karta tha bas Akser Hadees ko usne Safaii Mazhab k Muafiq paya bas usne Feka (Ulma) ko jama keya Aur unse ek Mazhab k Dusre Mazhab per Tarzeh k Mutalba keya , tou us baat per sab k Ittefaq hua k 2no Mazhab k Muafiq 2-2 Rekat Namaz padne chaye , Bas us Namaz me Nazar wa Fekar karne se ji Mazhab Accha malum ho us ko Ekhteyar karna chaye , bas Kafal Marwazi r.al ne Namaz padne suru ki , tou waju ko puri sarto se Ada keya Aur lebash aur Esteqbal Kabil v bakhubi keya Aur Namaz k Arkaan Aur Ahesta Aur Farz Aur Sunnat Aur Ada'ab ko bojh kama'al Ada keya Aur ayse Namaz padhe jisse kami k Izhar karna Imam Safaii r.al k Nazdek Durust Nahi , Fer Aur 2 rekat us tareqe se Ada keya k jo Imam Abu Hanifa r.al k Nazdek jaiz ho , bas kutte ki kaal dabagat de hue ko pahan leya Aur usko 1/4 Nijasat se Alud (barabar ) keya , Aur nabiz Khazur se Waju keya , Chuke garmi k Mousam tha es leye Makkhiya Aur Macchar usper jama ho gaye , Aur be-Neyat k Waju keya Aur Waju v Ulta keya , (yaani pahle baya pair dhoya,fer daya pair dhoya,fer baya hanth dhoya,fer daya hanth dhoya,fer 1/4 sir k ulta masa keya,fer Ulta Moo dhoya,fer 3 baar Naak me paani deya,fer 3 baar kulli ke , fer hanth dhoae) fer Namaz me Dhakhel hue tou Bajai Takber k Farsi juban me kaha (Khuda e Barzak Ast) fer Quraan ki bazai ''Madha Mata'an'' k Farsi me kaha ''do barkh sabz'' fer bazai Sujud k Murgae ki tarah Bagair fark wa Bela itmenan k 2 toge mar leye aur Tashud pada, fer Bajai Salam k goonz maar deya Aur Namaz se Bagair Salam k Nekla Aur kaha aye Badsah ye Namaz Imam Abu Hanifa r.al ki hai , Badsah ne kaha Ager es Tarah ki Namaz Imam Abu Hanifa r.al ki na hue tou May tumhe Qatal kar daluga es leye k Ayse Namaz tou Koi Sahab e deen Jaiz na rakhe ga , bas Hanfio ne Imam Abu Hanifa r.al ki es Tarah Namaz hone se Inkaar kar deya (jaise Ab vi karte hai) tou Kafal Marwazi r.al ne Hanfi Mazhab ki kitabe Talab keya , Badsah ne mangwa deye Aur ek Nasrani Alim ko Bulaya Aur usko Safaii Aur Hanfi Mazhab ki kitabe padne k Hukm deya Abu Hanifa k Mazhab ki Namaz waise he paai gaye jaisa k Kafal Marwazi r.al ne pad ker dekhaye the, tou badsah ne Imam Abu Hanifa r.al k Mazhab ko chor deya Aur Imam Safaii r.al k Mazhab ko ekhteyar kar leya.''


[Note: Aye mere Aziz Ahnaaf Ager Aap v Kafal Marwazi r.al ki Namaz k Mutaliq tasalle karna chate hai tou Masail ba hawala Mandreja jeel Number 167,168,63,54,5
5,290,294,322 ba gour mulaiza farmaye baad eske k chayye tou ye k Mesaal Sultan Mahmood k us Mazhab ko khair-baad kahe warna kam-az-kam eske khud se Tasdeeq kar de]

2-Note : yaha kisi ko kisi k Muqallid ya kisi ki pairwi nahi kahne ko kaha ja raha hai asal maksad serf baat samjhne k hai.. Hume kis tarah apne deen o dunya 2no jaha me Mohammad sallahu Alaihe wasallam k tareka ko apne jendage me nafiz karna hai yaani unhe k tareqe me 2no jaha me Qamyabi hai.. Goya wo kisi v maslak se mele hanfi,safaii,ma
laki,humbali ferke se Asal maksad Mohammadia deen ko ekhteyar karna hai na k kisi ferka parasat deen ko jaisa k aaj loog khud ko Hanfi,Safaii,Malaki,Humbali bolte hai..

Allah paak se dua hai k wo hume kahne sunne se jayada Quraan o hadees per chalna asaan farmaye.. Aameen


VIA-Imran khan salafi  ...

Wednesday, May 21, 2014

IMAM ABU HANIFA RAHMATULLAH ALAIH KE SHARGIRDON PAR ZIRRAH

Alhamdulillhi rabbil aalameen,was salaatu was salaamu ala ashrafil ambiyaaee wal mursaleen, ammaa baad:

Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..


Bismillahirrahm
anirraheem ..

**Hanfio k Nabi Hazrat Imam Abu Hanifa r.al k Sagirdo or unke Aulado per Zarrah**


1-Imam Abu Yusuf r.al k Mutaliq Miza'an al Atda'al Matbua Masr jild-3,Safa-321
Aur Al Hafiz Matbua Darait Al Moaf jild-1,Safa-268 me hai k :

''Falas Ne kaha ye Sach hai Mager Volne Wale Bahut hai Unko Tark Kar deya hai''


2-Kitab Al Zaifa wal Matbua Anwar Ahmadea Safa-38 me hai k :


''Abu Yusuf bin Ibrahim Qazi ne Ibn Al Saib se rewayat ki hai k , Yahiya Aur Mainde wagaira ne unko Tark kar deya hai (Yaani Rewayat Nahi le)''


3-Imam Muhammad k Mutalliq , Miza'an al Atda'al Matbua Masr jild-3,Safa-42 me hai k :


''Imam Nishai Aur Degar Muhaddiso ne Hafiza ki Wajah se unko Zaif kaha hai''


4-Kitab Al Zaifa wal Mutar w ken Imam Nishai Matbua Anwara Ahmed Safa-35 me hai k :


''Mohammad bin Hasan Zaif hai''


5-Imam Yusuf bin Khalid Aur Hasan Ibn Zaid k Mutaliq kitab Al Zaifa Matbua Anwar Ahmade Safa-35 me hai k :


''Unke (Imam Abu Hanifa r.al k) Sagirdo me Yusuf bin Khalid Al sumati Zaif Aur Bahut Jhoota hai Aur Hasan bin Zaid dalulwi Bahut jhoota aur Khabees hai''


6- Imam Hasan bin Zaid r.al k Mutaliq , Miza'an al Atda'al Matbua Masr jild-1,Safa-228
me hai k :

''Yahiya bin Moin se Mankul hai k (Hasan bin zaid) bahut jhoota hai Aur Abudaood ne kaha k bahut jhoota hai Sika Nahi hai,Aur Ibn Madini ne kaha k uske Hadees Nahi lekhe ja sakte Aur Abu Hatim ne kaha k Sika Nahi hai Aur Darekutni ne kaha k Zaif hai Tark keya gaya hai.''


7-Ismaeel Aur Hamad Aur Imam Abu Hanifa r.al k Mutaliq, Miza'an al Atda'al Matbua Masr jild-1,Safa-105
me hai k :

''Ismaeel Apne Baap Hamad se rewayat karte hai , aur Hamid Apne baap Abu Hanifa r.al se rewayat karte hai Ibn Adi ne kaha 3no Zaif hai.''


8-Ismaeel Hazrat Imam Abu Hanifa r.al k pote k Mutalliq Taqreb Al Tahzeb Matbua Faruqi Safa-25 me hai k :


''unke Bare me Muhaddiso ne Kalam keya hai''


9-Hamid ,Hazrat Imam Abu Hanifa r.al k Pote k Mutalliq, Miza'an al Atda'al Matbua Masr jild-1,Safa-276
me hai k :

''Ibn Adi ne Aur Degar Muhaddiso ne Hafiza ki Wajah se unko Zaif kaha hai.''


10-Aam Sagirdan Imam Abu Hanifa r.al k Mutalliq Qayamul lail Matbua Lahor Safa-124 me hai k :


''Imam Ahmed bin Humbel r.al ne farmaya k ye loog Abu Hanifa r.al k Sagird Wagaira unko Hadees ki Janch parakh me dakhel Nahi hai Hadees k Elm me un logo k Dakhal dena Mahaz Zaber-jasti hai.''


***Sabse Aham Baat Ahle-Kufa ki Hadees Daani***


1-Tarib Al rawi Matbua Msr Safa-23 me hai k Qoul Imam Malik r.al :


''Imam Malik r.al ne kaha k jis Hadees k Silsele me Hazaz k rawi na ho uska Magaz jata raha,Yaani Halke darze ki hoge.''


2-Tarrib Al Rawi safa-23 , me Qoul Imam Safaii r.al hai k :


''Jis Hadees ki Sanad Hazaz me na paye jaye us k Uska Magaz jata raha''


3-Tarrib Al Rawi Safa-23 , me Imam Safaii r.al Qoul hai :


''koi Hadees v Iraq se Awe Uske Asal Hazaz se na ho tou na Kabul ki jawe Agerche Sahi ho,May serf Tumhare khair-Kawahe chata hu.''


4-Mezan Surani Matbua Msr Safa-49 me Qoul Imam Safaii r.al hai k :


''Imam Safaii r.al Faramate the k Khaber daar Ahle-Raye Qayas karne Walo ki koi Hadees Tumhare pass Aye tou Mat lena jabtak k Chaan-been Na kar lo.''


5- Abudaood Muzabai Matbua jild-2,Safa-350
me Qoul Imam Ahmed bin Humbel r.al :

''Imam Ahmed bin Humbel r.al Farmate hai k Ahle-kufa ki Hadees me Noor Nahi hai''


7-Tarrib Al Rawi Safa-23 me Qoul Tahwi :


''Iraq Wala Admi Ager 100 Hadees Suna de tou 99 ko Chor he Do.''


8-Tarrib Al rawi safa-23 me Qoul Hasam bin Arwa :


''Iraq wala Admi Ager 1000 Hadees Suna de tou 990 ko tou chor he do Aur jo 10 Baaki rahe un me v sak rakho.''


9-Tarrib Al Rawi safa-23 me Qoul Habib bin Abi Sabit :


''(Masra ne sawal keya) k Koun Sunnat ko jayada janta hai Iraq wala ya Hazaz wala(habib ne) balke Hazaz wala.''


10-Tarrib Al Rawi Safa-23 me Qoul Zehri r.al :


''Kufa walo ki Hadees me bahut Garber hai''


11-Tarrib Al rawi Safa-23 me Qoul Abdullah bin Mubarak :


''Madina ki Hadeese Jayada Sahi hai Aur Asanad unke Kareb hai.''


12-Tarrib Al Rawi Safa-23 me Qoul KhuTaiba :


''unke rewayat me Bahut garbari hai,Aur sehat wa Salamati kam hai.''


Akher me ye Dua hai k Allah paak hume hak baat kahne sunne or usper Amal karne ki toufeeq de... Aameen





#ImranKhanSalafi

Tuesday, May 20, 2014

IMAM ABU HANIFA RAHMATULLAH ALAIH PAR JIRRAH

Alhamdulillhi rabbil aalameen,was salaatu was salaamu ala ashrafil ambiyaaee wal mursaleen, ammaa baad:

Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..


Bismillahirrahm
anirraheem ..

***Imam Abu Hanifa r.al per Zarrah***


1-Miza'an al Atda'al Matbua Masr jild-3,Safa-237
me hai k :

''Nu'man bin Thabit ibn Zauti Abu Hanifa r.al kufi Qayas walo k Imam hai, unko Nishai Aur Ibn Adi Aur Degar Ulmao ne Hafiza ki wajah se Zaif kaha hai.''


2-Tamhed Sareeh Motta jild-3,Safa-272
me Qoul Hafiz Abdul barii r.al :

''Nahi Sanad Bayan ki kisi ne Sewaye Abu Hanifa r.al k, Aur wo Muhaddisin k Nazdek Nakes Al Hafiz hai''


3-Al fiya Iraki Matbua Farwki k Hasiya 45 me hai k :


''Zarrah Mufassir hoge tou Nuksa'an Pahuchane wali hoge jaisa k Zaihbe r.al Aur Ibn Abdulbar r.al aur Ibn Adi r.al Aur Nishai r.al Aur Darekutni r.al ne Abu Hanifa r.al k bare me Zarrah ki hai Yaani Zaif ki wajah ko Bayan keya hai k Hafiza ki wajah se Zaeef hai.''


4-Takhrez Hidaya Hafiz Ibn Hazar r.al Matbua farwaki haseya 93 me hai k :


''Abu Hafsa umr bin Ali ne kaha k Abu Hanifa r.al Hafiza wale Nahi hai Aur Hadees me Galtiya karne wale hai,Unko Hadees yaad Nahi Rahte .''


5-Kitab Al Zaifa wal Mutar w ken Imam Nishai Matbua Anwara Ahmed Safa-35 me hai k :


''Imam Abu Hanifa r.al Hadees me Qawi nahi Hai Aur Wo Bahut Galtiya Aur Khata karne Wale kami Rewayat (hadees) ki wajah se.''


6-Dar Asa't Al labib Matbua lahaur Safa -133 me hai k :


''Tahkek Ibn Katan ne Hadees Awwal per Zarrah kar dehai Aur kaha hai k Illat Eske Zaif ki Zaif hona hai Imam Abu Hanifa r.al k hadees me.''


7-Sunan Dare kutni Matbua Faruki Safa-122 me Tahat hadees hai :


''Imam Abu Hanifa r.al Aur Hasan bin Umra k sewa kisi ne (Hadees mazkura ko) rewayat Nahi keya Aur ye 2no Zaif hai.''


8-Takhrez Hidaya Hafiz ibn Hazar Matbua Faruki haseya safa-93 me hai k :


''Ali bin Madini r.al k betae Abdullah kahte hai k maine Apne Baap Ali Ibn Madine r.al se Abu Hanifa k Qoul pucha tou unhone unko Zaif bataya Aur kaha 50 hadees me voole hai.''


9-Kitab Mazkura safa-93 me hai k :


''Abu Baker Daood ne kaha k Imam Abu Hanifa ne 150 hadees rewayat ki hai jinme se Nasaf me vool hue ya Galti hue hai.''


10-Tarekh Sager Matbua Anwaar Ahmed safa-158 me Imam Abu Hanifa r.al k mutallik Imam Bukhari r.al ne Farmate hai k :


''Hamidi r.al kahte hai k jis Admi k pass Rasul Allah (s.a.w) ki Hadeese Aur Sahaba Asa'ar Munasik Wagaira Na ho Ayse ki Baat Ahkaam me Masail mera'at Aur Zakat Aur Namaz wagaira Amwar Islam me ku ker kabul ki jaye''.


11-Musannif Sart Motta Matbua Faruki safa-2 me Sah wali ullah sb Farmate hai k :


''Imam Abu Hanifa wo Saks hai k bare - bare Muhaddisen Maslan Imam Ahmed wa Bukhari wa Muslim wa Tirmizi wa Nishai wa Abudaood wa Ibn Maza, Darmi r.al ne ek Hadees v unse apne kitabo me Darz Nahi ki.''


**Hanfi Hazrat ab apna Dil tham le ....


Ab Aima e Muahddisen Fika wa Fazala k Zenhone Hazrat Imam Abu Hanifa ko Nakis Al Hafiz Aur Hadees kam janne wala Aur uske jaanch wa parakh me Nuksa ,Aur Naiz Arbi Zuban me Nakis Bataya hai Aur un k Aqaid Aur Masail per Aytraz keya hai , wo ye hai :


1-Imam Malik bin Anas r.al

2-Imam Safaii r.al
3-Imam Ahmed bin Humbel r.al
4-Imam Bukhari r.al
5-Imam Nishai r.al
6-Imam Darekutni r.al
7-Imam Abu Yusuf r.al
8-Abdulla bin Mubarak r.al
9-Auzazi r.al
10-Ibn Adi r.al
11-Ibn Abdul Bar r.al
12-Abdul bar r.al
13-Zehbi r.al
14-Abu Hafiz umr bin Ali r.al
15-Abdullah bin Ali r.al
16-Ali bin Al Madini r.al
17-Abu baker bin Daood r.al
18-Ibn Ai'in r.al
19-Abu yahiya hamani r.al yaani Abdul hamid bin abdul rahman r.al
20-Ibn Ayas r.al
21-Ahmed Al khazai r.al
22-Kasim bi Moin r.al
23-Musr bin kadam Abu sulma r.al kufi
24-Isreel r.al
25-Maimura r.al
26-Fazil bin Aya'as r.al
27-Ayub r.al
28-Sufyan r.al
29-Abu Mutaiya r.al
30-Alhkim bin Abdullah r.al
31-Yazid bin Harun r.al
32-Abu Asim Alnabil r.al
33-Abdullah bin Daood Amir Marzali r.al
34-Abu Abdul rahman Al karaibe r.al
35-Abdullah bin Yazid Al mukri r.al
36-Saddad bin hakim r.al
37-Makki bin Ibraheem r.al
38-Waqiya bin alzrra r.al
39-Nasar bi Samil Al mizani r.al
40-Yahiya bin Saeed Al kutani r.al
41-Abu Abida r.al
42-Hasan bin Usman Al Asi r.al
43-Yazeed bin Zareya abu Mawiya r.al
44-Zafer bin rabiya r.al
45-Ibraheem bin akrama Al kurwaine r.al
46- Ali bin Asim r.al
47-Hakim bin hasa'am r.al
48-Abdul razzaq r.al
49-Hasan bin Mohammad allesi r.al
50-Yahiya bin Ayub r.al
51-Hafiz bin Abdul rahman r.al
52 Zafer bin Suleman ayadi r.al
53-Asad bin Umr r.al
54-Hasan bin Umra r.al
55-Yahiya bin Fuzail r.al
56-Abu Al zuwaireya hatan r.al
57-Yazeed Alkamait r.al
58-Ali bin Hafaiz al bara r.al
59-Yaleh bin wqia r.al
60-Mohammad bin Abdul rahman Al Maso'od r.al
61-Yusuf al samti r.al
62-Kariz bin Musaib r.al
63-Kais bin Alrabia r.al
64-hazer bin Abdul zabir r.al
65-Hafiz bin Hamza Al karsi r.al
66-Hasan bi Zeyad r.al
67-Zafer bin Aaun almri r.al
68-Abdullah bin razeh al gudani r.al
69-Mohammad bin Abdullah Ansari r.al
70-Abdullah bin Abbas r.al
71-Hazer bin Abdullah alhazrmi r.al
72-Ibn Wahab Al abd r.al
73-Ibn Aisha r.al
74-Abu Ishaq farazi r.al
75-Hamad bin Abi salema r.al
76-Abdul wahab surani r.al
77-Mulla Moin r.al
78-Hazrat peer an e peer Shail Abdul kader zelani r.al
79-Moulana abdul haye sahab lakhnawi r.al
80-Moulana Sah Wali ullah Sahab r.al

[Ye 80 Naam Ibarat Mandreza bala se Aur kitab heza ,Tarekh-khuTaib
a jild-2,Safa-120-127,­­Tahmed Sareh Motta, safa-675-93-83.jild-3 Aur Tarekh Kaber Imam Bukhari r.al,safa-191 Aur mezan Al Aitadal jild-1,Safa-245,Aur Gunyatul Taleben safa-206, wa 298 se leye gaye hai


#ImranKhanSalafi  ]

Monday, May 19, 2014

IMAM ABU HANIFA RAHMATULLAH ALAIH KAUN THEY ?

Alhamdulillhi rabbil aalameen,was salaatu was salaamu ala ashrafil ambiyaaee wal mursaleen, ammaa baad:

Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..

Bismillahirrahm
anirraheem ..

Dosto Aaj ye Baat Awam me Galat baat faile hue hai k Imam Abu Hanifa r.al ek tabaai the??


Es Masle ko janne k leye sabse Asan tareka hai k hum tarekh ki kitabo ko utha ker khud dekhe ya Khud se Tahkek kare...


May apne baat Nabi(s.a.w) se suru karna chata hu kuki humare Imam e Azam Mohammad Sallahu Alaihe Wasallam hai...


Aap (s.a.w) ki umr 63 saal ki the or apke Wafat 11 hz ko hue.. yaani Islamic Tarek Na Aap(s.a.w) ki paidais or Na Wafat per rakhe gaye.. balke Islamic Tarek hz Umar r.a k hizrat se suru hue (jayada jankari k leye Apne Alim se Rafta kayam kare)


jab Aap (s.a.w) ki wafat hue us Waqt Aap (s.a.w) ki umr 63 Saal ki the or Islamic Tarek saal 11 Hz ho rahe the... Es baat se belkul saaf ho raha hai k Aap(s.a.w) jab 52 Saal k the Tab Islamic Calender ki suruwat hue..


Us Waqt k sabse jayada umr k serf ek Sahaba r.a the jinka umr 100 saal bataya jata hai.. Jaher se baat hai k Aap jante hoge k sabse kam umr me Imaan lane wale Sahaba Hz Ali r.a the yaani us Waqt wo Sahaba r.a (jinka umr 100 saal k tha) kya umr hoga


Imam Abu hanifa r.al ki paidais 80 HZ Kufa, Iraq. Me hue aur enke Wafat : 70 years of age : 150 HZ in the month of Rajab. (others have stated Sha’baan and Shawwaal also).


Jahir se baat hai jab Imam Abu Hanifa r.al ki paidais hue us Waqt se Aap (s.a.w) ki Umar k Andaza laga sakte hai 10Hz ko Aap(s.a.w) ki wafat hue yaani k 69 Saal baad paida hue Imam Abu Hanifa r.al...


May ye baat Clear kar dena chata hu k Imam Abu Hanifa r.al Tabai nahi the?? Kuki Tabai use kahte hai jinhone Sahaba r.a ko dekha ho... Aur Imam abu Hanifa r.al k khud k Qoul k mutabik unhone khud kaha k maine Ek Tabai ko dekha jo bahut he jayada Elm rakhte the... Yaani baat saaf hai koi v saks Sahab r.a k saan me gustakhi Nahi kar sakta tha us dour me kuki ager wo kisi Sahaba r.a se melte tou wo unka naam lete na k kisi Tabai k Naam lete...


***Imam Abu Hanifa r.al Or Ulma e Hadees***


1-Tarekha Ibn khaled wan jild-1,Safa-37 me hai :


''Imam Abu Hanifa r.al ki Nisbat kaha gaya hai k unko 17 Hadeese pahuchi hai''


2-Qayam ul lal matbua lahour Safa-123 me Qoul Abdullah bin Mubarak r.al :


''Imam Abu Hanifa r.al Hadees me Yatim the''


3-Munakab Al Safaii lil razi Safa-142 me Qoul Ahmed r.al hai :


''Na unke Raye kaam ki hai Na Hadees (yaani Hz Imam Abu hanifa r.al ki) ''


4-Umdatul Alriya safa-34 me Moulana Abdul haee Sb Faramate hai :


''Aur Muhaddis ki Nesbat unki rewayat go kam hai Mager ye kami un k Martabe ko Nahi ghatati''


5-Zafer Allamani Matbua Chasma Faiz Safa-24 me v Moulana Abdullah haee sb,Hz Imam Abu Hanifa r.al k Qalel Al rewayat hona Tasleem karte hai :


''Jis Rawi se kam Hadees Marwi ho uske Rewayat v Makbul hai jaise Abu Baker r.a Sahab se Aur Humare Imam Azam r.al Aima deen se unse Rewayate kam pahuchi hai''


6-Chunache Abdul Wahab Sorani Apne kitab Mezanul kubra jild-1 Safa-55 me Tahref Faramate hai :


''Imam Abu Hanifa r.al Ahadees k Jama hone tak Aur Hifazat (Hadees) k hadeeso Jama karne k leye (Muktalif) Balad Aur Aitraf Mumalik Islam me Ferne k baad Zenda rahte Aur Un Ahadees ko pate , tou Jarur unke leye , Aur jo jo Qayas unhone keya hai Wo Sab Chor dete Aur un k Mazhab me Qayas kam hote , jaisa k Auro k Mazhab me hai''


7-Nafaii kaber Safa-16 me Moulana Abdul haee sb Hanfi lekhnawi Farmate hai :


''Humara Aur ek Musannif k Aitaqad Abu Hanifa r.al k Bare me ye hai k Ager wo jinda rahte Hadeeso k jama ho jane tak , tou Ahadees ko lete Aur Tamam Qayas ko chor dete''


8-Mezan Surani Matbua Maser Safa -55 me hai k :


''Hafiz,Hadees ki Talab me Safar karte the,Gaao Aur Sahro se use jama keya, Aur madwan keya,Baaz hadees Baaz hadees k khilaf hue,Us wajah se un (Abu hanifa r.al) k Mazhab me Qayas Jayada hua, Aur Dusre Mazhab me kam''


9-Dar Asa't Al labib Matbua lahaur Safa -84 me Mulla Moin Hanfi Farmate hai :


''Abu Hanifa r.al Tasahih Hadees tak Zinda rahte tou Qayas ko Chor dete'' (yaani sahi hadees k jama hone tak)


10-Tarekh Ibn Khalkan Matbua Eraan jild-2 Safa-296 me hai k :


''Khutaib ne Apne Tarekh me Munakab me se Bahut se Munakab bayan kar k Ma'ab Bayan keye hai jinka jekar Na karna Munasib tha, kuki aysa Bara Imam jiski Deyanat wa rah Aur Hafiza me koi Tae'en Nahi, unke Zaat me Siwaye Arbiyat ki kami k koi Aib na the''


Note:- Chuke us Jamane Me Ahadees k Tarzuma tou hue he nahi the es leye Imam sb ki Galat Arbiat Haswale AHadees se Sad rah hue.


11-Allama Kamaludden Darmeri ,Hayat ul haiwan kaberea matbua masra jild-1 safa-181 me Faramte hai :


''Chunache Wo baccha jo Choupaya (janwer) k pait me Jabah k baad Nekle ,Ager Jabah k baad Wo baccha murda ho tou Ba jamat Sahaba r.a Halal hai jaisa k Mawardi ne Apne Kitab me Nakal keya hai, Aur yahi Mazhab Imam Malik r.al Aur Imam Auz'zi r.al Aur Sufyan Suri r.al Aur Abu Ushuf Aur Mohammad Aur Ishaq bin Rawia r.al Aur Ahmed bin Humbel k hai,Imam Abu Hanifa r.al serf Akele us ko Haram kahte hai''


Note:- Es ek he Masle per Ittefak Rakha gaya hai,Warna Bahut ayse Masle hai jinme Imam Abu Hanifa r.al ne Izma Sahaba r.a k khilaf keya hai jo kisi Ahle-Elm per posida nahi hai.


**Imam Abu Hanifa r.al ki Raye Or Qayas me Maharat**


12-Mulla Moin Hanfi Apne kitab Dar Asa't Al labib Matbua lahaur Safa -33 me lekhte hai :


''Rewayat ki gaye hai Imam Zafer sadiq r.a se unhone Imam Abu Hanifa r.al se kaha k mujko Khaber mele hai k tum Qayas karte ho, Qayas mat karna,kuki Awwal jisne Qayas keya hai (Nas k Mukable me) wo Iblees hai''


13-Tarekh Ibn Khalkan jild-2 safa-295 me hai :


''Imam Safaii kahte hai k Imam Malik r.al se kisi ne kaha k tum ne Imam Abu Hanifa r.al ki dekha hai tou kaha k beshak maine Dekha hai, Aysa Saks tha k Ager usse us Sutun ko sona kahalwaya jata tou us ki Dallil Qayam kar deta.''


14-Mizan Ala Aitadal Matbua Masr Jild-3 Safa 327 me hai k :


''Abu Hanifa r.al kufa k rahne wale Imam Ahle-Al Raye k hai''


15-Moulana Numani Seratul Numaan safa -183 hazrat Imam Abu Hanifa r.al k Qoul Nakal karte hai k :


''Hum jis baat me (Mashur) hai wo Raye wa Ijtehad hai hum kisi per Jaber Nahi kar sakte, (k usper Amal kare) Aur na ye kah Sakte hai k uska Qabul karna Wajib hai''


16-Allama Sher Satani Ali Hamis kitab Alfzal lil khuzaima jild-2,Safa-46 me Farmate hai k :


''Imam Abu hanifa r.al ne Farmaya k humara ye Elm(feka) raye hai''


17-Tarekh Kumis jild-2 Safa-338 me hai k khud Imam Abu Hanifa r.al farmate hai k Humara Aqwal mahaz raye hai.


18-Tarekh Al khulfa e Matbua Maser 101 me hai k :


''Ese jamane me Ulma e Islam ne Hadees wa feka wa Tafseer k Jama karna Suru keya , Makka me Ibn juraiz r.al ne,Aur Maden me Imam Malik r.al ne Motta lekha Aur Saam me Auzazi r.al ne , Aur Basra me Ibn Abi Urba r.al Aur Hamad bin Salma r.al wagira ne, Aur yaman me Maimura r.al ne Aur Kufa me Sufyan suri r.al ne Aur Ibn Ishaq ne Magazi Tasneef ki,Aur Abu Hanifa r.al ne feka wa Raye Tasneef keya''


**Imam Abu Hanifa r.al k Ijtehad k Mutalik ek Mugalikat k Ujala **


Humare Baradne Ahnaaf Akser kaha karte hai k Hz Imam Abu Hanifa r.al ne Ager Hadees ki taraf tawajjo he Nahi ko tou fer Mujtahid ku kah laye?? Akher wo Qayasat jo karte the wo Hadees per he tou the Es leye Qayas k leye Mukarar Ala Sart hai.


Jawab: ye hai k Imam Abu Hanifa r.al Aur Un jaise Ahle-Al raye ki puri tawajjo furu ki taraf the k wo apne Asatza k paband the Aur use se Masla estenab karte the , Chunache sah wali Allah sb huzzatul balag k safa 166 me faramte hai :


''Ahle-Al raye se Murad wo loog hai jinhone Musalmano k Masail Mutafiq Aleha k baad kisi Saks mukaddam k Qawa'id per Takhrez Masail ki taraf tawajjo ki,In k Akser dastur he raha k Masla me us k Musaba Masla k jo hukm hota wahi hukm us Masle per laga dete Aur Masla ko unhe Qawaid ki taraf fer faar ker le jate Ahadees Nabwi(s.a.w) Aur Amaal wa Aqwal Sahab r.a ki khoz talas na karte (yaani Mahaz Qayas se Fatwa dete,Ahadees wa Asar e Sahaba se Garz na the)''.


**Imam Abu Hanifa r.al k Sagirdo ki Raye wa Qayas me Maharat**


19-Tarekh Ibn Khaldwan jild-1,safa-376
me hai k :

''Un Mukadme me Feke 2 Tareka per Mankasam ho gaye 1 tareka Ahle-Al raye wa Al Qayas k Aur wo Iraq wale hai Aur Tareka Ahle-hadees k Aur wo Hazaz (Makka wa Madina) wale hai,Ahle-Iraq me Hadees kam the jis ki wajah hum pahle lekh chuke hai , tou unhone Qayas se jayada kaam leya Aur Qayas he me khub Maher hue use Wajah se unko Ahle-Al raye kaha gaya Ahle-Al Raye ki jamat k Sardar jin me Aur jinke Sagirdo me ye (Tareka) Mazhab Qayam hua wo Imam Abu Hanifa r.al hai''.


20-kitab Al malal wa al khalk matbua masra Safa-132 me Allama Sher sutani Farmate hai :


''Ashab Al raye Gark wale hai jo Abu Hanifa r.al Aur unke Sagerdo Mohammad bi hasan r.al Aur Abu yusuf yakub bin Mohammad Kazi r.al Aur Zafer bin Al hazil , aur Hasan bin zeyadu loi Aur Ibn Usman Aur Afeya kazi Aur Abu mutaiya Al balkhi , Aur Baser maresi hai, unk naam Ashab Al raye us Wajah se rakha gaya hai k unki tawazzo Qayas k tareke hasel kar ne per the, Aur Maine mustanba per, k jin k Talluq roz marra k Ahkam se hai, barha unhone Qayas jali ki Akhbar Aahad per Muqaddam keya hai''


 

[kitab al malal wa alnahal jild-1 ,safa-207 ]VIA-Imaran khan salafi

GAHRI HAI SHAAM GHAM; MAGAR SHAAM HI TOH HAI:





Bismillahirrahmanirraheem

 

GAHRI HAI SHAAM GHAM; MAGAR SHAAM HI TOH HAI:

 

Azaadi Haasil Karne Ke 64 Saal Ghuzar Jaane Ke Baad Bhi Muslim Minority Ko Apne Huqooq (Rights), Akhtiyaraat (Posts), Mura'aat Ke Liye Hukumaton (Governments) Se Guhaar Lagaani Padh Rahi Hai,

Azaadi Se Pahle Musalman Har Maidaan Me Biraadar-e-watan Se Shaana Ba'Shaana, Qadam Se Qadam Milaakar Chalte They,

Lekin Mulk Ke Batwaare Ke Baad Toh Unke Haalaat Intehaayi Khasta'haal Ho Gayi, Kahin Kisi Bhi Maidaan Me Unki Koi Shumaar Hi Nahin Hai,

Mulk Ki Azaadi Ke Baad Unko Pahla Jhatka Unko Us Waqt Laga Jab Yahan Ki Laghbhag (Approx) 10-15% Padhi Likhi Aur Ba'asar Aabaadi Ne Naqal'maqaani Ka Faisla Liya Aur Padosi Mulk Ka Rukh Kiya,

Itni Badi Aabaadi Ki Naqal'maqani Ko Duniya Ki Taareekh Ne Shayad Hi Pahle Kabhi Dekha Hi,

Mere Khyaal Se Itni Badi Aabadi Ne Bahtar mustaqbal (Future) Ke Liye Apne Watan Se Naqal'maqaani Karke Dusre Mulk Ya Dusre Khitte Me Jaane Ka Faisla Le Liya,

Aur Yahan Ki Baaqi Bachi Hui Aabaadi Ne Naqal'maqaani Nahin Karne Ka Faisla Le Liya,

Is Faisla Ki Wajah Chaahe Kuch Bhi Rahi Ho, Lekin Unki Quwwat, Taaqat Kudrati Taur Par Bahut Kam Ho Gayi,

Yahan Par Ye Bhi Ghaur Karna Hoga Ke Is Waaqye Se Pahle Aur Baad Me Bade Paimaane (Large Scale) Par Fasaad Aur Tashaddud Ka Bazaar Garm hua,

Yahan Main Fasaadaat Ki Tafseel Me Nahin Jaana Chaahta, Lekin Main Yahan Sabhi Padhne Waalon Ko Dawat E Fikr Dena Chaahta Hoon Ke

"Aakhir Kaunsi Wajah Thi Ke Hazaaron Saal Se Ek Saath Rahne Waali Insaani Biraadri Aapas Me Ladh Padi"

Ye Poori Insaani Biraadri Siyaasat (Democracy) Ke Naam Par Aisi Taqseem (Divide) Hui Ke Ek Dusre Ke Wajood Hi Ki Dushman Ho Gayi,

Aise Haalaaton Me Jin Khaandaano Ne Apne Watan Azeez Me Hi Rahne Ka Faisla Liya Toh Unko Kaise Khatar'naak Mahaul Ka Saamna Karna Pada Hoga,

Aaj Un Haalaat Ka Sirf Andaaza Hi Lagaaya Ja Sakta Hai,

Azaadi Ke Waqt Jo Aabaadi Hosh'mand Rahi Hogi Usne Kaise Zehni Taqleef Ka Saamna Kiya Hoga,

Nateejatan Wah Aabaadi Ek Qism Ke Ehsaas Kamtari Aur Ehsaas Jurm Wa Gunah Ke Bojh Tale Jeeti Rahi Hogi,

Azaadi Ke Baad Bhi Jo Naslen Aayin Wah Bhi Kisi Na Kisi Tarah Ke Zehni Dabaao Me Rahi, Ghar Aur Poore Mahaul Me Har Taraf Mayoosi Hi Mayoosi, Karobaar Aur Ma'aashi Ka Koi Intezaam Nahin, Khet, Baghaat ; Dukaan, Jaayedad , Aahista Aahista Bik Rahi Thi,

Waqf Ki Jaayedaadon Par Shar'pasandon Ne Qabza Jamaana Shuru Kar Diya Tha,

Naqal'maqaani Ki Wajah Ne KAhan Kiya Chhoda, Is Par Kisi Ne Koi Tawajjoh Nahin Di, Log Bas Sarhad (Baundary) Ke Us Paar Sarpat Bhaagte Chale Gaye,

Apne Aaba Wa Ajdaad Ki Haddion, Apni Masjidon, Khaan'kaahon, Madarson, Imam Badon, Hawelion, Banglow, Imaaraton Ke Baare Me Kuch Bhi Nahin Socha Ke Ye Kin Ki Nigah'baani Me Rahengi, Unki Dekh Bhaal Kaun Karega ??

Iski Fikr Kiye Be'ghair Hi Log Sarhad Ke Us Paar Pahunch Jaana Chaah Rahe They,

Jin Logon Ne Khud Apni Aankhon Se Ye Halaat Dekhe They, Wah Unhe Lafzon Se Bayaan Karne Se Qaasir Hain, Kaisi Majboori Thi, Kaisi Be'chaargi Thi, Kaisi Be'basi Thi...

Husool Azaadi Ke Pahle Hi Se Halaat Kharaab Hona Shuru Ho Gaye Jisko Hamare Qaayedeen Samjh Nahin Paaye,

Waaqeyaat Ka Bareek'beeni Se Jaayeza Lene Par Aisa Mahsoos Hota Hai Ke Us Waqt Jo Muslim League Ki Qyadat Thi Wah Bahut Hi Jazbaati Thi,

dusre Lafzon Me ye Kahna Ghalat Na Hoga Ke Us Zamaane Ki Muslim League Ki Qayadat Me Jo Bhi Faisle Liye Wah Shayad Poori Muslim Aabaadi Ki Awaaz Nahin Thi,

Us Zamaane Ke Nihaayat Hasaas Faislon Ke Waqt Shayad Musalmanon Ke Har Tabqe Aur Har Ilaaqe Ke Afraad Aur Unki Qayaadat Ko Aitmaad Me Nahin Liya Gaya, Jiska Nateeja Ye Hua Ke Ana'niyat Haawi Ho Gayi Aur Sahih Door'andesh Qayadat Ki Awaaz Ko Jazbaati Afraad Ne Hawa Me Uda Diya,

Muslim League Ki Qayadat Me Jo Congress Ki Qayadat Thi Wah Bahut Munazzam, Mazboot, Door'andesh Thi,

Us Waqt Maulana Abul Kalam Azaad (Rh), Maulana Hussain Ahmad Madani (Rh), Maulana Mahmood Ul Hasan (Rh) Wa Deegar Ulema E Kiraam Ke Himmati Rawaiyye Par Amal Kiya Jaata Toh Ummat E Muslima Ko Aaj Shayad Itna Kharaab Din Na Dekhna Padhna,

Qaumon Ki Zindagi Me Aksar Aise Marahil (Stages) Aate Hain, Jab Unhe Waqt Aur Haalaat Se Samjhauta Karna Padhta Hai, Fil'waqt Aisa Lagta Hai Ke Qayadat Ne Hathyaar Daal Diye Hain, Lekin Aise Faisle Qaumon Ko Nayi Zindagi Dete Hain, Nayi Jaan Dete Hain, Halaat Ko Naye Sire Se Samjhne Ka Mauqa Dete Hain,

Lekin Aise Faisle Sirf Aur Sirf Wahi Qayadat Kar Sakti Hai, Jiske paas Tadabbur Ho, Faraasat Ho, Mustaqbal Ki Mansooba'bandi (Planning) Ho, Awaam Par Uski Poori Giraft Ho Aur Uski Saffon Me Ittehaad (Unity) Ho,

Husool Azaadi Ke Kuch Arse

Baad Maulana Azaad (Rh) Aur Deegar Ulema E Kiram (Rh) Aur Akaabireen E Millat Ko Bigadhte Hue Halaat Ka Andaaza Hone Laga Tha,

Shayad Isi Ke Pesh'e Nazar Badi Badi Conferences Ka Daura Chala,


Maulana Abu Kalam Azaad Ne Apne Inteqaal Se Pahle Dehli Me Ek Bada Jalsa Kiya,

Uske Kuch Dino Ke Baad Jawahar Lal Nehru Ki Kabeena (Cabinet) Ke Rukn (Member) Aur Senior Congressi Rahnuma Janab Sayyed Mahmood Marhoom Ne Mulk Me Millat E Islamiya Ki Khasta'haali Aur Zabon'haali Par Apni Shikaayat Darz Karaayi Jiske Nateeje Me Muslim Majlim Mushawwaraat Ki Buniyaad Padi,

Muslim Majlis Mushawwaraat, Jamaat E Islami, Jamiat E Ulema Hind, Aur Deegar Milli Tanzeemon Ko Taqseem Hind Ke Baad Mulk Me Hone Waale Bade Bade Firqa'waraanah Fasaadaat Aur Un Baaz Aabaad'kaari Ke Kaamon Se Kaamon Se Fursat Hi Nahin Milti Thi Ke Wah Millat Ke Siyaasi Wa Samaaji Haalaat Me Sudhaar Ke Liye Koi Tahreek Chalaayen,

Lekin Yahan Ek Baat Maanni Padegi Ke Itna Na'gufta ba Haalaat Ke Ba'wajood Qaumi, Milli Tanzeemon Ne Millat Ke Darmiyaan Har Tarah Ki Musbat KaMon Ko Aage Badhaaya,

Us Daur Me Bhi Poore Mulk Me Chhote Bade Madarson Ka Wajood Amal Me Aaya, Masjiden Bhi Bani Aur Unme Namazion Ka Bhi Zabar'dast Izaafa Hua,

Islami Literature Ki Taba'at Aur Isha'at Ka Bada Kaam Hua, Biraadraan E Watan Ke Darmiyaan Islam Ke Ta'aaruf Ke Kaam Ko Bhi Aage Badhaaya Gaya,

Uttar Pradesh Me Muslim Majlis Qayem Hui, De Abdul Jaleel Fareedi (rh) Ne Musalmano Ke Siyaasi Kaaz Ke Liye Apni Jaan Ki Baazi Laga Di,

Shakht Bimaar Hone Ke Ba'wajood Dr. Shahab Marhoom Ne Milli Kaaz Ke Liye Anthak Koshishen Ki, Jisse Shumaali Hindustan Me Millat Ke Siyaaasi Haalaat Bahtar Hue,

Maulana Ali Miyan Nadwi (Rh) Ki Qayadat Me Bhi Bade Kaam Hue, Uttar Pradesh Me Taaleemi Council Ke Zariye Itne Bade Paimaane Par Taaleemi Kaam Hua Jiska Aitraaf Na Karna Badi Na'insaafi Hogi,

Maulana Ali Miyan Nadwi (Rh) Ne Milli Kaaz Ki Husool'yaabi Ke Liye Apne Aapko Waqf Kar Diya,

Poore Mulk Me Islaami Aur Insaani Usoolon Ko Aage Badhaane Ke Liye Ek Munazzam Team Banaayi, Us Team Ne Poore Mulk Hi Me Nahin Balke Poore Duniya Me Islaami Aur Insaani Usoolon Ko Aage Badhaaya,

Maulana Ali Miyan Nadwi (Rh) Ki Zindagi Me Hi Darul Uloom Deoband Me Tana'za Ke Baad Taqseem Ki Buniyaad Padi,

Maulana Ali Miyan Nadwi (Rh) Wa Deegar Akabireen Millat Ne Ittehaad Ki Sanjeedah Koshishen Ki, Lekin Ye Koshishen Kaamyaab Nahin Hui,

Thode Thode Waqfe Ke Baad Mufti Ateequr Rahman Usmani, Hz Maulana Qari Muhammad Tayyab (Rh) Aur Ali Miyan nadwi (Rh) Allah Ko Pyaare Ho Gaye,

In Logon Ki Lambi Jeddo Jehad Aur Anthak Koshishin Ke Samre Me Mulk Me Secular Siyaasi Fikr Mazboot Hui Jiske Tahat 2004 Me Ex-Prime Minister Janab Manmohan Singh Ne Musalmano Ke Siyaasi, Samaji, Mu'asharti Aur Mu'aashi Haalaat Ki Jaankaari Ke Liye Sacchar Commeete Ki Tashkeel Ki,

Us Commision Ki Report Ne Goya Poori Millat Ki Fikr Ko Ek Nayi Jehat Di, Ek Naya Rukh Diya, Ek Naya Mijaaz Diya, Ek Nayi Maaloomaat Di, Ek Nayi Fikr Di, Ek Naya Hadaf Diya, Ek Nayi Daawat Di.....