Wednesday, May 7, 2014

KUNDE KI NIYAAZ TAARIKH KE AINE ME (22 RAJAB)


 
 
 
 
 
✿✿Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu✿✿
*** Bismillah hir-Rahman nir-Rahim ***

Arabic Month "Rajab" Shuru Ho Chuka Hai, Rajab Ke Month Me Hone Wali Bidato Se Pehle Aayye Ham Ye Bata Dein Ke Quran O Hadees Me Rajab Ke Talluq Se Kya Cheez Saabit Hai

Quran Me Allah Ne Months Ki Taadaad 12 Bataai Hai,Aur 12 Me Se 4 Months Ko Hurmat Wale Maheene Kaha Hai
(Al-Quran, Surah At-Taubah 9, Ayat 36)

(Hurmat Wale Months Yaani Izzat Aur Ehtaraam Wale Months)
Hurmat Wale Ye 4 Months Kon Se Hain ? Is Ki Wazahat Quran Me Nahi Hai,Balki Is Ki Wazahat Hadees Me Hai K Ye 4 Months Ye Hain :

1-Zul-Qada, 2-Zul-Hijja , 3-Muharram, 4-Rajab
(Sahih Al Bukhari Hadees 3197)
(Sahih Al Muslim Hadees 1679)

Rajab Ke Talluq Se Quran Aur Sahih Hadees Se Sirf Aur Sirf Itna Hi Pata Chalta Hai K Ye Izzat, Ehtaraam Aur Hurmat Wale 4 Maheeno Me Se Ek Maheena Hai.Is Ke Alawa Rajab Ki Kisi Khaas Fazeela Nahi Hai.

Ab Aayye Dekhein K Ilm Ki Kami Ki Waja Se Is Month Me Musalmano Ne Kin Kin Biddato Par Amal Karna Shuru Kar Diya :

1- Salat Ul Raghaaib
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
Rajab Ke First Friday Ya Thursday Ko Maghrib Aur Esha Ke Darmiyaan Kuch Log "Salatul Raghaaib" Ke Naam Se Ek Namaz Padhte Hain,Jis Me 12 Rakat Padhte Hain.

Khayaal Rahe K Kisi Bhi Sahi Hadees Se Rajab Ke Month Me "Salat Ul Raghaaib" Naam Se Koi Namaz Saabit Nahi...Lihaaza Hame Is Se Bachna Chahiye.

2- Rajab Ke Koonde
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
Is Month Me Kuch Musalman Jafar Sadiq Ke Naam Se Koonde Bhi Banate Hain,Us Par Niyaz Dilwate Hain Aur Ye Aqeeda Rakhte Hain K Koonde Bharne Ke Baad Ham Jo Muraad Mangenge Wo Poori Hogi...Ye Bhi Bidat Hai,Is Talluq Se Jafar Sadiq Aur Ek : Lakkad-Haare Ka Jo Qissa Bayaan Kiya Jaata Hai Wo Man-Ghadat Hai.

Doosri Baat Ye K Jafar Sadiq Hon Ya Koi Aur Insaan, Walii Peer,Kisi Ko Bhi Shariyat Banane Ka Haq Haasil Nahi...Shariyat Wahi Hai Jis Ka Hukum Allah Aur Rasool Ne Diya Hai...(But Khayaal Rahe K Jafar Sadiq Ki Taraf Mansoob Qissa Bhi Man-Ghadat Hai).Lihaaza Is Month Me Koonde Ki Bidat Se Bhi Hame Bachna Chahiye

3- Jashn E Meraaj
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
Kuch Musalman 27 Rajab Ko Rasool Sallallau Alaihi Wasallam Ka "Jashn E Meraaj" Manate Hain,Ye Bhi Bidat Hai,Kyo K Pehli Baat To Ye K Ye Cheez Hi Saabit Nahi K Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Jo Meraaj Hua Tha Wo Rajab Ke Month Me Hua Tha.

Meraj Hua Ye Quran O Hadees Se Saabit Hai,Lekin Kis Month Me Hua Ye Kisi Sahi Hadees Se Saabit Nahi.

Lihaaza Is Tarah Ka Jashn Manane Se Bhi Hame Bachna Chahiye.

(Isii Tarah Khaas Rajab Ke Month Me Kuch Dino Ko Khaas Kar Ke Roza Rakhne Ki Bhi Koi Daleel Nahi Hai)

Deeni Aitabar Se Har Woh Kaam Bidat Hoga Jiska Saboot Quran Aur Hadees Main Nahin Milta

Koi Bhi Kaam Neki Samaj Kar Sawaab Ki Niyyat Se Kiya Jaye,
Jiske Karne Ka Hukm, Na Allah Ke Kalaam Yani Quran-E-Kareem Me Maujood Ho, Aur Nahi Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Sunnat Yani Hadees-E- Mubaraka Me Maujood Ho Aur Nahi Sahaba (Ra) Ke Tarikhe Me Maujood Ho, Usko Biddat Kehte Hai.

.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

►Aye jo Emaan layai ita'at karo ALLAH ki ur Rosool (Sallallahu Alaihi Wasalam) ki apnai Amaal ko zaya na karo

(SURAT MOHAMMAD 33)

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

►Tumharai liyai ALLAH kai Rosool (sallallahu Alaihi wasalama) main behtareen namona hai

(SURAT AHZAB 21)

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

►'' Momino Allah aur uske Rasool ( Mohammad Sallallahu alai wasallam ) ki farmabardari karo aur Jo tummese sahibe Hukumat unki bhi, FIR AGAR KISI BAAT ME TUM ME KHILAAF WAQIF HO THO FIR ALLAH AUR ROZE AAKHIRAT PAR IMAAN RAKHTE HO THO USME ALLAH AUR USKE RASOOL ( SALLALLAHU ALAI WASALLAM ) KI TARAF RUJU KARO. Yeh achi baat hai aur iska anjaam bhi acha hai "

(Quran : Surah An-Nisaa Ayat # 59)

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

►" Jis cheez ka Tuje ILM nahi, Uske peeche na pad, Kaan, aankh aur Dil aur in sab azaa ke baareme zaroor waazpurs hogi. ( POOCH HOGI ).

(Al Quran Surah Al Israa, Ayath # 36)

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

►Aur us din zaalim Shaks apne haath chaba ker kahega ke Haye kaash ke Maine Rasul Sallallahu alaihi wasallam ki raah ikhtiyar ki hoti

(Al Quran , Surah Furqan ,Ayath Number 27 )

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

►Hazrat Abdullah bin Masood (Radi Allahu'anhu) ko pata chala ke kuch loug Masjid mein mil kar unchi awaaz se Zikr aur Darood shareef pad rahe hai aap inke paas gaye aur farmaya:

Humne Allah ke Rasool (Sallallahu Aalaihi wasallam) ke zamane mein kisi ko is tarha Zikr karte ya Darood shareef padte nahi dekha lehaza main tumhe Biddati samhjta ho yehi alfaaz duhrate rahe hatta ke inhe Masjid se nikaal bahar kiya."

رواه ابو نعيم، الجزء الاول، رقم الصفحه 216

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

►Nabi Kareem Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:

"Jisne Hamare is DEEN me apni taraf se koi nayi cheez paida ki, jo is me se Nahi hai toh wo MARDOOD hai (yani wo DEEN se kharij hai),

Har nayi cheez (jo DEEN me paida ho) BIDDAT hai aur har BIDDAT, gumrahi hai aur har gumrahi, JAHANNAM me lee jaati hai ".

(~ Sahih Al Bukhari, Hadis 2696, Sahih Al Muslim, Hadees 1718, Sunan Nasai 3/188)

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

►Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai k Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya

"Sabse behtar Amr (amal ke liye) Allah ki Kitab hai aur Sabse behtar Tareeqa Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke Tareeqa hai

Aur sabse Badtareen kaam Deen mein nayee nayee baton ka paida karna hai

Aur har Nayee baat Gumrahi hai

Aur farmaya ki jis Shaksh ne Marney ke baad maal chorha wo uskei Warison ka hai aur jisney Karz ya Ayaal ( children) chorhey wo mere zimmey hai

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 45

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

►Nabi Kareem Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:

"Jisne BIDDATI ko PANAH di, us par Allah ki LAANAT barasti hai ".

(~ Sahih Muslim, Hadees 4876)

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

►Nabi Kareem Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:

" Allah BIDDATI ki Namaz, roza, haj, zakat, kisi bhi amal ko kabool nahi karta ".

(~ Sunan ibn Majah 49)

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

(Jo log Biddat ko taqseem krk Gumrahi pahlarahe hai jaise Bidat e Sayya, Biddat e Hasna un askaas k liye ye Hadees se behtareen aur koyi islaah nahi)

► Abdullah Ibn Umar farmate hain,

Tamam Biddatein gumrahi hai agarche “Ba-Zaahir woh, logon ko acchi lagein

(SUNAN KUBRA BAIHAQI (HADITH138).

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

►Abdullah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya,

" Main Hauz-e-Kausar par Tum logo ka paish khaima (predecessor) hunga aur Tum mein se kuch log meri taraf aayengey jab main unhey Hauz ka pani deney ke liye jhukunga to unhey Mere samney se kheench liya jayega .

Main kahunga ki ,"Eh mere Rab! Ye to Meri Ummat ke log hain". Allah Taala farmayega," Aapko maaluum nahi, ke unhoney Aapkey baad Deen mein kya nayee batein nikal li thi".

{Sahih Bukhari, Vol 8, 7049}

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

►Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke, Baad ke daur mein Dajjal or Jhoote log hoge woh tumhe aisi aisi Hadees suna yege jinhe tumne or tumhare baap dadaon ne nahi suna hoga , isliye un se apne aap ko bachhaye rakhna , kahi aisa na ho ke woh tumhe gumrah karde or fitna mein dall de

{Sahih Muslim , al Mukaddamah ,Hadees no 7}

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

►Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke ,Aadmi ke jhoota hone ke liye yahe kaafi hai ke woh har suni sunai baat bayan karde

{Sahih Muslim , al Mukaddamah Hadees no 5}

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

ALLAHU AKBER !

.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

Beshak Allah subhanahu kisi Takabbaur
karne wale, itrane wale ko pasand nahi
karta - Surah Luqman, (31), # 18

Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya wo shaksh Jannat mein dakhil nahi hoga jiske dil mein Rayee ke dane ke barabar bhi takabbur mojud hai
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 59 - Sahih

Yaad Rakhiye Haq Ko Jaanker Bhi Qabul Na Kerna Takabur Ki Alamat Hai . Ye Jaanker Bhi Ke Ye Amal Ek Biddat Sabit Ho Chuka Hai ?

.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

Allah Hum Sabko Biddaton Se Mehfuz Rakhe , Quran Aur Sahih Hadees Per Amal Kerne Ki Neik Tawfeq De ,Hidayat E Ilm & Hidayat E Amal Ata Farmaye Aur Humari Ibadat Ko Qabul Farmaye .Aameen !

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Du'a Hai Ke Hum Ko Ghar Walon Ko Aap Logon Ko Or Sare Musalmano Ko Quran O Sunnat par Sahaba Ke Manhaj Par Amal Karne Wala & Daw'at Dene Wala Banaye,

Ameen Ya Rabbal Almeen Ya Hayyu Ya Qayyum.

(NOTE : JIN ASKAAS KO IS POST SE MUQALIFAT HAI WO QURAN YA SAHI HADEES SE SIRF EK HI DALEEL PESH KARDEIN OPAR DI GAYI SHABAN KI BIDDATON K "DURUST" HONE MEIN .YAD RAHE QURAN AUR SAHI HADEES K ALAWA AUR KOYI DEEN NAHI HAI )
 
 
Via--Afshan Fatima