Bismillahirrahmanirraheem
GAHRI HAI SHAAM GHAM; MAGAR SHAAM HI TOH HAI:
Azaadi Haasil Karne Ke 64 Saal Ghuzar Jaane Ke Baad Bhi Muslim Minority Ko Apne Huqooq (Rights), Akhtiyaraat (Posts), Mura'aat Ke Liye Hukumaton (Governments) Se Guhaar Lagaani Padh Rahi Hai,
Azaadi Se Pahle Musalman Har Maidaan Me Biraadar-e-watan Se Shaana Ba'Shaana, Qadam Se Qadam Milaakar Chalte They,
Lekin Mulk Ke Batwaare Ke Baad Toh Unke Haalaat Intehaayi Khasta'haal Ho Gayi, Kahin Kisi Bhi Maidaan Me Unki Koi Shumaar Hi Nahin Hai,
Mulk Ki Azaadi Ke Baad Unko Pahla Jhatka Unko Us Waqt Laga Jab Yahan Ki Laghbhag (Approx) 10-15% Padhi Likhi Aur Ba'asar Aabaadi Ne Naqal'maqaani Ka Faisla Liya Aur Padosi Mulk Ka Rukh Kiya,
Itni Badi Aabaadi Ki Naqal'maqani Ko Duniya Ki Taareekh Ne Shayad Hi Pahle Kabhi Dekha Hi,
Mere Khyaal Se Itni Badi Aabadi Ne Bahtar mustaqbal (Future) Ke Liye Apne Watan Se Naqal'maqaani Karke Dusre Mulk Ya Dusre Khitte Me Jaane Ka Faisla Le Liya,
Aur Yahan Ki Baaqi Bachi Hui Aabaadi Ne Naqal'maqaani Nahin Karne Ka Faisla Le Liya,
Is Faisla Ki Wajah Chaahe Kuch Bhi Rahi Ho, Lekin Unki Quwwat, Taaqat Kudrati Taur Par Bahut Kam Ho Gayi,
Yahan Par Ye Bhi Ghaur Karna Hoga Ke Is Waaqye Se Pahle Aur Baad Me Bade Paimaane (Large Scale) Par Fasaad Aur Tashaddud Ka Bazaar Garm hua,
Yahan Main Fasaadaat Ki Tafseel Me Nahin Jaana Chaahta, Lekin Main Yahan Sabhi Padhne Waalon Ko Dawat E Fikr Dena Chaahta Hoon Ke
"Aakhir Kaunsi Wajah Thi Ke Hazaaron Saal Se Ek Saath Rahne Waali Insaani Biraadri Aapas Me Ladh Padi"
Ye Poori Insaani Biraadri Siyaasat (Democracy) Ke Naam Par Aisi Taqseem (Divide) Hui Ke Ek Dusre Ke Wajood Hi Ki Dushman Ho Gayi,
Aise Haalaaton Me Jin Khaandaano Ne Apne Watan Azeez Me Hi Rahne Ka Faisla Liya Toh Unko Kaise Khatar'naak Mahaul Ka Saamna Karna Pada Hoga,
Aaj Un Haalaat Ka Sirf Andaaza Hi Lagaaya Ja Sakta Hai,
Azaadi Ke Waqt Jo Aabaadi Hosh'mand Rahi Hogi Usne Kaise Zehni Taqleef Ka Saamna Kiya Hoga,
Nateejatan Wah Aabaadi Ek Qism Ke Ehsaas Kamtari Aur Ehsaas Jurm Wa Gunah Ke Bojh Tale Jeeti Rahi Hogi,
Azaadi Ke Baad Bhi Jo Naslen Aayin Wah Bhi Kisi Na Kisi Tarah Ke Zehni Dabaao Me Rahi, Ghar Aur Poore Mahaul Me Har Taraf Mayoosi Hi Mayoosi, Karobaar Aur Ma'aashi Ka Koi Intezaam Nahin, Khet, Baghaat ; Dukaan, Jaayedad , Aahista Aahista Bik Rahi Thi,
Waqf Ki Jaayedaadon Par Shar'pasandon Ne Qabza Jamaana Shuru Kar Diya Tha,
Naqal'maqaani Ki Wajah Ne KAhan Kiya Chhoda, Is Par Kisi Ne Koi Tawajjoh Nahin Di, Log Bas Sarhad (Baundary) Ke Us Paar Sarpat Bhaagte Chale Gaye,
Apne Aaba Wa Ajdaad Ki Haddion, Apni Masjidon, Khaan'kaahon, Madarson, Imam Badon, Hawelion, Banglow, Imaaraton Ke Baare Me Kuch Bhi Nahin Socha Ke Ye Kin Ki Nigah'baani Me Rahengi, Unki Dekh Bhaal Kaun Karega ??
Iski Fikr Kiye Be'ghair Hi Log Sarhad Ke Us Paar Pahunch Jaana Chaah Rahe They,
Jin Logon Ne Khud Apni Aankhon Se Ye Halaat Dekhe They, Wah Unhe Lafzon Se Bayaan Karne Se Qaasir Hain, Kaisi Majboori Thi, Kaisi Be'chaargi Thi, Kaisi Be'basi Thi...
Husool Azaadi Ke Pahle Hi Se Halaat Kharaab Hona Shuru Ho Gaye Jisko Hamare Qaayedeen Samjh Nahin Paaye,
Waaqeyaat Ka Bareek'beeni Se Jaayeza Lene Par Aisa Mahsoos Hota Hai Ke Us Waqt Jo Muslim League Ki Qyadat Thi Wah Bahut Hi Jazbaati Thi,
dusre Lafzon Me ye Kahna Ghalat Na Hoga Ke Us Zamaane Ki Muslim League Ki Qayadat Me Jo Bhi Faisle Liye Wah Shayad Poori Muslim Aabaadi Ki Awaaz Nahin Thi,
Us Zamaane Ke Nihaayat Hasaas Faislon Ke Waqt Shayad Musalmanon Ke Har Tabqe Aur Har Ilaaqe Ke Afraad Aur Unki Qayaadat Ko Aitmaad Me Nahin Liya Gaya, Jiska Nateeja Ye Hua Ke Ana'niyat Haawi Ho Gayi Aur Sahih Door'andesh Qayadat Ki Awaaz Ko Jazbaati Afraad Ne Hawa Me Uda Diya,
Muslim League Ki Qayadat Me Jo Congress Ki Qayadat Thi Wah Bahut Munazzam, Mazboot, Door'andesh Thi,
Us Waqt Maulana Abul Kalam Azaad (Rh), Maulana Hussain Ahmad Madani (Rh), Maulana Mahmood Ul Hasan (Rh) Wa Deegar Ulema E Kiraam Ke Himmati Rawaiyye Par Amal Kiya Jaata Toh Ummat E Muslima Ko Aaj Shayad Itna Kharaab Din Na Dekhna Padhna,
Qaumon Ki Zindagi Me Aksar Aise Marahil (Stages) Aate Hain, Jab Unhe Waqt Aur Haalaat Se Samjhauta Karna Padhta Hai, Fil'waqt Aisa Lagta Hai Ke Qayadat Ne Hathyaar Daal Diye Hain, Lekin Aise Faisle Qaumon Ko Nayi Zindagi Dete Hain, Nayi Jaan Dete Hain, Halaat Ko Naye Sire Se Samjhne Ka Mauqa Dete Hain,
Lekin Aise Faisle Sirf Aur Sirf Wahi Qayadat Kar Sakti Hai, Jiske paas Tadabbur Ho, Faraasat Ho, Mustaqbal Ki Mansooba'bandi (Planning) Ho, Awaam Par Uski Poori Giraft Ho Aur Uski Saffon Me Ittehaad (Unity) Ho,
Husool Azaadi Ke Kuch Arse
Baad Maulana Azaad (Rh) Aur Deegar Ulema E Kiram (Rh) Aur Akaabireen E Millat Ko Bigadhte Hue Halaat Ka Andaaza Hone Laga Tha,
Shayad Isi Ke Pesh'e Nazar Badi Badi Conferences Ka Daura Chala,
Maulana Abu Kalam Azaad Ne Apne Inteqaal Se Pahle Dehli Me Ek Bada Jalsa Kiya,
Uske Kuch Dino Ke Baad Jawahar Lal Nehru Ki Kabeena (Cabinet) Ke Rukn (Member) Aur Senior Congressi Rahnuma Janab Sayyed Mahmood Marhoom Ne Mulk Me Millat E Islamiya Ki Khasta'haali Aur Zabon'haali Par Apni Shikaayat Darz Karaayi Jiske Nateeje Me Muslim Majlim Mushawwaraat Ki Buniyaad Padi,
Muslim Majlis Mushawwaraat, Jamaat E Islami, Jamiat E Ulema Hind, Aur Deegar Milli Tanzeemon Ko Taqseem Hind Ke Baad Mulk Me Hone Waale Bade Bade Firqa'waraanah Fasaadaat Aur Un Baaz Aabaad'kaari Ke Kaamon Se Kaamon Se Fursat Hi Nahin Milti Thi Ke Wah Millat Ke Siyaasi Wa Samaaji Haalaat Me Sudhaar Ke Liye Koi Tahreek Chalaayen,
Lekin Yahan Ek Baat Maanni Padegi Ke Itna Na'gufta ba Haalaat Ke Ba'wajood Qaumi, Milli Tanzeemon Ne Millat Ke Darmiyaan Har Tarah Ki Musbat KaMon Ko Aage Badhaaya,
Us Daur Me Bhi Poore Mulk Me Chhote Bade Madarson Ka Wajood Amal Me Aaya, Masjiden Bhi Bani Aur Unme Namazion Ka Bhi Zabar'dast Izaafa Hua,
Islami Literature Ki Taba'at Aur Isha'at Ka Bada Kaam Hua, Biraadraan E Watan Ke Darmiyaan Islam Ke Ta'aaruf Ke Kaam Ko Bhi Aage Badhaaya Gaya,
Uttar Pradesh Me Muslim Majlis Qayem Hui, De Abdul Jaleel Fareedi (rh) Ne Musalmano Ke Siyaasi Kaaz Ke Liye Apni Jaan Ki Baazi Laga Di,
Shakht Bimaar Hone Ke Ba'wajood Dr. Shahab Marhoom Ne Milli Kaaz Ke Liye Anthak Koshishen Ki, Jisse Shumaali Hindustan Me Millat Ke Siyaaasi Haalaat Bahtar Hue,
Maulana Ali Miyan Nadwi (Rh) Ki Qayadat Me Bhi Bade Kaam Hue, Uttar Pradesh Me Taaleemi Council Ke Zariye Itne Bade Paimaane Par Taaleemi Kaam Hua Jiska Aitraaf Na Karna Badi Na'insaafi Hogi,
Maulana Ali Miyan Nadwi (Rh) Ne Milli Kaaz Ki Husool'yaabi Ke Liye Apne Aapko Waqf Kar Diya,
Poore Mulk Me Islaami Aur Insaani Usoolon Ko Aage Badhaane Ke Liye Ek Munazzam Team Banaayi, Us Team Ne Poore Mulk Hi Me Nahin Balke Poore Duniya Me Islaami Aur Insaani Usoolon Ko Aage Badhaaya,
Maulana Ali Miyan Nadwi (Rh) Ki Zindagi Me Hi Darul Uloom Deoband Me Tana'za Ke Baad Taqseem Ki Buniyaad Padi,
Maulana Ali Miyan Nadwi (Rh) Wa Deegar Akabireen Millat Ne Ittehaad Ki Sanjeedah Koshishen Ki, Lekin Ye Koshishen Kaamyaab Nahin Hui,
Thode Thode Waqfe Ke Baad Mufti Ateequr Rahman Usmani, Hz Maulana Qari Muhammad Tayyab (Rh) Aur Ali Miyan nadwi (Rh) Allah Ko Pyaare Ho Gaye,
In Logon Ki Lambi Jeddo Jehad Aur Anthak Koshishin Ke Samre Me Mulk Me Secular Siyaasi Fikr Mazboot Hui Jiske Tahat 2004 Me Ex-Prime Minister Janab Manmohan Singh Ne Musalmano Ke Siyaasi, Samaji, Mu'asharti Aur Mu'aashi Haalaat Ki Jaankaari Ke Liye Sacchar Commeete Ki Tashkeel Ki,
Us Commision Ki Report Ne Goya Poori Millat Ki Fikr Ko Ek Nayi Jehat Di, Ek Naya Rukh Diya, Ek Naya Mijaaz Diya, Ek Nayi Maaloomaat Di, Ek Nayi Fikr Di, Ek Naya Hadaf Diya, Ek Nayi Daawat Di.....