Wednesday, May 14, 2014

NAU'JAWAAN LADKON ME JINSI BIMARIYAN AUR UNKA ILAAJ (FOR BOYS)- (PART-1)

Bismillahirrahmanirraheen

 

NAU'JAWAAN LADKON ME JINSI BIMARIYAN AUR UNKA ILAAJ (FOR BOYS)- (PART-1)

 

EHTELAAM- (WET DREAM)

Baaligh Hone Par Ladke Ke Andar Ek Zabardast Khwaahish Hoti Hai Ki Wah Ladkiyon Ko Jee Bhar Ke Dekhta Rahe, Aur Unke Zyada Se Zyada Qareeb Hone Ki Koshish Karta Hai,

Yah Khwaahish Raat Ko Neend Me Tarah Tarah Ke Khwaabon Ki Wajah Ban Jaati Hai,

Jo Khwaahish Poori Nahin Ho Sakti, Ladka Khwaab Me Use Poora Kar Leta Hai,

Agar Din Me Kisi Ladki Ke Jism Se Lazzat Haasil Karne Ka Use Mauqa Na Mile Toh Wah Raat Ko Khawaab Me Apni Khwaahish Poori Kar Leta Hai, Nateeje Me Use Lazzat Mahsoos Hoti Hai Aur Uski Mani (Sperm) Khaarij Ho Jaati Hai,

Is Tarah Khwaab Me Lazzat Ke Saath Mani Khaarij Hone Ko Ehtelaam Kahte Hain,

EHTELAAM KI WAJAH-

Iski Bahut Si Wajuhaat Hain

1- Lalchaayi Nigaahon Se Ladkion Aur Ladkon Ko Taakte Ghoorte Rahna

2- Ladkion , Ladkon Ke Jism Se Lazzat Haasil Karne Ke Khyaali Pulaav Pakaate Rahna

3- Khyaalon Hi Me Unse Milaap Kar Lena

4- Gandi Baat Cheet Karna

5- Gande Gaane Aur Recording Sunna

6- Gandi Tasweerein Dekhna

7- Apne Khyaalon Me Jinsi (Sexual) Khwaahison Ko Zyada Jagah Dena

8- Raat Ko Sote Waqt Kisi Ladki Ke Baare Me Sochna Aur Phir Sona

9- Sote Waqt Dimaagh Me Gande Khyaalaat Bhare Hona

10- Gandi Aur Fahash Filmein Dekhna,

11- Gande Novel Aur Kahaniyan Padhna

12- Qabz (Acidity) Rahna, Mede Me Gadbadh, Gas Aur Badhazami Rahna,

13- Pet (Stomach) Ka Bahut Zyada Bhara Hua Hona

14- Garm Dhoodh Ya Tea Pee Kar Sona

15- Bahut Zyada Paani Pi Lena

In Tamam Wajuhaat Me Agar Koi Bhi Wajah Zyada Shiddat Ke Saath Maujood Hogi Toh Ehtelaam Ka Hona Laazimi Hai,

Ladka Raat Ko Khwaab Me Dekhega Ki Wah Kisi Jism Se Lazzat Haasil Kar Raha Hai, Ya Kabhi Kabhi So Kar Uthega Toh Use Malum Hoga Ki Uska Pajaama Ya Underwear Mani Se Tarr Hai.

EHTELAAM SE BACHNE KE ILAAJ

Pahle Ham Aisi Baaton Ko Likhna Zaroori Samjhte Hain Jin Par Amal Karke Ladka Ehtelaam Se Mumkin Hadh Tak Bach Sakta Hai, Isme 2 Baatein Hain

1- KHYALAAT

Agar Sote Waqt Khyaalaat Saaf Hon Toh Amuman Ehtelaam Nahin Hoga, Yani Ladki Ya Ladke Ka Khyaal Na Hon, Jinsi Jazbaat Na Ubharne Paayen,

Yaad Rakhiye Maheene Me Agar 1 Ya 2 Baar Ya Kabhi 3 Baar Bhi Ehtelaam Ho Jaaye Toh Ghabraane Ki Zaroorat Nahin,

Lekin Agar Isse Zyada Baar Ehtelaam Ho Jaaye Toh Fiqr Ki Baat Hai,

Agar Hafte Me 2 ya 3 Baar Hone Lage Toh Tashweesh Baat hai, Fauran Iska Ilaaj Karaana zaroori Hai

2- ACCHI KITAABEIN PADHNA

Sone Se Pahle Ya Toh Course Ki Kitaabein Ya Koi Paak Saaf Kitaab Padhen, Deeni Kitaab Ho, Taareekhi Kitaabein Ya Jeevniyan Hon, Bade Logon ke Haalaat Ho, Science Ki Kitaab Hon,

Gharz Jin Kitaabon Me Jinsi (Sexual) Jazbaat Bhadkaane Waali Tahreerein Hon Unse Har Haal Me Bachen

ROOHAANI ILAAJ:

sote Waqt Quran Majeed Ki Un Aayaton Ki Tilaawat Ki Jaaye Jo Yaad Hon,

Nabi E Akram (Sws) Ne Iski Bahut Taaqeed Ki Hai,

Agar Aapko Thodi Hi Sooratein Yaad Hon Toh Unhe Hi Padhkar Soyen, Agar Kuch Bhi Na Yaad Ho Toh Kalimah E Taiyyaba Yani "La Ilaaha Illallah Muhammadur Rasoollullah" Ko Kai Baar Padhkar Soyen,

Bahtar Yah Hai Ko Quraani Aayaton Ka Kalmah Padhne Ke Baad Dono Hatheliyon Par Fhoonk Maar Kar Un Hathelion Ko Saare Badan Par Ferein,

Is Tareeqe Se Aap Shaitaan Ki Sharaarat Se Bach Jaayenge Aur In Sha allah Ehtelaam Na Hoga, Gharz Allah Ka Zikr Karte Hue Soyen

EHTIYAATI TAREEQE

uper Bataaye Gaye Tareeqon K Saath Saath Aapko Ye Tareeqe Bhi Istemaal Karne Padenge

1- Raat Ko Khaana Kam Khaayen

2- Raat Ko Khaana Jald Kha Len Aur Uske Baad Thodi Sair Kar Len Taaki Khaana Hazam Hone Me Aasaani Ho

3- Garm Dhoodh Ya Garm Tea Ya Zyada Paani Sote Waqt Na Piyen

4- Sote Waqt Thande Paani Ka Ek Lota Aazu (Private Part) Par Daal Len, Taaki Usme Josh Paida Na Ho

5- Na Bilkul Seedhe Soyen Na Hi Aundhe Balke Karwat K Saath Soyen

6- Jab Peshaab Ki Haajat Ho Toh Fauran Neend Se Jaag Kar Peshaab Kar Len, Kyonki Agar Peshaab Rok Lenge Toh Ehtelaam Zaroor Ho Jaayega

7- Sote Waqt Sar Ko Na Dhaanpe Aur LIhaaf Ya Chaadar K Andar Munh Daalkar Na Soyen, Balke Chehra Khula Rakhen

8- Agar Shaam Ko Ya Raat Ko Pakhaane Ki Haajat ho Toh Usse Fauran Faarigh Ho Lein

MEDICAL ILAAJ:

EHTELAAM ROKNE KI DAWAAYEN (MEDICINE)

Ham Neeche Bahut Si Dawaayen Likh Rahen Hain, Unme se Koi Si 2 Dawayen Aap Ek Saath Istemaal Kar Sakte Hain,

15-20 Din Tak Inhe Istemaal Karen Aur Jab Ehtelaam Me Kami Aa Jaaye Toh Dawa Band Kar Den,

Lekin Agar Kisi Waqt Fir Ehtelaam Ki Raftaar Badh jaaye Toh Fir Dawaayen Shuru Kar Den,

Yaad Rakhen, Shadi Se pahle Aksar Naujawaanon Ko Baar Baar Ehtelaam Zyada Hone Ki

Shikaayat Rahti Hai Aur Bahut Kam Haalaaton Me ehtelaam Normal Rahta Hai

1- Netrum Phos 12X (Nat. Phos 12 X)


4, 4 Goliyan Din Me 3 Baar

2- Netrum Miyur 12X (Nat. Mur. 12X)

4,4 Goliyan Din Me 4 Baar

3- Calcaria Phos 12X (Calcaria Phos 12X)

4-4 Goliyan Din Me 4 Baar

Bahtar Yah Hai Ki In Sab Dawaaon Ko Ek Saath Shuru Kiya Jaaye, Inmese Har Ek Dawaai Ki 30gms Waali Bottle Khareed Len Aur Phir Har Ek Bottle Me se 3-3 Goliyan (Yani Kul 9 Goliyan) Din Me 3 Baar Choos Liya Karen,

Ye Goliyan Chhoti Hoti Hain, Ye Dawaayen Bahut Mufeed Hain Aur Inke Aur Bhi Kai Faayede Hain

Pahle In Dawaaon Ko Istemaal Karen Aur Agar Inse Faayeda Na Ho Toh Fir In Dawaaon Ka Istemaal Karen

1- 200X (Selenium 200X) : 10 Ml Ki Bottle Khareed Len Aur Pahle 3 Din Tak Toh Har Roz Ek Baar Iski 6-6 Boondein (Drop) Ek Chauthaayi (1/4) Gilaas Paani Me Milaakar Piya Karen,

Phir Hafte Me Sirf Ek Baar Yaani Maheene Me 4 Baar , Dusre Maheene Me Ise Band Kar den

2- Avena Sativa Mother Tinxture (Avena Sativa Q):

Iske 10-10 Boond 1/4 Glass Paani Me Milaakar Din Me 3 Baar Piya Karen, 20 Din K Baad Dawa Band Kar Den,

Yan Ziryaan (Dhaat Marz) Ko Bhi Door Karti Hai Aur Dimaagh Ko Bhi Taaqat Deti Hai, Students Ke Liye Bahut Faayedemand Hain

GHUSL

Yaad Rakhiye Jab Mani Aazu Se Nikalne Par Lazzat Mahsoos Ho Toh Ghusl Waajib Ho Jaata Hai, Aur Beghair Ghusl Kiye Quran Majeed Padhna Ya Chhoona, Namaz Padhna Ya Masjid Me Daakhil Hona Jaiz Nahin Hai,

In sha allah Agle Post Ziryaan (Dhaat) Marz K Mutaalik Hoga..

Note  -Ye Sab Dawaayen Homeopathic Hain