Wednesday, October 17, 2012

EID-UL-ADHA-- FAZAIL WA MASAIL: (PART-3)









Bismillahirrahmanirraheem



EID-UL-ADHA-- FAZAIL WA MASAIL: (PART-3)




MUBARAKBAAD:


Eid ki namaz ke baad jab aapas me ek dusre se milein toh mubarakbaad in alfaz ke saath den

" taqabbalaho wa minna wa minkum"

( majmua ul zawaid jild 2 pg 206)


RAASTA BADALNA:


Eid ki namaz se wapsi par raasta badal kar aana chahiye, ye sunnat hai, hadith me hai,


hz jabir (ra) bayan karte hain ke jab eid ka din hota toh nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh)  jab eidain ke din (eid ki namaz ke liye) nikalte toh wapsi par dusre raaste se aate


(tirmizi jild 1 pg 97)

isi tarah ek aur riwayat hai

hz ibn umar (ra) se riwayat hai ki nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ek raaste se gaye aur dusre raaste se waapas aaye


(abu dawood jild 1 pg 163, baiheqi jild 3 pg 309)


QAZA:


Agar kisi wajah se namaz mein shareek na ho saka aur eid ki namaz jamat na ada ho saki toh akele do rakat namaz padh  Leni chahiye

(bukhari jild 1 pg 134)


hz ata (rh) bayaan karte hain ke:-" jab kisi ki eid ki namaz jaati rahe  (toh wah eid ki namaz ki tarah ) do rakatein padh le "

is riwayat ke hashiye me allama abu muhammad abdul sattar muhaddis dehlawi farmate hain:-" isko imam zaryabi (rh) ne apni musannaf me  darj kiya hai, bab ke saath mutaabaqat zaahir hai,

baiheqi me hai ke hz anas (ra) se jab imam ke saath eid ki namaz faut ho jaati toh wah apne ghar walon ko jama karke eid ki namaz do rakat jamat se padh lete,,

isi par imam bukhari ka qaul hai aur yahi fatawa hai imam shafai aur imam malik ka "

(nusratul bari 4/111)


EID AUR JUMAH:


Eid aur jumah jab ek din ikatthe aa jaate hain toh baaz jaahil e deen se na'waqif log badi fuzool baatein karte hain, wah isko muqaddas aur baas e rahmat samjhte hai, ye unki apne deeni masail se adam waqfiyat ki daleel hai,

jab eid aur jumah ikkatthe jama ho jaayen toh Uske mutaallik hadith me hai,


hz ayyash bin abi ramla shami (ra) riwayat karte hain ke main hz muawiya (ra) k paas aaya toh wah hz zaid bin arqam (ra) se poochte ke:-" kabhi ittefaaq se aisa bhi howa ke do eidain (eid aur jumah) ikatte aayen hon, aur tu nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke paas ho  "

toh hz zaid bin arqam ne kaha:-" haan!"

toh hz muawiya (ra) ne poocha:-" phir aapne kya kiya?"

hz zaid bin arkam ne jawab diya ke:-" nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne eid ki namaz padhi aur jumah ke liye rukhsat di aur farmaya:- jiska dil chaahe jumah padhne ko toh padh le "

( abu dawood jild 1 pg 153, nisaai, miftah al haja 94, daarmi jild 1 pg 314, baiheqi jild 3 pg 317)


NABI E AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) KA 10 SAALA AMAL:


nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) madeena munawwara me 10 saal rahe, aap har saal qurbani kiya karte they,


hz ibn umar   (ra)  riwayat karte hain ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne 10 saal madeena me qayam farmaya, aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) (har saal ) qur'bani karte

( tirmizi jild 1 pg 217, miftah al hajah )


QURBANI KI TAAQEED:


allah taala taufeeq de toh qurbani zaroor karni chahiye aur uska ajar o sawab haasil karna chahiye, kitni badi khush naseebi hai ke har baal ke badle neki milegi, lekin kitna badnaseeb hai wah insan ke jo taaqat rakhne ke ba'wajood qur'bani nahi karta


QUR'BANI KE JANWAR AUR UNKI UMAR :


Qurbani , oonti, gaaye, bakri, aur bhedh(nar aur maada ki), ki jaati hai,

pahle 3 jaanwaron ka do daanta hona zaruri hai, agar  mazkoorah 3 jaanwar do daanta na mil saken toh bhedh, dumba, bhi qurbani kiya ja sakta hai, jaise ke hadith me hai,

hz jaabir (ra) se riwayat hai ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" zibah karo, qurbani me Jaanwar magar do daanta, albatta jab tumpar aisa jaanwar milna mushkil ho jaaye toh tum qurbani ke liya dumba ka jaz'a zibah kar lo "

( muslim jild 1 pg 155, abu dawood jild 2 pg 30, nisai jild 2 pg 203, miftah al hajah 234, baiheqi 269)


(AYOOB) AIB:


qurbani ka jaanwar khoob mota taaza aur tandurust aur be'aib hona chahiye aur qurbani ke janwar me aisa aib na ho jiski wajah se unki qurbani durust na ho, hadith me hai,


hz bara bin ajib (ra) marfu bayan karte hain yani nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne irshad farmya:-" ye jaanwar qurbaan na kiye jaayen

1- langda jaanwar, jiska langdapan zaahir ho,

2- kaana, jiska kaanapan zaahir ho,

3- jiski bimari zaahir ho,

4- kamzor aur laaghar jiski haddiyon me gooda na ho,"

( tirmizi jild 1 pg 216, abu dawood jild 2 pg 31, nisaai jild 2 pg 202)


hz ali (ra) bayan karte hain, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne hamen huqm diya Hai ke:-" ham (qurbani ke janwar ki, aankh aur kaan achhi tarah dekh len aur (ye janwar) qurban na karen

5- jiske kaan ooper ki taraf kate hue hon,

6- jiske kaan neeche ki taraf kate hue hon,

7- jiske kaan lambaai ki taraf chire hue ho,

8- jiske kaan me gol suraakh ho, "

( tirmizi jild 1 pg 216, abu dawood jild 2 pg 32, nisaai jild 2 pg 202, mishkaat jild 1 pg 128)


hz ali (ra) bayan karte hain ke:-" nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne hamen mana kiya hai ke (ye janwar) qurbani karen

9- toote hue seengh waala

10- kate hue kaan waala "

( miftah al haja 234, mishkat jild 1 pg 128, abu dawood jild 3 pg 32)


ek aur riwayat me hai

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne ( in janwaron ki qurbani karne se mana kiya hai )

11- jiska kaan ukhaad diya gaya ho, aur uska sooraakh baaqi ho,

12- jiska seengh jadh se nikal gaya ho,

13- jiski aankhon ki roshni khatm ho gayi ho,


14- itna kamzor ke rewad ke saath chalne ki bhi usme taqat na ho,

15- is qadr dubla ke haddiyon me gooda na ho, ya paaon toot jaane ki wajah se chal na sake,
ek riwayat me hai ke un jaanwaron ki bhi qurbani jayez nahi,

16- wah jaanwar jiske khujli ho,

17- wah jaanwar jiska than (breast) kata hua ho "


( abu dawood jild 2 pg 31, majmua al zawaid jild 4 pg 19)


BAAD ME AIB KA PAIDA HONA:


qurbani ka janwar tandrust aur be'aib hona chahiye, baaz auqaat aise hota hai ke qurbani ka jaanwar khareedte waqt sahih tha, lekin baad me usme koi nuqs paida ho jaata hai, jabke qurbani ke liye khareedte waqt wah be'aib tha,

iske mutaalliq hadith me hai


hz abu saeed khudri (ra) bayan karte hain ke ham ne qurbani ke liye ek mendha khareeda, bhediya (deer) uske sureen aur kaan le gaya, hamne iske baare me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se poocha,

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne Farmaya:-" uski qurbani karo "

(miftah al hajah sharah ibn majah pg 234)


ye riwayat dhaef hai, iske elawa is riwayat ko baiheqi aur ahmad ne bhi riwayat kiya hai,

baaz ulema ka khayaal hai aur unhone isse istadlal kiya hai ke:-" takhshees ke baad agar nuqs paida ho jaaye toh koi harz nahin, "

lekin baaz ulema isse daleel pakadna durust nahi samjhte ke ye riwayat dhaeef hai,

isliye bahtar yahi hai ke jaanwar badal kar  be'aib tandarust khareed kar qurbani kiya jaaye,

haan itni gunjaish malum hoti hai ke :-" aadmi ghareeb hai aur jaanwar badalne ki taaqat nahi rakata toh wah qurbani kar le, kyonke na karne se bahtar hai "


TO BE CONTINUED....