Monday, October 15, 2012

EID-UL-ADHA-- FAZAIL WA MASAIL: (PART-1)









Bismillahirrahmanirraheem



EID-UL-ADHA-- FAZAIL WA MASAIL: (PART-1)


FAZAIL ASHRAH DHUL-HIJJAH:



Dhul-hijjah islami saal ka 12wa mahina hai, waise toh saara mahina khair o barkat wala hai, lekin iske pahle 10 dino Ko khususi sharf haasil hai jaise ke hadith shareef me hai


hz ibn abbas (ra) bayan karte hain ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne irshad farmaya:-" ashrah dhul hijjah ke amaal e swaaleh allah taala ko jis qadr mahboob wa pasand hain, dusre dino ke aamal is qadr mahboob nahi,

sahaba kiram (ra) ne arz kiya:-" aiy allah ke rasool nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ! Dusre dino ka jihad bhi ?

Aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" dusre dino ka jihad bhi is qadr mahboob nahin, haan mujaahid apni jaan aur maal allah taala ke raaste me qur'ban karde toh aisa jihad afzal aur pasandeedah ho sakta hai "

(bukhari, tohfatul ahwazi jild 2 pg 58, Abu dawood jild 1 pg 332, miftah al haja sharah ibn majah pg 125, baihaqi jild 4 pg 285, mishkat jild 1 pg 127-128)


TAKBEERAAT:


Dhul-hijjah ka chand dekhte hi takbiraat kahni shuru kar deni chahiye, chalte firte, uthte baithte takbeeraat kahte rahna chahiye jaise ke hadith me hai


hz abullah bin umar (ra) aur hz abu hurairah (ra), dhul hijjah ke pahle 10 dino me jab bazaar ki taraf tashreef le jaate toh (chalte firte ) takbeerein kahte aur log bhi unke saath takbeerein kahte "

(bukhari jild 1 pg 132)

TAKBEERAAT KE ALFAAZ:


"  allahu akbar, allahu akbar, la illaha illah, wallahu akbar wallahu akbar wallilahil hamd , allahu akbar allahu akbar allahu akbar kabeera "

(dare kutni jild 2 pg 50)

ek aur riwayat me hai ke hz abdullah bin umar (ra) bayan karte hain ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" dhul hijjah ke pahle 10 din allah taala ke nazdeek bahut hi azmat aur Buzurgi waale hain aur in dino ke nek aamaal allah ke nazdeek zyada mahboob hain ba'nisbat dusre dino ke pas tum in dino me kasrat se tahleel, takbeer aur tamheed kaho, yani takbeerein wagerah kasrat se padha karo "

(mutawaffiq alaih )


HAJAAMAT:


Jis shakhs ki taraf se qurbani karni ho toh us shakhs ko chahiye ke wah ashrah dhul hijjah ke dauraan apni hajaamat na banwaaye,

dhul hijjah ka chand nazar aane se pahle apni hajaamat wagerah banwa sakta hai, kyonke qurbani karne wale ke mutaallik hadith me hai,

ummul momineen hz umme salma (ra) bayaan karti hain ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jis shakhs ke paas qurbani ka jaanwar ho, aur wah usko qurbani ke din  qurbani ke liye zibah karna chaahta hai toh usko chahiye ke jab se dhul hijjah ka chand nazar aajaye toh wah apne baal aur naakhun wagerah na katwaaye (yani hajamat na karwaaye) yahan tak ke wah qur'bani kare "



( muslim jild 2 pg 140, abu dawood jild 2 pg 30, baiheqi jild 9 pg 266, miskaat jild 1 pg 127)


jis shakhs me qurbani karne ki taaqat nahi toh usko bhi chahiye ke wah bhi ashrah dhul hijjah me hajaamat na banwaaye,

eid ke baad hajaamat banwaaye toh allah taala usko apni rahmat se qurbani ka sawab inaayat farma dega,

jaise ke hadith me hai,

jab ek aadmi ne nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se arz kiya ke mere paas qurbani ke liye toh koi jaanwar nahin, lekin mere paas ek doodh denewala jaanwar hai, (adam iste'taat ka izhaar kiya ), kya main uski qurbani kar lun ??

Toh nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" nahin ! Balke tu eid ki namaz ke baad apne baal aur naakhun aur moochhen katwa aur apne zer e naaf baal moondh le, bas allah taala ke nazdeek yahi teri poori qurbani hai "

( abu dawood jild 2 pg 29, nisaai jild 2 pg 201)


lihaaza qurbani ki poori iste'taaat na Rakhne waalon ki tarah dhul hijjah ka chaand dekh kar hajaamat na karwaayen, eid ki namaz ke baad hajaamat karwaayen,


ARFAH KE DIN KA ROZA:


dhul hijjah ki 9wi taareekh ko roza rakhne ki bhi badi fazilat hai, jaise ke hadith me hai,

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" mujhe ummeed hai arfah ke roze ke sawaab ki allah taala ek saal ghujashta aur ek saal aainda ke gunaah maaf kar dega "

( muslim jild 1 pg 367, tohfa ahwazi jild 2 pg 55-56, abu dawood jild 1 pg 329, baiheqi jild 2 pg 283)


EIDAIN KA ROZA:


Eidain ( eid ul fitr aur eid ul adha ) ka roza rakhna mana hai, isliye ke hadith me hai


hz abu saeed khudri (ra) riwayat karte hain ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne:-" eid ul fitr aur eid ul adha ke din roza rakhne se mana kiya hai "

( bukhari jild 1 pg 267, muslim jild 1 pg 360. Abu dawood jild 1 pg 328, tohfatul ahwazi jild 2 pg 26, daarimi page 353,)




EIDAIN KE DIN KHAANA:


Eid ul fitr ki namaz padhne ke liye kuch kha pee kar jaana chaahiye, aur eid ul adha ke din eid ki namaz padhkar kuch khaana peena chahiye, jaisa ki hadith me hai


hz abdullah bin bareeda (ra) apne baap se riwayat karte hain, wah kahte hain ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) :-" eid ul fitr ke din (eid ul fitr ki namaz padhne ke liye) nahin nikalte they yahan tak ki kuch khaa pee lete, aur eid ul adha ke din nahin khaate they, yahan tak ki eid ki namaz padh lete "

( tohfatul ahwazi jild 1 pg 380, darimi jild 1 pg 314, baihaqi jild 3 pg 283)


EIDGAAH KI TARAF PAIDAL JAANA:


Eidgaah ki taraf paidal jaana sunnat hai, jaise ke hadith me hai,

ibn umar (ra) bayaan karte hain ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) eidgaah ki taraf paidal chal kar jaate ( eid ki namaz padhne ke liye, eid ki namaz padhkar ) waapas aate they (iski sanad me abdul rahman bin Abdullah umri zaeef hai ) "

( miftah al hajah sharah ibn majah 93, baiheqi jild 3 pg 281)

ek aur riwayat me is tarah hai,


hz ali (ra) farmate hain ke:-" ye sunnat hai ke eidgaah ki taraf paidal jaana chahiye aur ( eid ul fitr ki taraf ) jaane se pahle kuch kha pi lena chahiye "

(tohfatul ahwazi jild 1 pg 373)


sunnat yahi hai ke eidgaah ki taraf paidal chalkar jaaye aur waapas bhi paidal chalkar aayen,

haan ! Agar kamzor aur mareez hai, ya eidgaah door faasle par hai, itna chalne ki taaqat nahi toh phir sawaari par bhi aana jayez hai,

agarchah imam baiheqi ne abu dawood ke hawale se likha hai ke waapsi par sawaar ho kar aasakta hai

(baiheqi jild 3 pg 281)


TAKBEERAAT:


Eidgaah ki taraf jaate waqt aur Waapas aate waqt  jahar se takbeeraat padhni chahiye, jaise ke marwi hai,

hz nafe (ra) riwayat karte hain , hz ibn umar (ra) se ke:-" ibn umar (ra) eid ul azha aur eid ul fitr ke din jab eidgah Ki taraf jaate toh buland awaaz se takbeerein kahte, yahan tak ke eidgaah me pahunch jaate phir eidgah me bhi pahunch kar takbeerein kahte, yahan tak ke imam sahab aajaate, eid ki namaz padhaane ke liye "

( daar e kutni jild 2 pg 45)

is baare me aur bhi riwayat daare kutni (kitabul eidain ) jild 12, baiheqi ( bab takbeer ) jild 3 pg 278, me mazkoor hai,

lekin un riwayat ki sanad haisiyat kawi nahin,


haan ! Aurtein raaste me buland aawaz se takbeeraat na kahen, balke wah apne munh me aahista aahista  posheedah sirri aawaz se padhen.....



AURTON KO EIDGAH ME LE JAANA:


Aurton ka mardon ke saath eidgah me jana sunnat hai,

is baare me bukhari pg 133, muslim jild 1 pg 291, tohfatul ahwazi jild 1 pg 379, abu dawood jild 1 pg 41, nisaai jild 1 pg 131, darimi jild 1 pg 314, baiheqi jild 3 pg 306, me riwayat milti hain jinka khulasa ye hai


hz umme atiya (ra) bayan karti hai ke nabi e akram sallalaho Alaihi wasallam (pbuh) ne hamen is baat ka huqm diya hai ke :-" ham apni naujawaan aur haiz waali aur pardah naseeh khwaateen ko eid ul fitr aur eid ul adha ke mauqe par eidgaah ki taraf le jaayen (taake wah eid ki namaz ada karen ) aur musalmano ki duaon aur bhalaai me shareek hon,"

haan haiz wali aurtein namaz se alaiheda (alag) rahen,

hz umme atiya (ra) kahti hain ke maine arz kiya:-" aiy allah ke rasool ! Kisi ke paas chadar nahin hoti ?"

aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh)  ne farmaya:-" uski ( musalman saheli, padosi ) bahem usko apni chadar pahna de "


EIDAIN KI NAMAZ MAIDAN ME:


Hz ali (ra) farmate hain ke:-" eidain ki namaz sahra aur maidaan me padhna sunnat hai "

(majmua al zawaid jild 1 pg 223)


EIDAIN KI NAMAZ MASJID ME:


Kisi gharz ki wajah se eidain ki namaz masjid me bhi padhi ja sakti hai


hz abu hurairah (ra) bayaan karte hain ke ek dafa eid ke din baarish hogayi Toh baarish ki wajah se nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne eid ki namaz sahaba kiram (ra) ko masjid me padhaai

( abu dawood jild 1 pg 164, miftah al hajah sharah ibn majah pg 94)


TO BE CONTINUED......