Bismillahirrahmanirraheem
EID-UL-ADHA--
FAZAIL WA MASAIL: (PART-2)
EIDAIN KI
NAMAZ KA WAQT:
Hadith me
hai
hz
abdullah bin bisr (ra) jo ke nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh)
ke sahabi they, wah logon ke saath
(eidgaah ki taraf ) eid ul fitr ya eid ul adha ke din ( eid ki namaz ada karne
ke liye ) nikle toh unhone na'pasand kiya, imam ke deir karne ko yani eid ki
namaz der se padhne ko aur farmane lage:-" ham toh us waqt faarigh ho
jaate they jab chaast ki namaz ka waqt hota "
(abu
dawood jild 1 pg 161, miftah al hajah pg 94)
ek aur
riwayat me is tarah hai
hz abi
huwairis (ra) se riwayat hai ke nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne
umar bin hazam ki taraf likha jabke wah (umar bin hazam) bahra me rahte they
ke:-" eid ul adha jaldi aur eid ul fitr
zara deir se padha karen aur logon ko nasihat karen "
isliye
eid ul adha, eid ul fitr ki ba'nisbat jaldi padhni chahiye,
EIDAIN ME
AZAAN WA IQAMAT NAHI:
Eidain ki
namaz ke liye azaan wa iqaamat nahi hai,
hz ibn
abbas (ra) aur hz jabir bin abdullah (ra) riwayat karte hain ke:-" nabi e
akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ke
daur me eid ul fitr aur eid ul adha ke din ( eidain ki namaz ke liye )
azaan nahin ki jaati "
(tohfatul
ahwazi jild 1 page 375)
ek aur
riwayat me hai
hz jabir
bin samurrah (ra) bayan karte hain ke:-" maine nabi e akram sallaho alaihi
wasallam (pbuh) ke saath ek martaba nahin, do martaba nahin balke kai martaba
eidain ki namazen beghair azaan wa iqaamat ke ada ki hain "
( muslim
jild 1 pg 290, tohfatul ahwazi , abu dawood 164, baiheqi jild 3 pg 284)
EIDAIN KI
NAMAZ KE PAHLE WA BAAD NAFIL:
eidain ki
namaz se pahle wa baad me nafil padhne ka waqt nahin milta jaisa ke hadith me
hai,
hz ibn
abbas (ra) se riwayat hai ke:-" nabi e akram sallaho alaihi wasallam
(pbuh) eidul fitr ke din (namaz padhne
ke liye ) nikle toh aapne (eid ki namaz) do rakatein padhi, unse pahle aur baad
me koi (sunan wa nawafil) nahin padhe "
(
bukhari, jild 1 pge 291, tohfatul ahwazi jild 3 pg 295, abu dawood 164, nisai
jild 1 pg 235)
is
riwayat me eid ul fitr ka tazkirah hai baaz riwayaton me muttallik lafz eid ka
zikr hai, lekin muslim shareef me jo riwayat hai usme lafz adha wa fitr dono
aaya hai,
"
aap nikle eid ul adha ya eid ul fitr ke din "
(muslim
jild 1 pg 391)
aur isi
tarah ek aur riwayat jismein dono eidon ka zikr hai,
(baiheqi
jild 3 pg 302 me bhi hai )
EIDAIN KI
NAMAZ KHUTBA SE PAHLE:
Eidain ki
namaz khutbe se pahle padhni chahiye, jaise ke hadith me hai,
hz ibn
umar (ra) bayaan karte hain ke :-" nabi e akram sallaho alaihi wasallam
(pbuh) aur hz abu bakr (ra) aur hz umar (ra) eidain ki namaz khutbe se pahle
padha karte they "
( bukhari
jild 1 pg 131, muslim jild 1 290, tohfa tul Ahwazi pg 374, nisaai jild 1 pg
233, baiheqi jild 3 pg 296, darimi jild 1 pg 314)
EIDAIN KI
NAMAZ
Eidain ki
namaz do do rakatein hain, yani eid ul fitr ki do aur eid ul adha ki do, jaise
ki hadith me hai,
hz umar
(ra) se riwayat hai bayan karte hain ke:-" eid ul adha ki namaz do
rakatein hain aur eid ul fitr ki namaz do rakatein hain, aur musaafir ki namaz
do rakatein hain aur jumah ki namaz do rakatein hain, ye sab namazein poori
hain qaza nahin, nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ke farmaan ke
mutaabik "
( nisaai
jild 1 pg 232)
imam
baiheqi (rh) ne bhi bab baandh kar saabit kiya hai ke eid ki namaz do rakatein
hain
(baiheqi
jild 3 pg 295)
isi tarah
kutub hadith me aksar riwayat se saabit hai ke nabi e akram sallaho alaihi
wasallam (pbuh) ne eid ki namaz do rakatein padhi hain, aur eid ki namaz ki un
dono rakaton se pahle aur baad me koi sunan wa nawafil nahi padhi,
TAKBEERAAT
NAMAZ E EID:
Pahli
rakat me qir'at se pahle 7 takbeerein aur dusri rakat me qirat se qabl 5
takbeerein kahni chahiye,
hz qaisar
bin abdullah apne baap ke waaste se apne dada se bayaan karte hain ke:-"
nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne eidain ki namaz me pahli rakat
me qir'at se pahle 7 takbeerein aur dusri rakat me qirat se pahle 5 takbeerein
kahin "
(tohfatul
ahwazi , miftah al hajah sharah ibne majah 92, baiheqi 276)
aur
deegar sahaba kiram se bhi marwi hai
(abu
dawood jild 1 pg 163, darimi jild 1 pg 315)
RAFUL'YADAIN:
"hz
ibn umar (ra) janaza aur eidain ki tamam takbeeron ke saath rafulyadain kiya
karte they, "
(mutawaffiq
allaih )
iski
sanad me ibn lahiya zaeff hain, aur takbeeraat eidain ke saath, rafulyadain ka
mufassal bayan, fatawa ahle hadith jild 3 pg 403, ulema e hadith jild 4 pg
178-194 me bhi hai,
QIR'AT:
hz umar
(ra) ne abu waqid laisi (ra) se Sawaal kiya ke nabi e akram sallaho alaihi
wasallam (pbuh) eid ul adha aur eid ul fitr ki namaz me (surah fatiha ke baad )
kiya padhte they?? Toh unhone kaha:-" nabi e akram sallaho alaihi wasallam
(pbuh) unme surah qaaf aur surah qamar padhte they",
( muslim
jild 1 pg 291, tohfatul ahwazi jild 1 pg 375)
aur ek
riwayat me is tarah hai
hz noman
bin baseer (ra) se riwayat hai ke nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh)
ne eidain aur jumah me " sabbi'hisma rabbikal aala " aur " hal
ataaqa hadisul ghaashiya " padha karte they "
(muslim
jild 1 page 288, abu dawood jild 1 pg 163)
NAMAZ KE
BAAD KHUTBA:
Khutba
eid ki namaz ke baad padhna chahiye, jaise ki imam ul muhaddiseen imam bukhari
(rh) ne apni sahih me bab baandh kar saabit kiya, hadith me hai,
hz ibn
abbas (ra) bayaan karte hain ke main eid ki namaz ke waqt haazir hua, nabi e
akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) aur hz abu bakr (ra) Aur hz umar (ra) aur
hz usman (ra) ke saath, toh ye tamam eid ki namaz khutbe se pahle padha karte
they
(bukhari
jild 1 pg 131)
aur dusri
riwayat imam marhoom ne pesh ki hai jo eidain ki namaz qabl az khutba me ghuzar
chuki hai, aur inke elawa imam nisaai ne bhi bab baandh kar saabit kiya hai
hz
abullah bin abbas (ra) bayan karte hain ke:-" main haazir tha nabi e akram
sallaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath eid ki namaz me, nabi e akram sallaho
alaihi wasallam (pbuh) ne pahle namaz padhi phir khutba diya "
(nisaai )
hz bara
bin azib (ra) bayan karte hain ke:-" nabi e akram sallaho alaihi wasallam
(pbuh) ne eid ul adha ke din namaz ke
baad khutba padha "
MIMBER:
eid ke
din eid ka khutba mimber par dena khilaaf e sunnat hai, hadith me hai,
hz tariq
bin shihab(ra) riwayat karte hain ke marwan ne eid ke din mimber nikalwaya aur
namaz se pahle khutba diya, ek shakhs ne khade hokar kaha ke :-" Marwan
tumne sunnat ke khilaaf kiya hai ke eid
ke din mimber nikalwaaya, halaanke is din mimber nahin nikalwaya jaata tha, aur
tumne namaz se pahle khutba diya,
abu saeed
ne farmaya ke:-" usne apna farz ada kar diya, maine nabi e akram sallaho
alaihi wasallam (pbuh) se suna. Aap farmate they:- agar koi buri baat dekhe aur
use mita sake toh haath se mita de, agar na ho sake toh zabaan se roke, agar ye
bhi na ho sake toh dil me bura samjhe, ye intehaai kamzor imaan hai "
(bukhari
bab al khurooj al musalli beghair mimber )
isse ye
saabit hua ke eidain ka khutba mimber par dena nabi e akram sallaho alaihi
wasallam (pbuh) ke khilaaf hai,
DO
KHUTBE:
Iske
mutaallik hadith me hai,
hz jabir
(ra) bayaan karte hain ke :-" nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh)
eid ul fitr ya eid ul adha ke din nikle toh aapne (namaz ke baad ) khade hokar
khutba diya, phir aap thodi deir baithe phir khade hue (yani Dusra khutba diya
)"
(miftah
al hajah sharah ibn majah pg 92)
ek aur
riwayat nisaai jild 1 pa 233 md hai, aur iske elawa imam nisaai apni sunan jild
1 pg 235 me baab munaqid kiya hai,
hz jabir
bin samurra (ra) se riwayat hai ke :-" maine nabi e akram sallaho alaihi
wasallam (pbuh) ko dekha, aap khutba khade hokar dete, phir aap nabi e akram
sallaho alaihi wasallam (pbuh) baith jaate thodi si der, aur us baithne me
qalaam nahi karte they, phir aap khade ho jaate they, phir dusra khutba padhte
, agar koi tujhe kahe ke nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne khutba
baith kar diya toh tu uski tasdeeq na kar "
aur usse
aage aur ek bab me imam nisai ne bab baandha
hz jabir
bin sammurra (ra) riwayat karte hain ke :-" nabi e akram sallaho alaihi
wasallam (pbuh) khutba khade hokar dete, phir baith jaate phir khade ho jaate,
aur (qalaamullah) ki aayatein padhte, nabi e akram sallaho alaihi wasallam
(pbuh) ka khutba bhi darmiyaan na hota, aur aap nabi e akram sallaho alaihi
wasallam (pbuh) ki namaz bhi darmiyaani hoti "
(nisaai
jild 1 pg 235)
agrchah
mazkoorah aakhiri do riwayaton me matan me eid wagerah ka tazkirah nahin lekin
imam sahab (rh) in riwayaton ko " kitab
salatul eidain " ke tahat bab me laaye hain, aur unke elawa eid ke do
khutbon ke mutaallik fatawa ulema e hadith page 183, 188, 196 jild 4, me ulema
e deen ke fatawe bhi maujood hain,
nez
khateeb ko khutba ke waqt sunnat e nabwi ke mutabik haath me asaa le lena
chahiye jis tarah abu dawood ki riwayat me kamaan ka dikr hai,
hz yazeed
bin barra (ra) apne baap se riwayat karte hain ke:-" eid ke din nabi e
akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ko kamaan di gayi, aapne uspar tekh de kar
khutba diya "
(abu
dawood jild 1 pg 162)
ek aur
riwayat me hai,
hz bara
bin azib (ra) bayan karte hain ke :-" eid ul adha ke din ham eidgaah
me Baithe they, hamare paas nabi e akram
sallaho alaihi wasallam (pbuh) tashreef laaye, aap nabi e akram sallaho alaihi
wasallam (pbuh) ne logon ko salaam kiya aur phir farmaya:-" aajkd din tumhara
pahla kaam namaz hai, phir aap aage badhe, aapne (eid ki namaz ki ) do rakatein
padhaayi, phir logon kh taraf muh kiya, phir aapko kamaan ya asaa (laathi ) di
gayi, aapne us par tekh lagaayi, phir allah ki hamd o sana bayaan ki (khutba
diya )"
(baiheqi
jild 3 pg 300)
TO BE
CONTINUED.....