Bismillahirrahmanirraheem
NABI-E- AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) PAR DUROOD BHEJNA:
MASLA: 110
Allah taala ne tamam iman waalon ko nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) par durud shareef bhejne ka huqm diya hai
" beshaq allah taala, nabi par apni rahmatein bhejta hai aur farishte nabi ke liye rahmat ki dua karte hain toh aiy logon jo imaan laaye ho ! Tum bhi nabi par durud bhejo aur salam kaho jis tarah salam kahne ka haq hai "
(surah ahzab 56)
MASLA-111
ek baar durud bhejne waale par allah taala 10 rahmatein bhejte hain, 10 gunah maaf karte hain aur 10 darjaat buland farmate hain
hz anas (ra) kahte hain ki nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) nd farmaya:-" jisne mujhpar ek baar durud bheja, allah taala us par 10 rahmatein bhejenge , uske 10 gunah maaf farmaayenge aur 10 darje buland farmayenge "
(sahih sunan nisai, lil albani part 1 hadith 1230)
MASLA-112
10 baar subah, 10 baar shaam aap par durud bhejna qayamat ke din nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ki shafaat haasil karne ki wajah hai
hz abu darda (ra) kahte hain ki nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jisne 10 baar subah, 10 baar shaam mujh par durud bheja use qayamat ke din me shifaarish haasil hogi "
(tabrani, sahih jame sageer lil albani hadith 6233)
MASLA-113
Durud shareef ka zyadati se wazeefa qayamat ke din nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ki nazdeeki ki wajah banegi
hz abdullah bin masud (ra) kahte hain ki nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jo shakhs mujhpar zyadati se durud bhejta hai, qayamat ke din wah sabse zyada mere qareeb hoga "
(tirmizi abwabul witr, bab maaja fi fazuls'salaat alan nabi )
MASLA-114
Durud shareef ka zyadati se wazeefa gunaahon ki maafi aur tamam duniyaawi taqleef aur pareshaaniyon se nijaat Haasil karne ka aalaat (sources) hai
hz ubay bin kaab (ra) kahte hain ki maine nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) se arz kiya:-" aiy allah ke rasool nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ! Main aap nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) par zyadi se durud bhejta hun, apni dua me kitna waqt durud ke liye waqf karun?"
nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jitna tu chaahe "
maine arz kiya:-" kya ek chauthaai (1/4) sahih hai ?"
nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jitna tu chaahe, lekin agar usse zyada kare toh tere liye accha hai "
maine arz kiya:-" aadha (1/2) waqt muqarrar kar dun ?"
nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jitna tu chaahe, lekin agar isse zyada kare toh tere liye achha hai "
maine arz kiya:-" do tihaayi (2/3) muqarrar kar dun ?"
nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-"jitna tu chaahe , lekin agar isse zyada kare toh tere liye bahtar hai "
maine arz kiya:-" accha, main apni saari dua ka waqt durud ke liye waqf karta hun "
nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" yah tere saari taqleefon aur ghamon ke liye kaafi hoga aur tere gunaahon ki maafi ki wajah hogi "
(sunan tirmizi lil albani part 2 hadith 1999)
MASLA-115
JAb tak durud shareef ka wazeefa kiya jaaye tab tak farishte durud shareef padhne waale ke liye rahmat ki dua karte rahte hain
hz amir bin rabi'a (ra) apne baap se riwayat karte hain ki nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jab tak koi musalman mujh par durud bhejta hai us waqt tak farishte uske liye dua e rahmat karte rahte hain, ab jo chaahe kam padhe , jo chaahe zyada padhe "
(ibn majah kitab iqamatis'salaat bab salaat alan nabi 1/739)
MASLA-116
nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) KA mubarak naam sunkar durud na Bhejne waale ke liye nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne barbaad hone ki bad'dua farmayi hai
hz kaab bin uzra (ra) kahte hain ki ek din nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne mimber laane ka huqm diya aur ham mimber laaye,
jab nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) pahli seedhi par chadhe toh farmaya:-" aameen " ,
dusri seedhi par chadhe toh farmaya:-" ameen "
teesri seedhi par chadhe toh farmaya :-" aameen "
khutba se faarigh hone ke baad jab nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) mimber se neeche tashreef laaye toh sahaba kiram (ra) ne arz kiya:-" aaj aap nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) se hamne aisi baat suni hai jo isse pahle nahi suni thi "
nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jibreel (as) tashreef laaye they, aur unhone kaha:-" tabaahi hai us aadmi ke liye jisne ramzaan ka maheena paaya lekin apne gunah na bakhswaaye"
maine Jawab me kaha:- ameen,
phir jab main dusri seedhi par chadha toh jibreel (as) ne kaha:-" tabaahi ho, us aadmi ke liye jiske saamne nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ka naam liya jaaye, lekin wah aap par durud na bheje "
maine jawab me kaha:- ameen
jab teesri seedhi par chadha toh jibreel (as) ne kaha:-" tabaahi hai us aadmi ke liye jisne apne maa baap ya dono mese kisi ek ko budhaape ki umar me paaya, lekin unki khidmat karke jannat haasil na ki "
maine jawab me kaha:-" aameen "
(Haakim fazl salaat alan nabi lil albani hadith 19)
MASLA-117
Durud shareef padhna chhod dena jannat se mahroomi ki wajah hai
hz abdullah bin abbas (ra) kahte hain nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jo mujhpar durud padhna bhool gaya usne jannat ka raasta kho diya "
(sunan ibne majah lil albani part 1 hadith 740)
MASLA-118
durud shareef ke bina maangi gayi dua qubool nahi hoti
Hz anas (ra) kahte hain nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jab tak nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) par durud na bheja jaaye, koi dua nahi ki jaati "
( tabrani, silsila ahadith sahiha lil albani part 5 hadith 2035)
MASLA: 119
Durud shareef ke masnoon alfaz
hz abdurrahman bin abu layla (ra) kahte hain mujhe hz kaab bin uzra (ra) mile aur kahne lage:-" kya main tumhe wah cheez hadiya na dun jo maine nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) se suni hai ?"
maine kaha:-" kyon nahi ! Zaroor do "
hz kaab bin uzra (ra) kahne lage, sahaba kiram (ra) ne allah ke rasool nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) se arz kiya:-" aiy allah ke rasool ! Allah taale ne hamen aap nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) par salaam bhejne ka tareeqa toh bata diya hai ham aap nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) par aur ahle bait par durud kaise bhejen ?"
nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" in alfazon me durud bheja karo,
ya allah muhammad (sws) aur aal e muhammad (sws) par isi tarah rahmat bhej jis tarah tune ibraaheem (as) aur aal e ibraaheem (as) par rahmat bheji,
beshaq tu badhaayi aur hamesha ki buzurgi waala hai,
ya allah ! Muhammad (sws) aur aal e muhammad (sws) par is tarah barkat bhej jis tarah tune ibraheem (as) aur aal e ibraheem (as) par barkat bheji hai,
tu buzurg hai aur apni zaat me aap mahmood hain "
(rawah bukhari kitabul ambiya bab qaulul'laahi taala )
MASLA- 120
mukhtasar durud shareef ke masnoon alfaz hain
hz zaid bin khaarija (ra) kahte hain ki maine nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) se (durud ke baare me ) sawaal kiya, toh aap nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne irshad farmaya:-" mujh par durud bheja karo aur dua me mahnat karo aur yun kaho
" aiy allah muhammad (sws) aur aal e Muhammad (sws) par apni rahmatein utaar "
(nisaai lil albani part 1 hadith 1225)
1- yaad rahe durood tanzeena, durood muqaddas, durood maahi, durood taaj, durood lakhi, aur durood akbar etc. Lafz hadithon se saabit nahin )
THE END...