Friday, December 31, 2010

BEAUTIFUL LETTER BY A MUSLIM GIRL TO HIS CHRISTIAN PARENT

~*A LETTER FROM MUSLIM GIRL TO HER CHRISTIAN PARENT*~

Hello Mami and Papa,

I don't know how else to approach you in order to explain my reasoning behind my life changing decision and have you listen and understand at the same time. Since I can long remember I have not be a strong believer of cristianity, there was a lot that did not make sense to me, for example, why I have to beg for forgiveness to a priest? Why I have to pray to saints and not straight to God, why is Jesus the SON of God, why are their SOO many versions of the bible?The religion became a fascination to me, and I truly wanted to know more. I purchased a few books in the UK and read some pamphlets on the religion. I did not make any decisions but I continued to read and become more familiar to Islam. Islam began making sense to me, the idea that we pray only to Allah, that we ...ask Allah for help and for forgive us, how a book (the Quran) that was written thousands of years ago remains unchanged as of today


(there are different translations but no different versions) . Also how a book that was written years ago managed to explain scientific situations that was only discovered by man kind only a couple of year ago. Or how the Quran has managed to explains how babies develop in the womb? How would anyone thousands of years ago know this and in such detail? Especially since scientist discovered the explanation of these situations less that 100 years ago?? How can we explain those wonders of the book?   Also how can I deny the holy book when it has been so clear in explaining advanced technology, how the day turns into the night, the creation of human beings by water (as we know scientifically to be known that we came from cells) layers of heaven (which we describe now in scientific terms as the atmospheric levels?). Furthermore, the beginning of the universe and the movement of tectonic plates (there are numerous other examples of the science behind the QURAN


What also has touched me is that Islam believes in ALL THE PROPHETS - JESUS MOSES DAVID ABRAHAM AND MOHAMMAD (pbuh) they all coexist in he Quran, the Quran also tells us that we must respect ALL religions. Mami and Papi, I can not explain how many times I have made my self clear to you of what I believed in, I could not have given myself away anymore! Every time I spoke hours and hours on end about Islam, and how I knew so much. Also I began of interacting more with Muslim friends; I felt that they would be able to give me a clear explanation of Islam.


Also Islam played a major part in self respect, and it helped my appreciate my self more, and realize that I should stay away from harmful situation such as drinking, smoking, going out with people that only meant trouble. I told you what my friends were like, they were heading the wrong direction, and I did not want to be in that direction and believing in Islam made it easier for me to walk away from the powers of shaytaan and do better



Also Islam was and has been the reason for my success in school. I have placed my mind in my studies instead of going out all the time as my old friends did, and trust me you would not like me to be like them, because if I had been than you would have every single reason to think I was a bad person, that I was irresponsible and that I was a disgrace to the family. After almost one year of studying Islam I had no doubt in my mind that it was not the right religion. I was prepared to become a Sunni Muslim . In early June 2006 I attended the mosque in Westbury NY to ask further questions about Islam and after speaking to a sister and the imam of the mosque I knew that it was time to make the right decision. I did shahada around 2 weeks later which is the Islamic creed; it means to testify or to bear witness in Arabic, the declaration of the belief. I stated in front of 80- 100 Muslims "ash hadu anla ilaha illallah, wa ash hadu anla Mohammad roosul Allah" which translates to "I believe in one and only God and Mohammad is his messenger" It was such a beautiful experience.   I had been accepted into the Islam. I was welcomed by every single Muslim at the mosque with open arms, I felt too special, it felt so right, I knew I had made the best decision in my life, and it was something that was going to bring positive sides of me. It is so hard to explain the rush, and the emotional and faith satisfaction that I had at that moment, but I knew there was something wrong, that I was not able to celebrate my happiness with the people in my life that I loved the most, the meant to most to me, and that was you and papi. The moment was wonderful but not complete. I really wish you could have been as proud of me as I was for myself.

To be continued.....

SHER-E-DIL BADSHAH KA JAWAAB

MAIN GIRAYI HUI PAKKI QABRON KO DOBARA SONE(GOLD) AUR CHANDI(SILVER) SE BANANE KI LIYE TAIYYAR HOON


LEKIN.........


SULTAN ABDUL AZIZ NAJD AUR HEJAZ KE BADSHAH KA AADESH(HUKM)


HINDUSTANI LOGON KE SAWAL PAR KI UNHONE PAKKI QABREN KYON GIRAAYE TO SULTAN NE IS TARAH JAWAB DIYA


" QABRON AUR KUBBON KO ABHI IS TARAH BANA DIYA JAYEGA KI INKA SAMMAAN BANA RAHE AUR SURAKSHIT(SAFE) RAHE.... LEKIN DOBARA BANWAANE PAR UNHONE SAAF SAAF KAHA KI PAVITRA MAKAMAAT PAR ISLAMI SHARIAH HI KE ANUSAAR(ACCORDING) FAISLA KIYA JAYEGA AUR YAHI ISLAMI KANOON YAHAN(SAUDI) PAR LAGAYA JAYEGA, JISKI PAIRVI SALAF US SALAHEEN AUR CHARON IMAMON NE KI HAI , DUNIYA BHAR KE ULAMA AGAR ISKA FAISLA KAR DEN KI DOBARA IN QABRON KO BANWANA ZAROORI AUR JAYEZ HAI, TO MAIN INKO SONE(GOLD) AUR CHANDI(SILWAR) SE BANWAANE KE LIYE TAIYYAR HOON


NABI SALLALLAHO ALLAIHI WASSALAM KE RAUZE KE BAARE ME KISI KI BAHES KI ZAROORAT NAHI.. ISKI HIFAZAT KARNA HAR MUSALMAAN KA FARZ HAI.. AUR MAIN YE ELAAN KARTA HOON KI ISKI HIZAFAT KE LIYE MAIN APNI JAAN AUR PARIWAR(FAMILY) KO IS PAR QURBAN KAR DUNGA....!!!

Thursday, December 30, 2010

NABI KAREEM SALLALAHO ALLAIHI WASALLAM KA KHUTBA

AS SALAM O ALLAIKUM WR WB




IN-NAL HAM-D-LILLAHI NAH-MADUHU WA NASTA-EENUHU WA NASTAGHFIRUHU WA-NA-OUZUBILLAHI MIN SHURURI AN-FUSANA WA-MIN SAYYIAATI AAMALINA MAYYI-YAH-DIHILLAHU FA-LA MUZIL-LA-LAHU WA MAIYYUZ LILHU FA-LA-HADIYA-LAHU WA-ASHHADU-ALLA-ILLAHA- ILLALAHU WAH-DAHU LA SHARIQA-LAHU WA ASH-HADU AN-NA MUHAMMADAN- ABDUHU WA- RASOOLUHU AMMA BAAD!


FA-INNA KHAIRAL HADEESI KITABULLAHI WA KHAIRAL HADYI-HADYU MUHAMMADIN (SALLALAHU ALLAIHI WASALLAM)

WA-SHAR-RAL UMOORI MUH-DASAA-TUHA WA-KUL-LA-MUH-DA-SATIN BID-ATUN WA-KUL-LU BID-ATUN ZALA-LA-TUN WA-KUL-LU ZALA-LA-TIN FIN-NAAR



TARJUMA: SAB TAREEF ALLAH HI KE LIYE HAIN,(ISLIYE) HUM USKI TAREEFEN KARTE HAIN AUR(APNE HAR KAAM ME) USI SE MADAD MAANGTE HAIN, HUM US(RABBUL AALIMEEN) SE APNE GUNAHON KI BAKSHISH CHAHTE HAIN, HUM APNE NAFS KI SHARARATON SE ALLAH KI PANAH TALAB KARTE HAIN AUR APNE NAFS KI BURAIYON SE BHI USI KI PANAH ME AATE HAIN, (YAQEEN MANO) KI JISE ALLAH RAAH DIKHAYE USE KOI BHATKA NAHI SAKTA, AUR JISE WAH( KHUD HI) APNE DARWAJE SE BHATKA DE, USKE LIYE KOI RAAH DIKHANE WALA NAHI HO SAKTA, AUR MAIN(DIL SE) GAWAHI DETA HOON KI IBADAT KE LAAIQ SIRF ALLAH TALA HI HAI AUR WAH AKELA HAI, USKA KOI SAJHIDAR NAHI, AUR ISI TARAH(DIL SE) MAIN IS BAAT KA BHI GAWAAH HOON KI MUHAMMAD (SALLALAHO ALLAIHI WASALLAM) USKE KHAAS BANDE AUR (ANTIM) RASOOL HAIN,

(SALLALLAHO ALLAHI WASALLAM)

HAMD AUR SALAT KE BAAD! (YAQEENI TAUR PAR) TAMAM BAATON SE BEHTAR BAAT, ALLAH TAALA KI KITAAB HAI, AUR TAMAM RAHON SE BAHTAR RAAH MUHAMMAD (SAW) KI RAAH HAI, AUR TAMAM KAAMON SE BURE KAAM WAH HAIN, JO ALLAH KE DEEN ME APNI TARAF SE NIKAALEN JAAYEN,(YAAD RAKHO) DEEN ME JO KAAM NAYA NIKAALA JAAYE WO BID'AT HAI, AUR HAR BID'AT GUMRAHI HAI AUR HAR GUMRAHI DOJAKH ME LE JAANE WAALI HAI.......



(RASOOLLULLAH SALLALLAHO ALLAIHI WASALLAM KA YE MUBARAK KHUTBA HAI, JISE AAP HAR WAAZ AUR TAKRIR KI SHURU ME PADHA KARTE THE, YE KHUTBA KUCH THODE BAHUT CHANGES(ANTAR) KE SAATH MUSLIM, ABU DAWOOD AUR TIRMIZI ETC... ME MAUJOOD HAI

NAMAAZ KI KHOOBIYAN

AS SALAM O ALLAIKUM WR WB



NAMAAZ KI KHOOBIYAAN, ACCHAIYAN, BARKATON, RAHMATON KO GINA NAHI JA SAKTA, SIHAH SITTA SE HAR TARAH KE SATH NAMAAZ KI ACCHAIYAN BAYAAN KARTE HAIN TAAKI PADHNE WALON KA IMAN TAAZA HO AUR NAMAAZ PAR QAYAM RAHNE KA SHAUK BADE..

NABI KAREEM (SAW) FARMATE HAIN..

1- ALLAH NE SAB CHIZON SE PAHLE MERI UMMAT PAR NAMAZ FARZ KI AUR QAYAMAT ME SABSE PAHLE NAMAAZ KA HI HISAAB HOGA.


2- NAMAZ KE BAARE ME ALLAH SE DARO, NAMAZ KE BARE ME ALLAH SE DARO, NAMAZ KE BAARE ME ALLAH SE DARO.


3- INSAN KE AUR SHIRK KE BEECH NAMAAZ HI AAD HAI (MUSLIM)


4- NAMAAZ DEEN KA SUTOON(PILLAR) HAI (TIRMIZI)


5-NAMAAZ SABSE BAHTAR JIHAD HAI


6-NAMAZ MOMIN KA NOOR HAI


7-NAMAZ SHAITAN KA MUH KAALA KARTI HAI


8-JAB KOI MUSIBAT AASMAN SE UTARTI HAI TO MASJID KO AABAD KARNE WALON SE HAT JAATI HAI


9-ALLAH NE SAJDE KI JAGAH KO AG PAR HARAM KAR DIYA HAI
(BUKHARI)

10- ALLAH KO INSAN KI SAARI HALATON ME SABSE ZYADA YAH PASAND HAI KI ISKO SAJDA ME PADA HUA DEKHE KI PESHANI RAGAD RAHA HAI


11- JAB INSAN NAMAZ KE LIYE KHADA HOTA HAI TO JANNAT KE DARWAZE KHUL JAATE HAIN AUR NAMAZI KE BEECH KE PARDE HAT JAATE HAIN JAB TAK KI(NAMAZI) KHANSI(COUGH) ETC. ME MASHGOOL NA HO.(NISAI)


12-NAMAZI ALLAH KA DARWAZA KHATKHATATA HAI AUR YE KAYDA HAI KI JO DARWAJA KHATKHATATA RAHE WAH KHULTA HI HAI


13- NAMAZ JANNAT KI CHABI(KEY) HAI


14- NAMAZ KA DARZA DEEN ME AISA HAI JAISA, BADAN ME SIR(HEAD) KA


15- ZAMEEN KE JIS HISSE PAR NAMAZ KE ZARIYE SE ALLAH KI YAAD BHI AATI HAI WAH HISSA DUSRE HISSON PAR GARV KARTA HAI.


16- JO INSAN AKELE ME DO RAKAT NAMAAZ PADHE JISE ALLAH AUR USKE FARISHTON KE ELAWA KOI NA DEKHE TO USE JAHANNUM KI AAG SE NIJAT KA PARMIT MIL JAATA HAI


17-JO PAANCHO NAMAZON KA INTEZAM KARTA HAI AUR UNKE RUKOO, SAJDE, AUR WUZU ETC. KO BAHTAR TARAH SE ADA KARE TO JANNAT USKE LIYE WAJIB HO JAATI HAI AUR JAHANNUM US PAR HARAAM(RAWAH AHMAD)


18-SABSE BAHTAR AMAL AWWAL WAQT ME NAMAZ PADHNA HAI(IBNE MAZA)


19- SUBAH KO JO INSAAN NAMAZ KO JAATA HAI TO USKE HAATH ME IMAN KA JHANDA(FLAG) HOTA HAI AUR JO AADMI(BINA NAMAZ PADHE) BAZAAR JAATA HAI USKE HAATH ME SHAITAN KA JHANDA HOTA HAI.


20-NAMAZ PARHEZGAR KI KURBANI HAI


21-JAB NAMAZ KE LIYE INSAN KHADA HOTA HAI TO ALLAH KI RAHMAT USKI TARAF HO JAATI HAIN


22- MERE PAAS (NABI S.A.W FARMATE HAIN) JIBREEL(AS) AAYE AUR KAHNE LAGE, AIY MUHAMMED SALLALLAHO ALLAIHI WASALLAM CHAHE KITNA HI AAP ZINDA RAHEN, AAKHIR EK DIN AAPKO MARNA HAI AUR JISSE CHAHEN KITNI HI MUHABBAT KAREN EK DIN ALAG HI HONA HAI AUR AAP JAISA BHI AMAL KARE USKA ZAROOR BADLA MILNA HAI! AUR (YAAD RAKHEN) ISME KOI SHAK NAHI KI MOMIN KI SHARAFAT TAHAJJUD KI NAMAZ HAI AUR MOMIN KI IJJAT LOGON SE BE-NIYAZI ME HAI.


23-TAHJJUD NEK LOGON KA TARIQA HAI ALLAH KE KURB KA SABAB AUR KHATAON KA KAFFARA HAI


24- ALLAH KA IRSHAD HAI (HADITH-E-QUDSI ME) AIY AADAM KI AULAAD! TU DIN KE SHURU ME 4 RAKATON(ISHRAQ) SE (VIVASH) MAJBOOR NA BAN! MAIN TAMAM DIN TERE KAMON KE LIYE KAAFI RAHUNGA



ALLAH HAME NAMAZ PADHNE KI TAUFEEQ DE


AMEEN

TAWEEZ AUR DHAAGA

AS SALAM O ALLAIKUM WR WB



*TAWEEZ AUR DHAGA*



Hazrat-Abdullah-bin masood(r.t.a) farmate hain ke Rasool-Allah{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ne farmaya yaqinan " raqiyah' Taweez" ya "Shohar biwi(hasband & wife)" ke liye mohabbat paida karne ke khatir kisi chiz ko pahanna Shirk hai. (*Abu-Dauood/Musnad-Ahmad*)



Hazrat-Aaqbah-Bin-Aamir(r.t.a) farmate hain ke Rasool-Allah{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}ne farmaya: jisne "Taweez" latkaya Allah iski hajat puri na kare. (*Abu-Dauood*)



Hazrat-Abdullah-Bin-Aakim(r.t.a) farmate hain k Rasool-Allah{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’ sallam} ne farmaya:jisne “Taweez” latkai usne Shirk kiya. (*Musnad-Ahmad/Trmizi*)


Hazrat-Imraan-Bin-Haseen(r.t.a) se rawayat hai ke Nabi{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’ sallam} ne ek Aadmi ke Hanth(hand) me pital ka bana hua “Kada(chodi)” dekha to daryaft kiya: Ye kya hai? Isne jawab diya ke ye kamzori se bachne ke liye hai’ To aap{sall’Allaahu ta’ aalaa alaihi wa’sallam} ne farmaya: isse utaar kar phek do’ isliye ke ye kamzori hi me ezafa karega’aur isse pahne hue teri “wafaat(death) ” ho gai to tu kabhi kamyaab nahi hosakta”. (*Musnad-Ahmad*)



Hazrat-Makeem(r.t.a) se marwe hai Nabi ( sallallahu alaihi wa sallam) ne farmaya: Jisne kisi cheez (taweez,dhaga) ko latkaya to uska bharosa usi par kardiya jata hai. (*Tirmizi/Musnad-Ahmad*)



Hazrat-Abdullah-bin masood(r.t.a) ki biwi( wife) Zainab(r.t.a) ka biyaan hai ke “Abdullah- bin masood(r.t.a)” ne meri garden me ek “ Dhaga” dekha to pucha’ ye kya hai? Main ne kaha” ye dam kiya hua “Dhaga” mujhe diya gaya hai, To “Abdullah-bin masood(r.t.a)” ne wo “Dhaga” kaat dala aur farmaya: yaqinan “ abdullah ka khandaan shirk se door hai"


To be continued....

Wednesday, December 29, 2010

AHLUL HADITH

ASSLAM-O-ALAIKUM WA RAHMATULLAH-E-WA BARAKATAHO HAMARA AZM HY:


1) Quran o Hadith aur Ijma ki bertari.



2) Salaf e Saliheen ke mutafiqqa fehm ka perchar.


3) Sahaba,Tabieen,Taba Tabieen,Muhadisseen aur tamam Aimma e Karaam se mohabbat.



4) Sahi o Hassan riwayaat say isstadlal aur Zaeef o Murdood riwayaat say kulli ijtenab.



5) Itteba e Kitab o Sunnet ki traf walehana dawat.



6) Ilmi,Tehqeeqi o Maaloomati mazameen aur intehai shaista zuban.



7) Mukhalifeen e Kitab o Sunnet aur Ahle Batill per Ilm o Mtannut k sath behtareen o Ba'dalail Rudd.



8) Asool e Hadith aur Asmaa e Rijal ko mudd e nazer rukhtay huay istaddlal e hadith.



9) Deen e Islam aur Maslak Ahl ul Hadith ka parchar.



10) Quran o Hadith k zariay Ittehad e Ummet ki traf dawat.

IMAMUL AHNAAF SHEIKH IBNE HAMMAM

AS SALAM O ALLAIKUM WR WB


8 RAKAT TARAWEEH AUR 3 WITR



HZ UMAR (RA) NE 11 RAKAT TARAWEEH KA HUKM DIYA


HZ SAYIB BIN YAZID SE RIWAYAT HAI KI HZ UMAR (RA) NE ABI IBNE KAAB (RA) AUR TAMIMDARI (RA) KO HUKM DIYA KI LOGON KO 11 RAKAT TARAWEEH PADHAYE


(MOATTA IMAM MALIK BAAB QAYAM-E-RAMADHAN)


IMAM IBNE HAMAM (RH) HANAFION ME SE EK BADE AALIM HUE HAIN, AISE AALIMON PAR ANGINAT RAHMATEIN HON,WO GHADE BANDI SE DOOR RAHE AUR HAQ BAAT KAHNA UNKI AADAT RAHI HAI, AAP 8 AUR 20 RAKAT TARAWEEH KI TAHQEEQ FARMATE HAIN...

TO IS BAHES KA NATIZA YAH HAI KI QAYAME RAMZAAN JO SUNNAT HAI, WAH TO WITR SAMET 11 RAKAT HAI JISKO RASOOLLAH (SAW) NE APNE AMAL SE JAM'AAT KE SAATH ADAA KIYA

(FATHUL QADIR)


20 RAKAT TARAWEEH KE BAARE ME AAPKA FAISLA..


"TO 20 RAKAT TO MUSTAHAB(NAFIL) HONGI AUR 20 ME SE WAH TAYDAD 8 HI SUNNAT HAIN"


(FATHUL QADIR)


8 , 20 PAR MAT JHAGDO


YAH DIN KI ROSHNI KI TARAH SAAMNE AAGAYI HAI KI RASOOLLUHHAH (SAW) KI SUNNAT PAAK TO 8 RAKAT TARAWEEH HI HAI AUR ISSE ZYADA PADHNA SUNNAT NAHI BALKI NAFIL IBADAT HAI ISLIYE 8 RAKAT TARAWEEH PADHNE WALON KO NAHI ROKNA CHAHIYE, AUR JO 20 PADHTE HAIN UNKE BARE ME HANAFION KE SABSE BADE AALIM IBNE HAMAM(RH) KA FATAWA YAH HAI KI 8 SE ZYADA PADHNE WALON KI ZYADATI SUNNAT NAHI HAI, SUNNAT SIRF 8 HI HAI


11 RAKAT KI AUR DALEELEN JO SAHIH BUKHAR, MUSLIM ETC SE SAABIT HAIN USKO LIKHNE KI ZAROORAT NAHI


IS TOPIC KA MAQSAD SIRF YE BATANA HAI KI HANAFI ULAMA BHI 8 RAKAT + 3 WITR KO SUNNAT MAANTE HAI...

AUR USE APNI KITABON ME BHI TASLEEM KIYA HAI

Tuesday, December 28, 2010

NABI ZINDA HAIN LEKIN JANNAT ME

AS SALAM O ALLAIKUM WR WB


( ‘ Innaka mayyitum wa’innahum mayyitoon )  


Tarjuma :- Yaqinan khud apko bhi Maut ka mazaa chakhna hai, aur ye sab bhi marne wale hain. (Surah-Tul-Zamar, Aayat-no---30) 




Tashrih :- Yani aye paigamber! Aap bhi aur apke mukhalif bhi sab Maut se humkanar ho kar is dunya se hamare pass aakhrat me aayegen- Dunya me to Tawheed aur shirk ka faisla tumhare darmiyan nahi ho saka aur tum is bare me jhagadte hi rahe- Lekin yahan main iska faisla karonga aur Momin, Mukhlis, aur Moheed bande ko Jannat me aur Kufr-wa-inkaar aur Shirk-wa-takzeeb karne wale ko Jahannam me dakhil karonga, Is aayat se bhiwafat-e-nabwe sabit hota hai, jis tarah k “Surah-Tul-Imraan, Aayat- no---144 ”


 sebhi sabit hota hai, inhi aayat se istadlal karte hue Hazrat-Abu- Baqar(r.t.a) nebhi logon me apki maut ka taqiq farmaya tha, Isliye Nabi(s.a. w) ki babat ye aaqida rakhna k apko Barzakh me bilkul issi tarah zindagi hansil hai jis tarah dunya me hansil thi, Aur ye Quraan k bhi khilaf hai, Aap par bhi digar insaanohi ki tarah Maut tari hui, issi liye apko daafan kiya gaya, Qabar me apko barzakhi zindagi to yaqinan hansil hai, jiski kaifiyat ka hame ilm nahi, lekindobarah Qabar me apko dunyawe zindagi ata nahi ki gai...

(Tafsir-ibn-Kathir, Surah-Al-Zamar, Aayat-no, 30 , Page-no--- 234).

SURAH FATIHA PAR SHEIKH ABDUL QADIR JILANI(RH) KA FATAWA

AS SALAM O ALLAIKUM WR WB

HZ SHEIKH ABDUL QADIR JILANI(RH) KA FATAWA


IMAM KE PEECHE SURAH FATIHA PADHNE KE BAARE ME AAPKI ZABAN ALLAH KE RASOOL (SAW) KI TARAH TARJUMANI KARTAI HAI,

IRSAAD HOTA HAI,

"FA-INNA QIR-ATAHA FARI-ZATUN WAHIYA RUKNON TAB-TUS-SALATU BITARKIHA"

TRANS: SURAH FATIHA PADHNA FARZ HAI AUR YE SURAH NAMAAZ KI BUNIYAD HAI, ISKE NA PADHNE SE NAMAAZ NAAKIS HO JAATI HAI,


BHAIYON! BATAO ISSE BADKAR AUR ITMINAN KI SURAT AAP KE LIYE AUR KYA HO SAKTI HAI KI HZ . PEERANE PEER NE( ALLAH KI LAAKHON RAHMATEIN HO) HUZOOR (SAW) KI HADITHON KI TASDEEQ WA TAYID ME KAISA FAISLA KIYA HAI AUR SAAF KAR DIYA HAI KI SURAH FATIHA KE CHHOD DENE SE NAMAAZ NAHI HOTI.....

Monday, December 27, 2010

DUNYAWI TALEEM AUR ISLAMI TALEEM

AS SALAM O ALLAIKUM WR WB


Aaj duniyawi muashre me duniyawi taleem itna bad chuki hai ki log dunyawi taleem paane ke maqsad se... Islami taalim lena hi bhool baithe hain...log jitna dunyawi taleem paane ke liye dusron se rai mashwarah karte hain..shayad utna kisi aur cheez ke liye nahi karte...


EXAMPLE: AAJ KAI TARAH KE STREAM HAI ( SCIENCE, COMMERCE, ART) LOG IN STREAM ME ADMISSION LENE SE PAHLE..YE TAHKEEQ KARTE HAIN KI KIS COLLEGE SE KIYA JAAYE...COLLEGE KIS BOARD KA HONA CHAHIYA..FACULTY KAISI HAI...AUR FACILITIES KAISI HAIN AUR AAGE US COURSE KA SCOPE KITNA...

HAR BAAP KI YE TAMANNA HOTI HAI KI USKA BETA/BETI ACCHE COLLEGE ME TALEEM PAAYE.


MAGAR AFSOS...

ITNI TAHQEEQ ISLAMIC TALEEM PAANE ME NAHI HOTI....

JAB ISLAMIC TALEEM PAANE KI BAAT AATI HAI TO KAHTE HAI.

1- HUM TO USI SCHOOL ME PADENGE JISME HAMARE BAAP DADA PADHTE AAYE HAIN


2-QURAN AUR HADITH SE DOOR RAHTE HAIN....


3-QURAN IS TARAH NAHI PADHTE AUR SAMJHTE JIS TARAH BAKI SUBJECT SAMJHTE HAIN


4-EK HI TEACHER(IMAM) SE PADHENGE LEKIN DUNYAWI TALEEM ME AGAR KOI TEACHER SAHI NA PADAYE TO BADAL BHI SAKTE HAIN....

5- 8 YA 9 SUBJECT KI TAIYARI KARNI HOTI HAI LEKIN ISLAM ME SIRF EK SUBJECT HAI AUR WO HAI QURAN.


6- TAMAM LOGON KI JEEVNI(BIOGRAPHY) PADH DAALTE HAIN LEKIN AFSOS MUHAMMAD (SAW) KI JEEVNI PADHNE SE MAHROOM RAH JAATE HAIN...


7-ROZ SUBAH KA AAGAZ RASHTRA GEET SE KARTE HAIN. .. MAGAR AFSOS SUBAH UTHNE KI DUA BHOOL JAATE HAIN..

8-ISLAMIC ZINDAGI ME APNE AAPKO MUQALLID KAHTE HAI MAGAR DUNYAI LYF ME GHAIR-MUQALLID BANNA PADHTA HAIN

NOTE:

YAHAN MUQALLID KA MATLAB EK HI TEACHER SE HAI.. AUR GHAIR MUQALLID KA MATLAB EK SE ZYADA TEACHER SE HAI..


9-QURAN PADENGE LEKIN USPAR AMAL(PRACTICAL) NAHI KARTE.. LEKIN AGAR SCIENCE PADENGE TO US PAR AMAL BHI KARTE HAIN...


10-DUNYAWI TALEEM KE LIYE ENGLISH TAK SEEKH LETE HAIN..LEKIN JAB QURAN SAMJHNE KI BAAT AATI HAI TO KAHTE HAIN KI YE HAMARE SAMJHNE KI CHEEZ NAHI HAI...AUR KAHTA YE TO AALIMON KE SAMJHNE KI CHEEZ HAI...


NOTE: ENGLISH GAANE TUM SAMJHLO, BHOJPURI GAANE TUM SAMJHLO...MAGAR AFSOS EK QURAAN HI MILA THA NA SAMJHNE KI LIYE.


11- DUNYAWI TALEEM KA SCOPE LIMITED HAI...AUR ISLAMIC TALEEM KA SCOPE UNLIMITED.


11-EXAM PAAS KARNE PAR KAAGAZ KI MARKSHEET MILEGI LEKIN YAHAN(ISLAMIC) PASS KARNE PAR JANNAT MILEGI....


12-ALLAH NE BEGHAIR BRIBE(GHOOS) LIYE APNA SYLLABUS OUT KAR DIYA HAI....


ALLAH HUM SAB JO ISLAMIC TALEEM AUR ILM AATA KARNE KI TAUFFEEQ DE...

AMEEN

Sunday, December 26, 2010

QABRON KI POOJA(WORSHIP)

AS SALAM O ALLAIKUM


(Qabar Walo Ko Pukarna Shirk Hai)


"Jin Jin Ko Ye Log Allah K Siwa Pukarte Hain, Wo (Log) Kisi Cheez Ko Paida Nahi Karskte, Bulke Wo To Khud Paida Kye Gae Hain, (Aur Wo) Murde Hain, Zinda Nahi, Enhain To Ye Bhi Khabar Nahi K (Apni Qabron) Se Kab Uthae Jaenge...


[Surah Al Nehel 20-21 Ayah]


KyaAllah Apne Bandon K Liye Kafi Nahi?

Ye Log Apko Allah K Siwa Auron SeDara Rahe Hain,Jise Allah Gumrah Karde Iski Rahnumai Karne Wala KoiNahi. (Surah-Zamar, Aayat-no35)



"Aur Allah-Taala Par Jo Bharosa Rakhta Hai Iske Liye Allah Kafi Hai” (Surah-Talaaq, Aayat-no 03)



Madad Kyon Mangte ho Jaker Auron ke darbar se???


Bata..Wo kaun sa kaam hai jo hota nahi tere “PARWADIGAAR” se...?



Andheron ko wo Noor deta hay... Zikr uska, dil ko suroor deta hay... Uss k daar se joo b maango.. Wo "ALLAH" hay, zaroor deta hay


Maango to sirf "ALLAH" se maango kisi BABA ya MURDA ya QABR se nahi, jhuko to sirf "ALLAH" k saamne jhoko kisi MURDA ya QABR k saamne nahi. . .

Jab DUAA Sey Baat Na Banay To Faisla ALLAH Par Choor Do ALLAH TA-ALA Apnay Bundon Ke Liye Sab Sey Behtar Faisla Karny Wala Hay

TAJIADARI AUR HINDUSTAN

Hindustaan main – Ye bidat- ameer taimoor lung (jo majhaban shiya tha) ke jamaane main 801 hizri se suru hui our 1262 hizri main humayun baadshah ne bairam khan ko bhejkar 46 tole ka tajiya Hindustan mangvaya ye hai pahla tajiya jo Hindustan main aaya phir ye rasm chal padi our shiyon ki is tajiyan parasti main bhole bhale sunni hazraat bhi fans gaye


Alam, Tajiya, Sawari, Mehandi jaise tareeke jaari karna bidat se Islaam ki shaan bhadti nahin hai. Tajiya ko Hajat ko poora karne wala manana jahalat hai is ki mannat bewakoofi hai our na karne main nuksaan janna vaham hai. Musalmaan ko aisi harkat se bachna chahiye.(Risala Moharram va Tajiyadari 59 sakah) ahmad raza khan

Saturday, December 25, 2010

RAFULYADAIN(AND OPINION OF HANAFI SCHOLER) (ENGLISH)

ASSALAM O ALLAIKUM WR WB


In fact, the Imaam of the Hanafee Deobandees,


Anwar Shah Kaashmiree writes, "The chain of narration and practice concerning Rafal Yadain are mutawaatir, and there can be no doubt regarding this. There is not a single word of this action which has been abrogated". This statement should be sufficient for those who take Anwar Shah as the ultimate authority in matters of the religion, and all praise are to Allah and may he guide us all.



Ibn al-Qayyim writes, after affirming that the Prophet raised his hands at ruku and when rising from it: "Without question, nothing opposing is established from him."



Imaam Marwazee states, "The scholars of all the lands have consensus on the practice of raising the hands, except the people of Koofah''



Imaam Bukhaari also mentions something similar to this in his juzz.

Shaikh Abdul Hayy Lucknowee said; "Without doubt the truth with us is that raising the hands whilst performing ruku and raising the head from it is established and from the Prophet sallallahu ' alayhi wa sallam and the companions with strong and (Saheeh) authentic chains." In Sa'ayah Sharh Waqaayah (2 /213)



Shaah Waleeullaah Muhaddith Dehlawee said; " The one who does Raf al-Yadain is more beloved to me than the one who does not because, there are many Ahadeeth for performing Raf al-Yadain and they are authentic.'

In Hujjatullah al-Baalighah (2 /10) , also in Kifaayah Liman Lahu Diraayah


Maulana Ashraf Ali Thanwi said "When a hadeeth is narrated from 10-( ten) companions then that position (Saying or action) is given precedence and is also mutawaatir."

(Bawaadir an-Nawaadir (p. 136)( as is the case)


Indeed, Taaj ud Deen Subkee mentions in Tabaqaat ash-Shaafiyyah (2 /100) that Shaafi'ee said, 'It is not befitting [halaal] for any muslim after knowing of the ahaadeeth of raising the hands and then not to follow them' Musannaf Abdur Razzaaq (2 /80)


reports authentically the practice of Uthmaan. All four rightly guided Khaliphs performed Raf al-Yadain ( at-Ta'leeq al-Mughnee (p.ll),Juzz(p.9) of Subkee, Muhalla (1 /95) of Ibn Hazm.



Indeed, this is a detailed narration which fully mentions raising the hands whilst going into rukoo, rising from it and rising from the tashhaud. Further this hadeeth was narrated in front of ten companions after the death of the prophet, who all confirmed the prophets prayer was as such. This is a strong proof against those who state the raising of the hands may be abrogated or that it is more better not to perform it. Ibn Khuzaimah narrates from his teacher Yahya Zuhlee in his Saheeh (1 /198) , 'One who after hearing this narration does not raise his hands whilst going into rukoo and raising from it then, his prayer is deficient, and should be repeated'. 53 Ibn Maajah 34


Bukhaari in his Juzz Raf al-Yadain (p.8) , Ibn Abee Shaybah (1 /239) , Taareekh Kabeer of Bukhaari (3 /87).Bukhaari (3 /87). After reporting this narration Bukhaari states, The wives of the companions practiced raising the hands and they knew more than those who do not practice it today'.


Imaam Sa'eed Ibn Jubayr has also mentioned the raising of the hands from the companions as a whole, without, excluding any one of them. ( Baihaqee 2 /85). Imaam Salmah bin Deenaar Abu Haazim E'raaj Madanee, the Taabi'ee is reported to have said, "I saw all the people raising there bands whilst going into rukoo and coming up from it" ( Taareekh Ibn Asaakir (1 /263) , Diraayah (1 /154) and Talkhees al-I iabeer (p.220).

Ahnaaf hazrat ke sartaaz, hz imam muhammad (rh) ka naara-e-haq rafulyadin barhak hai..

hz imam muhammad jo hanafi maslak ke maane hue imam hai...saara zakhira hanafi maslak ka unhi ki mahnat ka wa unhi ki koshishon ka nateeja hai.. Aap imam abu haneefa ke khaas shargird hain..aap apni mashoor kitaab (MOATTA IMAM MUHAMMAD) me rafulyadain ki sahih hadith laaye hain...

BAAB IFTATAH AS-SALAT dekhiye


ANN ABDILLAHIBNI UMAR KAALA KAANA RASOOLILLAHI SALLALLAHU ALLAIHI WASALLAMA IZFAT- TAHASSALAATA RAFAYADAIHI HAZ WAMNA KIBAIHI WA-IZA KABBARA LI-RUKOO E RAFAYADAIHI WA -IZA RAFA-AA SAHU MIN RUKOO -E RAFAYADAIHI SUMMA KAALA SAMIALLAHU LIMAN HAMIDAHU SUMMA KAALA RABBANA WA LAKAL HAMD

(MOATTA IMAM MUHAMMAD)

translation: hz abdullah ibn umar se riwayat kai ki " rasoollullah sallallahu allaihi wasallam jab namaaz shuru karte to rafulyadain karte aur jab rukoo ke liye takbeer kahte to rafulyadain karke " samiallah limam hamida aur rabbana lakal hamd kahte....


imam muhammad ne huzoor (saw) ki sahih hadith apni kitaab me laakar maan liya ki rafulyadain unki sunnat-e-sahiha se saabit hai...

Ab to hanafi bhaiyon ko bhi yah sunnat maan leni chahiye

WASEELA

AS SALAM O ALLAIKUM WR WB

Abdullah-Bin-Umar{Ra} se rawayat hai, Rasool-Allah{s} ne farmaya:- Teen(3) Aadmi ja rahe the, itne me barish hone lagi to wo pahad me ek GAAR tha isme ghoos gaye, Pahad par se ek pather gira aur GAAR ke monh par aagaya aur monh band ho gaya, Ek ne dosre se kaha:- apne apne neak Aamaal ka khayal karo jo ALLAH ke liye ho aur DUA maango in Aamaal ke WASILE se shayed Allah-Taala is pather ko khool de tumhare liye,To inme se Ek ne kaha:- Mere MAA-BAAP budhe zayef the aur meri Biwi(wife) aur mere chote chote ladke the, ke main inke waste Bhed, Bakriyan charaya karta tha, to inka Dodh(milk) duhta tha aur sabse pahele apne MAA_BAAP se suru karta tha, to inko apne ladko se pahele pilata tha, albatta ek din mujhko bakriyon ka chara bahut door mila so main ghar na aaya yahan tak ke mujhko aane me shaam ho gai to maine apne MAA-BAAP ko sota hua paya, phir maine doodh(milk) duha jis tarah duha karta tha, phir main doodh(milk) laya aur apne MAA-BAAP ke sar ke pass khada hua, mujhko bura laga ke main inko neend se jagaon aur bura laga ke inse pahele ladko ko pilaon aur ladke bhook ke mare shoor kar rahe the mere dono pairo(legs) ke pass, so issi tarah barabar mera aur inka haal raha subah tak(yani main apne MAA-BAAP ke intejar me doodh liye raat bhar khada raha) aur ladke rote chillate rahe, na maine piya aur na ladko ko pilaya, so Elaahi agar tu janta hai ke aisi Mahnat aur Moshaqat teri razamandi waste maine ki thi to is pather se ek rozan khool de jisse hum aasmaan ko dekhe to Allah-Taala ne isme ek Rozan khool diya aur unhone isme se Aasmaan ko dekha,


Dosre ne kaha:- Elaahi majra ye hai ke mere chacha(yani uncle) ki ek Beti thi, jis se main mohabbat karta tha jis tarah Mard-Aurat karte hain(yani main iska kamaal Ashiq tha) so iski taraf mayel ho kar maine iski zaat ko chaha(yani haraamkhori ka irada kiya) isne na mana aur kaha jab tak 100 Ashrafiya na dega main razi na hungi, maine kosis ki aur 100 Ashrafiya kama kar iske pass laya, Jab main ne iski taang uthai( yani jamaa ke irade se) isne kaha:- Aye Allah ke bande! dar ALLAH se aur mat tood mahar ko magar haq se(yani begair Nikah ke bakarat mat zayel kar) to main uth khada hua iske upper se - Elaahi agar tu janta hai ke ye kaam maine teri razamandi ke liye kiya to ek Rozan aur khool de hamare liye, Allah-Taala ne aur ek Rozan khool diya yani wo Rozan bada ho gaya,


Teesre ne kaha:- Elaahi maine ek saks se mazdoori li, ek Farq chawal par(yani wo bartan jisme 16 ratal aanaj aata hai) jab wo kaam kar chuka isne kaha: mera haq de maine ek Farq bhar chawal iske samne rakhi, isne na liya phir maine in chawalon ko bota raha, isme barkat hui yahan tak ke maine is maal se Gaaye aur Bael(cow & bull) aur inke charane wale gulaam ikhatta kiya, phir wo majdoor mere pass aaya aur kahne laga: Allah se dar aur mera haq mat maar, maine kaha ja aur Gaaye Bael(Cow-Bull) aur iske charane wale sab tu lele---wo bola: Allah Jabbar se dar aur mujhse mazak mat kar, maine kaha main mazak nahi karta, wo Gaaye Bael(Cow-Bull) aur charane wale ko tu lele isne le liya, phir agar tu janta hai ke maine teri razamandi ke liye kiya to jitna baqi hai Rozan wo bhi khool de, Allah-Taala ne isko bhi khool diya aur wo log GAAR se bahar nikal gaye.( *Sahih-Muslim, Hadees-no---6939* / *Sahih-Bukhari, Hadees-no---2333,2215*


Tashrih:- IS hadees se jo baat samne aati hai wo ye hai,


(1) => Sakht mosibat me aur nehayat pareshani me jiski koi tabdir na ho sake to apne khalis Aamaal ko WASILA bana kar Allah se DUA kare Allah isko nijad de.


(2) => MAA-BAAP ka haq apni jaan aur biwi, ladko ke haq me muqaddam hai aur neakiyon me dakhil hai.


(3) => Qadir ho kar gunnah se bachna aur sirf Allah ke Dar-wa-Khauf se shawat ko dabana aur khawash-e-nafs ko mitana bede kamala ki baat hai, aur Allah ko nihayat pasand hai.



(4) => Haq walon ka haq adda karna Raza-e-Elaahi ka umdaa wasila hai.



(5) => Maalik ke ijazat ke bina koi aanaj bo de to iska hasilaat ka maalik asal maalik hi hoga


***1=> allah ke 99 naam hai uske naam ka waseela laga kar usse maango


2=> aap main se jo zinda neak log hain unke paas jaake unse kaho ki mere liye dua karen zinda ka hukum hai murdon ka nahi


3 => apne koi neak aamal ka waseela lagao......jaise ke deen main jo tumne paisa kharach kiya hai ya aur koi nek amal


Note:-Aur Murdon ka wasila Quraan aur Hadees se kahin bhi sabit nahi hai, agar hai to iski Sahih-Dalil de hum manne ke liye taiyar hain

Hz umar bin khattab (ra) se riwayat hai jab jab log kahat(drought) me mubtala ho jaate they, to hz abbas bin abdul muttalib ke tufail se baarish talab karte they aur kahte they, " aiy illahi! Ham tere paas apne nabi ka wasila laate they, to tu hamen baarish deta tha, ab tere paas apne nabi ke chacha(uncle) ka waseela laate hain, ham ko baarish ata farma, logon ke liye baarish ho jaati thi"


(sahih bukhari v2 book 17 hadith no 123)

EK HAQIQAT


“EK HAQIQAT”


Main Maut Se Darta Hon BuhatPar 1 Din Marna Hai Zaroor.


Main Kafan Dekh Kr Laraz Jata HonPar 1 Din Pehanna Hai Zaroor.


Main Janaza Dekh Kar Ghamgeen Ho Jata HonPar 1 Din Mera Janaza Uthna Hai Zaroor.


Main Qabar K Andhere Se Kaanp Jata HonPar Is Mein Rehna Hai Zaroor.



Ye Dunya Achhi Lagti HaiPar Isko Chhor Kar Jana Hai Zaroor.



Phir Bhi Main Ne Aakhirat Ki Tayyari Nahi Ki Aur ALLAH Ko Hisaab Dena Hai Zaroor…

FARISHTON PAR IMAAN

AS SALAM O ALLAIKUM WR WB


FARISHTON(ANGELS) PAR IMAAN


SAWAAL: FARISHTE KAUN HAIN? UNKA KYA KAAM HAI? AUR UNKI TADAAT KITNI HAI?



JAWAAB: FARISHTE NOORAANI MAKHLOOK HAIN| UNKA KAAM ALLAH KE HUKM AUR IRAADE KO TAKMEEL TAK PAHUNCHANA HAI. WO SAB NEK AUR ALLAH KE FARMABARDAR HAIN. ALLAH JAB UNKO HUKM DETA HAI TO WO FAURAN KAR DAALTE HAIN. WO ALLAH KE HUKM SE MUKHTALIF SHAKLEN AKHTIYAAR KARNE KI KUDRAT RAKHTE HAIN. UNHE KHAANE PEENE KI HAAJAT NAHI. WO NA MARD HAIN NA AURAT. UNKI TADAAT SIRF ALLAH KO MALUM HAI...



SAWAAL: 4 MASHOOR FARISHTE KAUN KAUN HAIN? UNKE KAAM KYA HAIN?


JAWAAB: 4 MASHOOR FARISHTE YE HAIN.


1-HZ ZIBREEL-JO ALLAH KA PAIGHAM NABION TAK PAHUNCHATE HAIN

2-HZ MIKAEL-JO BAARISH BARSAANE AUR ROZI TAKSEEM KARNE KE KAAM ME MAMOOR HAIN


3-HZ ISRAEL(MALIKULMAUT)- RUH KABZ KARNE PAR MAMOOR HAIN


4-HZ ISRAFEEL-JO QAYAMAT KE DIN SOOR PHUNKENGE..



SAWAL: KIRAMAN KAATIBEEN AUR MUNKAR NAKEER KAUN HAIN?



JAWAB: KIRAMAN KATIBEEN WO FARISHTE HAIN, JO LOGON KE ACCHE AUR BURE KAAMON KO LIKHTE HAIN AUR SUBAH WA SHAM UNHE ALLAH TAK PAHUNCHATE HAIN. MUNKAR NAKIR WO FARISTE HAIN JO MARNE WAALON SE IBTEDAAI SAWAL JAWAB KARTE HAIN


SAWAL: RUHUL AMEEN AUR RUHUL QUDDUS KIS FARISTE KO KAHA GAYA HAI?



JAWAB: RUHUL AMEEN AUR RUHUL QUDDUS FARISHTO KE SARDAR HZ ZIBREEL KO KAHA GAYA HAI..



SAWAL: ZIBREEL KE KITNE PAR(WINGS) HAIN?



JAWAB: HZ ZIBREEL KE 600 PAR HAIN



SAWAL:ARSH-E-ILLAHI KO UTHANE WALE KITNE FARISHTE HAIN?

JAWAB: YE TADAAT ME 4 HAIN(MUSNAD AHMAD HAWALA IBNE KATHIR) QIYAMAT KE DIN INME MAJID 4 KA IJAFA HOGA AUR UNKI TADAAT 8 HO JAYEGI..



SAWAL: KIN JAGAHON PAR RAHMAT KE FARISHTE NAHI AATE?


JAWAB: WAH GHAR, JISME KUTTA HO YA KISI JAANWAR KI TASWEER HO.(BUKHARI)


SAWAL: KYA FARISHTON KI TARAH JINN BHI ALLAH KI EK MAKHLOOK HAI?


JAWAAB: JI HAAN! JINN BHI EK ALAG MAKHLOOK HAI. ALLAH NE UNHE AAG SE PAIDA FARMAYA(RAHMAAN-15 16)


SAWAL: KYA FARISHTON KI TARAH JINNON KO BHI KHAANE PEENE KI ZAROORAT NAHI?KYA UNME PAIDAISH KA SILSILA JAARI HAI KI NAHI?


JAWAB: NAHI JINN FARISHTON KI TARAH NAHI HAIN. WO KHAATE PEETE HAIN. UNKI PAIDAISH KA SILSILA BHI JAARI HAI


SAWAL:JINNO KI GHIZA(FOOD) KYA HAI?


JAWAB: GOBAR(COW DUNG) AUR HADDI(BONES) KE BAARE ME AAP (SAW) NE IRSHAD FARMAYA KI INSE ISTINJA NA KARO KYONKI YE TUMHARE BHAI JINNO KA TOSHA HAI(FOOD)(ABU DAWOOD, TIRMIZI, NASAI)



SAWAL: KYA JINN AUR SHAYTAN APNA JISM BADALNE KI SALAHIYAT RAKHTE HAI?


JAWAB: HAAN! INME SALAHIYAT MAUJOOD HAI. HUZOOR-E-AKRAM (SAW) KA IRSHAD HAI, JISNE MUJHE KHWAB ME DEKHA, USNE BESHAK MUJHE HI DEKHA, ISLIYE KI SHAYTAN MERI SURAT AKHTIYAAR NAHI KAR SAKTA


SAWAL: SHAITAN AUR JINNO SE KAISE MAHFOOZ RAHA JAA SAKTA HAI?


JAWAB: ISKE LIYE HAME SUBAH SHAM AUR DEEGAR AUKAAT ME UN DUAON KA AZKAAR AUR AHTIMAM KARNE CHAHIYE JO NABI (SAW) NE BATAYE HAI


SAWAL: JIN AUR SHAYATEEN AMUMAN KAHAN RAHTE HAIN?


JAWAB: YE JYADATAR VEERANO , BAYABANO, JUNGLE, AUR KOODA KARKAT KI JAGAHON ME RAHTE HAIN, ISLIYE HUZOOR (SAW) NE FARMAYA PAKHANE JINNO AUR SHYATEEN KE ADDE HOTE HAIN...ISLIYE TUM PAKHANE(TOILET) JAO TO DUA PADHO(ABU DAWOOD)




SALFIYYA ISLAMIC RESEARCH CENTRE 581/150 FAITHFUL GANJ KANPUR U.P MO.9389962309

Friday, December 24, 2010

ISLAM KA PAIGAM AMAN KE NAAM

AS SALAM O ALLAIKUM WR WB.....


BISMILLAHIRRAHMANIR RAHEEM



"LA IQRA HA FID-DEEN"

(AL-BAQRAH)

DEEN MEIN KOI ZABER DUSTI NAHI. AUR RASOOL-UL-LLAH(S.A.W) NE FARMAYA: "AL-DEENO NASEEHA"

DEEN TO KHAIR KHAHI KA NAM HAI

na jaber aur zabardusti ka naam hai,islam to aman ka paigham le ker aaya tha uss waqt jab zameen zulm-o-ziadti se bhar chuki thi. islam ki poori tareekh utha ker parh len kahin bhi islami nazriat ko kisi bhi muselman badshah nay zabardasti kisi per nafez nahi kiya to hame kis ne yeh haq de diya ke hum bomblast krein khud bhi marain aur begunahoon ka khoon bhi apne sar le aur yeh sumjhain k hum islam ki khidmat ker rahay hain,nahi nahi yeh islam hargiz nahi humaray rub nay hame kahin bhi iss bat ki ijazat nhi di.khuda ki raah me dusroon k zati mufadat ko pora kernay k liye na apne app ko qatal karo aur na hi baygunnah masoom janoon ko qatal karo..ye insaniat se giri hui harkatein ker k tum islam ki khidmat nahi balki islam ko badnam kar rahe ho yeh badi badi darhioon walay,yeh jubay aur dustar walay sirf apne pait k liye jeetay hain tumhain to sirf islam ka hawala de kar yeh apne zaati maqsad ki jung lardh rahe hain,batao mujhe....


aaj tak kisi maolvi ka baita bhi mara hai?


kisi maolvi ne apne bete ko bhi jihad per bheja hai?


sochon mere bhaiyon socho yeh sab pait k dhanden hain tumhain to sirf istemal kartay hain yeh.


"AUR MAT KHYAL KARNA KE YE ZALIM JO AMAL KAR RAHAY HAIN ALLAH INN SAY BAYKHABER HAI.WOH INN KO USS DIN TUK MOHLUT DAY RHA HAI,JUB ANKHEI PHATI KI PHATI REH JAIN GI(AUR LOG) SAR OPER UTHAEY DAUD RAHE HON GAY, KHUD APNI TAREEF BHI UNKI NIGAHEIN LAOT NA SKEINGI AUR UNN K DILL (KHAOF K MARAY) HAWA HO RHAY HON GAY.


(IBRAHEEM AYET NO 42 ,43)


AY MERE RAB GAWAH RAHNA KI MAINE BAAT PAHUNCHA DI


"AUR HAMARE JIMME TO WAJAH PAIGHAM PAHUNCHA DENA HAI"

SURAH- YASEEN 17


ALLAH HAME SAMJHNE KI TAUFEEK DE

AMEEN

AMEEN KA MASLA( BADE PEER SAHAB KA FATAWA)








AS SALAM O ALLAIKUM WR WB


PEERANE PEER HZ SHAH ABDUL QADIR JILANI KA FATAWA




HZ. PEER SAYYID SHEIKH ABDUL QADIR JEELANI (RH) JO BAHUT BADE AALIM AUR WALIALLAH(ALLAH KE DOST) HUE HAIN APNI KITAAB GUNYATUTTALIBEEN ME FARMATE HAIN "WAL JAHRU WAIL QIR'ATI AAMEEN"

(MAGHRIB, ISHA, FAJAR KI NAMAAZ ME) AAWAAZ SE QIR'AT PADHNA AUR UNCHI AAWAAZ SE AAMEEN KAHNA CHAHIYE.


(gunyatuttalibeen)


YAHUDION KA AAMEEN SE CHIDNA


HZ IBN ABBAS (RA) SE RIWAYAT KARTE HUE KAHTE HAIN KI RASOOLLULLAH (SAW) NE FARMAYA, JITNA YAHUDI AAMEEN(UNCHI) SE CHIDTE HAIN UTNA KISI AUR CHEEZ SE NAHI..

IBNE MAZAA.


ZARA DEKHIYE: AGAR KOI UNCHI AAMEEN KAHE TO RASOOLLULLAH (SAW) KI ISS SUNNAT PAAK SE KABHI NA CHIDNA AUR NA NAFRAT KARNA KYONKI AAMEEN UNCHI AAWAZ SE YAHUDION KO CHID THI AUR WO NAFRAT KARTE THE AUR HAME YAHUDION KA VIRODH KARNA CHAHIYE....


AAMEEN, SUMMA AAMEEN

Thursday, December 23, 2010

Seene(chest) par hath baandhne ka fatawa by BADE PEER SAHAB(RH)

Hz sheikh abdul qadir jilaani (rh) farmate hai" wa ja ul yamina alshishmaali faw kas surrati"

taranslation:"aiy muridon! Daany haath se baany haath par naaf ke uper (seene par) baandho...


(gunyatuttalibeen)


hz sahl bin saad se riwayat hai ki logon ko rasoolallah (SAW) ki taraf se yah hukm diya jaata tha ki " namaaz me daanya(right) haath(hand) baanyi(left) kalaayi(arm) par rakho....


Bukhari

hz hulb sahabi (ra) farmate hain ki "maine rasoollullah (SAW) ko seene par hath rakhe hue dekha.....


(Musnad ahmad)


hz wail bin hajar se ye alfaz marwi hai

" rasool-e-khuda (SAW) ne apna daayan haath apne baany haath par seene par rakha"

(tabrani)


IBNE HATIM AUR BAYHQI ME HZ IBNE ABBAS FARMATE HAI-
"JA-YA-DA-KAL YUMNA AL-SHISHMALI INDAN NAHAR"

TRANS: DAANYA HAATH APNE BAANY HAAT PAR RAKHKAR SEENE PAR BAANDH

AHLUL TAQLEED KI KAALA BAZAARI

AS SALAM O ALLAIKUM

AHL-E-TAQLEED KI KAALA BAZAARI

aaraab e Quran ko le kar biddati shru se badi daleele de kar chillate aayen hain,

iss media me bhi kuch arse se okarvi ke manne wale shor karte hain isliye maine bahtar samjha ke is par dalail de doon.

yahi aitraz MUFTI AHMED YAR NAEEMI GUJJRATI ne apni kitab "JAA AL HUQ" fil haqeeqat(JAA AL BATILL) mein uthaya tha,


jiska jawab dety hue MAULANA ABU SOHAIB DAUR ARSHAD SAHB(RH) ne apni kitab "DEEN UL HUQ BA JAWAB JAA AL HUQ" Jild No: 2 ,Page No: 39 , per farmaty hain:

"BAAZ HAZRAAT KA KHAYAL HAI KE QUR'AN PER AARAAB HAZRAT ALI(R.A) KE HUKM SE LAGAEY GAYE TO IS AITEBAR SE YE KAAM BIDDAT NAHI KIYUN KE YE KAM BHI KHALIFA E RASHIDOON KE HATHON HUWA HAI MAGER AKSER KI RAI HAI KE: QURAN E KAREEM PAR AARAAB HUJJAJ BIN YOUSUF NE LAGWAYE THEY LIHAZA YE BIDDAT HAI. RAAQIM KEHTA HAI KE HUJJAJ K DAUR MEIN BAHOT SE SAHABA E KARAAM BAQEE E HAYAAT(ZINDA) THEY AGER YE KAAM BIDDAT HOTA TO SAHABA E KARAAM ZAROOR AITERAZ KERTEY MAGER KISI 1 NE BHI ISS PER AITERAZ NHI KIYA GOYA YE 1 IJMAI MASLA THA AUR AHLE ASOOL K BA'QAUL IJMA KHUD HUJJET E SHRIA HY.

(IJMA K BEHESS AAGEY AATI HY)

SALISSUN:AARAAB KO BIDDAT QARAR DENA MEHZ JIHALUT HAI,

KYA RASOOL UL LAH(S.A.W) QURAN E KAREEM KO BAGHAIR AARAAB K PERHTY THY?

AISA QATTUN NAHI KIUN KE AARAAB K BAGHAIR TO KOI IBARAT PADHI NAHI JA SAKTI.

PHIR RASOOL UL LAH(S.A.W) KI QIRATT AUR BAZ AYAAT K AARAAB KI WAZAHAT AHADEES KI KUTUB MEIN MAUJOOD HY.

HUJJAJ NE TO SIRF YE KIYA THA,JIS TARHA RASOOL ULLAH(S.A.W) QURAN KO PERHTY USEY ZABT KER DETA K JO LOG ASOOL E QIRAT SE WAAQIF NAHI WO BHI QURAN E KAREEM KI TILAWAT MEIN DIKKAT MEHSOOS NA KARAIN,


KYA RASOOL ULLAH(S.A.W) KI QIRATT KO MUDWANA E SOORAT DY DENA BIDDAT HY?


AUR PHIR JUB K ISS FAIL PER KISI 1 NY BHI NAKEER NA KI HO.

(DEEN UL HUQ BA JAWAB JAA AL HUQ jild NO 2,PAGE NO 39)

AUR AAJ BHI KOI INSAAN ARBON KA QURAN UTHA KAR DEKH LE, US PAR AARAAB LAGE HOTE HAIN, ISI SE SAABIT HOTA HAI KI AARAAB KE BEGAIR QURAN PARHNA SHRU SE MUMKIN NAHI THA.HANAFI SHAYAD YE SAMAJHTE HAIN KI NABI(SAW) NE DEEN KO (NAOZUBILLAH] NA MUKAMMAL CHHORA. JIS KO INKE KOOFE KE QASAI NE AAKAR MUKAMMAL KIA HAI, AAO BADBAKHTON, NABI(SAW) KE DAMAN KO CHOR KAR KOOFE KE QASAI KE PEECHEY CHALNEY WALON, SUN LO, SUN LO, BUDBUKHTON,

MERI AMMA AISHA(RA) FARMATI HAIN

"SUN LO! JO KAHE KI NABI(SAW) NE DEEN KO MUKAMMAL NAHI PAHUNCHAYA, WO KAJJAB HAI (SAHIH BUKHARI)

TUM KAJJAB HO, LANATI HO TUM,.......


tum shirk fil risalat ke murtaqib ho,tum pe Rab e Kainaat ki lanatain hon.


ab tum logon k pait mein maror uth rahey hon gay,

ab tum IJM E UMMET k barey mein aiteraz uthao ge

yaqinan,to aao aqal ke andho main tumhain asool e ahle hadith bataon.


IJMAA E UMMET HUJJET E SHARIA HY lughat mein IJMA kehtey hain "ITTEFAQ" ko.

(AL QAAMOOS UL MOHEET, JILD NO: 917) aur Allah(s.h.w.t) ny farmaya: JO SHAKHS HIDAYET WAZEH HO JAANEY KE BA'WAJOOD RASOOL UL LKAH(S.A.W) KI MUKHALIFAT KAREY AUR MOMINEEN KI RAAH KO CHHOR KER DOOSRON K RAASTEY PAR CHALEY (TO) HUM USEY USI TARAF PHAIRTEY HAIN JIDHAR WO PHIRTA HAI AUR HUM USE JAHANNUM MEIN DAKHIL KARAIN GE AUR WO (US K LIYE) BURA THIKANA HY.

(AL NISA, AYAT NO: 115)


is ayat se ijma e ummat ka hujjat hona sabit hua.

aur RASOOL UL LAH(S.A.W) ne farmaya: ALLAH MERI UMMET KO KABHI GUMMRAHI PER IKATTHA NAHI KAREY GA AUR ALLAH KA HATH JAMMAT(IJMA) PER HY.

(MUSTADRAK LIL HAKIM, JILD NO: 1 , PAGE NO: 116 , HADEES NO: 399 , SANADA HOO SAHI)

iski sanad sahi hai,ise IMAM TIRMAZI(R.H) ne bhi mukhtaserun riwayet kiya hai.

(SUNAN E TIRMAZI, JILD NO: 1 , PAGE NO: 39 , HADEES NO: 2166)


is hadith ke bahut se shwahid bhi maujood hain.

(AL DUR UL MANSOOR, JILD NO: 2 , PAGE NO: 222)


SHAIKH UL KUL SYED NAZEER HUSSAIN MUHADDISS DEHLAVI(R. H) ne mukhalifeen e ijma par shadeed rudd farmaya hai.

(FTAWA E NAZEERIA, JILD NO: 1 , PAGE NO: 17)

HAFIZ ABDULLAH MUHADDISS GHAZIPURI(R.H) farmatey hain: WAZEH RAHEY KE HUMAREY MAZHAB KA ASEL ASOOL SIRF ITTEBA E KITAB O SUNNET HY. ISS SY KOI YE NA SUMJHEY AHL UL HADITHS KO IJMA E UMMET O QAYASS E SHRAI SY INKAR HY KIUN K JAB YE DONO KITAB O SUNNET SE SABIT HAIN TO KITAB O SUNNET K MAN'NY MEIN INKA MAN'NA BHI AA GYA.

(ABRAA E AHLE HADEES WA AL QURAN, PAGE NO: 32)


ijma ki hujjiat ke liye IMAM SHAFI(R.H) ki kitab "AL RISALA" aur HAFIZ IBN E HAZZM AL ANDLASI ki kitab "AL AHKAAM" perhain. iss say sabit hua k IJMA E UMMET bhi hujjet e sharia hai aur ijma ka hujjet hona Quran o Hadees sy sabit hy.


biddati jitni bakwas kartey rahen,Ahlul Hadith ka maslak haq hai,aur inki buk buk se Abu Hanifa ki tazlil to hogi,

magar humare maslak pe koi hurf nahi aeyga. lanat ho her biddati,budbakht per.


WA MA TAUFEEQI ILLAH BILLAH. WA SALAM O ALAIKUM WA RAHMATULLAH E WA BARAKATAHOO. SUB'HANA RABBY KA RAB ILL IZZATY AMMA YASIFOON WA SALAMUN ALUL MURSALEEN WA ALHUMDOLILLAH E RAB ILL AALAMEEN.

MASLA KHALF UL IMAM AUR BAAZ ULEMA E AHNAAF KA QAUL

Bismillahirrahmanirraheem




AS SALAM O ALLAIKUM WR WB


Hz anas (ra)farmate hain ki" rasoollah ne apne sahaba ko namaaz padhai, namaaz padha kar unki taraf ghoom kar pauccha, kya tum apni namaaz me imam ki qir'at ke saath padhte ho...sab khamosh rahe. Teen baar aapne puccha. Phir jawab diya. Haan huzoor hum aisa karte hain aur farmaya, na kare ! Tum me se har ek ko chahiye ki sirf surah fatiha dheere se padh liya kare, yaani surah fatiha zaroor padh liya karo aur phir khamoshi se qir'at suna karo...

(bukhari)


SHAH WALIULLAH DEHLWI KA FATAWA


" agar imam unchi aawaz se qir'at padhta hai . To muktadi imam ke saktah ke waqt peeche-peeche alhamdu sharif padhta jaaye. Aur agar khmoshi se padhta hai to muktadi ko choot hai(jis tarah padhe)

saktah= surah padhte waqt imam jahan thaharta hai


HIDAYAH KA FATAWA


hidayah hanafi maslak ki bahut maqbool aur unche darje ki kitaab hai. Iski pahli jild fasl-fil-qir'at me fatiha khalf ul imam ke baare me ye fatawa hai.

Wa-yustahsun ala sabilil ihtiyati

ahtiyaat ke liye surah fatiha ka imam ke peeche padh lena hi behtar hai

(hidayah)



IMAM KE PEECHE SURAH FATIHA AUR BAAZ AIMMA E AHNAF KE AQWAAL:


1- Allama aini hanafi sharah bukhari me likhte hain

" baaz fuqaha e hanfiya har namaz me chaahe wah sirri ho ya jahri imam ke peeche alhamdu (surah fatiha) padhne ko ehtiyaatan mustahab(bahtar) bataate hain, baaz fuqaha sirf sirri namaz me, aur makka aur madina aur mulk e shaam ke fuqaha ka isi par amal hai"

(gausul gamaam)


2- allama abdul haiy lakhnawi rh likhte hain

" imam muhammad rh (imam abu hanifa ke shargird) se marwi hai ki unhone imam ke peeche surah fatiha padhne ko sirri namaz me mustahab(behtar) bataya hai, aur isi tarah imam abu hanifa rh se riwayat kiya gaya hai aur isi to hamare bahut se masaikh ne akhtiyaar kiya hai"

(umdatul qari)


3- imam shorani rh farmate hain

" imam abu hanifa rh aur imam muhammad rh ka aakhiri qaul yahi hai ki imam ke peeche surah fatiha padhi jaaye, na padhne ka Qaul pahle ka hai, jisse unhone ahtiyaatan ruju kar liya hai"

(gausul gamaam)


4- khwaja nizamuddeen awliya rh imam ke peeche surah fatiha padhte they aur farmate they

" nabi(sws) se sahih sanad se saabit ho chuka hai ki jisne surah fatiha na padhi uski namaz nahi hoti, ek baar jab aapne ye hadith pesh ki to wahan qaazi ruknuddeen bhi maujood they wah kahne lage tujhko hadith se kya kaam abu hanifa ka koi qaul pesh kar

hz nizamuddeen rh ne farmaya:-" subhaanallah! Main nabi ki hadith pesh karta hun aur tum mujhse abu hanifa ki riwayat talab karte ho, phir aapne farmaya:- fuqaha ki is bahaduri par tajjub hai ki hadith ka kaise inkaar karte hain aur kahte hain ki fiqhi riwaayat rasool(sws) ki hadith par muqaddam hain"

(nuzhatul khwatir)


5- maulana rasheed ahmad gangohi rh likhte hain

" jab aap(sws) ko qirat me munaz'at aur siql huwa aur logon ka padhna malum huwa to aap(sws) ne huqm farmaya, Agarche tum jaldi jaldi saktaat e imam me hi padhte ho taa ham padha kare siwaaye fatiha ke kyonki surah fatiha ke begair namaz nahi hoti"


(sabeelur rasheed)


6- sheikh abdul qadir jilani rh likhte hain

" surah fatiha ka padhna farz aur namaz ka ruqn hai, surah fatiha ke na padhne se namaz baatil ho jaati hai"

(gunyatuttaleebeen)


6- mulla jeevan ne tafseer e ahmadi me likha hai

" agar jamaat e soofiya aur mashaikheen e hanafiya ko dekhoge to tumhe malum hoga ki ye log imam ke peeche alhamdu(surah fatiha) padhne ko mustahab bataate they jaisa ke imam muhammad rh ehtiyaatan mustahab bataate they"

(tafseer e ahmadi)



ALLAH TAALA HAMEN TAUFEEQ DE KI HAM KOI AMAL KARNE SE PAHLE USE KITAB WA SUNNAT KI KASAUTI PAR PARAKH LEN.......AMEEN

Ahnaaf hazrat ke sartaz( hazrat imam muhammad (rh) ka naara-e-haq rafulyadain barhak hai

bismillahirrahmanirrahem




hz imam muhammad jo hanafi maslak ke maane hue imam hai...saara zakhira hanafi maslak ka unhi ki mahnat ka wa unhi ki koshishon ka nateeja hai.. Aap imam abu haneefa ke khaas shargird hain..aap apni mashoor kitaab (MOATTA IMAM MUHAMMAD) me rafulyadain ki sahih hadith laaye hain...

BAAB IFTATAH AS-SALAT dekhiye


ANN ABDILLAHIBNI UMAR KAALA KAANA RASOOLILLAHI SALLALLAHU ALLAIHI WASALLAMA IZFAT- TAHASSALAATA RAFAYADAIHI HAZ WAMNA KIBAIHI WA-IZA KABBARA LI-RUKOO E RAFAYADAIHI WA -IZA RAFA-AA SAHU MIN RUKOO -E RAFAYADAIHI SUMMA KAALA SAMIALLAHU LIMAN HAMIDAHU SUMMA KAALA RABBANA WA LAKAL HAMD

(MOATTA IMAM MUHAMMAD)

translation: hz abdullah ibn umar se riwayat kai ki " rasoollullah sallallahu allaihi wasallam jab namaaz shuru karte to rafulyadain karte aur jab rukoo ke liye takbeer kahte to rafulyadain karke " samiallah limam hamida aur rabbana lakal hamd kahte....


Imam muhammad ne huzoor(saw) ki sahi hadith ko aapki kitaab me laker maan liya ki rafulyadain sunnat hai....

Hz sheiek abdul qadir jilani (rh) ka fatawa

AS SALAM O ALLAIKUM WR WB


R-f-ul-yadaini indal if titahi war rukui wa rafa -i-minhu


hz peer jilaani (RH) farmate hain ki "namaaz me takbeer-e- oola ke waqt aur rukoo me jaate waqt, aur rukoo se uthte waqt rafulyadin karna chahiye".


(gunyatuttalibeen)



rafulyadain ke baare me 400 riwayaten.


Allama mujaddin firozabadi lekhak kamoos, safrus-aadat me likhte hain.


Riwayaton ke jyadati ki wajah se (teen maukon paq saabit rafulyadain) mutawaatir hadith ke jaise hain. Is masle me 400 hadithsen aur aasaar ye hain. Ashrah mubashra sahaba( jinhe huzoor ne unki jindgi me jannati kaha) ne inko riwayat kiya hai. Nabi (SAW) isi tarah namaaz padhte rahe, yahan ki is duniya se rukhsat ho gaye. Iske siwa kuch saabit nahi....



Rafulyadain qaayam karo aur Nabi ki sunnat zinda karo mere bhaiyon

Wednesday, December 22, 2010

DARS-E-HADITH

AS SALAM O ALLAIKUM WR WB

SURAH MAIDA CH 5 V 17 )


If Allah touch thee with affliction. none can remove it but he ! Touch thee with happines He hath power over all things



Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Fermaya Admi K Bura Hone K Lye Yahi Kafi Hy K Wo Apne Musliman Bhai Ko Haqeer Samjhey


(Sahi Muslim Kitabul Ber H#2523)



Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Fermaya: Agli Quamain Is Terha Halaak Hoi Ke Jab Koi Moziz Admi Chori Kerta To Chor Dya Jata Lekin Jab Mamuli Admi Jurm KertaTo Ise Saza Di JatiWalla! AgerFatima Bint Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam)Bhi Chori Kare To Main Iska Haath Kaat Dalonga


(Sahih Bukhari, Ahadeesul Anbia, H#3475 / Sahih Muslim, Kitabul Hudood, H#1688)



Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Fermaya, Ager Namazi Ke Saamne Se Guzarne Waaley KoGuzarney Ki Saza Ma’loom Ho JaeTo Isey 1 Qadam Agey Berhney Ke Bijae40 ( Din, Mah Ya Saal) TakWahin Kharey Rehna Pasand Ho.

(Bukhari, Kitabul Salaat, H#510 /Muslim, Kitabul Salaat, H#507)

DARS-E-HADITH

Muhammad (SAW) ne farmaya jo logon par daya( raham) nahi karta, ALLAH bhi us par daya (raham) nahi karta........ BUKHARI,MUSLIM

DARS-E-HADITH

As salam o allaikum wr wb


Nabi sallallaho allaihi wasallam ne farmaya:" yaad rakho mujhe qur'an majeed aur uske saath us jaisi ek aur cheez(hadith) di gayi hai."aur jis tarah allah taala ne apne hukm ko farz kiya hai. Usi tarah apne rasool ke hukm ko bhi farz kar diya hai...ABU DAWOOD: 4587 , ibne hibban ne sahih kaha hai.... AUR farmaya " aiy ahle imaan! Allah ka kahna maano aur uske rasool ka. Aur uski batai hui baaton se hatkar apne karmon ko baatil na karo... Surah:muhammad 47 :33 frwd this hadith to all urAs salam o allaikum wr wb


Nabi sallallaho allaihi wasallam ne farmaya:" yaad rakho mujhe qur'an majeed aur uske saath us jaisi ek aur cheez(hadith) di gayi hai."aur jis tarah allah taala ne apne hukm ko farz kiya hai. Usi tarah apne rasool ke hukm ko bhi farz kar diya hai...ABU DAWOOD: 4587 , ibne hibban ne sahih kaha hai.... AUR farmaya " aiy ahle imaan! Allah ka kahna maano aur uske rasool ka. Aur uski batai hui baaton se hatkar apne karmon ko baatil na karo... Surah:muhammad 47 :33



zamane ki kasam hai, insaan ghaate me hai. Unko chod kar jo iman laaye, acchae kaam kya...aur aapas me sach(true) baat kahi....aur sabr kiya...

(sur- asr ayat no 1-3)

khalf ul imam 2

AS SALAM O ALLAIKUM WR WB


Hz ubada bin saamit farmate hain" ki hum namaaz Fazr me nabi(SAW) KE peeche they aur aapne quran padha to aap par padh na bhaari ho gaya. Jab namaz Se faarig hue to farmaya" shayed tum imam ke peeche padhte ho? Hum ne kaha haan.",allah ke rasool! Aapne farmaya:" siwaay fatiha ke kuch na padha karo. Kyonki us vyakti ki namaaz nahi hoti jo surah fatiha na padhe...Abu dawood:823 ,tirmizi:311 IBNE khuzaima:1581 , ibne hibban: 460-461 bayhqi ne SAHIH, tirmizi aur dare kutni ne HASAN kaha hai...

khalf ul imam

AS SALAM O ALLAIKUM WR WB


Hz. Abu huraira farmate hai ki Nabi(SAW) ne farmaya:" jis shakhs ne namaaz padhi aur usme surah fatiha na padhi bus wo namaaz naakis hai, naakis hai ,naakis hai, poori nahi". Abu huraira se puccha gaya, hum imam ke peeche hote hain(phir bhi padhen). To hz abu huraira ne kaha haan. Tu usko dil me padh...Sahih muslim :775 , 776 , 777

Rafulyadain karne ki daleel hanafi maslak se

AS SALAM O ALLAIKUM WR WB...

Shah waliullah dehlwi ka fatawa no 1


hz shah waliullah(rh) farmate hain ki jab rukoo karne ka iraada karen to rafulyadain karen aur jab rukoo se sir uthayen, us waqt bhi rafulyadain karen. Main rafulyadain karne walon ko na karne walon se accha samajhta hoon. Kyonki rafulyadain karne ki hadeesen bahut zyada hai aur bahut sahih hain


hujjatullahil-balgha part 2


Maulana abdul haiy hanafi ka fatawa no 2

"yaani huzoor se rafulyadain karne ka bahut kaafi aur bahut accha saboot hai. Jo log kahte hain ki rafulyadain mansookh hai unki baat bina daleel hai.

(Taalikul mumajjid)



durre-mukhtar ka fatawa no 3


hanafi maslak ki sabse bharose mand kitab durre-mukhtar me hai ki " jisne kaha ki rafulyadain se namaaz me nuksaan aata hai uski baat sahih nahi hai. Aur rukoo me jaane se aur rukoo se uthne ke waqt rafulyadin karne se nuksaan nahi hai....

Jakheera me hai " r-f-ul yadaineela-tufsidus-salata"

yaani rafulyadain se namaaz me kharaabi nahi padhti

Aameen ka masla

bismillahirrahmanirraheem




Hz wail bin hajar (ra) se riwayat hai ki maine suna rasoollullah (SAW) ne padha" gairil magzoobi allaihim walazzalleen" phir aap ne buland aawaz se aameen kahi..

Tirmizi 248, abu dawood 932, tirmizi ne hasan, jabki ibne hajar aur imam bayhqi aur dare qutni ne sahih kaha hai.


Hadith no 2


hz abu huraira (ra) kahte hai ki jab rasoollullah (SAW) "GAIRIL MAGZOOBI........" padhte to aap kahte AAMEEN" Itni unchi aawaz se ki pahli line me aapke aas pass log sun lete.....


Bayhqi 2/58, ibne khuzaima 571, ibne hibban 462. Ise imam haakim aur imam jahbi ne sahih kaha hai


hadith no 3


hz abu huraira (ra) farmate hain ki nabi kareem(SAW) ne farmaya " jab imam aameen kahe to tum bhi Ameen kaho. Jis shaks ki aameen farishton ki Aameen ke barabar ho gayi to uske pahle sab gunah maaf ho jaate hain....



Bukhari 780, muslim 410,


is hadith se malum hua ki jis muktadi ne abhi surah fatiha shruru ya khatm nahi ki wah bhi aameen kahe

Aameen ka masla aur hanafi ulama ki stamp

bismillahirrahmanirraheem




HZ ABDULLAH BIN ZUBAIR (RA) AUR UNKE MUKTADI ITNI UNCHI AAWAZ SE AAMEEN KAHTE KI MASAJID GOONJ UTHDTI THI


BUKHARI

AAJ BHI MASAJID NABWI ME AAMEEN KI AAWAAZ GOONJTI HAI...HAAJI BHAIYON SE PUCHLO


IMAM E AZAM KE USTAD KI GAWAHI

200 SAHABA KIRAM(RA) KA UNCHI AAWAAZ SE AAMEEN KAHNA


IMAM E AAZAM (RH) APNE USTAAD MOHTARAM KE BAARE ME FARMAATE HAIN--"MA -RA -ATU MISLAHU" MAINE UN JAISA KOI AADMI NAHI DEKHA

(MEEZAN JAHWI)


HZ ATA BIN RABAH (TABIEN)(RH) FARMATE HAIN
"MAINE 200 SAHABA KO PAAYA KI WAH IS MASJID HARAAM(BAITULLAH) ME JAB IMAM WALAZZALEEN KAHTA TO SAB UNCHI AAWAZ SE AAMIN KAHTE


BAYHQI,IBNE HIBBAN


MAULANA ABDUL HAI HANAFI (RH) KA FATAWA


"WAL INSAFU ANNAL JAHRA KAWIYYUN MIN HAISUD DALEELI"

SACCHI BAAT TO YAH HAI KI UNNCHI AAWAZ SE AAMEEN KAHNE KI DALEEL BADI PAKKI HAI.. Hanafi bhaiyon aap bhi unchi aawaz se aameen kaha karo kyonki yah sunnat hai....

ALLAH HUM SAB KO HIDAYA ATA FARMAYE....