Wednesday, March 30, 2016

KYA IMAM AHMAD RH NE TAQLEED NA KARNE WAALO’N KO FAASIQ KAHA HAI ? EK AITERAZ AUR USKA JAAIZAH



Bismillahirrahmanirraheem



ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUH


KYA IMAM AHMAD RH NE TAQLEED NA KARNE WAALO’N KO FAASIQ KAHA HAI ? EK AITERAZ AUR USKA JAAIZAH


Baaz Muqallideen Ko Dekha Jaata Hai Ki Wo Difaa E Taqleed Me Imam Ahmad Rh Ka Ye Qaul Pesh Karte Hain

SCAN



Insha Allah Aaj Is Post Me Iska Jawaab Diya Jaayega Mulahiza Ho: –

Imam Ibn Abi Ya’ala Rh Ki Kitab Tabqat Ul Hanabilah Me Maujood Imam Ahmad Rh Se Mansoob Ye Kalaam Dar’asal Ek Poore Risaalah Se Muqtabis Hai Aur Iski Sanad Ye Hai

Abul Hasan Ibn Abi Ya’ala (526 H) Farmate Hain

روى عَنْ إمامنا أشياء منها: ما قرأت عَلَى المبارك عَنْ علي بن عمر البرمكي قَالَ أَخْبَرَنَا أحمد بْن عَبْدِ الله المالكي لفظا حَدَّثَنَا أبي حَدَّثَنَا محمد بن إبراهيم بْن عَبْدِ اللَّهِ بن يعقوب بن زوران حَدَّثَنَا أبو العباس أحمد بن جعفر بن يعقوب بْن عَبْدِ اللَّهِ الفارسي الأصطخري قَالَ قَالَ أَبُو عَبْدِ اللَّهِ أحمد بن محمد بن حنبل.

[ Tabqat Ul Hanabilah Jild 1 Safa 54,55 ]]

SCAN


Is Sanad Me Ek Raawi Ya’qoob Bin Abdullah Alfaarsi “Al Astakhree” Hain Inke Baare Me Aqwaalat Mulahiza Ho’n

Imam Zahbi Rh Is Riwayat Ke Muta’alliq Likhte Hain

’’ كرسالة الاصطخري، ولا كالرد على الجهمية الموضوع على أبي عبد الله

Ki “Astakhree” Ki Riwayat Se Imam Ahmad Rh Ka Kalaam Aur Al Radd Alal Jahmiyah Naami Risaalah Imam Abu Abdullah Ahmad Bin Hambal Ke Naam Par Jhoot Gadhe Gaye Hain

[[ Siyar A’alamin Nubala Jild 11 Safa 386,287 ]]

SCAN



Aur Aage Chal Kar Astakhree Ke Is Risaalah Par Mazeed Kuch Kalaam Naqal Karne Ke Baad Imam Zahbi Rh Farmate Hain

«إلى أن ذكر أشياء من هذا الأنموذج المنكر والأشياء التي والله ما قالها الإمام فقاتل الله واضعها.. ومن أسمج ما فيها قوله:
(ومن زعم أنه لا يرى التقليد ولا يقلد دينه أحدًا فهذا قول فاسق عدو لله).. فانظر إلى جهل المحدثين كيف يروون هذه الخرافة ويسكتون عنها»

Ki Astakhree Ne Apni Is Riwaayat Me Kayi Munkir Ashyaa (اشیاء) Naqal Ki Hai, Jo “Allah Ki Qasam Imaam Ahmad Rh Ka Kalaam Nahi Hai” Jaise Ye Baat Ki ” Jo Taqleed Nahi Karta Aur Kisi Ka Muqallid Nahi Wo Allah Ka Dushman Aur Faasiq Hai” To Aap Raawiyo’n Ki Jihaalat Dekhiye Ki Unhone Aisi Khuraafat Khaamoshi Se Aage Bayaan Kar Di’n

[[ Siyar A’alamin Nubala Jild 11 Safa 303 ]]

SCAN




Allah Hum Sab Ko Haq Samajhne Ki Taufeeq De Aameen

#AamirAdnan
#IslamicLeaks
#AhlehadithHaq

Sunday, March 27, 2016

FIQAH HANAFI KI URUJ KI WAJAH, KYON, KAB AUR KAISE ???







Bismillahirrahmanirraheem



Fiqah Hanfiyat Ka Uruj Ki Wajah Kiyon, Kab ,Aur Kaise ??



Ham Log Baraha Sunte Aaye Hain Ke Hanfi Fiqaha Quraan Aur Hadish Ka Nichor Hai , Balki Hanfi Ke Aalim Ne To Is Mouju Pe Ek Kitab Bhi Likhi Hai,
Kiya Ye Sahi Hai ? Ya Koi Baat Hai ? Kiyon Ke Aap Fiqah Ko Padhenge To Ja Baja Aisi Baaten Aayengi Jahan Fiqah Hadish Ko Thukrata Hua Nazar Aayega, Lekin Mera Bahas Ye Nahi Hai, Mai Ye Batana Chahta Hoon Ke Woh Koun Se Wajuhat The Jis Fiqahi Masayal Ko Lene Ki Zarurat Padi ? Kaise Koun Se Masayal Ne Janam Le Liya Jo Hadish E Rasul Me Moujud Nahi Tha , Aur Fiqhi Masayal Ki Zarurat Par Gai Jab Ke Us Waqt Sahaba Ki Jamaat Moujud Thi, Rawiye Hadish Bhi Duniya Me Zindah They Aur Hamare Nabi  Muhammad Sallallaho alaihi Wasallam  Ko Duniya Se Rahlat Farmaye Huye Zeyadah Arsa Nahi Guzra Tha.



Phir Kiya Wajah Hogai ?Kuchh To Hai Jis Ko Ye Hanfi Bhai Chhupa Rahen ,Musalmano Tak Woh Koun Si Baat Hain,Jise Ye Log Pahucha Nahi Chahte Woh Koun Si Baat Hai Jis Se Fiqah Hanfi Ko Uruj Mila? Aaiye Woh Baat Ko Janne Ki Koshish Karen Aur Jane Ke Woh Kiya Hai

Ibne Khalkan Matbua Iran.Jild No.2 Safa No 463
 

Me Likhte Hain Ke Harun Rashid Apne Mahal Me ""Zina ""Hote Khud Apni AankhoN Se Dekha.Aur Sakht Kufat Me Mubtila Hua .Ke Kiya Karen...

Haroon Rashid Ka Ek Razdar Khadim Tha .Us Se Haroon Ne Kaha Ke Tum Kisi Faqih Ko Jante Ho Toh Use Mere Pas Bula Ke Lao, Imam Yusuf Se Us Khadim Ka Pahle Se Pahchan Thi. Woh Unhi Ko Bula Laya .
Haroon Rashid Ne Un Se Puchha .
“Agar Imam E Waqt Khud Kisi Ko Zina Karte Dekhe To Us Waqt Woh Kiya Kare.”
Us Waqt Haroon Rashid Ke Chehre Se Ranj Ka Izhar Numaya Tha...

Imam Abu Yusuf Samajh Gaye Ke Ye Haroon Rashid Ke Ghar Ka Waqya Hai.. Unhone Fatwa Diya ..."
 ".Ke Is Surat Me Me Us Pe Hadd Nahi .."
 Haroon Rashid Bahut Khush Hua Aur Imam Yusuf Ko Bahut Inaam Wo Ikram Se Nawaza .
 

Is Qisse Ko Zikr Karne Ke Baad Ibne Khalkan Likhte Hain Safa No.. 463 Pe Hi...

Imam Yusuf Ko Haroon Rashid Ke Darbar Me Rasukh Ki Ibteda Hui Phir Rafta Rafta Qazi Huye Aur Haroon Rashid Ki Sari Hakumat Me Inhi Ke Hukm Se Qazi Banaye Jate The.. 

Aur Unhi Se Imam Abu Hanifa R.H Ke Maslak Ko Shohrat Mili....

Usi Safa Pe Aage Likhte Hai N Ke Agar Imam Yusuf Na Hote To Imam Abu Hanifa R.H Ko Koi Nahi Janta.

Ye Tha Hanfi Fiqah Ke Uruj Ki Dastan.



Tawarikh E Kholefa Matbua Misr Safa No 114.
 

Ba’sanad Ibne Mobarak R.H Naqal Kiya Gaya Hai Ke
“Jab Haroon Rashid Khalifa Huye To Apne Baap Ki Ek Loundi Pe Un Ka Dil Agaya Aur Us Se Apni Khawahish Ka Izhar Kiya . Us Loundi Ne Inkar Kardiya Aur Kaha Ke Mai Tumhare Liye Halal Nahi Hosakti Kiyon Ke Tumhare Baap Ne Mujh Se Khilwat Kiya Hai “
.Lekin Haroon Rashid Ka Ishq Din Badin Badhta Gaya Us Loundi Pe..To Us Ne Imam Yusuf Ko Bulaya Aur Apne Dil Ki Halat Ka Izhar Kiya Aur Puchha Ke Tumhare Pas Koi Tajwij Hai Halal Hone Ki.
 To Qazi Sahab Ne Kaha:-“ Kiya Loundi Jo Dawa Karegi Woh Man Liya Jayega..Aap Us Ki Baat Ko Na Maniye Kiyon Ke Woh Jhut Se Mehfuz Nahi Hai”

Ibne Mobarak R.H Kahte Hai Ke
  Kis Se Taajjub Karoon, Us Badshah Se Jis Ne Apne Baap Ki Hurmat Ka Lihaz Nahi Nahi, Ya Us Qazi Se Jis Ne Izazat De Di “



Aaiye Aur Age Padh Ke Dekhte Hain.



Tawarikh E Kholefa Safa No 114 Me Likha Hai
 

 Salfi Ne Abdullah Bin Yusuf Se Riwayat Ki Hai Ke Haroon Rashid Ne Qazi Abu Yusuf Se Kaha Ke:-“ Maine Ek Loundi Kharidi Hai  Aur Mai Chahta Hoon Ke Us Se Abhi Sohbat Karoon.Bina Iddat Guzare. Is Ke Halal Hone Ki Tumhare Pas Koi Heela Hai.”

Qazi Sahab Ne Kaha-“ Haan! Woh Loundi Aap Apne Kisi Ladke Ko Hubba (Gift) Karden .Baad Us Ke Us Se Nikah Kar Len”
Is Fatwa Pe Haroon Rashid Bahut Khush Hua Aur Ek Lakh Darham Inaam Dene Ka Hukm Diya .Qazi Sahab Ne Kaha Ke:-“ Ye Inaam Ka Raqam Abhi Mil Jaye “
.Is Par Kisi Ne Kaha Ke Khachanchi(treasurer) Apne Ghar Chala Gaya Hai, Aur Darwaze Band Ho Gaye Hain.
 To Qazi Sahab Farmate Hain
 Jab Ham Bulaye Gaye The Tab Bhi Darwaze Band The Aakhir Khole Gaye "

Yani Subah Tak Intezar Bhi Gawara Nahi Tha.
#RizwanShaikh
#IslamicLeaks
#UmairSalafiAlHindi


Wednesday, March 23, 2016

उन्वान ¦ क्या अहले हदीस इजमा को नहीं मानते ???

                  बिस्मिल्लहिर्रह्मनिर्रहीम



उन्वान ¦ क्या अहले हदीस इजमा को नहीं मानते ???


आज इस पुर फ़ितन दौर  मे आवाम  को ये बावर कराया  जा  रहा है  की अहले हदीस  हज़रात इजमा  व कयास  को नहीँ  मानते. एक बात जेहन मे  होनी चाहिए मस्लक अहले  हदीस  को जब तक  बदनाम  नहीँ किय जा  सकता  जब तक झूट से काम ना  लिया  जाये,


इजमा  व  कयास  क हुक्म कुरान  व हदीस  मे मौजूद है, और अहले  हदीस  हज़रात इजमा वा  कयास  को मानते  हैं, मिसाल के तौर पर,


यहूदी  कहते  हैं मुसलमान  हज़रत मूसा को नहीँ मानते, और मुसलमान  कहते हैं यहूदी हज़रत मूसा को नहीँ मानते,

इसी तरह हम इजमा वा  कयास को उस तरह  नहीँ मानते जिस तरह हनफी मुकल्लिद मानते हैं, और जिस तरह हम इजमा  वा कयास  को मानते  हैं उस तरह हनफी  मुकल्लिद  नहीँ मानते,

कुरान  वा हदीस मे इजमा  का  वाजेह  हुक्म  मौजूद  है, और  जो इस  बात  का  दावा  करते  हों की वो कुरान वा हदीस पर अमल  करता है तोह उमूमी  तौर  पर उसका  दावा  इजमा  पर भी होता  है,


क्या  अहले  हदीस इजमा  को नहीं  मानते ??


अहले  हदीस को ग़लत साबित करने  के लिये ये बात कही जाती है के अहले हदीस उम्मत के इजमे को नहीं मानते, लेकिन आम तौर पर इस सिलसिले  मे  बात  करने  वालों  को खुद इजमा की तारीफ   मालूम  नहीं  होती  है.


कभी वो अक्सरियत  को इजमा  करार  देते  हैं  तो कभी  आवाम  मे राइज़ अमल  को, और बाज इजमा के दावे  महज़  दावे ही होते  हैं, जब वाकई  तह्कीक  की जाती  है तो खुद सलफ  मे इस सिलसिले  मे इख्तेलाफ  निकल  आता  है, बलके  खुद  इजमा  का  दावा करने  वालों ही की जमात के काबिल ए जिक्र  अफ्राद इस किस्म  के इजमा की तर्दीद कर चुके  होते हैं


इजमा की तारीफ़  (definition)


अबुल मों 'अली  अल  जवैनी अपनी  किताब अल वर्कात  मे फ़रमाते  हैं


" इजमा  ये है की किसी ज़माने के उलेमा पेश आमदा मामले  मे किसी  एक फैसले पर मुत्तफिक हो जायें. और उलेमा ये हमारी  मुराद फुकहा  हैं  और पेश आमदा  मुआम्ले  से मुराद शरई  मामला  है "
(पेज 24)


अहले हदीस के नज़दीक  साबित शुदह इजमा  हक  है, अहले हदीस उस इजमा  को नहीं मानते जो महज़ घुमान  और  बे दलील  हो

अहले हदीस के नज़दीक इजमा ए  उम्मत  खुद एक दलील है  क्युँकि  अल्लाह ताला  ने  सबीलुल  मोमिनीन  की खिलाफ वरजी  को काबिल ए सजा  जुर्म  करार दिया है,

अल्लाह ताला का फ़रमान है


"  और जो शख्स  इस रसूल से इख्तेलाफ  करे जबकी  हिदायत  उस पर वाजेह हो चुकी हो और ईमान वालों का  रास्ता  छोडकर  कोई और ही इख्तियार  कर ले तो हम उसे वहीँ मोड़ देंगे  जहाँ  उसने  खुद रुख किया है  और जहन्नुम  मे पहुँचा देंगे  और वो बहूत ही बुरा ठिकाना  है "

(सुरह  निसा  आयत  115)


इस आयत  से मालूम होता  है की जिस चीज़ पर सारे अहले ईमान जमा  हो  जायें  उसके खिलाफ  करना  जायेज  नहीं, अहले ईमान  का किसी चीज़ पर जमा  होना इस बात की अलामत  है की वो चीज़ अल्लाह के नज़दीक हक  है, क्युँकि अहले ईमान को अल्लाह ने बातिल  पर मुत्तफिक होने से कयामत  तक  के लिये महफूज़ कर दिया है


नबी ए  करीम मुहम्मद सल्ल॰  ने  फरमाया


" यानी ऐसा नहीं हो सकता  के पूरी उम्मत एक गलत बात को सहीह समझने  लगे "

(जमेअ  तिर्मिजि  रावी इब्ने उमर  हदीस  1848)


हर दौर मे एक या  कई अहले इल्म  ऐसे ज़रूर होंगे जो हक  पर कायम  रहेंगे. बाज अहले इल्म का खता  कर जाना मुमकिन  है लेकिन ये मुमकिन नहीं के किसी गुमराही पर पूरी  उम्मत  मुत्तफिक  हो जाये,

एक बात याद रखें की किसी का भी किसी चीज़ पर जमा होना इजमा नहीं, बल्की  कुरान  व सुन्नत की गहरी  सोच रखने  वाले  उलेमा  हों, क्युँकि तहकीक से आजिज होने का इकरार  करके किसी की  तक्लीद करने  वाले  पर फुकह व आलिम  का इत्तेलाक कैसी  हो सकता  है ??


उलेमा वही  हैं जो अम्बिया से मंकूल इल्म  के वारिस  हों, और नबी मुहम्मद  सल्ल॰  ने अपने बाद  कुरान व हदीस  क इल्म  छोड़ा  है  ना की  फर्जी  कयास आराईया, लिहाजा  आलिम  कहलाने  का  हकदार  वही  है  जिसका कल्ब  कुरान  व सुन्नत से मुजय्यन हो,


अहले हदीस  इजमा  को  मानते  हैं लेकिन  क्या इजमा  का हर दावा  बेगैर दलील  वा  तह्कीक के  मान लिया  जाये ???


इसी लिये  इमाम अहमद बिन हम्बल रह फ़रमाते  हैं


"जो इजमा का दावा करे उसने झूट बात  कही  है,बहुत  मुम्क़िन है  लोगों  मे इख्तेलाफ हुआ हो "
अब आखिर मे लोगों के खुद के बनाये हुए ऐसे झूठे इजमा को  भी  देख लेते हैं


1- देवबंदी मुफ्ती मुहम्मद रशीद लुधियानवी रफूल यदैन  के मुताल्लिक़ लिखते हैं के

" इन मसायल मे बिल इत्तेफ़ाक ए उम्मत (इजमा ए उम्मत ) दोनो सूरते (रफुल यदैन करना और ना करना ) जायेज है " (इख्तेलफात ए उम्मत पेज 272)

वहीँ दूसरी तरफ़

एक और देवबंदी आलिम जमील अहमद नजीरी  रफूलयदैन के इजमा का इनकार करते हुए कहते हैं के

"  रफुलयदैन मन्सूख है "

(रसूल ए अकरम सल्ल॰  का तरीका ए नमाज़  पेज 198)

2- देवबंदी मुफ्ती रशीद अहमद लुधियानवी बयान करते हैं के नमाज़ के बाद की इज्तेमायी दुआ बिद्दत है

उन्होने लिखा

" नमाज़ के बाद की इज्तेमायी दुआ का मर्वजा तरीका बिल इजमा बिदह कबीहा है "
" फ़र्ज  नमाज़ के बाद हाथ उठा कर दुआ माँगना साबित नहीं  है "

(नमाज़ के बाद दुआ पेज 19)

दूसरी तरफ़, अनवर खुर्शीद देवबंदी अपनी किताब मे लिखते हैं

" फ़र्ज नमाजो के बाद हाथ उठा कर दुआ माँगना हुजूर मुहम्मद सल्ल॰  और सहाबा ए  किराम  से कौलन वा अमलन  साबित है, हुजूर अलैहिस्सलाम  और सहाबा ए किराम ने नमाज़ के बाद हाथ उठा कर दुआ माँगी है इन्फीरादी भी और इज्तेमायी भी "

(हदीस  और  अहले हदीस पेज 478)

3- अमीन ओंकारवी तक्लीद ए शख्सी के बारे मे कहते है

"तक्लीद  ए शख्सी पर इजमा हो गया है "

(फतूहात ए सफ़दर 1/84)

दूसरी तरफ़ मुफ्ती रशीद अहमद गंगोहि फ़रमाते हैं

"तक्लीद  ए  शख्सी पर कभी इजमा हूआ ही नहीं "

(तज्कीरत उल रशीद )

इसी तरह से कई तरह के इजमों के देवबंदी हज़रात खुद  अपने आलिमो के इज्मे  रद्द  कर जाते हैं और उल्टा हमारे बारे मे झूट आवाम मे फैलाते हैं की अहले हदीस इजमा को नहीं मानते, अपनी बात का यहीं इख्तेमाम करता हूं


अल्लाह ताला हम सबको कहने सुनने और  उस पर अमल करने की तौफीक अता फ़रमायें. और  झूट फैलाने वाले ना 'अहल मौलवियों को समझ अता फ़रमाएँ.

आमीन
मिन जानिब तहफ्फुज ए सुन्नत वा अकायेद

Sunday, March 20, 2016

MASTER AMEEN SAFDAR OKARWI DEOBANDI SAHAB KA AQEEDA:













Bismillahirrahmanirraheem




OKARWI KA TAQ’QUB: PART- 2


MASTER AMEEN SAFDAR OKARWI DEOBANDI SAHAB KA AQEEDA:

Waseela, Duniyawi Hayat Un Nabi, Wa Sama Moti (Murdon Ka Sunna) Ke Elaawa Okarwi Sahab Ka Ye Aqeeda Bhi Hai Ke

“Ek Selaani Buzurg Sayyed Shamsul Haq Shah Sahab Quddus Sirrahu Jo Faazil Deoband They Tashreef Laaye…. Farmaya : Wali Muhammad (Okarwi Sahab Ke Waalid)! Ghabraao Nahin Tum Allah Ke Fazal O Karam Se 7 Beton Ka Munh Dho Ge.. ….Mere Baad 6 Bhai Paida Hue Aur Waalid Sahab (Rh) Ne Waqi 7 Beton Ka Munh Dhoya ”

(Tajalliyat E Safdar 1/10)

“Hazrat Aqdas (Rh) Ne Bade Pyaar Se Mere Sar Par Haanth Pherte Hue Farmaya : Wali Muhammad ! Ye Ladka Molwi Banega, Munaazir Banega”

(page no.11)

OKARWI SAHAB AUR AHLE HADITH:

Okarwi Sahab Din O Raat Ahle Hadith Ko Shab O Sitam Karte Rahte Hain, Unke Khaas  Mustanad Rahnuma “Zahid Kawthari” Ne Imam Shafai, Imam Ahmad Wagerah Aimma Hadith Balke Hz Anas Bin Malik (Ra) Wagerah Sahaba Par Shaded Tanqeed Kar Rakhi Hai Jiski Tafseel Anwar Ul Baari Man Zulmaat Me Maujood Hai,

Zikriya Sahab Tableeghi Hayaati Deobandi Muhaddiseen Par Bad’zani Karte Hue Farmaate Hain

“In Muhaddiseen Ka Zulm Suno”

(Taqreer Bukhari 3/104, Matbua Maktaba Ul Sheikh Karachi)

Main Ja Okadah Gaya Toh Maine Okarwi Sahab Ke Clean Shave Damaad (Mahmood Sahab) Se Mulaaqaat Ki, Mere Saath Muhammad Hussain Zaahiri Sahab, Abdul Lateef Sahab, Abdul Jaleel Sahab Aur Lashkar E Taiyyaba K Eek Saathi Mubasshhar Ahmad Rabbani Sahab They, Ye Damaad Maslakan Aur Khaandaani Ahle Hadith Hai, Wahan Okarwi Sahab Ke Nawaason Ko Bhi Dekha, Damaad Ne Bataaya Mere Bête Dada (Ahle Hadith) Ke Maslak (Yani Deen E Islam) Par Hain, Nana Okarwi Ke Maslak Par Nahin Hain… Alhamdulillah,

Yaad Rahe Ye Damaad Pahle Bhi, Ba’wajood Apni Khaamion Ke Maslakan Ahle Hadith Tha Aura B Bhi Hai

LADKAANA SINDH KA MUNAAZIRAH:

Ek Baar Haaji Muhammad Siyaal Sahab (Rh) Aura Al E Deoband Ke Darmiyaan  Munazirah Taiy Hua, Main Bhi Apne Ek Munaazir Dost (Taalib Urrahman Sahab)  Ke Saath Laadkaana Pahuncha Deobandion Ke Saath Sharait E Munaazirah Taiyy Ki, Unka Ek Daarhi Munda Molwi Aur Baqi Daadhi Waale Molwi They, Fariqain Ke Sharait Par Dastakhat Hue, Okarwi Sahab Ko Deobandion Ne Bulwaaya Hua Tha Unhone, Sharait Ki Mukhaalifat Karte Hue Un Sharait Ko Tasleem Karne Se Mana Kar Diya Aur Aisi Khud’saakhta Sharait Pesh Kar Di Ke Jinka Islaam Ki 1400 Salaa Tareekh Me Koi Sabot Nahin Milta, Jaise

1-      “Hadith Sahih Hai Jise Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Sahih Kahen”

Muqarrar Waqt Par Main Apne Sindhi Aur Baloch Ke Saathion Ke Saath Deobandion Ke Madarsa Me Ilmi Muzaakirah Ke Liye Pahucha,

Janab Okarwi Sahab Munaazir E Deobandiyat Aur Dr Khalid Mahmood Deobandi Sahab Apne Madarse “Jamia Islamiyah, Isha’at Ul Quran Wa Hadith” (Ladkana) Se Bhaag Chuke They, Munaazirah Toh Khair Na Hua, In Bhaage Hue Hazraat Ko Inke Apne Madarse Me Laana Joe Shair Bahaane Ke Mutraadaf Tha, Taaham Bahut Se Log Ahle Hadith Ho Gaye They, Maslan

1-      Mukhtar Ali
2-       Sikandar, Wald Qaisar Khan
3-      Haji Muhammad Azeem Jagiraani
4-      Haji Muhammad Mureed
5-      Muneer Ahmad
Ye Waqeya 22/10/1995 Ki Hua, Iska Tahreeri Sabot Mere Paas Maujood Hai, Iske Baad Bhi Wahan Bahut Se Log Ahle Hadith Hue… Alhamdulillah,

Is Munaazire Ka Zikr  Master Amen Ne Tajalliyaat E Safdar 1/103 Me Zikr Kiya Hai, Magar Jhoot Bolne Ke Muqaable Me Apne Raafzi Bhaiyyon Ko Bahut Peeche Chhod Diya Hai,

Deobandion Ke Nazdeek Taqleed Waajib Hai, Isi Tarah Unke Bhaiyyon Raafzion Ke Nazdeek Bhi Taqleed Waajib Hai Is Buniyaadi Aqeede Me Dono Mutawaffiq Hain..


To Be Continued..

#ShaikhZubairAliZai
#IslamicLeaks
#UmairSalafiAlHindi