Monday, March 7, 2016

AURATON KA TAREEQA E NAMAZ- (PART 6)









Bismillahirrahmanirraheem




AURATON KA TAREEQA E NAMAZ- (PART 6)


PART-5 se AAGE:



AALIM E ARAB KE HANAFI  ULEMA KI ILMI DIYAANAT YA AITRAAF E HAQ:



TEESRA FARQ:


“Mard  Ruku Me  Mazbooti Se Apne Haathon Se Apne Ghutno Ko Pakad Le Aur Kamar Ko Todh De, Yani Use Hamwaar Rakhe Na Unchi Ho Na Neechi, Ek Riwaayat Me Hai Ke Apne Dono Haath Apne Ghutno Par Mazbooti Se Rakh Le, Ek Aur Riwaayat Me Hai Ke Ungaliyan Kushaada Kar Le, Ye Saare Ahkaam Mardon Ke Liye Hain, Lekin Aurat Apne Haathon Ki Ungaliyon Ko Kushaada Kare Na Ghutne Pakde Balke Apni Ungaliyon Ko Mila Le Aur Apne Haathon Ko Apne Ghutno Par Rakhe Aur Apne Ghutno Ko Kham De Aur Apne Baazuon Ko Apne Saath Milaakar Rakhe, Isliye Ke Isme Uske Liye Zyada Pardah Hai”


(Fiqh Ul Hanafi Fi Sobatul Jadeed 1/221)


CHAUTHA FARQ:


Mard Ke Liye Sajde Ki Kaifiyat Bayan Karne Ke Baad Likha Hai


“Lekin Aur Sajdah Simat Kar Aur Dab Kar Kare, Apne Pet Ko Apne Raano Ke Saath Milaa Le Aur Apne Baazuon Ko Bhi Pahluon Ke Saath Milaa Le, Isliye Ke Aurat Ke Maamle Ki Buniyaad Satar (Parde) Par Hai, Iske Elawa Uske Haq Me Wah Tareeqa Sunnat Hai Jo Sab Se Zyadah Parde Waala Tareeqa Hai”


Iski Daleel Ye Mursal Riwaayat Hai (Jo Pahle Post Me Ghuzar Chuki Hai ) Jise Imam Bayheqi Ne Bhi Munqata Hadith Kah Kar Naqal Kiya Hai


“Yazeed Bin Abi Hubeeb (Tabai)  Bayaan Karte Hain Ke Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Do Auraton Ke Paas Se Ghuzre Jo Namaz Padh Rahin Thi, Aap Ne Farmaaya:  Jab Tum Sajdah Karo Toh Apna Kuch Ghost (Yani Pet) Zameen Se Milaa Liya Karo, Isliye Ke Aurat Is Maamle Memard Ki Tarah Nahin Hai”


(Maraseel Abu Dawood)



PAANCHWA FARQ:


Aakhiri Tashhahud Me Baithne Ki Baabat Hazrat Abu Humaid Saa’adi Ki Hadith Me Bayaan Kiya Gaya Hai Ke Nabi E Akram Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Apna Baayan Pair Aage Nikaal Lete Aur Daayan Pair Khada Rakhte Aur Apni Sureeno (Chootadon) Par Baith Jaate, Isko Torak Karke Baithna Kahte Hain, Ye Sahih Bukhaari Ki Riwaayat Hai, Lekin Fiqh Tul Hanafi Fi Sobatul Jaded Ke Musannif Ne Ise Muztaerab Ul Isnaad Wal Matan Kah Kar Radd Kar Diya Hai, Goya Unke Nazdeek Mard Aakhiri Tashhahud Me  Bhi Tashhahud Awwal Hi Ki Tarah Baithega , Iske Baad Wah Likhte Hain


“Lekin Aurat Aakhiri Tashhahud Me Torak Karke Apne Chhodaton Par Baithe (Yani Jisko Sahih Hadith Ke Ba’wajood Mardon Ke Liye Radd Kar Diya Gaya Hai, Ab Use Auraton Ke Liye Aqal Ki Buniyaad Par Saabit Kiyaa Jar Aha Hai) Aur Raan Ko Raan Par Rakh Le Aur Apne Pairon Ko Daayen Chhootad Ke Neeche Se Baher Nikaal Le, Isliye Ke Ye Uske Liye Zyadah Ba’pardah Hai ”


(Fiqah Tul Hanafi Fil Jaded 1/224)

Is Hanaafi Aalim Ne Auraton Ke Liye 5 Farq Bayaan Kiye Hain Aur Kisi Bhi Farq Ke Liye Sirre Se Koi Hadith Pesh Hi Nahin Ki, Sirf Sajde Ki Kaifiyat Ke Liye Ek Mursal Riwaayat Pesh Ki Hai Jo Muhaddiseen Ke Nazdeeq Na’qaabil E Hujjat Hoti Hai,

Iske Elaawa Us Riwaayat Me Ek Raawi Saalim Bhi Matrook Hai, Is Aitbaar Se Uski Sanad Bhi Zaeef Hai, Phir Usme Sirf Ye Kaha Gaya Hai Ke Tum Sajde Me Kuch Ghost Zameen Ke Saath Milaa Liya Karo, In Alfaaz Ka Sahih Mafhoom Kya Hai ?? Ye Waazeh Hi  Nahin Hota, Lekin Aurat Ke Sajde Ke Liye Jo Baatein Bayaan Ki Gayi Hain Aur Ki Jaati Hain Ke

1-       Aurat Jhuk Kar Sajda Kare
2-      Apne Pet Ko Apni Raano Ke Saath Milaa Le
3-      Aur Apne Baazuon Ko Jama Kar Le
Kya Ye Teeno Baatein “Kuch Ghost Zameen Ke Saath Milaa Lo ” Me Aati Hain ?? Aati Hain Toh Kis Tarah Aati Hain ?? Iski Wazaahat Matloob Hai

Baher’haal Ham Arz Ye Kar Rahen Hain Ke Fiqah Tul Hanafi Fi Sobatul Jaded Ke Maulaf Ne 4 Farqon Ke Liye Toh Ye Tasleem Kiya Hai Ke Unke Paas Unki Koi Daleel Kitab Wa Sunnat Me Maujood Nahin Hai, Agar Hoti Toh Zaroor Pesh Karte, Kyunki Unka Maqsad Taaleef Hi Fiqh Hanafi Ke Har Masle Ko Kitab Wa Sunnat Ke Mutaabik Saabit Karna Hai,

In Chaaron Baton Ke Asbaat Ke Liye Unhe Ye Aqali Sahaara Lena Pada Hai Ke Aurat Ke Liye Ye  Kaifiyat  Astar (Zyadah Ba’pardah)  Hain, Lekin Unko Ye Taufeeq Nahin Mili Ke Pahle Wah Ye Aitraf Karteke

” In Chaaron (Balke Paanchon) Maslon Ke Liye Kitan Wa Sunnat Me Koi Daleel Nahin Hai, Lekin Hamari Aqalon Ne Ye Tajweez Kiya Hai Ke Aurat In Maslon Me Is Tarah Amal Kare, Kyonki Inme Unke Liye Pardah Zyadah Hai “

Kya Aqal Wa Qayaas Ki Buniyaad Par Kisi Cheez Ko Farz Wa Waajib Ya Sunnat Wa Mustahab Qaraar Diya Ja Sakta Hai ?? Ham Hanafi Ulema Se Poochte Hain Ke Jis Cheez Ki Babat Quraan Wa Hadith Me Koi Huqm Aur Koi Saraahat Na Ho, Kya Use Aqal Wa Qayaas Ki Buniyaad Par Farz Wa Waajib Ya Sunnat Wa Mustahab Qaraar Diya Jaa Sakta Hai ???

Agar Kiya Ja Sakta Hai Toh Iski Kya Daleel Unke Paas Hai ?? Agar Nahin Kiya Jaa Sakta Hai Toh Unhone Aakhir Kis Buniyaad Par Farq Tajweez Kiay Hai ??

Ahnaaf Ke Paas Sirf Sajde Ki Kaifiyat Me Ek Mursal (Aur Wah Bhi Zaeef Wa Munqata) Riwaayat Hai, Usme Bhi Wah Saari Kaifiyat Harghiz Nahin Aati Jo Aurat Le Liye Zaroori Qaraar Di Jaati Hain, Sajde Ki Ye Kaifiyat Bhi Goya Khaana’shaaz Hai Jiski Koi Daleel Unke Paas Nahin…..

Ham Is Series Ka Khaatma Isi Part Ke Saath Karte Hai…

Allah Taala Ham Sabko Quraan Wa Sahih Hadith Par Chalne Wala Banaaye….. Aaaameeeen

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks