Bismillahirrahmanirraheem
KYA HAAFIZ E QUR’AAN
10 AADMION KO JANNAT ME DAAKHIL KAREGA ??
Qur’an Padhne Ki, Use
Hifz Karne Ki Be’shumaar Fazeelat Hai, Is Silsile Me Be’shumaar Sahih Hadithen
Hain, Main Yahan Ek Zaeff Hadith Ki Baabat Latlaata Hoon Taaki Aap Bhi Is Baat
Se Ba’khabar Rahen, Logon Me Jo Ye Baat Mashoor Hai Ke Hafiz E Qur’aan Ap[Ne
Saath 10 Aadmion Ko Jannat Le Jaayega Ye Baat Nabi E Akram Muhammad Sallalaho
Alaihi Wasallam Se Saabit Nahin Hai,
Aiiyye Iise Mutaalliq Hadith Dekhte Hain,
1- “Wo Hafiz E Quraan Jo Iske Halaal Karda Ashya Ko Halaal Aur Haraam Kadah Ashya Ko
Haraam Karta Hai Wah Apne Gharaane Ke 10 Afraad Jin Par Jahannum Waajib Ho
Chuki Hogi, Shifaarish Karega”
(Shoebul Imaan)
Ise Allama Albaani Ne
Zaiff Kaha Hai, (Zaeef Ul Jame 4662)
Imam Bayheqi (Rh) Ne
Bhi Is Hadith Ki Sanad Ko Zaeff Kaha Hai (Shoebul Imaan 2/1038)
2- “Jisne Quraan Padha, Use Hifz Kiya Uske
Halal Kardah Ashya Ko Halaal Aur Haram Kardah Ashya Ho Haaram Karta Hai Wah
Apne Gharaane Ke 10 Afraad Jin Par Jahunnam Waajib Ho Chuki Hogi, Shifaarish
Karega”
Khud Imam Tirmizi Ne
Is Hadith Ki Sanad Ko Sahih Nahin Bataya Hai,
Sheikh Albaani Ne Ise
Shakht Zaeef Qaraar Diya Hai (Zaeff
Tirmizi 2905)
Shareh Tirmizi Sheikh
Mubarakpuri Ne Zikr Kiya Hai Isme Hafas Bin Sulemaan Hain Jinhe Hafiz Ne
Matrook Ul Hadith Kaha Hai,
Upen Ki Dono Hadith
Se Pata Chala Ke Hafiz Quraan Ka 10-10 Afraad Ki Shifaarish Karna Jiske Liye
Jahunnam Waajib Ho Gayi Thi Saabit Nahin Hai, Isliye Ye Baat Bayaan Nahin Karni
Chahiye,
Saath Saath Yahan Ye
Main Ye Bhi Bata Dena Chaata Hoon Ke Jo
Log Quraan Padhte Aur Padhaate Hain, Sabse Bahtareen Log Hain (Bukhaari), Hafiz
E Quraan Sahaba Kiram Ke Sath Honge (Bukhaari), Aur Jo Uske Mutaabik Amal Karte
Hain Kal Qayaamat Me Allah Ke Fazal
Se Badi Kaamyaabi Se Ham’kinaar Honge,
Nabi E Akram Muhammad
Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaaya
“Sahab E Quraan Ko
Kaha Jaayega Ke Jis Tarah Tum Duniya Me Tarteel Ke Saath Quraan Majeed Padhte
They, Aaj Bhi Padhte Jao Jahan Tum Aakhiri Aayat Padhoge Wahi Tumhari Manzil Hogi”
(Silsila Tus Sahiha
5/281)
Aur Ye Quraan Khud
Qayaamat Me Safee Ban Kar Aayega Jo Iski Tilawat Karte Hain, Chunanche Nabi E
Akram Muhammad Sallallaho Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai
“Hz Umama (Ra) Bayaan
Karte Hain Ke Maine Nabi E Akram Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Farmaate
Hue Suna : Qur’aan Padha Karo, Isliye Ke
Qayamat Ke Din Ye Apne Padhne Waale
Saathion Ke Liye Shifaarishi Ban Kar Aayega”
(Sahih Muslim)
Alhamdulillah Hafiz E
Quraan Ki Badi Fazeelat Sahih Hadith Me Maujood Hain, Hamen Zaeff Hadithn Ki
Qata’i Zaroorat Nahin, Har Jagah Hamari Rahnumaayi Quraan Aur Sahih Hadith
Karti Hai….
Allah Taala Ham Sabko
Quraan Aur Sahih Hadithon Par Chalne Waala Banaaye….. Aameen