Bismillahirrahmanirraheem
AURATON KA TAREEQA E
NAMAZ- (PART 5)
PART-4 se AAGE:
AALIM E ARAB KE
HANAFI ULEMA KI ILMI DIYAANAT YA AITRAAF
E HAQ:
Pichle Chand Saalon
Me Aalam E Arab Se 3 Kitaabein Chhap Kar Aayin Hain, Teeno Kitaabon Ka Mauzu Ye
Hai Ke Fiqah Hanafi Ke Saare Masail Quraan Wa Hadith Ke Mutaabik Hain, Teeno
Kitaabon Ke Likhne Waalon Ne Is Baat Ke Asbaat Par Poora Zor Sarf Kiya Hai,
Hamne Un Teeno Kitabon Me Namaz Me Mard Wa Aurat Ke Farq Ke Dalail Bataur E Khaas Koshish Karke Dekhe, Kyonki
Teeno Kitaabon Ke Likhne Waalon Ka
Maqsad Hi Is Taasir Ya Haqeeqat Ki Naïf Karna Hai Ke Fiqh Hanafi Ka Koi Masla
Quraan Ya Hadith Ke Khilaaf Hai,,
Lekin Teeno
Kitaabonke Dekhne Ke Baad Hamen Shakht Maayoosi Hui, Kyunki Teeno Ne Mard Wa
Aurat Ke Namaz Ke Darmiyaan Farq Toh Bayaan Kiya Hai, Lekin Siwaaye Ek Mursal
Riwaayat Ke Aur Koi Hadith Unmese Kisi Ne Bayaan Nahin Ki, Sabne Sirf Ek Aqali
Daleel Ka Sahara Liya Hai Ke
“Aurat Ke Liye Isme
Pardah Zyada Hai”
Iska Saaf Matlab Ye
Hai Ke Aalam E Arab Se Taalluq Rakhne Waale Hanafi Ulema Ne Is Baat Ko Tasleem
Kar Liya Hai Ke Is Masle Me Koi Hadith Nahin Hai, Agar Hoti Toh Yaqinan Wah Use
Pesh Karte, Kyunki Unka Kitaab Likhne Ka Maqsad Hi Hanafi Fiqh Ke Masail Ko
Quraan Wa Hadith Ke Mutaabik Saabit Karna Hai,
Dusri Baat Ye Saaf
Hui Ke Arab Ke Hanafi Ulema Pak Wa Hind Ke Hanafi Ulema Ke Muqaable Me Ameen
(Sachhe) Aur Diyaanat’dar Hain, In Arabi Ulema Ki Ye Zaroorat Thi Ke Wah
Auraton Ke Hanafi Tareeqe Namaz Ko Hadith Se Saabit Karte, Lekin Chunke Waaqiya
Ye Hai Ke Hadith Ki Kitaabon Me Aisi Ek Bhi Sahih Hadith Nahin Hai, Isliye
Unhone Sirre Se Koi Hadith Hi Pesh Nahin Ki,
Iske Baq’ashq Hamare
Pak Wa Hind Ke Ashaab E Jubba Wa Dastaar Ulema
Amaanat Wa Diyaanat Ilmi Se Aari Hain Aur Ifta Hadith Ke Masnad Par Baith
Kar Jhooti Aur Bilkul Zaeef (Be’saropa) Riwaayat Ko Hadith Baawar Karne Par
Apna Zor E Qalam Sarf Kar Rahen Hain…………. Inna Lillahi Wa Inna Ilaihi Raajioon
Kya Ye Wahi Yahoodana
Talbees Nahin Hai Jiska Zikr Quraan Me
Allah Taala Ne In Alfaaz Me Kiya Hai
“Halaaqat Hai Un
Logon Ke Liye Jo Apne Haathon Se Kitab
Likhte Hain Aur Kahte Hain Ke Ye Akkah Ki Taraf Se Hai”
(Surah Baqarah Ayat
No 49)
Baher’haal Ab Un
Teeno Kitaabon Ke Naam Mulaheza Farmaayen,
1-
Al Fiqah Ul Hanafi Fi Sobatul Jaded
2- Syaghatul Jadeeda Wa Mayassaral Ahkam Ul
Shariyah Al Mazhab Imam Abu Haneefa
3- Zikrul Daleel Man Kitab Wa Sunnah
Iska Tarjuma Hasab
Zel Hai
1-
Fiq Hanafi Naye Qaalib Se
2- Imam Abu Hanifa (Rh) Ke Mazhab Ke Mutaabik
Sahih Ahkam Ki Tahseel Aur Aaraish Nau, Kitab Wa Sunnat Ke Dalail Ke Saath
Musannaf Ka Naam Hai
Abdul Hameed Mahmood Tahmaaz,Matbua Darul Islamiyah Berut, Taba Awwal 1998
Is Kitab Ke Maulaf Ne
Mard Wa Aurat Ki Namaz Ke Darmiyaan 5 Farq Bayaan Kiye Hain, Wah Likhte Hain:
(Ham Sirf Urdu Tarjuma Pesh Kar Rahen Hain)
“Namaz Ki Pahli
Sunnat : Takbeer E Tahreema Se Pahle Rafulyadain Karna, Mard Kaano Ke Baraabar
Tak Dono Haath Uthaaye, Aur Aurat Kandhon Ke Baraabar Tak, Isliye Ke Isme Aurat
Ke Liye Ziyadah Pardah Hai”
Hind Wa Paak Ke Ulema E Ahnaaf Chhati Tak Haath Uthaana
Bayaan Karte Hain,In Saahab Ne Kandhon Tak Bayaan Kiya Hai, Baherhaal Daleel Ke
Taur Par Musannaf Ne Jo Hadith Pesh Ki Hai Uska Tarjuma Hasab Zel Hai
“Malik Bin Huwairish
(Ra) Se Riwayat Hai Ke Nabi E Akram Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Jab Allahuakbar Kahte Toh Apne Dono Haath
Apne Kaano Ke Baraabar Tak Uthaate”
(Sahih Muslim Page
No.391, Fiqh Ul Hanafi Fi Sobatul Jaded 1/215)
Ye Daleel Toh Mardon
Ke Rafulyadain Karne Ki Ho Gayi, Lekin Auratein Kis Daleel Ki Ru Se Kandhon Tak
Rafulyadain Karen ??? Ye Daleel Arabi Musannif Ne Pesh Nahin Ki,
DUSRA FARQ:
“Namaz Ki Chauthi
Sunnat Se Hai Ke Mard Apna Daayan Haath Baayen Haath Par Zer E Naaf Ke Necche
Rakhe Aur Auratein Apna Haath Chhation Ke Neeche Seene Par Rakhe, Be’ghair
Hathon Ke Pakde, Balke Hatheli Ke Oopar Hatheli Rakhe, Isliye Ke Isme Uske Liye
Zyadah Pardah Hai ”
Iski Daleel Me Ye
Hadith Pesh Ki Hai
“Hz Sahal Bin Saad
(Ra) Bayan Karte Hain Ke Logon Ko Huqm Diya Jaata Tha Ke Namaz Me Mard Apna
Daayan Haath Apne Baayen Baazu Par Rakhen ”
(Sahih Bukhari Hadith
490)
Is Hadith Me Mard Ke
Liye Is Hadh Tak Toh Daleel Hai Ke Wah
Halat E Qayaam Me Apna Daayan Haath Apne Baayen Baazu Par Rakhe, Lekin Wah Ye
Haath Apne Jism Ke Kis Hisse Par Rakhe ?? Iski Koi Saraahat Nahin ,
Iske Liye Faazil
Musannif Ne Musnad Ahmad Aur Abu Dawood Ke Hawaale Se Zer E Naaf Waala Hazrat
Ali (Ra) Ka Asar Naqal Kiya Hai, Lekin Iske Baabat Khud Hi Saraahat Kar Di Hai
Ke Iski Sanad Me Kuch Guftughu Hai
(Fiqh Tul Hanafi Fi
Sobatul Jaded 1/217)
Lekin Aurat Ke Liye Haath Baandhne Ka Jo Tareeqa
Bayaan Kiya Gaya Hai, Uski Koi Daleel Siwaaye Astar (Zyadah Pardah) Hone Ke ,
Koi Aur Bayaan Nahin Ki….
Teesra Farq
Inshaallah Agle Post Yani Part 6 Me Bayan Karenge..
To Be Continued
#Umairsalafialhindi
#Islamicleaks