KYA HAZRAT UMAR (RA) NE AURATON KO MASJID JAANE SE ROKA ??
Ek Bhai Ka Sawal Hai ??
Kya Koi Hume Dalil Se Hazrat Umar Radi Allahu Anhu Ka Wo Wakiya Bata Sakta Hain Jismain Unhone Aurto Ko Masjid Jane Se Roka Kin Halato Main Roka Aur Kya Isse Ye Sabit Hota Hain Aurte Masjid Main Na Jaye Log Sisrf Isi Ek Baat Se Sari Dalile Radd Kar Dete Hain Plz Jazak Allah Khair
Jawab
Pahli Bat Ye Hazrat Umar Radi Allahu Anhu Ka Qaul Hai Wo Adhura Jo Ek Waqti Maksd Ke Tahat Tha Aur Qual Ko Hadith Ke Mukable Me Chora Nahi Ja Sakta Aurat Ka Masjdi Me Jana Farz Nahi Optnl Hai Unka Ikhteyar Hai Wo Masjid Me Padh Sakti Hai Ghar Par Bhi
Pahle Aap Ye Hadith Padhe
Abdullah Bin Umar Se Rawayat Hai Ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya :
”Jab Tum Me Se Kisi Ki Biwi (Namaz Padne Ke Liye Masjid Me Aane Ki ) Uss Se Ijazat Maange To Shauhar Ko Chahiye Ki Usko Na Roke.”
(Sahih Al Bukhari, Hadith 873)
Hazrat Ibn Umar Radi Allahu Anhu Se Rawayat Hai Ki
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya ”
All’ah Ki Bandiyo (Aurto) Ko Masjid Me Jane Se Mat Roko.”
(Sahih Al Muslim, Hadith 443)
Hazrat Abu Huraira Radi Allahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya :
” All’ah Ki Bandiyo (Aurto) Ko Masjid Me Jane Se Mat Roko.”
(Sunan Abu Dawood 529 ,560,
(Musnad Ahmad: 2/438),
(Darmi: 2/293),
(Ibn Khuzaima: 1/679), )
(Sahih Al Bahaki: 3/134)
(Musnad Ahmad: 2/438),
(Darmi: 2/293),
(Ibn Khuzaima: 1/679), )
(Sahih Al Bahaki: 3/134)
Ab Hazrat Umar Radi Allahu Anhu Wala Padhe Jo Bhi Bdbkht Muqalid Adhura Pesh Karke Awam Ko Bewkuf Bnate Hai
Kya Hazrat Umar Radi Allahu Anhu Ne Aurto Ko Masjid Me Ana Se Roka ? Ji Han Roka Magr Sirf Unhe Jo Waha Bina Wajah Waha Rukne Lag Gai Thi Na Ki Unhe Jo Namaz Padhne Ati Thi
Khawla Bint Qays Kah Hum Sb Aurat Masjid Madina Al Munawwara Me Thi, To Hum Log Bhid Ki Wajah Se Mardo Ke Sath Mix Ho Gai Jis Waha Se Waha Thodi Si Bhgdad Ho Gai Aur Aur Hme Chote Aa Gai Tab Hazrat Umar Radi Allahu Anhu Ne Hme Masjid Se Bahar Kar Dia
"Kanz Al-`Ummal # 23131 From Ibn Sa`D's Tabaqat.
Hazrat Umar Radi Allahu Anhu Apni Biwi Ko Kbi Nahi Rok Sake Masjid Me Jane Se
“Mu’ammar Se Riwayat Hai Unse Zuhri Riwayat Karte Hai Ki ‘Atika, Jo Zaid Ibn’umru Bin Nufail, Ki Beti Hai Jo Umar R.A Ki Biwi Thi ,Wo Hmesha Masjid Me Namaz Ada Karti Thi ‘Hazrat Umar Radi Allahu Anhu Ne Unse Kaha Me Pasnd Nahi Krta Ki Tum Masjid Me Namaz Padho Tb Unki Biwi ne Kaha Me Jb Tak Masjid Jane Se Nahi Rukungi Jb Tk Ap Mujhe Ye Huqm Nahi De Dete Tb Hazrat Umar Radi Allahu Anhu Ne Kaha Nahi Me Aap Ko Ye Huqm Nahi De Sakta Us Din Se Lekar Hmesa Atika Masjid Me Namaz Hmesha Ada Karti Yaha Tak Ki Umar R.A Wafat Pa Gaye
(Abdur Razzaq’s Collection, Vol 3, Hadith 148)
Mere Musalman Bhaiyon, "Sach" Jante Hue Khud Apne Aapko Bewakoof Naa Banao,Baatil Raasto, Aur Imaamo Ki Taqleed Chhod Do Aur Aa Jao Khalis Nabi(Sallallaahu Alaihiwasallam) Ki Itteba Par.
Allah Ta'ala Ne Farmaya:
Tum Un Logon Ki Terha Naa Ho Jana Jinhone Apne Paas Roshan Daleelen Aa Jane Ke Baad Bhi Tafarruqa Dala Aur Ikhtelaaf Kiya, Unhi Logon Keliye Bada Azaab Hai".
(Soorah Ale-Imran, Soorah:3, Aayat:105)
Jismein Raayi Baraber Bhi Takabbur Hoga Wo Jannat Mein Daqil Nahi Hoga ".
(Sahih Muslim Chapter No 1, Hadees No. 166)
Yaad Rakhiye Haq Ko Jaanker Bhi Qabul Na Kerna Takabur Ki Alamat Hai .
''Us Din Unke Chehre Aag Me Ulat Palat Kiye Jaenge (Wo Afsoos) Se Kahenge Kash Humne Allah Subhanawata Ala Aur Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Ithaath Karte Aur Kahenge Aye Hamare Rab Humne Apne Sardaro Aur Apne Bado Ki Mani Jinho Ne Hume Rah Rasth Se Bhadka Diya Unhe Dugna Aazaab De Aur Un Per Bahoth Badi Lanath Nazil Farma
(Al Quran - Surah E Ahzab 33, Aayat 66-68)
(Al Quran - Surah E Ahzab 33, Aayat 66-68)
Allah Hum Sabko , Quran Aur Sahih Hadees Per Amal Kerne Ki Neik Tawfeq De ,Hidayat E Ilm & Hidayat E Amal Ata Farmaye Aur Humari Ibadat Ko Qabul Farmaye .Aameen !
Allah Subhanahu Wa Ta'ala Hum Sabko Sahih Deen Seekhne Aur Samjhe Ki Taufeeq De Aur Hume Quran Aur Sahih Hadees Ke Mutabik Amal Ki Taufeeq De Ameeen
Allah Se Du'a Hai Ke Hum Ko Ghar Walon Ko Aap Logon Ko Or Sare Musalmano Ko Quran O Sunnat Ko Sahaba Ke Manhaj Par Amal