Monday, November 25, 2013

MUHADDISEEN KA MASLAK WA MANHAJJ AUR AHLE TAQLEED KA RAWAIYYA:







Bismillahirrahmanirraheem

 




MUHADDISEEN KA MASLAK WA MANHAJJ AUR AHLE TAQLEED KA RAWAIYYA:

1- Muhaddiseen Ke Nazdeek Baja Taur Par Hadith Ki Sehat Wa Zaeff Ki Tahqeeq Me Sanad Ko Buniyadi Ahmiyat Haasil Hai

"Sanad Ko Tasleem Na Kiya Jaaye Toh Fir Har Shakhs Jo Chaahe Kah Sakta Hai"

Sanad Hi Ghair Sahih Riwaayaat Ko Jaanchne Ka Sabse Bada Zariya Hai,

Is Buniyad Se Ghair Sahih Riwayat Ko Sahih Qarar Dene Ke Tamam Chor Darwaaze Band Ho Jaate Hain,

Lekin Is Chor Darwaaze Ko Khula Rakhne K Liye Is Buniyadi Usool Se Ghurez Ki Bahut si Raahen Akhtiyar Kar Li Gayi Hain, Jaise Masalan Kaha Jaata Hai

1- Falan Imam Ne Jo Baat Kahi Hai, Aakhir Unke Saamne Bhi Toh Koi Hadith Hogi ??

2- Ya Unke Daur Tak Us Hadith Ki Sanad Me Koi Raawi Zaeef ,Matrook Aur Kazzab Nahin Hoga,

3-Ya Hadith Ki Sehat Wa Zaeff Ek Ijtehadi Amr Hai, Isliye Ki Mujtahid Ne Jis Hadith Se Istadlal Kiya Hai, Chaahe Wah Zaeef Balke Mauzu Hi Ho, Uska Istadlal Sahih Hai, kisi Dusre mujtahid Ko Uska Istadlal Radd Karne Ka Haq Nahin Hai,

4- Ya Hasan E Zan Ki Buniyaad Par Mursal Riwayat Ko Sahih Tasleem Karna,

5-Ya Diraayat Ke Khilaaf Hone ka Daawa Karke Riwayat Ko Radd kar Dena,

6- Ya Apne Khud Sakhta Usoolon Ki Roshni Me Sahih Hadith ko Radd Kar Dena, Jis Par Shah Wali Ullah Aur Shah Abdul Aziz (Rh) Ne Bhi Ehtejaj Kiya Hai,

7- Ya Ye Daawa Karke Ke Falan Hadith Quraan Ke Mu'aariz Hai, Hadith Ko Radd Kar Dena (Jab Ke Koi Sahih Hadith Quran Ke Mu'aariz Nahin)

8- Ya Hadith Ko Nazar'andaz Karna,

9- Ya Ghair Faqeeh Raawi (Sahabi) Ki Riwayat Qiyaas Ke Khilaaf Hogi Toh Na' Maqbool Hogi,

Aur Is Qism Ke Deegar Tareeqe Ya Usool, Jinke ZariyE Se Sahih Hadith Ko Bila Ta'aamil Radd Kar Diya Jaata Hai,

Aur Zaeef, Mursal Hatta Ke Mauzu Hadith Tak Ko Qubool Kar Liya Jaata Hai,

Ye Muhaddiseen Ke Maslak Wa Manhajj Ke Khilaaf Ya Ba'alfaaz Deegar Saabit'shudah Nusoos Hadith Ko Mustarad Karne Ya Ghair Saabit'shudah Baat Ko Shariat Baawar Karaane Ki Mazmoom Sa'ee Hai, Jiske Hote Hue Kabhi Nusoos E Shariat Ki Bala'dasti Qayem Ni Ho Sakti Aur Na Akhtilaaf Ka Khaatma Hi Mumkin Hai,

Elawah Ye Bhi Ek Haqeeqat Hai Ke In Chor Darwaazon Ka Koi Talluq Imam Abu Hanifa Se Nahin Hai, Ye Sab Baad Ke Logon Ki Ijaad Hain, In Mese Koi Ek Usool Bhi Imam Abu Hanifa Se Saabit nahin Kiya Ja Sakta,

Goya muhaddiseen Ki Rosh Ko Apnana Imam Sahab Ki Taqleed Ke Maanafi Nahin Hai,

2- Muhaddiseen Ka Dusra Wasaf, Imaanat Wa Diyaanat Ka Ehtemam Hai, Unhone Hadith Ki Jama Wa Tadween Me Bhi Kamaal Diyaanat Ka Muzaahera Kiya Hai Aur Jirrah Wa Tadeel Ke Usoolon Ko Istemaal Karke Hadith Ka Rutba Mutayyin Karne Me Bhi Unhone Kisi Zahni Tahaffuz Ka Muzaahera Kiya Hai, Na Hazbi Wa Fiqhi Taassub Ka..

MZAKOORAH AHLE TAQLEED KI ILMI KHYAANATON KI CHAND MISALEIN:

Ahle Taqleed Me Imaanat Ki Bhi Kami Hai, Iski Bahut Si Misaalen Di Ja Sakti Hain, Lekin Yahan Ham Sirf 4 Misaalein Pesh Karenge In sha allah, 2 Ulema E Deoband Ki, Aur Teesri Barelwi Hazraat Ki, Ye Dono Hi Imam Abu Hanifa (rh) ke Muqallid Kahlaate Hain, Chauthi Dono Me Qadr Mustarak Ki Haisiyat Rakhti Hai,

Pahli Misaal :

Khwaateen Namaz Kis Tarah Padhen ??

Yani Wah Ruku Sajdah Kis Tarah Karen ??

Aurton Ki baabat Kisi Bhi Sahih Hadith Me In Umoor Ki Wazaahat Nahin Milti, Isliye Wah Nabi (Sws) Ke Farmaan

"Tum Us Tarah Namaz Padho Jis Tarah Tumnr Mujhe Namaz Padhe Hue Dekha Hai"

Ke Umoom Me Daakhil Hongi Aur Mazkoorah Saare Kaam Mardon Hi Ki Tarah Sar'anjaam Dengi, Jaisa Ke Iski Kuch Tafseel Isse Pahle Bhi Hamne Bayan Ki Hai,

Lekin Ulema E Ahnaaf Kahte Hain Ke
Mard Aur Aurat Ki Namaz Me Farq Hai

"Khwateen Ka Tareeqah Namaz" Taaleef Maulana Abdul Raif Sakhrawi Hamare Saamne Hain,

Usme In farqon Ko Bayan Karne Ke Liye Ahadith Ke Naam Se Kai Haditj Bayan Ki Gayi Hain, Lekin Unmese Koi Ek Bhi Hadith Sahih Nahin Hai,

Aur Sitam Zareefi Ki Inteha Hai Ya Imaanat Wa Diyaanat Ke Faqdaan Ka Ye Haal Hai Ke Un Bayan Kardah Hadith Me "Sunan Al Kubra Lil Bayheqi" Ki 2 Riwayat Bhi Hain,

Jinko Darz Karke Imam Bayheqi Ne Likha Hai

"Ye Riwayat Itni Zaeef Hain Ke Un Jaisi Riwayaat Se Istadlal Nahin Kiya Ja Sakta"

Lekin Mazkoorah Kitab Ke Musannaf (Author) Ne In Alfaz Ko Naqal Hi Nahin Kiya !!!

Albatta Dono Na'qaabil Istadlal Riwaayat Ko Apne Istadlal Me Pesh Kiya Hai, Yahi Haal Deegar Riwayat Ka Hai, Jo Unhone Pesh Ki Hain

Dusri Misaal :

Ulema E Ahnaaf Ke choti Ke Alim Maulana Ahmad Ali Saharanpuri Ki Hai, Jinka HASHIYA Sahih Bukhari Mudat'awwal Hai,

Unhone Hadith

"Iza Akimis'salaat Fala Salaat Ilal Maktoobah"

(Sahih Muslim Hadith), Jise iMam Bukhari Ne (Kitab Us Salaat Bab 38) Me Zikr Kiya hai, 

Is Hadith Ke Haashiye Me Sunan Bayheqi Ke Hawaale Se Yahi Hadith Naqal ki Hai, Isme Me

"Ila Rak'atil Fajr" Ke Alfaaz Ka Izaafa Hai,


Yani

" Farz NamaZ Ki Taqbeer Ho Jaane Ke Baad Koi Namaz Nahin, Albatta Fajr Ki 2 Rakatein (Sunnatein) Padhna Jayez Hai"

Halaanke imam Bayheqi Ne Is Izaafe Ki Baabat Saraahat Ki Hai Ke

"Ye Izaafa (Fajr Ki 2 Rakatein Padhna Jayez Hain) Be'asal Hain"

Aur Likhte Hain Ke Is Izaafe Ko Bayan Karne Waale Hajjaj Bin Naseer Aur Abaad Bin Kaseer Hain Aur Ye Dono Raawi Zaeef Hai

(Sunan Al Kubra)

Is Ke Ba'wajood Ek Sahih Hadith Ko Radd Karne Aur Apne Khilaaf E Hadith Riwaaj Ko Sahih Baawar Karaane Ke Liye Sahih Bukhari Ke Faazil Maheshi Ne Is Be'asal Izaafe Ko Hadith E Rasool Kah Kar Bayan Kar Diya

(Sahih Bukhari 1/194, Taba Noor muhammad)

Ye Baat Bhi Dilchaspi Se Khaali Na Hogi Ke Sahih Bukhari Ka Ye hasshiya Aaj Se Taqriban 125 Saal Pahle Jab Chhap Kar Pahli Martaba Manzar e Aam Par Aaya Tha Toh Sheikh Ul Kul Miyan Nazwwr Hussain Muhaddis Dehlawi (Rh) Ne Ek Maktoob Ke Zariye Se Is Kotaahi Ya Bad'diyaanati Ki Taraf Tawajjoh Dilaayi Thi Lekin Iski Islaah Nahin Ki Gayi,

Aur Sahih Bukhari Ke Arabi Hashiye Me Ye Be'asal Hadith, Hadith E Rasool Ke Naam Se Ab Tak Maujood Hai,

Miyan Nazeer Hussain Muhaddis Dehlawi (Rh) Ka Ye Maktoob Jo Arabi Me Hai, Kitan "Elaam Ahlul Asr" (Taaleef Maulana Shamsul Haq Diyanowi) Me Maujood Hai,

Ghaliban Isi Be'buniyaad Riwaayat Ki Buniyaad Par Aam Masjidon Me Fajr Ki Jamaat Ke Dauraan Me Log Be'dhadak Sunnatein Padh Rahe Hote Hain, Aur Hadith E Rasool

"Namaz Ki Takbeer Ho Jaane ke Baad Farz Namaz ke Elaawa Koi Namaz Nahin"

Ki Khilaaf Warzi Ki Jaati Aur,

"Jab Quraan Padha Ja Raho Ho Toh Tum Kaan Laga Kar Suno Aur Khamosh Raho"

(Surah Aaraaf)

Ka Zara Sa Bhi Lihaaz Nahin Kiya Jaata,

Aur Ulema Ye Manzar Rozaana apni Aankhon Se Dekhte Hain, Lekin Fiqhi Jamood Ne Unki Aankhon par Pattiyan Baandhi Hain.....

Teesri Misaal:

Barelwi Hazraat Ke Yahan Riwaaj Hai Ke Namaz E Janaza Ke Fauran Baad Mayyit Kr Ird Gird Khade Hokar Sab Dua Maangte Hain, Isko Wah Bahut Zaroori Samjhte Hai, Daleel Kya Hai,

Nabi (Sws) Ki Hadith hai

"Is Hadith Ka Sahih Tarjuma Toh Ye Hai Ki Jab Tum Mayyit Ki Namaz E Janaza Padhne Lago Toh Ikhlaas Ke Saath Uske liye (Maghfirat) Ki Dua Karo"

(Sunan Abi Dawood, Kitabul Janaiz Bab Dua al Mayyit Hadith 3199),

Jaisa Ke Quran Majeed Me Hai

"Aiy Imaan Waalon ! Jab Tum Namaz Ke Liye Khade Ho Toh Wuzu Karo"

(Surah Maida 6)

Lekin Barelwi hazraat "Iza Saleetum" Ka Tarjuma Karte Hain

"Jab Tum Namaz Padh Chuko Toh"

Aur Is Tarah Tarjume Me Bad'diyaanati ka Irtekaab Karke Janaze Ke Baad Dua Maangne Ke Apne Ghair Masnoon Amal Ka Jawaaz Saabit Karte Hain,

Halaanke Agar Ye Tarjuma Sahih Hai Toh Fir Unko Wuzu Bhi NAMAZ Khade Hone Ke Baad Hi Karna Chahiye, Na Ke Namaz Se Pahle,

Jaisa Ke Aayat

Ya Aiyyuhal Lazeena Aamanu Iza Qumtum Ilas'salaati Faghsilu Wuzuhakum

Ka Tarjuma Barelwi Istadlal Ke Mutabik Karne Ka Iqtaza Hai.

Isi Tarah Quran Ke Is Huqm

Fa'iza Qara'tal Qur'aana Fas'ta'izbillah

(Surah Nahal 98)

Ka Tarjuma Wa Mafhoom Bhi Ye Hona Chahiye Ke Jab Tum Quraan Kareem Padh Chuko Toh Shaitaan Se Panaah Maango,

Yani "Auzubillah" Tilaawat e Quran Ke Baad Karo.

Kya Ye Tarjuma Wa Mafhoom Sahih Hoga ??

CHAUTHI MISAAL !

yahi Haal UN Hadith ki Sehat Wa Zaeef Ke Maamle Me Hai Jo Ikhtelaafi Masail Me Madaar e Bahes Banti Hain,

Unme Nihaayat Be'khaufi Ke Saath Imanat Wa Diyaanat Ka Khoon Karke Siqa Raawion Ko Zaeef Aur Zaeef Raawion Ko Siqa Saabit Karne Par Saara Zor Sarf Kiya Jaata Hai, Jiski Tafseel "Al Tankeel Bima Fi Taneeb Al Kawthari Man Baateel"

(Taaleef Shekh Abdul Rahman Bin Yahya Yamaani) Me Mulaheza Ki Ja Sakti Hai,

Isme Ek Lateefa Ye Bhi Hota Hai Ke Ek Raawi Apni Kisi Manpasand Riwayat Me Hota Hai Toh Use Us Waqt Siqa Baawar Karaya Jaata Hai Aur Wahi Raawi Jab Us Riwayat Me aata Hai Jis Se Dusra Fareeq Istadlal karta Hai Toh Wah Zaeef Qarar Pa Jaata Hai,

Ek Aur Lateefa Ye Hota Hai Ke Ek Hadith me 2-3 Baatein Hoti Hain, Un mese Koi Ek Baat Qubool Karli Jaati Hai Ke Usse Unke Kisi Fiqhi Masail Ka Asbaat Hota Hai Aur Dusri Baatein Radd Kar Di Jaati Hain Kyunki Wah Fareeq Mukhaalif Ke Mawafiq Hoti Hain,

Halaanke Hadith Ek hai, Sanad Ek Hai,

Agar Wah Hadith Sahih Hai Toh Usme Bayan Kardah Saari Hi Baatein Sahih hain,
Unmese kisi Baat Ko Maan Lena Aur Baaz Ko Na Manna Ise Kaun Maqool Tarz E Amal Qaraar De Sakta Hai ???

Isi Tarah Agar Wah Zaeef Hai, Tab Bhi Mamla Aisa Hi Hai, Uski Saari Hi Baatein Na'qaabil Tasleem Honi Chahiye, Uska Koi Ek Juzz Bhi Qaabil E Istadlal Nahin Ho Sakta,

Ye Lataif Hamare Fiqhi Jadal wa Munazirah Me Aam Hain,

Zaahir Baat Hai Imaanat Wa 
Diyaanat Ki Maujoodgi Me Inka imkaan Hai, Na Jawaaz Hi Hai,

3- Muhaddiseen Ke Manhajj Ki Teesri Numaaya Khoobi Jama Wa Tatbeek Ka Ehtemaam Hai, Baaz Riwayaat Me Jo Zaahiri Ta'aaruz Nazar Aata Hai Uske Hal Ke Liye Muhaddiseen Hasab Zel Tareeqe Akhti
yaar Karte Hain

a)- SaNad Ke Aitbaar Se Agar Ek Riwayat Sahih Hai Aur Dusri Zaeef Toh Sahih Sanad Ul Riwayat Ko Wah Qubool Kar Lete Hain Aur Zaeef Ko Nazar'andaaz Kar Dete hain

b)- Agar Sanad Ke Aitbaar Se Dono Hi Sahih Hoti Hain Lekin Darja Sehat Me Ek Ko Dusri Par Kisi Wajah Se Bartari Haasil Hoti Hai Toh Wah Raajeh Qaraar Paati Hai, Jaise Ek Riwayat Sunan Ki Hai, Dusri Mutaffiq Alaih Ya Sahih Bukhari Ya Sahih muslim Ki Hai, Toh Ye DuSri Qism Ki Riwaayat Sehat Ke Aitbaar Se Sunan Arba Ki Riwaayat Se Faiq Hai, Inko sunan Ki Riwaayat Par Tarjeeh Haasil Hogi....

To Be continued....

TARAWEEH KI JAMAAT







Bismillahirrahmanirraheem

 



Sawaal Hai Ki Bidat e Hasana Jaisi Koi Cheez Nahin Hai Toh Hz Umar (Ra) Ne Ye Kyun Kaha Ki Ye Acchi Bidat Hai ??

Ye swaal Baar baar Poocha Jaata H Ki Jab Hz Umar (Ra) ne Logon Ko Ek Jamaat Me Jama Kiya Taraweeh Ke Liye Ya Qayam e Ramzaan Ke Liye Toh Unhone Dekha Ki Log Namaz Padh Rahe Hain toh Kaha

"NiyamatUl Bidatil Haajihi"

Tarjuma: Ye Kaisi Acchi Bidat Hai

Ulema Ne Yahan Par Samjhaaya Hai Un Logon Ko Jinko Jaldi Samjh Me Nahin Aata hai

ke Yahan par Hz Umar (Ra) Ka Jo Jumla Hai Wo Sharai Aitbaar Se Nahin Hai Balke Waqi'e Aitbaar Se Hai, Zabaani Aitbaar Se Hai, Yani Lughwi Aitbaar Se hai

Kya Matlab Hai, Dekhiye Hz Umar (Ra) Ke Zamaane Me Ibtedaayi Daur Me Ye Hota Tha Ke Ek Aadmi Akela Namaz Padh Raha hai Taraweeh Ki Kuch Log Ek Imam Ke Peeche Padh Rahe Hai Kuch Log Dusre Imam Ke Peeche padh Rahen Hain, Aur Kai Jamaatein Aur Infiraadi Namazein Us Masjid Me Hoti Thi Hz Umar (Ra) Ne Dekha Ke Kaha Ki Agar Ye Sab ke Sab Ek Imam Ke Peeche Jama Hon Toh kitna Accha Hoga,

Kyun Kiya Unhone Aisa ??

Isliye Ki Hz Umar (Ra) Ne Dekha Tha Ke Allah Ke Rasool Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Aakhiri Amal Ye Tha kE Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ne 3 Raaton Mese Aakhiri Raat Me Sabko Jama Kiya Tha Namaz Ke Liye, Aur Aapne EK imam Bankar Saare Musalmano Ki Jo Madeena Me Jo Log Namaz Ke Liye Aaye They, Un sab Ki Aapne Ek Jamaat Me Imaamat Ki Thi,

Toh Waqi Agar Ye Amal Accha tha Toh Allah Ke Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Ye Pasand Tha Tabhi Toh Allah Ke Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Aisa Kiya, Aur Hona Aisa Hi Chahiye Tha Toh Aapne Kiya,

Lekin Aap Dare Is Baat Par Kahin Ye Farz Na Ho Jaaye,

Toh Aapne Us Darr Ki Wajah Se Wo Accha Amal Chhod Diya,

Kyonki Wo Farz Na Ho Jaaye, Agar Farz Ho Gaya Toh Log Kar Nahin Paayenge,

Kyunki Hz Moosa (as) Ne Pahle Hi Bataya Tha Aapki Ummat Nahin Kar Paayegi, toh 5 Par Maamla Aakar Ruk Gaya Tha. Ab Aur Agar Farz Ho Jaaye Toh Ummat Ke Liye Mashakkat Ho Jaayegi,

Aap Miswaak Ka Huqm Nahin Dete They Logon Ko

"Agar Ummat par Taqleef aur Mashaqqat Ka Khauff nahin Hota Toh main Har Namaz Ke Liye Ummat Ko miswaak Ka Huqm Deta har Namaz Ke Waqt me"

Toh Aap Darte They Ki Ummat Par Taqleef Na Ho, Mashakkat Na ho, Balke Aasaani Rahe,

Aap Rahmatullillaalameen They

Toh Aapne Akhiri Jab Teesri Raat Sabko Jamaat Me Namaz Padhkar Bataya Toh Aapne Ishaara Diya Ki Asal Ye hai, Jamaat Matloob Hai, Isi Liye Aapne Wo Kiya,

Lekin Fir Aapne chhod Diya, Sahaba Intezaar Me Ke Aap Kyun Ni Aaye Chauthi Raat Me,

Aapne Kaha:-"Mujhpar Tumhara Raat Me namaz Me Intezaar Karna Mera Makfi Nahin tha Lekin Main Dara Is Baat Se Ke Kahin Ye Tumpar Farz Na Ho Jaaye Toh Maine Ye Kiya"

Toh Aapka Na Nikalna chauthi Raat Me Namaz Ki Jamat Liye Ek Majboori Ki Wajah Se , Tha, Ek Darr Ki Wajah Se Tha, Ke Kahin Allah Ki Taraf Se Iske Farziyat Ka Huqm Na A Jaaye, Kahin Wahi Na naazil Ho Jaaye ki Ab Hamesha Aise Hi padhte raho,

Hz Umar (Ra) Ke Daur Me, Hz Umar (Ra) Ne Dekha ke Ab Toh Wo Baat Ni Hai , Ab Toh Wahi Ka Silsila Ruk Gaya, Aur Padhne Ki Namaz Ke 2 Tareeqe Hain,

Ek Toh Ye Ke Jamat Ke Saath Na padha Jaaye , Alag Alag, Ya Alag Alag Jaamton Me Padhen Ya Infiraadi Namaz Padh A Jaaye, Ya Fir Ek Jamaat Se Padha Jaaye,

Dono Me Best Kiya Hai !?,

wo Tareeqa Jo Nabi Ka Hai, Lekin Nabi Ne Toh 3 Raat Padha,

Allah Ke Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ne 3 Raatein Namaz padhin,

Ab Maheene Bhar Padhen Ya Nahin Padhen Toh Hz Umar (Ra) Ne Maheene Bhar Ke liye Jaari Kar Diya,

Ab Maheene Bhar Padhna Practically Nabi Ke Zamaane Me Nahin Hua Tha, lekin Isi Asal Nabi Ke Amal Me Maujood Thi, Waise Hi jaise Aashoore Ki 10wi Ka Roza to Nabi ke Amal Me Hai 9wi Ka Amal Me Nahin Hai,

Lekin Ham Aur Aap Dono Ka Rakhte hain, Toh Nabi Ke Amal Me Wo Cheez Nahin Thi, Lekin Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Pasand Wo Amal Tha,

Aapne Niyyat Uski Ki Thi, Toh Jo Nabi Ko Pasand Hai Wo Bhi Deen Hai,

Isliye Hz Umar (Ra) Ne Kaha

"Nemal Bida'atul Haazihi"

Toh 2 Lafz Istemaal Kiye, Kaha "Nema'a" Accha Hai, Toh Nabi Ko Pasand Hai Toh Malum Hua Accha Hai Isi Liye Toh Jama Kiya,

Lekin "Bidat" Kaha Ye Naya maamla hai, Kyun ?

Kyunki Nabi ke Zamaane Me Poore Maheene Ki Taraweeh Jamaat Se Nahin Thi, Lekin Nabi ko Pasand Tha Jamaat Se Padhna Toh 3 Raaton Me Rukne Ki Wajah Se 3 Raaton Ki Ginti Poori Karni Nahin Thi Balke Chauthi Me Padhenge Aur Padhte Rahenge Farz Ho Jayegi, Toh Asal 30 Raat Padhe Toh Accha Hi Hai, Lekin Nabi Ne Padha Nahin Majboori ki Wajah Se,

Toh Is Aitbaar Se Ye Ek Naya Maamla hua ye Uss Zamaane Me Nahin Tha Ke Maheene Bhar Padhen, Toh Ye Naya Maamla hai, Lekin Ye Naya Maamla
Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam ko Pasand Hone Ki Wajah Se Accha Hai,

Toh Ye Wo Bidat Nahin Hai Jo Buri Hai, Ye Bidat Hai Ye wo Amal Hai Jo Nabi Sallaho Alaihi Wasallam Se Saabit Hai Lekin Iska Amal Ruk Gaya Hai, Aur Is Tarah se Soorat Us Zamaane Me
Nahin Thi ke Poora Maheena Padha Jaaye

Is Tarah Hz Umar (Ra) Ne Kaha Ye Kaise Acchi Bidat Cheez Hai Jo Nahi Hai jo Pahle Nahin Thi,

DekhiYe Jamaat Thi ke Nahin Thi ??, Thi,

Allah Ne Nabi Sallalaho alaihi Wasallam Ne Jamaat Banaayi, Ek Imam Baaqi Muqtadi,

Hz Umar (Ra) Ne Yahi Kiya Ke Ek Jamaat Ki, Aur ye Accha Hai Aur Ye Saabit Hai Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Se,

Poora Ramzaan Taraweeh Padhna Kya Nabi Sallalaho Alaihi wasallam Se Saabit Nahin Hai,

Aapne Kaha

"Jo Poora Ramzaan Imam Ehtesaat Ke Saath Qayaam Kare"

poora Ramzaan Qayam Karna Bhi Acchi Cheez Hai,

Jamaat Ke Saath Qayaam Karna bhi Acchi Cheez Hai,

Lekin Ab ye Dono Milke Nabi Ke Zamaane Me Poora Maheena Nahin Tha,

Iska Wajah Kya Thi, Poora Maheena Nahin karna Chahiye thi,

Ya poora Maheena Karenge Toh Musalmaano Par Mashakkat Hogi ?

Chaah Kar Bhi Nahin Kiya Nabi Sallalaho Alaihi Wasallm Ne,

Ye Wajah Thi Iski,

Toh Hz Umar (Ra) Ne Kaha Ab Toh Wahi Band Ho Gayi, Chalo Poora Maheena shuru Kar Dete hain, Kyonki Ye Amal Nabi Ko Pasand Tha Lekin Saabit ni Hai.

Toh Wo Amal Jo Nabi Ko Pasand Ho Lekin Uski Shakal Nabi Ke Zamaane Me Maujood Na ho, Toh Shakal Ke Aitbaar Se Wo Naya Hai Lekin Aqal Ke Aitbaar Se Wo Puraana Hai, Nabi Se Saabit Hai, Nabi Ko Pasand hai, lekin Nabi Ne Kiya Nahin Hai toh Is Aitbaar Se Isko Umar (Ra) Ne Bidat E Hasana Kaha Hai......

By:- Sheikh Abu Zaid Zameer Hafizahullah

Sunday, November 17, 2013

QURAAN MAJEED ME TABDEELI KISNE KI ??? (SHIA AQAID)







.Bismillahirrahmanirraheem







QURAAN MAJEED ME TABDEELI KISNE KI ??? (SHIA AQAID)

Shia Qaum Ke Nazdeek Quraan Majeed Me Hz Abu Bakr Wa Umar (Ra) Ne Maaz'allah Apne Mazmoom Maqsad Ki Taqmeel Aur Apne Iqtedaar Ko Dawaam Bakhsne Ke Liye Deegar Sahaba Kiraam Ke Saath Saazish Karke Asal Quraan MajeeD Ko Ghaib Kar Diya Aur Uski Jagah Apni Marzi Ka Ek Quraan Taaleef Karwaaya Jisme Wah Tamaam Aayat Nikaal Di Gayin Jin Me Unke (Hz Umar Wa Hz Abu Bakr ) Aib Mutayyan Aur Ahly Bait Ke Manaaqib Wa Fazail Ka Zikr Tha,

Chunanche Shia Muhaddis Tabrisi Apni Kitab "Al Ehtijaaj" Me Jo Tamam Shia ke Nazdeek Motmad Hai, Sahaba Kiram (Ra) Ke Khilaaf Apne Bughz Wa Hasad Ka Izhaar Karte Hue Likhta Hai

"Rasoollullah (Sws) Ki Wafaat Ke Fauran Baad Hz Ali Ne Quraan Majeed Jama Karke Use Muhajireen Wa Ansaar Par Pesh Kiya Kyonki Aap (Sws) Ne Aapko Iski Wasiyat Farmaayi Thi,

Jab Abu bakr Ne Hz Ali Ka Jama Kardah Quraan Majeed Khol Kar Dekha Toh Pahle Saffe Par Hi Un Logon (Muhajireen Wa Ansaar) Ke Uyoob Wa Nuqaaish Par Mabni Aayaat Darj Thi, Un Ayaat Ko Dekhkar Umar Bin Khattab Uchhal Pada Aur Ali (As) Se Kahne Laga

"Ali ! Ise Waapas Le Jaao Hamen Iski Koi Zaroorat Nahin"

Chunanche Ali (As) Ne Wah Quraan Majeed Pakda Aur Waapas Ghar Tashreef Le Gaye,

Phir Zaid Bin Saabit Ko Talab Kiya Jo Ke Quraan Majeed Ka Qari Tha

Umar Ne Use Kaha

"Ali Hamare Paas Ek Quraan Lekar Aaye They Jinme Muhaajireen Wa Ansaar Ki Buraiyyon Aur Nuqaaish Wa Uyoob Ka Zikr Tha Hamara Khyaal Hai Ke Ham Ek Aisa Quraan Tarteeb Den Jisme Se Ye Saari Aayat Khazaf Kar Den"

Zaid Bin Sabit Kahne Laga

" Mujhe Isme Koi Aitraaz Nahin Lekin Agar Ali Ne Apna Jama Kardah Wah (Asal) Quran Awaam Par Zaahir Kar Diya Toh Kya hamari Saari Mahnat Bekaar Nahin Chali jayegi ??"

Umar Kahne Laga 

"Phir Kya Soorat Honi Chahiye??"

Zaid Ne Kaha

"Ap Zyada Jaante Hain"

Umar Kahne laga

"Mere Khyaal Me Ali Ko Qatal Kiye Beghair Koi Chaarah Nahin"

Chunanche Umar Me Khalid Bin Waleed Ke Zariye Ali (As) Ko Qatal Karwaane Ki Saajish Ki Magar Isme Naqaami Hui,

Phir Jab Umar Ne Khilaafat Sambhaali Toh Ali (As) Se Mutaalba Kiya Gaya Ke Wa Apna Jama Kardah Quran Unke Supurd Kar den, Isse Unki Gharz Ye Thi Ke Wah Usme Bhi Tabdeeli Kar den,

Chunanche Umar Kahne Laga

"Aiy Abul Hasan (Hz Ali Ki Kunniyat) ! Jo Quraan Tum Abu Bakr Ke Paas Lekar Aaye They Wah Hamare Paas Bhi Le Aao Taake Ham Sab Uspar Ittefaq Kar Len"

Ali (AS) farmane Lage

"Na'mumkin ! Na'mumkin ! Ab Koi Sabeel Baqi nahin Rahi, Main Toh Abu Bakr Ke Paas Wah Quraan Sirf Isliye Lejar Gaya Tha Ke Tum Par Hujjat Qayem Ho Sake Aur Qayamat Ke Din Tum Ye Na Kah Sako 

Inna Kunna An Haaza Ghaalileen

Yani Ke Hamen Iski Khabar Na Thi Warna Ham Is Par Imaan Le Aate,

Mere Jama kardah Quraan Par Sirf Aimma Hi Haath Laga Sakte Sakenge Jo meri Nasal Me Se Honge"

Umar Kahne Laga

"Wah Quran Kab Zaahir Hoga??"

Ali (as) Ne Farmaya 

"Jab Qayem (12wa Imam) Ghaar Se Baaher Niklega Wah Quraan Usi Ke Paas Hoga Aur Wah Logon Ko Usi par Amal Karne Ki Targheeb Dega"

(ehtijaj Tabrisi Page 76,77 Matbua Iraan 1302 Hijri)

Is Aayat Ka Khulaasa Ye Hai Ke Asli Quran Hz Ali (Ra) Ne Hi Jama Kiya Tha,

Chunke Us Quraan Me Muhaajireen Wa Ansaar Ki Buraiyyan Bayan Ki Gayi Thin,

Lihaza Abu Bakr Wa Umar (Ra) Me Use Mustard (Reject) Kar Diya Tha, Baad me Unhone (Hz Abu Bakr wa Umar Ra) Ne Hz Zaid Bin Sabit Ke Zariye ek Naya Quraan Taaleef karwaaya Jisme Bahut si Aayat Ko Nikaal Diya Gaya,

Asli Quraan Ke Zaahir Ho Jaane Ke Khauff Se Hz Abu Bakr Wa Umar (Ra) Ne Hz Khalid Bin Walid (Ra) Ke Haathon Hz Ali (Ra) ko Qatal Karne Ka Mansooba Banaya,

Hz Ali ne Wah Quran Khoofiyah Jagah Rakha Aur Dobara Talab Karne Par Bhi Logon Ko Na Dikhaaya...

Astaghfirullah ; Allah Bachaaye Aisi Khurafaton Se....

TAJZIYA

Kahan Hain Insaaf Pasand ?

Kahan H Adal Karne Waale ??

Kahan Hain Haq Wa Sadaaqat Ki Baat Karne Waale ??

Agar Maaz'allah Hz Abu Bakr Wa Umar (Ra) Par Is Qism Ka Ilzaamaat Aaid Kiye Jaayen Toh Baaqi Kaun Hai Jiski Diyaanat Ki Gawaahi Di ja Sake ???

Aur Kaun Hai Jise Quran Ka Muhaafiz Qaraar diya Ja Sake ??

Agar Hz Abu Bakr Wa Umar (Ra) Ke Mutaalliq Yahi Raaye Qayem Kar Li Jaaye Ke Unhone Quraan Majeed Me Tabdeeli Ki Aur Kai Aayat Ko Quraan Majeed Se Nikaal Diya Toh Baaqi Sahaba Kiram (Ra) KE Khilaaaf Kiya Kuch Nahin Kaha Ja Sakta,

Iski Wajah Nas Aur Abu Bakr Wa Umar (Ra) Ke Khilaaf Us Neech Aur Yahoodi Zahniyat Ke Izhaar Ke Baad "Roshan Khayaal Tabqe" Jo Shia Sunni Bhai Bhai Ka Naara Lagaate hain Unka Kya Mauqaf Hai ??

Kya Ab Bhi Wah Shia Qaum Ke Saath Ittehad Wa Ittefaq Ki Talqeen Karenge, Aur Kya Ab Bhi  
Wah " shia Sunni Bhai Bhai " Waala Makr o Fareb Par Mabni Ye Naara Laga Kar Shia Qaum Ko Sahab Kiram Ke Khilaaf Taan O Tashnee Aur Deedah Zahni Ki Ijaazat Denge ??


Kya Koi Musalman Hz Umar (Ra) Aur Deegar Sahaba Kiram (Ra) Ke Khilaaf Is Tarah Ki Ba
qwaas Karne Waale Se Ijtehaad Wa Ittefaq Ka Tasawwur Kar sakta Hai ??

Kya Koi Musalman In Hastiyon Ke khilaaf Zehar Ughalne Ki Ijaazat De Sakta Hai, Jinhone Islam Ka Parcham Lahraaya, Allah Ke Raaste Me Jihaad Kiya Aur Qalimah E Haq Ki Khaatir Apni Jaano Ka Nazraana Pesh Kiya ??

Kya Ahle Sunnat Me se Koi Shakhs Hz Ali (Ra) Aur Aap Ki Aulaad Ke Mutaaliiq Is Qism Ki Gustaakhi Ka Soch Sakta Hai ??

So "Wahdat Islami" Aur "Ittehad Ummat" Ke Naaron Ka Kya Maqsad Hai ??

Kya Is Qism Ke Ashaar Ko Buland Karne Walon Ka Yahin Matlab Hai kI Ham Apne Aqaid Se Dastabdar Ho Jaayen, Apne Asalaaf Ki Be'hurmati Par Apni Aankhen Band Kar Len Aur Apne "Shia Bhaiyyon" Ko Deedah Zahni Karne , Zehar Ugalne Aur Ittehad Ummat Ke Naam Par Hz Umar (Ra) KI Namoos Par Munkhase Udaane Ki Khuli Chhoot De den ??

Kya Ittehad Ummat Ka Yahin Mafhoom Hai Ke Ham Toh Unki Izzat Karen Aur Wah Hamare Asalaf Ko Gaaliyan Den ??

Ham uNka Ehteraam Karen Aur Wah Hamari Tahqeer Karen !

Ham Unhe Apna Bhai Kahen Aur Wah Hamare Akaabireen Ki Tauheen Karen ??

Hamen Ittehaad Wa IttefAq KI aisi Tedhi Taqseem Ki Koi Zaroorat Nahin Hai....

Tahreef Quran Ke Mutaalliq Shia Muhaddis Qulaini Apni Kitab Al Kafi Me Ahmad Bin Abi Nasr Se Riwayat Karta hai Ki

" Hz Abul Hasan (Ra) (8we Imam) Ne Ek Muhsaf (Quran) Diya Aur Hidayat Ki Ke Main Ise Khol Kar Na Dekhun, Main Jab Maine Use Khola Toh Meri Nazar "Lam Yakunil Lazeenal Kafaru" Par Padhi Mujhe Is Surah Me 70 Ke Qareeb Aise Naam Nazar Aaye Jinka Talliq Quraish Se Tha, Maine Quran Majeed Band Kar Diya, Thodi Der Baad Hz Raza (Ra) Ne Mujhe Paigham Bheja Ke Wah Mushaf Waapas Kar Do "

(Al Kafi Fil Usool, Kitab Fazal Al Quran Jild 2 Page 231 Matbua Iran)

Yani Agarche Shia Ke Imam Abul Hasan Raza Ne Us Shakhs Ko Wah Muhsaf Kholne se Mana Kiya Tha Magar Usne Us Huqm ki Parwah Na Karte Hue Use Khol Kar Dekh Liya, Aur Use Kuffar Ki Fehrist (List) Me 70 Aise Naam Nazar Aaye Jo Ke Maujodah Quran Majeed Me Nahin Hain,

Aur Zaahir Hai Ke (Ba'qaul Shia) Khulafa e Rasheedeen Ne Un Naamo Ko Saaqit Kar diya Kyonki Maaz'allah Unka Bhi Naam Us List Me Shamil Tha..

Shia Sharah Kamalluddin "Nahjatul Balagha" Ki Sharah Me Hz Usman (Ra) Par Ilzaamaat Wa Tohmaat aid Karte Hue "Mutaa'an Ali Usman" Ke Unwaan Se Zikr Karta Hai

"Usman Ka Ek Jurm Ye Bhi Tha Ke Usne Logon Ko Zaid Bin Saabit Ke Qir'at Par Jama Kiya Aur Baqiya Nuskhon Ko Jala Diya , Isi Tarah Usman Bin Affan Ne Bahut Si Aisi Aayaat Khatm Kar Di Jo Bila Shaq Wa Shubah quran Majeed Ka Hissa Thin"

(SHARAH nahjatul Balagha Jild 11 Page 1 Matbua Tehran)

Ek Aur Shia Muhaddis Nematullah Al Jazairi Apni Mashoor Kitab "Anwar ul Nemaaniyah" Me Kahta Hai

"Yani Bahut Saari Aisi (Shia) Hadith Hain Jin Me Waarid Hue Hain Ke Jis Tarah Quran Allah Taala Ki Taraf Se Naazil Hua Hz Ali Ke Siwa Kisi Ne Jama Nahin Kiya"

Yani Ke Tahreef Quraan Par Dalaalat Karne Waali Hadith Itni Ziyadah Hain Ke Wah Hadh Tawatir Se Zara Hi Kam Hain

Qulaini Wazaahat Karte Hue Jafar Jafie Se riwayat Karta Hai Ke

"Maine Imam Naqar (As) Ko Kahte Suna Hai Ke Agar Koi Shakhs Ye Daawa Kere Ke Usne allah Taala Ki Taraf Se Naazil Kardah Mukammal Quran Jama Kiya Hai Toh Wah Kazzab hai"

Yani Mukammal Quran Hz Ali Aur Dusre Imamon Ke Siwa Kisi Ne Jama Aur Hifz Nahin Kiya"

(Al Kafi Jild 1 Page 228)

Agar Shia Deen Ke Mutaabik Agar Koi Shakhs Ye Daawa Kare Ke Siddeeq Wa Farooq Aur Dhul Nurain (Hz Usman) Ka Jama Kardah Quran Majeed Muqammal Hai Toh Wah Kazzab Hai,

Isi Tarah Agar Koi Shakhs Ye Kahe ke Wah Sare Quraan Ka Haafiz Hai Toh Wah Bhi Jhoota Hai,

Isi Bina Par Shia Qaum Na Sirf Ye Ke Quran Majeed Hifz Nahin Karti Balke Huffaz Quran Ko Hikaarat Ki Nazar Se Dekhti Hai.....

To Be Continued....

(Asali Quran Kis Ke Paas Hai ???)