Wednesday, November 13, 2013

SUNAN ABU DAWOOD ME ULEMA E MUQALLIDEEN KI DUSRI TAHREEF:

Bismillahirrahmanirraheem




.Bismillahirrahmanirraheem



SUNAN ABU DAWOOD ME ULEMA E MUQALLIDEEN KI DUSRI TAHREEF:

Imam Abu Dawood Ne Hz Abdullah Ibn Masood (Ra) Se Marwi Riwaayat Adam Rafulyadain Par Jirrah Karte Hue Kaha Tha Ke

"Ye Ek Riwaayat Taweel Hadith Ka Ikhtesaar Hai Aur Ye Sahih Nahin Is Maane Par Ke Dobara Rafulyadain Na Karte They"

(Abu Dawood Mai Aun Jild 1 Page 273, Abu Dawood J 1 Pg 173, Taba Aleppo 1952)

Imam Abu Dawood Ki Is Jirrah Ko Unke Hawaale Se Sahab (Miskaat Page 77) Me.

Allama Ibn Abdul Barr Ne (Tamheed Jild 6 Page 220) Me,

Hafiz Ibn Hajar Ne (Talkhees Jild 1 Page 222) Me,

Aur Allama Shaukani Ne (Neelul Autaar j 2 page 187) Me Naqal Kiya Hai,

Muhaddis Azeema'badi Ne (Aunul Mabood Sharah Sunan Abu Dawood J 1 Page 273) Me Saraahat Ki Hai Ke

"Mere Paas 2 Sahih Wa Motbar Qalmi Nuskhe Hain Jin Me Ye Jirrah Maujood Hai, Lekin Kitne Sitam Ki Baat Hai Jab Deobandi Maktab E Fikr Ke Muhaddis Azeem Molwi Fakhrul Hasan Gangohi Ne Abu Dawood Ko Apni Sahih Se Shaaye Kiya Toh Is Jirrah Ko Matan Se Nikaal Diya "

(Dekhen Abu Dawood Page 109)

GHAR KI SHAHADAT:

Halaanke Molwi Mahmoodul Hasan Khan Ki Sahih Se Jo Abu Dawood Ka Nuskha Shaaye Hua Tha Uske Safa 116 Jild 1 Ke Haashiya Par Nuskha Ki Alaamat De Kar Likha Hua Tha Ke

"Ek Nuskhe Me Ye ibaarat Bhi Maujood Hai" 

Phir Mazkoorah Tamam Ibaarat Ko Naqal Kiya Gaya.....




#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks