Wednesday, November 13, 2013

RAHAM-E-MADAR (WOMB) ME BETIYON KA QATAL (MURDER)--- TAREEQA , WAJAH, AUR ILAAJ:






Bismillahirrahmanirraheem






RAHAM-E-MADAR (WOMB) ME BETIYON KA QATAL (MURDER)--- TAREEQA , WAJAH, AUR ILAAJ:

Allah Taala Ne Farmaya

"Yaqeenan Khasaare Me Pad Gaye Wah Log Jinhone Apni Aulaad Ko Jihaalat Aur Nadaani Ki Bina Par Qatal Kar Diya"

(Surah Anaam 140)

Mordern Daur Me Ye Masla Na Sirf Hamare Mulk Balke Poori Duniya Ko apni Lapet Me Le Rakha Hai,

In Me Rahem-e-maadar (Womb) Me Betiyon Ka Qatal Bhi Hai,

Baaz Logon Ke Khyaal Me Betiyon Ka Wajood Apni Saath Bahut Se Masail Le Kar Aata Hai Ke Unse Ghabrakar Logon Ki Ye Koshish Hoti Hai Ke Ladkiyan Paida Hi Na Hon,

Iske Liye Nit Nayi Tadabeer Akhtiyaar Ki Jaati Hain,

Chunki Scienci Taraqqi Ne Aise Aalaat (Instrument) Aur Machine Ijaad Kar Li Hain Jinse Rahem-e-madar Hi Me Jins Ka Pata Laga Liya Jaata Hai Ki Ladka Hai Ya Ladki,

Agar Wah Maada (Female) Hai Toh Badi Be'dardi Ke Saath Maut Ke Ghaat Utaar Diya Jaata Hai,

Samaaji Organisations Pareshaan Hain Ki Kaise Is Buraayi Ko Roka Jaaye Lekin Is Pareshaani Cancer Ki Tarah Badhta Hi Ja Raha Hai,

"Marz Badhta Gaya Jun Jun Dawa Ki"

Albatta Islam Ne Is Buraayi Ko Rokne Ki Tadaabeer Bataya Hai, Aham Baat Ye Hai Ke In Tadaabeer Ko Akhtiyaar karke Maazi (Past) Me Ek Baar Is Samaaji Buraayi Ka Muqammal Khaatma Kiya Ja Chuka Hai,,

NASAL INSAANI KE WAJOOD KA FITRI NIZAAM:

Is Kaaynaat Me Rang Wa boo, Harqat Wa Haraarat, Sar'sabji Wa Shadaabi Mard'zan Ke Wajood Se Hai,

Balke Allah Taala Ne Kaaynaat Ki Har Cheez Ko Is ki Khidmat Me Laga Diya Hai, 

Allah Taala Ne Insaano Hi Nahin Balke Haiwaanaat Aur Deegar Makhlooqaat Ko Bhi Jode Jode Banaya Hai,

Allah Taala Ka Farman Hai

"Paak Hai Wah Zaat Jisne Jumlah Aqsaam Ke Jode Paida Kiye , Khwaah Wah Zameen Ki Makhlooqaat Me Se Hon Ya Khud Apni Jins (Yani Nu e Insaan) Me Se, Ya Un Ashya Me Se Jinko Ye Jaante Tak Nahin"

(Surah Yaseen 36)

Dusri Jagah Irshad Farmaya

" Allah Taala Ne Nasal Insaani Ke Tasalsal Aur Usme Mardon Aur Auraton Ke Tawaazin (Balance) Ka Makhsoos Intezaam Rakha Hai"

(Surah Nahal 72)

Chunanche Taareekh Ke Kisi Daur Me Aisa Nahin Hua Ke Kisi Daur Me Kisi Khitta Zameen Me Aisa Nahin Hua Ke Sirf Ladke Paida Hue Hon Aur Ladkiyon Ki Kami Ho Gayi Ho,

Ya Sirf Ladkiyon Ki Paidaish Hui Ho Aur Unke Nikaah Ke Liye Ladke Na Mile Hon,

Lekin Kuch Waqt Pahle Aur Aaj Bhi Badhti Hui Aabaadi Ki Rok Thaam Ke Liye Khaan'daani Mansooba'bandi (Family Planning) Ke Qawaneen Banaaye Gaye,

Ab Utrasound Aur Mukhtalif Aalaat Ka Sahara Lekar Raham E Madar Me Parwarish Paane Waala Jins Gar Ladki Hai Toh Use Jeene Ke Haq Se Mahroom Karke UsKa Khatma Kar Diya Jaata Hai Aur Hamal Girwa Diya Jaata Hai,

SAMAAJ ME LADKIYON KI KAM'TAR HAISIYAT:

Ladkiyon Ki Paidaish se Pahle Hi Unse Chutkaara Paane Ki Koshish Ki Jaati Hai, Jiska Buniyaadi SabaB Ye Hai Ke Aaj Bhi Samaj Me Ladkion Ko Kam'tar Haisiyat Haasil Hai,

Ladkion Ko Ladkon Ke Muqaable Kam Mufeed Samjha Jaata Hai,

Ladkiyon Ke Wajood Ko Waalidain Apne Ooper Bojh (Burden) Mahsoos Karte Hain,

Unki Parwarish Aur Asmat Wa Iffat Ki Hifaazat Ke Elaawah Unke Nikaah Me Dushwaariyan Aati Hain Aur Is Mauqa Par Ziyaada Taqleef Mahsoos Karte Hain Jin ki Wajah Se Waalidain Isi Me Aafiyat Samjhte Hain Ke Paidaish Se Pahle Hi Unka Qissa Tamaam Kar Diya Jaata Hai,

Ladkion Ke Baare Me Ye Tasweer Aaj Ke Daur Ki Dein Nahin Hai Balke Maazi (Past) Me Bhi Ladkion Ke Baare Me Insaani Nafsiyaat Yahi Rahi Hai,

Quraan BayaN Karta Hai Ke Hz Maryam (As) Ki Maa Ne Nazar Maani Thi Ke Unki Jo Aulaad Paida Hogi Use Haikal Ke Khidmat Ke Liye Nazar Kar Dengi,

Chunki Uss Daur Me Haikal Ki Khidmat Mard Anjaam Dete They,

Isliye Unhone Ummeed Laga Rakhi Thi Ke Unke Yahan Ladka Paida Hoga,

Lekin Jab Unke Yahan Ladki (Hz Maryam) Paida Hui Toh Maare Hasrat Wa Afsos Ke Unki Zabaan Se Ye Qalimaat Nikal Aaye

"Maalik Mere Yahan Toh Ladki Paida Hogayi Aur Ladka Ladki Ki Tarah Nahin Hota"

(Surah Aal E Imran 32)

NAZOOL QURAAN KE ZAMAANE KI SOORAT E HAAL:

jab Allah Ke Nabi Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Baisiyat Hui Toh Log Ladkion Ko Bhaari Bojh Samjhte They,

Unki Kifaalat Se Ghabraate They Kyonki Unse Ummeed Nahin Hoti Thi Ke Wah Badi Hokar Unka Haath Batayengi Kyonki Khatrah Hota Tha Ki Lutere (Robber) Unke Pakad Le Jaayenge Aur Laundiyan Bana Lenge, Isliye Wah Ladkion Ko Zinda Dafan Kar Dete They,

Quraan Me Us Zamaane Ki Soch Par Bhar'poor Tabsirah Kiya Hai

"Jab Unmese Kisi Ko Beti Paida Hone Ki Khush'khabri Di Jaati Hai Toh Unke Chehre Peele Padh Jaate Hain Aur Wah Bas Khoon Ka Sa Ghoont Pee Kar Rah JaatA Hai, Logon Se Chhupta Firta Hai Ke Us Buri Khabar Ke Baad Logon Ko Kiya Munh Dikhaayega, Sonchta Hai Ke Zillat Ke Saath Beti Ko Liye Rahe Ya Mitti Me Daba De "

(Surah Nahal 58-59)

To Be Continued......