Wednesday, November 13, 2013

RAHAM-E-MADAR (WOMB) ME BETIYON KA QATAL (MURDER)--- TAREEQA , WAJAH, AUR ILAAJ: (Part -2)






Bismillahirrahmanirraheem





RAHAM-E-MADAR (WOMB) ME BETIYON KA QATAL (MURDER)--- TAREEQA , WAJAH, AUR ILAAJ: (Part -2)

LADKIYON KO ZINDA DAR'GOR KARNA EK JAAHILI RASM:

Arab Ke Kuch Qabail Ke Yahan Agar Ladki Paida Hoti Thi Toh Use Fauran Halaaq Kar Dete They Aur Qatal Ki Mukhtalif Tadaabeerien Akhtiyaar Kiya Karte They, Bil'khusoos Qabeela Khijar, Khuja'aa, Tameem Mandarjah'zel Tareeqon Par Amal Paira They

1- Jab Waza Hamal Ka Zamana Qareeb Aata Toh Ek Gadha Khod Diya Jaata Tha, Gar Ladki Paida Hoti Toh Paidaish Ke Fauran Baad Use Us Gadhe Me Dafan Kar Diya Jaata Tha

(Ibn Abbas Ra)

2- Ladki Paida Hote Hi Use Maar Kar Kutte Ke Aage Daal Diya Jaata Tha

(Qatadah Ra)

3- Kisi Pahadi Ki Choti Par Le Jaakar Phenk Diya Jaata Tha

4- Paani Me dubo Diya Jaata Tha

5- Zibah Kar Diya Jaata Tha

6- Use Paida Hone Ke Baad Zindah Chhod Diya Jaata Tha Phir Jab Wah Kuch Badi (6 Balisht Ki Ho Jaati) Toh Ek Din Use Khoob Saja Sawaarkar Sahra Me Le Jaaya Jaata Jahan Khoob Gahra Gadha Khod kar Usme Dhakel Kar Ooper Se Mitti Baraabar Kar Di Jaati

(Tafseer Fakhruddeen Raazi Rh)

JADEED (MODERN) JAHILIYAT:

bacchhiyon Ko Qatal Karne Ki Ye Rasm Jo Daur E Jaahiliyat Ki Yaadgaar Hai, Aaj Bhi Hamare Samaaj Me Paayi Jaati Hai Aur Ghair Taraqqi Yaafta Samaajion (Non Civilised)Me Unhi Qadeem (Old) Tareeqon Par Amal Kiya Jaata Hai

Chunanche (Rajasthan Ke Elaaqe Jaisalmer Ke Ek Village Deoda) Ki Ek Report Me Likha Gaya Hai Ke Wahan Ghujasta Saal Me Koi Ladki Itni Badi Nahin Hui Ke Uski Shadi Ki Naubat Aati,

Halaanke Aisa Nahin Tha Ke Wahan Ladkiyan Paida Hi Nahin Hoti Thin,

Balke Paida Hote Hi Unhe Fana Ke Ghaat Utaar Diya Jaata Tha,

Samaaji Khaandani Dabaao Me Aakar Bhi Ye Kaam Maayen Hi Anjaam Deti Thin,

1- Maa Bachhi Ko Dhoodh Ke Saath Afeem Khila Deti Thi,

2- Naak Par Reit Ki Potli Rakh Deti Thi,

3- Muh Aur Naak Me Reit Bhar Deti Thi

4- Bacchi Ke Muh Me Dher Sa Namak Bhar Deti Thi,

5- Na'maulood (Infant) Bacchi Ke Munh Par Razaayi Ya Taqiyah (Pillow) Rakh Deti Thi, Taake Aahista Aahista Dam Ghut Jaaye

(Report- Rashtriya Sahara, New Delhi 9 September 2006)

RAHE TARAQQI YAAFTA SAMAAJ (CIVILISED)

Taraqqi Yaafta Samaaj Me Waza Hamal Ka Intezaar Hi Nahin Kiya jaata Balke Usse Pahle Hi Raham E Madar (Womb) Ki Jaanch Karaake Pata Laga Liya Jaata Hai Ke Agar Usme Parwarish Paane waala Jins Ladki Hai Toh Uska Isteqaal (Abortion) Kara Diya Jaata Hai,

ISLAM KI SHAKHT TADABEER:

Islam Me Abortion Ko Shakht Jurm Qaraar Diya Hai,

Chaahe Wah Goliyan (Contraceptive Pills, Garbhnirodhak Goli) Ke Zariye Ho Ya Isqaat (Abortion) Ke Zariye Ya Copper T Wagerah Ke Zariye , Is Fael Par Jahannum Ki Waeed Sunaayi Gayi Hai,

Hz Mugheera Bin Shoyba (Ra) Se Riwaayat Hai Ke Nabi E Akram Muhammad Sallaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

" Allah Ne Tum Par Haram Kar Diya hAi Waalidain Ki Na'farmani, Ladkion Ko Zinda Dar'gor Karna, Fuzool Kharch Karna"

(Sahih Bukhari, Kitabul Adab Bab Aqooqul Walidain Man Qbair)

AAKHIRAT ME SHAKHT SAZA KI WAEED:

Islam Abortion Par Muhar'band Lagaate Hue Aise Karne Waale Par Aakhirat Ki Shakht Saza Ki Waeed Sunaayi Aur Farmaya

"Jab Zinda Gaadi Hui Ladki Se Poocha Jaayega Ke Wah Kis Qusoor Me Maari Gayi"

(Surah Takweer Ayat 8- 9)

Jin Logon Ne Zulm Kiya Aur Ladki Ki Na'haq Qatal Kiya, Allah Taala Un Logon Se Baraah e Raast Baaz'purs Karne Ke Bajaaye Us Masoom Ladki Se Poochega Ke Kis Jurm Me Teri Jaan Li Gayi,

Ghaur Karne Ka Maqaam Hai Ke Allah Taala Ba'roz Qayamat Itna Ghazab'naak Hoga Aur Uski Nigaah Me Beti Ko Zinda Dafan Karne Waale Itne Qaabil E Nafrat Honge Ke Wah Unse Baraah E Raast Mukhaatib Bhi Na Hoga,

Rasoollullah Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Sahaba Kiram (Ra) Se Aulaad Ke Qatal Na Karne Ka Ahad Wa Paimaan Musalman Mard Wa Aurat Dono Se Liya Karte They Aur Unhe Farmate They

" Mujh Se Baiyyat Karo Us Cheez Par Ke Allah Ke Saath Kisi Ko Shareek Ni Thahraoge, Chori Nahin Karoge, Zina Ni Karoge, Aur Apni Aulaad Ko Qatal Ni Karoge"

ANDESHA FAKR O GHUBAT KA ILAAJ

Arab Ke Baaz Qabail Apni Ladkion Ko Zinda Dar'gor Kar Dene Ka Ek Sabab Fuqra Wa Faaqah Wa Ghurbat bhi Tha,

Ladke Bade Hokar Unka Haath Bataate They,

Quran Ne Waazeh Kiya Ke Rizq Ki Kunjiyan Sirf Allah Ke Haath Me Hai,

Roo E Zameen Ki Tamam Makhlooqaat Ki Rozi Ka Zimma Usne Khud Le Rakha Hai,

Isliye Kisi Ko Bojh Samjhkar Qatal Kar dena Bahut Badi Ghalti Intehaayi Nadaani Aur Kabeera Gunaah Hai,

Surah Anaam Ayat 151 Me Allah Tala Farmata Hai

"Aur Apni Aulaad Ko Muflisi Ke Darr Se Qatal Na Karo, Ham Tumhe Bhi Rizq Dete Hain Aur Unhen Bhi Denge"

Allah Taala Ham sabko Is Fael Se Bachaaye.