Wednesday, November 13, 2013

HANAFI MAZHAB KE ISHAAT KI WAJUHAT KIA THI ?

Bismillahirrahmanirraheem






HANAFI MAZHAB KE ISHAAT KI WAJUHAT KIA THI ? 




HANAFI MAZHAB KA ZOR QAYAS W AARAIYON PAR KAISE ? 



HANAFI MAZHAB KO AWAMUNNAS MEIN MAQBULIYAT KA SHARAF KION HASIL HUA ? 




Mukhtasaran ham bayan Kareingey Bila Kisi Taassub Ke .




Ahnaf Hazrat Khosusan Ahle Ilm wa Mufti wa
Aalim wa Faazil Hazrat Bayan Karte Hain Ki




"Imaam Abu Hanifa R ne Tahqeeq Masaiel Faqih
Ka Istinbat Karne Ke Liye 40 Bade Mohaddisin Ki Ek Committee Moqarrar ki . Imaam Sahab Committee se Mashwira Lete Us
Majlis Mein Har Qisam Ka Masla Pesh Hota Tha Taki Sahi Fiqah Ko Amal Mein Laya Jaye Agar Koi
Masla Ittifaq Na Hota To Kai Kai Dino Tak Bahes Jari Rahti"

Dar'asal Ye Kahawat Be Mani Hai 

Allama shibli
nomani ne bhi apni kitab seerat Noman mein
bhi iska zikar kuchh yun kia hai ,

" Is Committee (Jo Be Buniyad Hai) Ki Wajah Se Hanafi Mazhab Ko Qubul Andallah aur Andannas Ka Is
Qadar Darja Hasil Hua Hai Ki Baqi Teeno Mazahab Ko Join Ho Kar Bhi Nasib Na Ho Saka ,"

Is Commitee Ka Tashhir Ka Maqsad Sirf Awamunnas Ko Gumrah Karne Ka Ek Bahana hai.

Andallah is ki qobuliyat to Allah hi behtar jane
lekin awamunnas moghalte ka malghuba
bhakosne mein koi kami kasar nahi chhodi
hai .

Jabki Allah ka farman wazeh ye hai ki.

"Jo Rasool sws ki itaat karta hai goya Allah ki
itaat karta hai "

Quraan

Allama Shibli Nomani Seeratunnoman ke page
no 226 par Abu Hanifa R ki Qanun saz kamiti
ka zikar yun bayan karte hain .

"Ye Qanun Saaz Committee 121 hijri Mein Banai Gayi Aur Ye Committee Kam az Kam 30 Baras Tak Masaeil Faqih Ka Istinbat Karti Rahi Yani 150 Hijri Tak Jo Imaam Sahab Ki Wafat Ka Saal Hai"

Ab ghaor is baat par ye karna hai ki is Qanoon Saaz Committee Mein Jo Solha w azkia ka zikar hai
woh kaise shamil the Jabki Un Mein Se Kuchh Bachche Hi They 

Kubbar Mohaddiseen Kaise
Bane Aur Kuchh To Abhi Paida Bhi Na Huye They To Kaise Qanun saz Committee Mein Ba'hasiyat
Mohaddasin ke shamil huy ?

Qanun saaz Committee Kul 40 Afraad Par Munhasar Kahi Jati Hai Ham Kuchh Ke Naam Yahan
example ke liy likh rahe hain .

Qazi abu yusuf

Mohammad Hasan al Shebani.

Zafar bin hazeel.

Asad bin Umar.

Yusuf bin khalid Samati.

Nooh bin abi Mariyam.

Waqiya.Hamza zayat.

Yahya bin zakaria.

Afiyat Azdi.

Hafas bin ghayas.

Mandal.

Qasim bin maan.

Habban .

Fazil bin Ayyaz.

Dawod Taai .

Mundarja bala akabreen us Qanunsaz Committee
Ke Rukan They Aur Baqiya 24 Aur Bhi They Sirf In 16 Ka Hi Yaum Paidaish Ijlas Ke Dauran Koi 5
Saal Koi 8 saal Aur Koi Abhi Paida Bhi Na Hua tha.

Imam Abu yusuf ki paidaish 113 hijri Committee
Ka Ijlas 121 hijri 8 Saala MUhaddis .

Shebani ,135 Me Paida Hue

Zafar 110 Me Paida huye.

Imam Waqiya 128 Hijri Mein Paida Huye Jabki Committee 121 Hijri Ki Hai 

Sochiye.

Hafas bin Ghayas 117 Me Paidaish 

Habban 111 hijri Me Paidaish .

Sochiye Aur Ghaor Kariye Ki Us Commetti Ke Rukun Ki Umar wa Paidaish Qanun saz Date Se Kitni
Milti Hai .

Allama Kosri Jo Ek Famous Hanafi Scholar Ki Haisiyat Se Farmate Hain Apni Kitab "TANIB AL KHATIB AL KAUSRI"
Mein ki 

" Ba'zor Shamsheer wa Siyasat Motazali Mazhab Ki Tarveej wa Ishaat Karne Wali Motazali Hukumat Ke Arakeen wa Afrad Hanafi They Jin Mein Imaam Abu Hanifa R Ka Pota (Grand son)
ISMAIEL BIN HAMMAD BIN ABI HANIFA Bhi Shamil Tha.

Jahmi Hukumat Ke Bani MAMOON RASHEED Ko Musannif Anwar Al Bari ne Hanafi Mazhab Qarar Diya Hai Aur Kaha Hai Ki Haroon Rashid
Ne Mamoon Rasheed Ko Fiqah Hanafi Ki Aala Paimane Par Talim Dilwai Thi Aur Mamoon Ko Fiqah Hanafi Se Khud Bhi Badi Monasbat Thi"

(Muqadama Anwar al bari jild 1 page 94E)



Ek Khas Baat Ye Hai Ke Us Daur me HUkumat Jin Logon Ke Hath Mein Rahi Woh Aksar Fiqah Hanafi Hi Ke Paband They .

Khalifa Mehdi Abbasi Ne 166 Mein Abu yusuf ko Qazi Ka Ohda Diya Baad Mein Haroon Rasheed Ne Unki Qabiliyat Ko Dekhte Huye Tamam Mulkon Ka Qazi ul Qaza Chief Justice Muqarrar Kar Diya Kion Ki Ra'oosa (Officers) Ki Jo Khamiyan Thi Ya Unko Jo Laondiyan Bhi Mayassar Na Thi Unko Halal Karne Aur Apne Liye Halal Karwane Ki Gharaz Se Abu Yusuf Ka Koi Sani Na Tha . 

Baat Haya Ki Hai Warna Woh Qissa Bhi Ham Bayan Karte Jo Fiqah Hanafiyat Ki Bakhiya Udhed Deta 

Khawarijon Ka Sadar Maqam Basra Tha Jo Imaam Abu Hanifa Ra ke Shahar Se Bahut Qareeb Tha .

Bin Ata aur Umar bin Ubaid jo Mazhab Etzal Ke Bani (Founder) They Basra Hi Ke Rahne Wale The,
Aur Imaam Sahab Ke Hamsar They

Jaham bin safwan jiske Naam Par Firqa Jahimiya mashhur Hai Usi Period Mein Tha

Imaam Sahab Un Mein Se Aksar Se Mile Unke Khayalat Se Waqif Huye Un Mein Se To Kuchh Ahle Kufar Tak Bhi Pahuche Lekin Imaam Sahab Ki Dili Motabiqat Hi Ka Ye Saboot Tha Ki Un Hone Ye Hukam Aam Farma Dia Ki

"AHLE QIBLA SAB MOMIN HAIN"

(SEERATUNNOMAN PAGE 153)

Detail Padhiy Hosh Udhh Jayga

Aur jab

Motazala

Jahimiya

Khawarij

In Teeno Ko Imam Abu Hanifa R Ki Taraf Se Islam Ki Sanad Mil Gayi To Woh Teeno Batil Firqon Ne Mil Kar Ba'zor Shamsheer Wa Siyasat Isi Mazhab Hanafi Ki Ishaat Wa Tarweej Ko Orooj Tak Le Gaye .

Jahan Jahan Abbasi Khilafat Ka Tasallut Ghalib Raha Wahan Hanafi Fiqah Ko Zor wa Zabardasti
Se Farogh Hasil Hua ,

Kiyon Ki Abbasi Hukumat Hanafi Mazhab Ki Pusht Panahi Karte Rahe Agar Deegar Mazahab Se Kisi Ko Qazi Bana Bhi Diya Jata To
Fitna Fasad wa Hangama Kar ke Usko Mo'attal Kar Diya Jata

BA'QAWOL MAULANA BANURI MARHOOM .

"AFSOS KI HANAFIYAT EK SHURAI AUR
IJTIMAIYAT MAZHAB THA JIS PAR AKABIR E
UMMAT NE SALHA SAL TAK GHAUR WA KHOZ KIA
THA US MAJLIS ISTINBAT AHKAM SHARIYA KE
TAIYYAR KARDA NUSKHA KA AAJ TAK AKABREEN
HANAFIYA KHOJ NA LAGA SAKE KI USKA KIA
HASHAR HUA ."

BALKI YAHAN HAM YE BHI CONFIRM KARTE
CHALEIN KI BAHUT SE ULMA E AHNAF AUR
MUFTIYON TAK KO BHI US MAJLISE KAZIB KA AAJ
TAK PATA BHI NAHI ,

AUR SUNIYE .

JIN MAZHAB KO

MALIKI

HAMBALI

SHAFAI .

KAHA JATA HAI KI YE US PERIOD MEIN SHAKHSI
WA INFIRADI KI HASIYAT RAKHTE THEY 

IN AAIMA E
KIRAM KI KITABEIN DUNIYA KE HAR KONE KONE
MEIN MASHHUR HAIN.

AUR SUNO KAN KHOOL KAR KHUD HANAFI
PRINTING PREES SE HAZARON KI TADAAD MEIN
SHAYE HUI AUR HO RAHI HAIN .

IMAAM MALIK RAHAMATULLAH KI MOATTA
SHAREEF HIND W PAK KE GHAR GHAR MEIN
MAUJUD HAI JABKI HIND W PAKISTAN MEIN
MALKI MAZHAB KA EK BHI BADSHAH NAHI
GUZRA .

AUR IMAAM SHAFAI KI KITAB SE KAON WAQIFE
HAL NAHI MASHHUR W MARUF HAI,.

IMAAM AHMAD BIN HAMBAL R KI KITAB
MUSNADE AHMAD KAI BAAR PUBLISHED HUI
HAI .

IN AIMMA E KIRAM TEENO HAZRAT KI KITABEIN
AHLE AHNAF KE KUTUB KHANON MEIN MAUJUD
HOTI HAIN .

LEKIN

INKE APNE IMAAM KI KITAB SE MAHRUM AUR
NAAM SE WAQIF NA HONA YE ZAHIR KARTA HAI
KI HANAFI MAZHAB KO FAWQIYAT DENE KE LIY
JHUTE QISSE AUR KAHAWATEIN AUR GHALAT
MASAIEL FIQAH KE NAAM PAR GADHE GAYE AUR
40 AFRAAD WALI QANOON SAAZ COMMITTEE KI
BUNIYAD MAHAZ JHUT KA EK PALINDA HAI.

Aur ye Bhi Kaha Jata Hai Ki Us Qanoon saaz Majlis Mein Ek Ek Points Par Kai Din Tak Aazadana
Bahas Hua Karti Uske Baad Sabhi Ki Ittifaqe Raye Se Masaiel Zabte Tahreer Mein Laye Jaate They .

Halaki Ye Baat Safeed Jhoot Aur Ghalat Hai , Kionki Jitna Ikhtilaf Hanafi Mazhab Mein Paaya Jata Hai Itna Ikhtilaf Shafai, Hambali
, Maliki, Mein nahi paya jata hai

Agar Kisi Ko shak hai to Ahnaf ki kitab chhoti si hai QADURI Aur Ek Bahut Badi Kitab AL HADAYA
Padh Li Jaye Sab Khulasa Ho Jayega

Note kariye

YE AHNAF KE ULMA E KIRAM HIDAYA KO "KALQURAAN" KE NAAM SE BHI PUKARTE
HAIN ,

UTHA KAR DEKHO ABHI ISI WAQAT
TAQREEBAN HAR PAGE PAR IMAM ABU HANIFA
AUR IMAM ABU YUSUF KA IKHTILAF NAZAR AAYGA .



Lastly in briefly . 

Baat Ham Khatam Kar Dein Warna Detail Baqi Hai . 


Kutub Fiqah Hanafi Ko Utha Kar Dekhiye Chand Logon Ke Naam Wo Bhi Ikhtilaf Ke Sath Hain Baqiya 40 Afraad Ka Koi Naam wa Nishan Tak Nahi Hai . 

Darasal Ye Ahle Ahnaf Ke Ulma E Kiram Ka Shosha Hai Haqeeqat Ka Kahin Kuchh Naam wa Nishan Tak Nahi . 

Jo Sanad Fiqah Hanafi Se Mansub Ki Jati Hai Woh Asal Imaam Abu Hanifa Tak Pahuchti Hi Nahi . 

History Se Zahir Hota Hai Ki Jo Qanoon Saaz Majlis Ke Rukun(Member) They Unki Rihaish Kufa Ke Ilawa Dur Dur Tak Ke Ilaqon Mein Thi Jo Daily Majlis Tak Nahi Pahuch Sakte They. 

ALLAMA SHIBLI NOMANI HO YA MAULANA BANURI HO TAHQEEQ KE BAGHAIR YUN HI HAWA UDATE GAY HAIN

Ahnaf Ka Dar Asal Wajud Hi Islam Ki Sanad Yafta Guzar Gaah Se Guzarta Hi Nahi Kion Ki Hazaro Ki Tadaad Mein Hanafi Fiqah Sharai Etbar Se Batil hai . 

Isliye Har Banda Bashar Jo Khud Ko Sahibe Islam Kahe Usko Chahiye Ki Quraan wa Sunnat e Rasool sws Ki Itaat Aur Hukam ke Motabiq Zindagi Guzare Yahi Sahi Mazhab Aur Sahi Deen Hai Isko Manne Walon Ka Naam Muslaman Hai .

Baqiya Sab Kuchh Bekar Hai. 

Jazakallah khair



Hamne Jo Bhi Baat Likhi Hai Full Research Se Hai Agar Kisi Ko One Percent Bhi Shak Hai Ham Se Sawal Kar Sakta Hai . 

Dusri Baat Ye Ki Ham Tamaam Aimma E Kiram Ki Izzat Karte Hain ,


Jahan tak imaam Abu hanifa Ki Baat Ya Qawol Ka Hai To Unke Kisi Qawol Ya Unki Baat Ki Koi Tahreeri Sanad Kitab Ki Shakal Mein Agar Kisi Ke Paas Maujud Ho to Pesh Kare , 

Maslak Ahnaf qayas w zehni takhreej ka naam hai warna hazaro masael Fiqah Hanafi Ke Ikhtilaf Ka Shikar Na Hote. 

Har teesra maslay Ahnaf Tazabzub Ki Suli Par Latak Jata Hai Kiyon? 

Kabhi Kisi Ne Ahle Ilm Se Wajah Daryafat ki ? 

Kolhu Ke Bail Ki Tarah Muh Par Jhaapa Aur Aankhon par siyah patti bandhe Hanafiyat ka patta bandhe ghum rahe ho . 

Sawal to karo apna muh to kholo ki kia haq hai kia sahi kia ghalat hai .? 

Ek hi casette muh mein dabay ho ki ham hanafi hain hanafi . Hamare peer hamare akabreen hamare bade hamare buzurug etc to tum kia ho ?