Monday, November 25, 2013

TARAWEEH KI JAMAAT







Bismillahirrahmanirraheem

 



Sawaal Hai Ki Bidat e Hasana Jaisi Koi Cheez Nahin Hai Toh Hz Umar (Ra) Ne Ye Kyun Kaha Ki Ye Acchi Bidat Hai ??

Ye swaal Baar baar Poocha Jaata H Ki Jab Hz Umar (Ra) ne Logon Ko Ek Jamaat Me Jama Kiya Taraweeh Ke Liye Ya Qayam e Ramzaan Ke Liye Toh Unhone Dekha Ki Log Namaz Padh Rahe Hain toh Kaha

"NiyamatUl Bidatil Haajihi"

Tarjuma: Ye Kaisi Acchi Bidat Hai

Ulema Ne Yahan Par Samjhaaya Hai Un Logon Ko Jinko Jaldi Samjh Me Nahin Aata hai

ke Yahan par Hz Umar (Ra) Ka Jo Jumla Hai Wo Sharai Aitbaar Se Nahin Hai Balke Waqi'e Aitbaar Se Hai, Zabaani Aitbaar Se Hai, Yani Lughwi Aitbaar Se hai

Kya Matlab Hai, Dekhiye Hz Umar (Ra) Ke Zamaane Me Ibtedaayi Daur Me Ye Hota Tha Ke Ek Aadmi Akela Namaz Padh Raha hai Taraweeh Ki Kuch Log Ek Imam Ke Peeche Padh Rahe Hai Kuch Log Dusre Imam Ke Peeche padh Rahen Hain, Aur Kai Jamaatein Aur Infiraadi Namazein Us Masjid Me Hoti Thi Hz Umar (Ra) Ne Dekha Ke Kaha Ki Agar Ye Sab ke Sab Ek Imam Ke Peeche Jama Hon Toh kitna Accha Hoga,

Kyun Kiya Unhone Aisa ??

Isliye Ki Hz Umar (Ra) Ne Dekha Tha Ke Allah Ke Rasool Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Aakhiri Amal Ye Tha kE Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ne 3 Raaton Mese Aakhiri Raat Me Sabko Jama Kiya Tha Namaz Ke Liye, Aur Aapne EK imam Bankar Saare Musalmano Ki Jo Madeena Me Jo Log Namaz Ke Liye Aaye They, Un sab Ki Aapne Ek Jamaat Me Imaamat Ki Thi,

Toh Waqi Agar Ye Amal Accha tha Toh Allah Ke Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Ye Pasand Tha Tabhi Toh Allah Ke Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Aisa Kiya, Aur Hona Aisa Hi Chahiye Tha Toh Aapne Kiya,

Lekin Aap Dare Is Baat Par Kahin Ye Farz Na Ho Jaaye,

Toh Aapne Us Darr Ki Wajah Se Wo Accha Amal Chhod Diya,

Kyonki Wo Farz Na Ho Jaaye, Agar Farz Ho Gaya Toh Log Kar Nahin Paayenge,

Kyunki Hz Moosa (as) Ne Pahle Hi Bataya Tha Aapki Ummat Nahin Kar Paayegi, toh 5 Par Maamla Aakar Ruk Gaya Tha. Ab Aur Agar Farz Ho Jaaye Toh Ummat Ke Liye Mashakkat Ho Jaayegi,

Aap Miswaak Ka Huqm Nahin Dete They Logon Ko

"Agar Ummat par Taqleef aur Mashaqqat Ka Khauff nahin Hota Toh main Har Namaz Ke Liye Ummat Ko miswaak Ka Huqm Deta har Namaz Ke Waqt me"

Toh Aap Darte They Ki Ummat Par Taqleef Na Ho, Mashakkat Na ho, Balke Aasaani Rahe,

Aap Rahmatullillaalameen They

Toh Aapne Akhiri Jab Teesri Raat Sabko Jamaat Me Namaz Padhkar Bataya Toh Aapne Ishaara Diya Ki Asal Ye hai, Jamaat Matloob Hai, Isi Liye Aapne Wo Kiya,

Lekin Fir Aapne chhod Diya, Sahaba Intezaar Me Ke Aap Kyun Ni Aaye Chauthi Raat Me,

Aapne Kaha:-"Mujhpar Tumhara Raat Me namaz Me Intezaar Karna Mera Makfi Nahin tha Lekin Main Dara Is Baat Se Ke Kahin Ye Tumpar Farz Na Ho Jaaye Toh Maine Ye Kiya"

Toh Aapka Na Nikalna chauthi Raat Me Namaz Ki Jamat Liye Ek Majboori Ki Wajah Se , Tha, Ek Darr Ki Wajah Se Tha, Ke Kahin Allah Ki Taraf Se Iske Farziyat Ka Huqm Na A Jaaye, Kahin Wahi Na naazil Ho Jaaye ki Ab Hamesha Aise Hi padhte raho,

Hz Umar (Ra) Ke Daur Me, Hz Umar (Ra) Ne Dekha ke Ab Toh Wo Baat Ni Hai , Ab Toh Wahi Ka Silsila Ruk Gaya, Aur Padhne Ki Namaz Ke 2 Tareeqe Hain,

Ek Toh Ye Ke Jamat Ke Saath Na padha Jaaye , Alag Alag, Ya Alag Alag Jaamton Me Padhen Ya Infiraadi Namaz Padh A Jaaye, Ya Fir Ek Jamaat Se Padha Jaaye,

Dono Me Best Kiya Hai !?,

wo Tareeqa Jo Nabi Ka Hai, Lekin Nabi Ne Toh 3 Raat Padha,

Allah Ke Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ne 3 Raatein Namaz padhin,

Ab Maheene Bhar Padhen Ya Nahin Padhen Toh Hz Umar (Ra) Ne Maheene Bhar Ke liye Jaari Kar Diya,

Ab Maheene Bhar Padhna Practically Nabi Ke Zamaane Me Nahin Hua Tha, lekin Isi Asal Nabi Ke Amal Me Maujood Thi, Waise Hi jaise Aashoore Ki 10wi Ka Roza to Nabi ke Amal Me Hai 9wi Ka Amal Me Nahin Hai,

Lekin Ham Aur Aap Dono Ka Rakhte hain, Toh Nabi Ke Amal Me Wo Cheez Nahin Thi, Lekin Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Pasand Wo Amal Tha,

Aapne Niyyat Uski Ki Thi, Toh Jo Nabi Ko Pasand Hai Wo Bhi Deen Hai,

Isliye Hz Umar (Ra) Ne Kaha

"Nemal Bida'atul Haazihi"

Toh 2 Lafz Istemaal Kiye, Kaha "Nema'a" Accha Hai, Toh Nabi Ko Pasand Hai Toh Malum Hua Accha Hai Isi Liye Toh Jama Kiya,

Lekin "Bidat" Kaha Ye Naya maamla hai, Kyun ?

Kyunki Nabi ke Zamaane Me Poore Maheene Ki Taraweeh Jamaat Se Nahin Thi, Lekin Nabi ko Pasand Tha Jamaat Se Padhna Toh 3 Raaton Me Rukne Ki Wajah Se 3 Raaton Ki Ginti Poori Karni Nahin Thi Balke Chauthi Me Padhenge Aur Padhte Rahenge Farz Ho Jayegi, Toh Asal 30 Raat Padhe Toh Accha Hi Hai, Lekin Nabi Ne Padha Nahin Majboori ki Wajah Se,

Toh Is Aitbaar Se Ye Ek Naya Maamla hua ye Uss Zamaane Me Nahin Tha Ke Maheene Bhar Padhen, Toh Ye Naya Maamla hai, Lekin Ye Naya Maamla
Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam ko Pasand Hone Ki Wajah Se Accha Hai,

Toh Ye Wo Bidat Nahin Hai Jo Buri Hai, Ye Bidat Hai Ye wo Amal Hai Jo Nabi Sallaho Alaihi Wasallam Se Saabit Hai Lekin Iska Amal Ruk Gaya Hai, Aur Is Tarah se Soorat Us Zamaane Me
Nahin Thi ke Poora Maheena Padha Jaaye

Is Tarah Hz Umar (Ra) Ne Kaha Ye Kaise Acchi Bidat Cheez Hai Jo Nahi Hai jo Pahle Nahin Thi,

DekhiYe Jamaat Thi ke Nahin Thi ??, Thi,

Allah Ne Nabi Sallalaho alaihi Wasallam Ne Jamaat Banaayi, Ek Imam Baaqi Muqtadi,

Hz Umar (Ra) Ne Yahi Kiya Ke Ek Jamaat Ki, Aur ye Accha Hai Aur Ye Saabit Hai Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Se,

Poora Ramzaan Taraweeh Padhna Kya Nabi Sallalaho Alaihi wasallam Se Saabit Nahin Hai,

Aapne Kaha

"Jo Poora Ramzaan Imam Ehtesaat Ke Saath Qayaam Kare"

poora Ramzaan Qayam Karna Bhi Acchi Cheez Hai,

Jamaat Ke Saath Qayaam Karna bhi Acchi Cheez Hai,

Lekin Ab ye Dono Milke Nabi Ke Zamaane Me Poora Maheena Nahin Tha,

Iska Wajah Kya Thi, Poora Maheena Nahin karna Chahiye thi,

Ya poora Maheena Karenge Toh Musalmaano Par Mashakkat Hogi ?

Chaah Kar Bhi Nahin Kiya Nabi Sallalaho Alaihi Wasallm Ne,

Ye Wajah Thi Iski,

Toh Hz Umar (Ra) Ne Kaha Ab Toh Wahi Band Ho Gayi, Chalo Poora Maheena shuru Kar Dete hain, Kyonki Ye Amal Nabi Ko Pasand Tha Lekin Saabit ni Hai.

Toh Wo Amal Jo Nabi Ko Pasand Ho Lekin Uski Shakal Nabi Ke Zamaane Me Maujood Na ho, Toh Shakal Ke Aitbaar Se Wo Naya Hai Lekin Aqal Ke Aitbaar Se Wo Puraana Hai, Nabi Se Saabit Hai, Nabi Ko Pasand hai, lekin Nabi Ne Kiya Nahin Hai toh Is Aitbaar Se Isko Umar (Ra) Ne Bidat E Hasana Kaha Hai......

By:- Sheikh Abu Zaid Zameer Hafizahullah