Tuesday, May 31, 2011

22 RAJAB KE KUNDON KI HAQIQAT

Assalam-u-alaikum



Aaj Main Aap Logon ke Saamney Aik Aesi Azeem Hasti Ka Zikr-e-kher Karney Laga Hoon, Jisey Huzoor (SAW) ke "kaatib-e-wahi" aur "HamZulf" honey ka Sharf Bhi Haasil Hai, Jee Han ....

Yeh Hein ...


Amir-ul-momineen Hazrat Ameer Muaawiya ( Razi Allah Ta'ala Anho )


22 Rajab ko Koondey karney ki Jo Rasm ki Jaati Hai, wo DarHaqeeqat Hazrat Muawiya (RA) ki Wafaat Ki Khushi may Manayee Jaati Hai,

Yeh Shiya ki Aap (RA) sey Bughz aur Anaad ki Wazeh Misaal hai, Jisey Hamarey saadah Loh Musalman Samajhney Sey Qaasir Hein!


22 rajab darasal Hazrat Muawiya (RA) ka Yom-e- Wafaat Hai.                                Hazrat Muawiya (RA) ki Seerat to aap Hazraat Mukhtalif Books May Parhtey rehtey hein, magar main Jo Baatein Yahaan Likhoon Ga wo Aam Books may Aap ko Nahi Milein Gi, pehley Hazrat Muawiya (RA) ka Mukhtasar ta\'aruf Mulaahiza Kijiye !          


Hayaat-e-Muawiya(RA) Aik Nazar May!


Wilaadat : (605)

Besat-e-Nabwi Sey 5 Saal Qabal


Huliya Mubarak : Aap (RA) ki Soorat may aik khaas Kashish aur Jaazbiyat thi, Rang may surkhi aur sufedi ka emtizaaj, Lamba Qadd, Kitaabi Chehra, Moti Aankhein, Wazza Qatta aur chaal dhaal may aik khaas qisam ka roab thaa


Elmi Kamalaat : Elm-e-insaab aur Hisaab may mahaarat, Funn-e-kitaabat May khaas Mahaarat, aur Khitaabat may Kamaal.


Fanni o Askari Kamalaat : Shah Sawaari, Teer Andazi, Shamsheer zani may Bartari, aur Askari Qayaadat Jesi Khusoosiyaat ke Haamil They.


Qabal az Islam : Musalmano ke Khilaaf kisi Marka(Jang), Eza Rasaani, aur Badgoyee may Bilkul Hissa nahi Liya.


Qubool-e-Islam : sun 7 hijri may, Umra-tul-quza ke Moqa per (isi sal Hazrat Abu Hurera (RA) ney Islam Qubool Kiya).


Ghazwaat-e-Nabwi may Shirkat : Ghazwa-e-Hunein, Ghazwa-e-Tabook, Ghazwa-e-Taif May Rasool (SAW) ke Hamraah They!Hujjat-ul-widaa key Moqa per Huzoor (SAW) Ka Hulq Farmaya, aur Ba'az Doosrey Mawaqe per Huzoor(SAW) ke Naakhun Taraashey aur Taraasha Apney Paas Mehfooz Kar Liya, jis k baarey may Baad May Wasiyat bhi farmaayee!


Emtiyazaat aur Manaasib : Dor-e-risaalat may "kitaabat-e-wahi", Baahir sey Aaney waley Khatoot (Laters) ke Jawabaat Likhna.


Dor-e-Siddeeqi : Sun 12 Hijri may Jang-e-yammama may Shirkat, Muselma Kazzaab Ka Qatal, aur Fatah-e-Shaam May Kumak Foj ke salaar.


Dor-e-Farooqi : Mulk Shaam ki Gawarnari, Faraaiz-e-kitaabat (wasiqa nawisi) bashamool kitaabat Muaahda-e- Bait-ul-Muqaddas.


Dor-e-Usmani : Mulk Shaam ke elaaqa ki Walaayat, Musalmano ke pehley Behri Berrey ki Tayyaari, aur Roomiyo sey taweel Jang, fatah-e-Qabras Waghera .... ,
Musalmano ki Pehli behri Jangi Fatah !


Dor-e-Alwi aur Hasni :

Walaayat-e-shaam


Aap Ka Dor-e-Khilaafat : Sun 41 Hijri se 60 Hijri (wafaat tak).


Aapke dor-e-Khilaafat ki Mashhoor Jangein aur Fatoohaat :

1) Zranj, 2) Kabul, 3) Ahwaaz, 4) Zabalastaan, 5) Rakhj, 6) Kharasaan, 7) Turkistan, 8) Sajistan, 9) Samar qand, 10) Bukhara, 11) Jurjaan, 12) Tabristan, 13) Bilaad-e-Room Ki Jangein, 14) Ghazwa-e-Qustuntuniya, 15) Rodas, 16) Bilaad-e-Afriqa ki Jangein, 17) aur Doosri Fatoohaat, Waghera!


Awwaliyaat ( wo Cheezein jin ki ibtada aap se Huyee) : Behri Berey ki ibtada, aur Behri Jihad Ka Aaghaaz, Muraaslaat per Muhr (stemp) Laganey Ka Tareeqa, Aasaar-e-Mutabarriqa ki Tehqeeq, Makka Mukarma ki Haweliyo ke Darwaazey lagana, Sheer Khawaari ke Baad Bachon ke Wazeefa ki az sir-e-no ibtada  waghera...!


Riwayat-e-Hadees : Aap (RA) sey Riwayat shuda Rasool (SAW) ki Ahadees ki Ta'adaad 163 hai.


Asaatza-e-Karaam : Huzoor (SAW) ke Elaawa sahaba-e-karam may sey Hazrat Abu Bakkar (RA), Hazrat Umar (RA), Hazrat Usman (RA) ... Waghera!


Aapke Shaagird:

Sahaba MeSe "Hz Abd-ul-Laah bin Abbas"(RA) , " Hz Abd-ul-Lah bin Umar"(RA) , "Hz Abd-ul-Lah bin Zubair"(RA), "Abu Saeed Khudri"(RA) , "Abu Darda"(RA) , "Abu Umama"(RA) , "Saib bin yazeed"(RA) , "Jareer bin Abdullaah"(RA) , "Noman bin Basheer"(RA) , Marwaan bin Hakam"(RA)..waghera!

aur Tabaeen may sey

Chand ke Naam: ... "Saeed bin Museib", "Abdullah bin Haris" , "Qais bin abi Haazim" aur  bohot sey Doosrey bhi !


Wafaat : 22 Rajab sun 60 Hijri


Wasiyyat:

1 : Roomiyo (Ahl-e-europe) ko Khoob Daba Kar Rakhna, in ke Zariye sey baaqi sab qomo per Ghalba aur Control Haasil kar Sako gey!

2 : Huzoor(SAW) ney mujhey aik Qameez pehnayee thi, Jo main ney Mehfooz Rakh Li Thi,Merey Marney Ke Baad Mujhey Wohi Pehna Dena, aur Huzoor(SAW) ke Tarasheeda Kuch Naakhun Mubaarik Main nay Sanbhaal ke Rakhey Hein, in ka Baraada Bana kar Mere Muh or Aankhon May Daal Dena, or Mujhey Allah Ke hawaley Kar Dena!

Azwaaj : Mesoon bint Behdal, Faakhta bint Qarza, Qureba-tul- sughra, Katwa bint Qarza


Aolaad : Betey: 1) Abdur Rehman, 2) Yazeed, 3) Abullah....... Betiyaan: 1) Amat rab-ul-mashariq, 2) Ramla, 3) Hind.

This article is taken from http://www.urdulife.com

Saturday, May 28, 2011

NAZAR UTARNE KA NABAWI TAREEQA (HADITH KI ROSHNI ME)

Bismillahirrahmanirraheem


NAZAR UTAARNE KA NABAWI TAREEQA:


Hz abu umama ra ne apne waalid hz sahal bin haneef ra se unka ek waqeya riwayat ki hai ki janab rasoollullah(sws) aur sahaba kiram ra makka mukarrama ki taraf rawaana hue, jab wah mukaam juhfa ki waadi khazzar me pahunche to hz sahal bin haneef ra ghusl karne lage, unka rang(color) gora tha aur jild bahut khusk rang thi, kabeela banu adi bin kaab ke ek sahab hz aamir bin rabia (ra) ne unhe ghusl karte hue dekha to kaha:-" aisi jild to maine kabhi kisi pardanaseen larki ki bhi nahi dekhi (yani kitna khoobsurat rang hai), is par hz sahal ra to wahin zameen par gir pade, kisi ne aakar rasoollullah(sws) se arz kiya:-"aiy rasoollullah ! Kya aap sahal ko dekhenge, allah ki kasam! Wah to sar bhi nahi uthate, unhe koi aaraam nahi ho raha (shakht bukhar hai), nabi (sws) ne farmaya:-" kya tum uske baare me kisi ko doshi(gunahgaar) samjhte ho??" sahaba ne kaha:-" aamir bin rabiaa ne unhe kapde utaarte dekha tha, janab rasoollullah(sws) ne aamir ra to talab farmaya, aur unhe sarzanish farmayi, irshaad farmaya:-" ek aadmi apne bhai ko kyon qatal karta hai? Agar tujhe ek cheez acchi lagi thi to toone barqat ki dua kyon na di?" phir farmaya:-"uske liye apne ang(parts of body) dho (wash)", unhone ek bartan me chehra, haanth kuhniya, ghutne, pair(foot), aur tahband ke andar wala hissa dhokar (wah paani) de diya, wah paani(water) hz sahal ra par daala gaya, uska tareeqa yah hota hai ki jisko nazar lagi ho, koi insan paani uske peeche ki taraf se uske sar(head) aur kamar(waist) par daal de, phir bartan bhi uske peeche hi ulta karke rakh de, baherhaal hz saad ra ke saath aisa hi kiya gaya to wah theek thaak hokar logon ke saath rawaana ho gaye


( Musnad ahmad 2/486,)

(Moatta imam malik, kitabul ain ,baab wuzu, minal ain, 2/938)


MAA, BAAP KE SAATH SULOOK


Hz abdullah bin amr (ra) se riwayat hai ki ek aadmi ne nabi(sws) ki khidmat me haazir hokar arz kiya :" main hijrat ki bait karne ke liye aapki khidmat me haazir hun, aur apne maa, baap ko rote hue chhod kar aa gaya hun" nabi (sws) ne farmaya :-" waapas jaao, aur jis tarah unhe rulaaya hai, usi tarah unhe hasaao"


(SUNAN NISAI, KITABUL BAIT, BAAB BAIT AL HIJRA, H 4174)

NAMAZ ME SAFEN SEEDHI KARNE KA HUQM






Bismillahirrahmanirraheem


SAFEN SEEDHI KARNE KA HUQM:


Hz noman bin basheer ra riwayat karte hai ki nabi (sws) ne farmaya-" tum zaroor apni safen seedhi karo, warna allah taala tumhare darmiyan ikhtelaaf daal dega"

(bukhari, kitabul azan baab, h 717)


Hz noman bin basheer ra ne irshaad farmaya: rasoollullah(sws) hamari safen itne ehtimaam se seedhi karte they mano unke saath teer (arrow) seedhe kiye jaayenge (yani safen teer se bhi zyada seedhi hoti thin) yahan tak ki aap (sws) ne mahsoos farmaya ki hamne yah masla samjh liya hai (tab baar baar kahna chhod diya), iske baad nabi(sws) namaz me tashreef laaye, aap(sws) taqbeer kahne hi lage they ki aap ki nazar ek aadmi par padhi jiska seena saf se aage nikla huwa tha, tab aapne farmaya: "allah ke bandon! Tum zaroor saf seedhi kar liya karo, warna allah taala tumhare chehron ke beech ikhtelaaf daal dega"


( Muslim, kitabussalat baab ikamaha, h 436)





Hz anas ra se riwayat hai ki allah ke nabi(sws) ne irshad farmaya:" apni safon ko sheesha pilaayi hui (deewar ki tarah) karo (aapas me faasla chhodkar na khade huwa karo) aur safen kareeb kareeb banaao, aur gardane (neck) barabar rakho (aage peeche na khade ho), kasam hai us zaat ki jiske haanth me muhammad(sws) ki jaan hai, main dekhta hun saf ke shigaafon me(daraaron me) shaitaan is tarah ghuste hain jaise siyaah memne (goats)


( sahih sunan nisai, kitabul imama baab, 785)

ISLAM KAHTA HAI

Bismillahirrahmanir raheem



1- Neki aur parhezgaari me ek dusre ki madad karo

(al maida 2)


2- jo allah se darega allah uski buraiyon ko door kar dega

(surah talaq)


3- jis maut se tum bhaagte ho wah tumhe aakar rahegi

(surah zuma)


4- tum apne rab ki kaun si nematon ko jhutlaoge

(surah rahman)


5- aiy iman walo! Tum allah ke saamne sacchi tauba karo

(surah tauba)


6- allah ke elawa koi aasman aur zameen me gaib ka ilm nahi rakhta

(surah nahal)


7- jhuthe aur nashukre logon ko allah raah nahi dikhata

(zumar 3)


8- do dhoka de wah ham mese nahi

(muslim, muwatta, abu dawood)


9- chugalchori karnewala jannat me nahi jayega

(bukhari, muslim)


10- apne waade poore karo

(maida 1)

11- jab tak tum kitab wa sunnat par amal karoge kabhi gumraah nahi hoge

(bukhari,muslim)


12- jo insaan dusre ko maaf karta hai allah uski izzat badhaata hai

(tirmizi)




13- nahak kisi ka qatl karna kabeera gunaah hai.

(bukhari)


14- jo raham nahi karta us par raham nahi kiya jaata.

(bukhari,muslim)


15- jo meri pairwi karega wah jannat me jayega.

(bukhari)


16- neki ki raah batane wala neki karne wale ke barabar hai

(tirmizi)


17- allah sabr karne walon ka saath deta hai

(surah baqarah)


18- jo shaks neak kaam karega use iska 10 guna sawaab milega

(al anaam 16)


19- allah ki rassi(rope) ko sab mil kar mazbooti se thaam lo


(al imran 163)


20- Maa, baap ko uff tak na kaho, na unhe jhidak kar jawab do.

(bani israel 22)


21- maangne wale ko na jhidko aur apne rab ki nemat ka izhar karo

(surah dhuha 11)

Friday, May 27, 2011

SHADI KA MAQSAD

Bismillahirrahmanirraheem


abdullah bin masud bayan karte hain ki ham kuch kunware(unmarried) naujawan muhammad (sws) ke paas baithe they, aapne hamse farmaya aiy naujawano ki jamaat tum me se jo shadi ki taaqat rakhta ho wah shadi kare kyonki shadi nigaah ko neechi rakhti hai aur sharmgaah(private parts) ki hifazat karti hai aur jisme shadi karne ki taqat na ho wah roze rakhe kyonki roza rakhna uske liye(gunah) se door rahne ka zariya hai.


(sahih muslim)

CORRUPTION KA ILAAJ

Bismillahirrahmanirraheem



aaj poori duniya me corruption kisi na kisi soorat me maujood hai, haan yah zaroor kaha ja sakta hai ki kahin zyada hai aur kahin kam hai lekin kahin kahin par itna zyada hai ki corrouption ka naam sun sun kar insaanon ke kaan pak chuke hain aur ab isi corruption ke khilaaf bade zor shor se awaaz uth rahi hai, corruption karne walon ko saza dilane ki demand uth rahi hai, aur maujooda samaaj me logon ko andaza hone laga hai ki ab corruption ka end ho jaayega, lekin is shor sharabe ke beech kuch log yah bhi kah rahe hain ki sirf kanoon se corruption par kaabu nahi paya ja sakta hai kyonki sirf dunyawi kanoon musibat ka hal nahi hai,


Islam aaj se 1400 saal pahle corruption ko khatam karne ka tareeqa pesh kar chuka hai, corruption ke khilaaf aawaz uthane se pahle hamen yah bhi dekhna chahiye ki kaun se cheez aaj insaan ko corrupt bana rahi hai,


corrupt hone ki sab se badi Wajah yah hai ki aaj ke insaan se marne ke baad saza ka darr dil se nikal chuka hai aur duniya se itna lagaao ho gaya hai ki wah insani huqooqon ko bhool kar aankh bandh karke maal haasil karne me lag gaya hai, wah yah nahi dekh raha hai ki ham jo maal haasil kar rahe hai wah jayez hai ya najayez isi lalach ka nateeja hai ki aaj maaldaar aur zyada maaldaar banta jaa raha hai aur ghareeb aur zyada ghareeb banda ja raha hai, sab ko sirf jama(deposit) karne ki fikr hai, zarooratmandon par kharach karne ki fikr nahi hai, yahi cheez use corruption ki taraf le ja rahi hai,


islam ne insaan ko corrupt banne se rokne ke liye laalach karne se roka hai, aakhirat me saza ki warning di hai, zaroorat is baat ki hai ki ham sabke andar qayamat ke din ki saza se logon ko daraayen aur yah batayen ki agar dusron ke maal ko najayez tareeqe se khaya gaya to qayamat ke din me allah se saamne jawab dena padega,


Aur sabko apne ghalat kamon ki saza bhugatni padegi is liye kanoon ke saath saath insan ke andar apne allah se darr paida karke hi corruption aur samaaj ki dusri buraiyon par control paya ja sakta hai,



Dusre khaleefa hazrat umar ra jin ki khilaafat period ki tareef khud mahatma gandhi ne ki hai ,

hz umar aakhirat ki pakad se bahut darte they, unhe hamesha apni janta ke dukh sukh ka khayal rahta tha, wah zyadatar yah farmate they -" jahannum ko zyada se zyada yaad karo, uski garmi sakht hai, wah bahut gahri hai",

ek din ek dehati(villager) aap ke paas aaya aur khade hokar yah padne laga-" bhalayi ka khyaal rakhne wale umar! Tum badle me jannat diye jaoge, meri bacchion(daughters) aur unki maa ke liye saamaan ka intezam karaao, main kasam kha raha hun, aap yah zaroor karen,

Aapne kaha:-" aiy dehati, agar main ise poora na kar saka to kya hoga?
Us dehati ne kaha main kasam ka kar kahta hun ki tab to Main chala jaunga,

hz umar ra ne kaha:- aiy dehati agar tum chale jaaoge to kaya hoga, dehati ne kaha allah ki kasam tum se meri haalat ke baare me poochtaach hogi phir wahan aur bhi sawalaat honge, jimmedar khada hokar in sawalon ke jawab dega phir thikaana ya to jannat ya jahannum,

yah sunkar hz umar itna roye ki aapki darhi bheeg gayi, phir apne ghulam se kaha, aiy sewak qayamat ke hisaab kitaab se bachne ke liye use meri kamees de do, allah ki kasam iske elawa mere paas koi dusri kamees nahi hai,

is tarah hz umar us dehati ki poetry padhne par khoob roye kyonki usne apni poetry me kayamat ke din ke hisaab kitaab ka hawala diya tha jab ki hz umar ko yah nahi malum tha ki unhone kisi ke uper zulm kiya hai,


is waqeye se andaza lagaya ja sakta hai ki us waqt ke log allah se kitna darte they, hz umar jab bhi kisi ki zubaan se qayamat ke din ke baare me sunte they to rone lagte they,



Allah se dar hi har insan ko corruption aur dusri tarah ki buraayi se bacha sakta hai isliye is liye is baare me logon ko samajh paida karni chahiye, samaaj ki buraaiyon par kaabu paane ka yah sabse accha tareeqa hai aur islam ke pairokaaron ne ise karke dikhaya bhi hai.......

Saturday, May 21, 2011

ADAM (A.S) KI TAUBA QURAN KI ROSHNI ME







Aadam(a.s) Ki Tauba


Kuch log ek "Mauzoo" riwayat ka sahara letehue kahte hain ke “Hz Adam (a.s)” ne Arsh-e-Elahi par (lailaha-illalahu-mohammadur-rasool-ullah) likha dekha aur mohammadur rasool (s.a.w) ke wasile se dua mangi to ALLAH ne inhe maaf kardiya,

ye rawayet be-sanad hai aur "QURAAN" ke bhi khilaf hai, ALLAH ke batlaye hue tariqe ke khilaf bhi hai, tamaam Ambiya (a.s) ne "Barahe-Raast" ALLAH se dua ki hai, kisi nabi,wali,buzruk ka wasta aur wasila nahi pakda, isliye nabi karim (s.a.w) samet tamaam Ambiya (a.s) ka tariqa yahi raha hai ke begair kisi waste aur wasila ke ALLAH ki bargah me dua ki jai,

Tafseer ke liye dekhe

Al-Waseela Az-Shek-Islaam-Ibne-Taimiyah(r.a) ki Aadam(a.s) Ki Tauba:-Quraan ki Roshni me.

Fatalaqqaaa’Aadamu mir-Rabbihee kalimaatin fataaba ‘alayh;’innahoo Huwat-Tawwaabur-Raheem

Aadam (as) ne apne rab se chand baate sikh li aur ALLAH ne inki tauba qabul farmai, be-shak wahi tauba qabul karne wala aur raham karnewala hai,


(surah-tul-baqrah, Aayat-no---37)

Tafsir:-Hazrat Aadam (a.s) ne jab gum me dube hue dunya me tasrif laye to tauba aur istagfar me masruf ho gaye,is muke par bhi ALLAH ne rahnumai-wa-dastagiri farmai aur qalmate mafi sikha diya jo " Surah-Tul-Aaraf, Aayat-no---23" me bayan kiye gaye hain.


Qaalaa Rabbanaazalamnaa’anfusanaa wa’il-lam taghfir lanaa wa tarhamnaa lanakoonanna minal-khaasireen.


Tarjuma:--- Dono ne kaha aye hamare rab, humne apna bada nuksan kiya tu hamari magfirat na karega aur hum pe raham na karega, to waqai hum nuksan pane walon me se ho jayege.

(Surah-tul-aaraf , aayat-no---23)


Tafsir:--- Tauba-wa-istagfar ke ye wahi qalmat hain jo Aadam (a.s) ne"ALLAH-TABARAK-WA-TALA" se sikhe jaisa k "Surah-Tul-Baqrah , Aayat-no---37" me sarahat hai.


Iski Tafseer ke Liye Dekhe

( Tafsir-ibn-Kathir, Surah-Al-Baqarah, Aayat-no,37 , Page-no--- 184 ).

Aur

( Tafsir-ibn-Kathir, Surah-Al-Aaraf, Aayat-no,23 , Page-no--- 599,600 )

Friday, May 20, 2011

MURDON KA WASEELA JAYEZ YA NAJAYEZ

Bismillahirrahmanirraheem


Quraan-Majid me Allah-Taala ne musalmano ko nijad ke liye “Qurb(yani wasila)” pakadne ka hukum diya.


Yaaa’ayyuhal-lazeena’aamanut-taqul-laaha wabtagooo’ilayhil-waseelata wa jaahidoo fee sabeelihee la ‘allakum tuflihoon.

Tarjuma:- Aye logon jo Emaan laye ho! Allah se daro aur uski taraf “Qurb(yani wasila)” talaash karo aur uski raah me “Jihaad” karo umeed hai tum kamyaab ho jaoge.

(maidah,35)


Is Aayat-E-Karima me Allah-Taala ne nijaat ke liye “3” baton ka hukum diya hai.

(1)Taqwa Ikhtiyaar karna

(2)Qurb(yani wasila) talaash karna

(3)Allah ki raah me jihad karna.

Taqwa aur Jihaad me koi ikhtilaaf nahi hain balke “ Qurb(wasila)” ke bare me logon ne ikhtilaaf kiya hain, Kuch log kahte hain yahan “Qurb(wasila)” se muraad “Aambiya, Auliya, Sulhah, Shohada aur murde Buzrugan-e-deen ect. Ka “Qurb(wasila)” hai, Main aplog ko batana chahunga ke Quraan- Majid ki Aayat-E-Mubarak me jis “Qurb(yani wasila)” ko talaash karne ka hokum diya gaya hai, Isse muraad


“ Qurb(wasila)” ke bare me logon ne ikhtilaaf kiya hain, Kuch log kahte hain yahan “Qurb(wasila)” se muraad “Aambiya, Auliya, Sulhah, Shohada aur murde Buzrugan-e-deen ect. Ka “Qurb(wasila)” hai, Main aplog ko batana chahunga ke Quraan- Majid ki Aayat-E-Mubarak me jis “Qurb(yani wasila)” ko talaash karne ka hokum diya gaya hai, Isse muraad “Gair-Hazir ya Inteqaal(death) kiye hue “Ambiya, Auliya, Shohada ect. To hargiz nahi hai.

Ab hum “Quraan aur Hadees” ki roshni me ye batana chhate hain ke “Qurb(yani wasila)” se muraad(matlab) kiya hai.

Irshad-e-bari-taala hai:-

Wallazeena’aamano wa ‘amilus-saalihaati’ulaaa’ika’Ashaabun-Na ari hum feehaa khaalidoon

Tarjuma:- Aur jo log Emaan laye aur neek kaam kare wo Jannati hain jo Jannat me hamesha rahenge.

(Surah-Tul-Baqrah, Aayat-no---82)

(2)’Innal-lazeena ‘aamanoo wa’amilus-saalihaati wa’akhbatoo’ilaa Rabbihim’ulaaa’ika’Ashaabul- jannati hum’feehaa khaalidoon.



Tarjuma:- Yaqinan jo log Emaan laye aur unhone kaam bhi neek kiye aur apne palne wale ki taraf jhokte rahe wahi Jannat me jane wale hain, jahan wo hamesha hi rahne wale hain.

(Hood, Aayat-no---23 * )

(3)’Innal-lazeena ‘aamanoo wa’amilus-saalihaati kaanat lahum jannaatul-Firdawsi nuzulaa.

Tarjuma:- Jo log Emaan laye aur unhone kaam bhi Achhe kiye yaqinan inke liye jannat-al-firdaus ke bagaat ki mahmaani hai.

(Surah-Tul-Kahaf,107)

(4)Fallazeena’aamanoo wa ‘amilus-saalihaati lahum maghfiratun wa rizqun kareem.

Tarjuma:- Pas jo log Emaan laye hain aur jinhon ne neek aamal kiye hain inhi ke liye Bakhshish hai aur izzat wali rozi.

(Surah-Tul-Hajj,50)

(5) ’Innal-lazeena ‘aamanoo wa’amilus-saalihaati lahum jannaatun-Na’eem.

Tarjuma:- Beshak jin logon ne Emaan qabul kiya aur kaam bhi neek (yani Sunnat ke mutabiq) kiye inke liye niyamat wali Jannaten hai

(Surah-Tul-Luqmaan, Aayat-no 08)


Quraan-Majid ki aisi bahut sari Aayat hainjin me Dakhul-Jannat ke liye sirf do hi chiz ka zikar hame milta hai.

(1) Emaan

(2) Aamal-Salah

Jis se maloom hota hai ke yahi wo “Qurb(yani wasila)” hai jisse Allah-Taala ne talaash karne ka hukum diya, Aaye ab hum Hadees ki roshnime dekhte hain “Qurb(yani wasila)” ke bare me,


(1) Hazrat-Abi-Ayub-Ansari(r.t.a) se riwayat hai ke “Rasool-Allah{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” safar mejarahe the, itne me ek Dihati-Aadmi aayaaur aage aakar “aap{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ki ount(camel) ki rassi(rope) ya nakil pakad kar kaha: ya “Rasool-Allah{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” mujhe wo baat bataye jo mujhe Jannat ke qarib aur Jahannam se door kar de,” “Aap{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ne irshad farmaya: Allahki Ibadat kar aur kisi ko iska shareek na bana, Namaaz qayamkar, Zakaat de aur Rishtadari ko mila( yani Aazizon, Rishtadaron ke sath husan-e-suluq kar agar wo burai kare ya mulaqaat turk kare to tu neeki kar aur inse milta rah.

(Sahih-Muslim, Hadees-no-103/Sahih-Bukhari,Hadees no1396, 5983/Nisai, Hadees-no---367 )


(2) Hazrat-Abu-Hurera(r.t.a) se riwayat hai ke ek Dihati-Aadmi “Aap{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ke pass aakar kahne laga ya “Rasool-Allah{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}”mujhko bataye koi aisa kaam jisse karne se main Jannat me chala jao?“Aap{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ne farmaya:- wo kaam yehai Ibadat kar tu Allah ki aur uske sath kisi ko Shareek na kare aur qaayam kar tu Namaaz ko aur de Zakaat jo farz hai aur Ramzaan ke Roza rakhe-“ wo shaks bola qasam uski jiske hanth me meri jaan hai, main is se ziyada karonga na is se kam, tab wo pith pher kar chala gaya-“Aap{sall’Allaahuta’aalaa alaihi wa’sallam}” ne farmaya:- jis se pasand ho ke Jannati ko dekhe to isko dekhle.

( *Sahih-Bukhari, Hadees-no---1397*/*Sahih-Muslim, Hadees-no---107)


this article is compiled by md shahid from "DESTROY THE BATIL NIZAAM" community in ORKUT

MURDON KA WASEELA JAYEZ YA NAJAYEZ

Continues


“Quraan aur Hadees” ki dalil se ye baat sabit ho rahi hai ke Quraan-Majid jo Qurb(yani wasila) talaash karne ka hukum deta hai wo“Emaan aur Neek” aamal ka wasila hai, jo qayamat ke roz “Rasool-Ikraam{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” si sifaat aur bila-aakhir nijat ka zarya banega.


Allah-Taala ne apne momin bando ko ye hukum diya ke wo iske taqwa ko ikhtiyaar kare, Taqwa ko jab Etaat-E-Elaahi ke sath mila liya jaye to phir iska matlab ye hota hai ke in tamaam kamo ko nahi kiya jaye jinse Allah-Taala ne manaa kiya aur jinhe isne haraam qarar diya hai aur uske baad farmaya:-

(wabtagooo’ilayhil-waseelata

aur iske “Qurb(yani wasila)” talaash karte raho-

Surah-Tul-Mayedah ki Aayat-no—35 ki puri tafsir ke liye dekhe

(Tafseer-ibne-kaseer)


Wasila ka Matlab(meaning) kya hota hai.?


Imaam-Sufyaan-Sori(r.a) farmate hain ke mujhe mere walid(father) ne, unhone Talhah(r.a) se, unhone Ataa(r.a) se rawayat biyaan ki hai ke Wasila ke matlab “Qurbat” hai.

(Tabsir-Tibriyai: 308/6)


Mojahid, Abu-Wail, Hazrat-Hussan, Abdullah-Bin-Kaseer, Imam-Siddi, Ibne-Zayed aur kai “Aaimah-e-Tafseer” ka bhi yahi qauool hai ke wasila ke matlab hi “Qurbat” hain, yani Allah-Taala ki Etaat aur iski pasandidah aamalon ke zarya se “Qurb(yani wasila)” hansil karna.

(Tafsir-Tibriyai: 308,309/6)

Hafiz-Ibne-Kaseer(r.a) farmate hain:- In “Aaimah-e-Tafseer” ne jo kuch kaha hai iske bare me Mofasareen ke darmiyaan koi ikhtilaaf nahi hai, “Qurb(yani wasila)” aise hi chiz ko kahte hain jiske zarya se Maqsood tak pahun sake,

(Tahseel-e-Maqsood, Tafseer-Surah-Tul-Mayedah, Jilad-no---03, Safa-no---97* )


Imaam-Qataadah farmate hain “Qurb(yani wasila)” ke maane(yani meaning) ye hain ke Allah-Taala ki Etaat baja kar aur Allah-Taala ke khushnodi ke aamal ko sar-anjaam de kar iska “Qurb (yani wasila)” hansil karo.


(Tafseer-Tibriyai: 309/6)

Ibne-Zayed ne iski tayed me is Aayat-e-karima ko padha:

Tarjoma:-Ye log jinko Allah ke siwa pukarte hain, wo khud apne Parwardigar ke yahan zarya(Qurb) talaash karte rahte hain….

(Surah-tul-baniisrail, aayat-no---57)

( *Tafseer-Tibriyai: 309/6*)


Zahir baat hai ke Allah ka “Qurb” hansil karne ka wahid zarya “Amaal-e-Saalah” hai, isliye “Amaal-e-Saalah” hi Allah tak pahunchne ka wasila hain, naa ke wo jise “Qabar-Parast” biyaan karte hain ke Faut-Shodah(yani death kiye hue) logon ke naam ki “NAZRO-NYAAZ” do inke Qabar par gilaaf(yani chadar) chadao aur mela-thela jamao aurinse Dua karo….kyon ke ye “Qurb(yani wasila)” nahi inki ibaadat hai jo Shirk hai,


Allah-Taala har musalman ko isse mahfooz rakhe….Aamin ya Rabul-Aalamin.

WASEELE KA MATLAB AUR DUA-E-WASEELA

Bismillahirrahmanirraheem


Wasila ke matlab aisi chiz ke hain jo kisi maqsood ke hansil karne ya iska “Qurb” ka zarya ho-

“ Allah-Taala ki taraf Wasila talaash karo”

ka matlab hoga aise Aamal ikhtiyaar karo jis se tumhe Allah ki raza aur iski “Qurb” hansil ho jaye,

Imaam-Shokani(r.a) farmate hain-Wasila jo Qurbat ka maane(yani meaning) hai, Taqwa aur hansil kiye hue Aamal khair par sadiq aata hai,jin ke zarye se bande apne Rab ka “Qurb(yani wasila)” hansil karta hai,

issi tarah jin chizon se roka gaya ho in kaamo se bachne se bhi Allah ka “Qurab” hansil hota hai,isliye jin chizon se roka gaya ho isse na karna bhi “Qurb-e-Elaahi” ka wasila hai,

lekin Jahilon ne is haqiqi Wasile ko chod kar Qabar me madfun(yani dafan kiye hue) logon ko apna “Wasila” samjh liya hai, jis ki sharyat me koi bunyaad nahi hai, Balke “Hadees” me is “Moqaam-e-mahmood” ko bhi wasila kaha gaya hai jo akhirat me “Nabi{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ko aata farmaya jayega, issi liye “Aap{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ne farmaya:- jo Aazan ke baad mere liye ye “Dua-e-wasila” karega wo meri shifaat ka mustahiq hoga, “Dua-e-wasila” jo Aazan ke baad padhna masnun hai.

(Ahsanul-Biyaan, Page-no—302)


Sahih-Muslim me Hazrat-Abdullah-Bin-Ummar-Bin-Aas(r.t.a) ki riyawat hai ke unhone

“Nabi-Karim{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ko ye irshad farmate hue suna ke:- Jab tum “Muzzin” ko Aazan dete sono to issi tarah se kaho jis tarah wo kahta hai, phir mujh par darood bhejo jisne mujh par ek bar darood padha Allah-Taala is par “10” bar rahmat nazil farmaye ga, phir mere liye” Wasile” ki dua karo, “Wasila” Jannat ka wa Aazim-o-shaan muqaam hai,jo “Bandagan-e-Elaahi” me se sirf ek hi ko nasib hoga aur mujhe umeed haike wo banda main hunga, lihaza jisne mere liye “Wasile” ki dua ki to iske liye meri Sifaat wajib ho jayegi.

(Sahih-Muslim, Hadees-no---384)


Wasila jannat ke sabse Buland-wa-Bala aur Arfaa-wa-Aala darje ka naam bhi hai, aur jo “Rasool-Allah{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ka darjah aur “Aap{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ka jannat me ghar hoga aur jannat ka ye muqaam Allah-Taala ke Aarsh ke sabse qareeb hoga…Sahih-Bukhari me Hazrat-Jabir-Bin-Abdullah(r.t.a) ki riwayat hai ke “Rasool-Allah{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ne farmaya:- jo shaks Aazan soon kar ye dua padhe……..Tarjuma:- [ Aye Allah!Jo tu is puri puri Dawat-e-Tauheed aurqaayam hone wali Namaaz ka maalik hai, “Hazrat-Mohammad{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ko Wasila aur Fazilat aata farma aur Aapkois Qabil-e-Tauheed muqaam(shifaat) tak pahuncha jiska tune inse waada farma rakha hai,] iske liye Qayamat ke din meri Shifaat wajib ho jayegi.( *Sahih-Bukhari, Kitabul-aazan, Hadees-no---614*/*Sanan-Nisai, Kitabul-Aazan, Hadees-no---681*)

Surah-Tul-Mayedah ki Aayat-no 35 ki puri tafsir ke liye dekhe.

( Tafsir-ibn-Kathir, Surah-Al-Mayedah, Aayat-no,35 , Page-no. 333,335)


this post is compiled by MO. SHAHID....

Friday, May 13, 2011

KYA AHLE HADITH IMAM BUKHARI WA MUSLIM KI TAQLEED KARTE HAIN??? (ILZAAM KA JAWAB)

Bismillahirrahmanirraheem


Assalam o alaikum


Aaj muasahre me ye failaaya jaa raha hai ki ahlul hadith imam bukhari aur imam muslim wagerah ki taqleed karte hain unki kitabon ki bina par.... Is silsile me mera farz banta hai ki un muqallidon ko jawab dun..

Tamam muqallid hazrat ye kahte hai ki sahih bukhari me jo hadith hain wah imam bukhari rh ka qayaas hi to hai!

Ji nahi! Ahle sunnat ke har firqe ki us ki sehat par razamandi hai, un hadith ki sehat kisi waham aur ghuman ki mohtaj nahi balki iske liye dalail aur saboot hain, aise saboot ki un ke zariye se aaj bhi har kasauti par parkha ja sakta hai, jo kuch unhone likha sanad ke saath ummat ke saamne rakh diya, ab bhi agar koi chahe to parakh kar dekh le, yahan koi cheez radd(destroy) nahi hui,


is maidan me aur log bhi seena thonk kar utre lekin hadith ki kitabon ki tashrih gawah hai ki unhone thokar khaayi aur har hadith jisko wah sahih Samjhte they, sahih nahi nikli,


is maidan me do hi shahaswar nazar aaye ki jo dawa kiya wah sahi saabit huwa, yani imam bukhari aur imam muslim ,


ummat ne unke dawe ko sahih paaya aur dono kitabon ko "sahihain" ka laqab diya


ulama-e-ahnaf in kitabon ko zaeef kah sakte they, magar hairat ka maqam hai ki tamam ulama e ahnaf ne aam raaye se use sahi maana hai, allama kustlani rh likhte hain-" sahih bukhari ke saamne sab kitabon(exept qur'an) ki peshania sazda karti hain

(irshad al sari)

imam nasaai rh farmate hain-" bukhari wa muslim ki sehat par ummat ki sahmati hai"

(nusratul bari)


ustaz abu ishaq farmate hain- " fanne hadith ke mahireen is par sahmat hain ki bukhari wa muslim ki ahadith poore taur par sahih hain"


imamul haramain likhte hain-" ulama e muhaddiseen ki in dono ki sehat par sahmati hai"

(nusratul bari)


imam abu falaah farmate hain-" tamam fuqaha ne sahih bukhari ki har musnaD hadith ko sahih tasleem kiya hai"

(nusratul bari)


isi tarah hafiz abu nasar sanjari rh ne farmaya hai ki-" ulama wa fuqaha aur dusre logon ki sahih bukhari ki tamam hadithson ki sehat par sahmati hai"

(nasratul bari)

mashoor hanafi alim ooni likhte hain-" mashriq wa maghrib ke tamam ulama ki is par sahmati hai ki qur'an majeed ke baad sahih bukhari se zyada sahih koi kitab nahi"

(umdatul qari)


ahmad ali shaharanpuri likhte hain-" ulama ki sahmati hai ki tamam kitabon me sab se zyada sahi yah do kitabe hain sahih bukhari aur sahih muslim"

(nasratul bari)

Anwar shah shahab deobandi likhte hain-" haafiz ibne salaah rh, hafiz ibne hajar rh, imam ibne taimiya rh, shamshul aimma sarkhasi rh, ke nazdeek sahi bukhari ki tamam hadithsen poori tarah theek hain" iske baad likhte hain-' jo inki raaye hai wahi dar haqeeqat meri raaye hai'

(faizul bari)


shabbir ahmad usmani farmate hain-" bukhari wa muslim ki munfarid riwayatein bhi poori tarah theek hai isliye ummat ne har hadith ko tasleem kiya hai"

(sharah sahi muslim)


shah waliullah muhaddis dehlawi rh farmate hain-" sahih bukhari wa sahi muslim me jitni marfoo muttasil hadeesen hain, muhaddiseen ki sahmati hai ki wah sab poori tarah sahih hain aur yah dono kitaben mutwatir hain, jo insan inko thukraaye(yani na maane) wah bidati hai aur momineen ki raah se us ki raah alag hai aur agar aap haq ki safaai chahen to . Ibn abi shaiba, kitabut tahawi aur musnab khwarijmi, musnab imam abu hanifa rh se sahihain ka muqabla karen to aap unme aur sahihain me bada bhari farq paayenge"

(hujjatul baligha)


matlab yah ki aisi daleelen beshumar hai, kahan tak likhun, kisi ne bhi sehat ke lihaaz se in kitabon se matbhed nahi kiya yahan tak ki unke ustadon ne un ki sehad par sahmati ki, ab agar koi shak karta hai to siwaaye uske kiya likhun ki

" na rahe baans na baje bansuri"

yani na sahi bukhari hogi na fiqh ki kirkiri ka mauqa milega, agar sahi bukhari ko aap tasleem nahi karte to aisi ko kitab aap pesh farmaiye jis par ummat ki sahmati ho jo sahi bukhari se unche darje ki ho......


Phir sun lijiye, bukhari,aur muslim ki hadeesen isliye sahi nahi ki imam bukhari rh aur imam muslim rh unhe sahih samjhte hain balki isliye sahih hain ki unse pahle aur unke baad ke tamam ulama ne in hadith ko sahi tasleem kiya hai,

allama ibne khaldun likhte hain-" imam bukhari rh ne sahi bukhari ke liye inhi ahadith ko kaabile bharosa samjha, jinki sehat par sahmati thi" phir imam muslim ke baare me bhi unhone yahi baat likhi

(muqaddama tareekh ibne khaldun)


yani imam bukhari rh wa imam muslim rh ne un ahadith ko in kitabon me jama kiya jinki sehat par us waqt tak ke tamam ulama ki sahmati thi aur un ulama me imam abu hanifa rg bhi shamil they(bashart e aap unhe muhaddis taslim karen)


ALLAH HAME SAMJHNE KI TAUFEEQ DE AUR ILM DE...... Ameen

Wednesday, May 11, 2011

AZAAN

Ibne Abbas Radillaho Anho ne Baarish ke din Apne Mooazzin se kaha ke “ Hayyalasal ah “ ke Bajaaye “ ASSALATO FIRREHAAL ya “ ASSALATO FI BOYOTEKUM “ APNE GHERO ME NAMAZ ADA KERO “ kaho aur Fermaya :- Rasulullah sws ne aisa hi kia , Jumah Ager che Fardh hai Magar Mujhe Pasand nahi ke Tum kachra Aur Mitti me Masjid chalo.


{Bukhari:- 668 } {Muslim:- 699 }

NAMAZ E JANAZA

Nama z-e- Janaza And Soorah Fatihaa


Hafrat Aof bin Malik r.a.Fermat e hai Nabi sws ne Namaze janaza me ek duaa perhi jo maine yaad ker li aur, aur maine tamanna ki kaash ke ye mera janaza hota:-

{Muslim- 963}


Talha bin Abdullah bin Auf r.a. kahte hai ke maine Ibne Abbas r.a. ke piche Namaz-e-Ja naza perhi to aap ne Soorah Fatiha aur Fermaya : maine ye is liye kia hai taake tum jaan lo ke ye sunnat hai.

{Bukhari - 1335 }


Talha bin Abdullah Kahte hai ke Maine Ibne Abbas R.A. ke pichhe Namaz namaz-e-ja naza parha unhone soorah Fatiha aur buland Awaaz se Qeraat ki hatta ke hum ne suna , jab farig hue to fermaya ke: ye sunnat aur haq hai.


{ Nesaai- 1987}


JISKO BINA NAMAZ E JANAZA KE DAFAN KAR DIYA JAAYE USKA HUQM:


Agar kisi shakhs ko janaza padhe bina dafan kar diya gaya to uski qabr par namaz e janaza padhni chahiye isliye ki rasoollullah sws ne dafan ke baad ek aurat ka janaza padha tha jo masjid me jhaadu diya karti thi aur aap sws ke ashaab ra ne bhi aap ke peeche janaza padha


(bukhari)


isi tarah namaz e gaaybaana bhi padhna jaayez hai, chaahe bheech me lambi doori ho, isliye ki aap sws ne najjasi (ra) ka janaza padha tha aur wa habsha me the aur aap sws wa sahab kiram ra madeena me they,


note: is hadith me yah nahi hai ki sahaba kiraam ra ne janaza padhe bina us awrat ko dafan kar diya tha, zaahir hai ki unhone janaza padha tha aur rasoollulah sws ko ittela diye bina dafan kar diya tha, aap sws ne uski qabr par janaza padha, to is hadith se ye bhi saabit hota hai ki ek hi mayyit ki do baar namaz e janaza padha ja sakta he

(al-asri)


Janaza ek ho ya zyada qible ki taraf rakha jaaye, imam uske saamne khada ho jaaye aur aam log safon me uske peeche, 3 safen banaye ya zyada isliye ki aap(sws) ka irshad hai:-" jis mayyit par 3 safon ne namaz e janza padhi unhone (uske liye jannat ko) waajib kar liya"


(tirmizi)

Monday, May 9, 2011

ISLAM KYA HAI???

Bismillahirrahmanirraheem


islam word arabic ke S L M alfaz se nikalta hai ,jiska matlab hai ' salamati', aman aur peace, islam allah ki raza paane ka dusra naam hai, is tarah islam ka base hai ' aman aur peace' aur ' allah ki raza pane ka zariya', iska ek matlab hawalagi , supurdagi aur apne apko allah ke supurd kar dena bhi hai, jab koi insan apne aapko allah ke supurd kar deta hai to mano wah salamati aur aman(peace) me aa jaata hai,


agar koi musalman iske khilaf kaam karta hai to uska jimmedar wah khud hai na ki islam

musalman ek dusre se milne par 'assalam o alaikum' kahte hain aur jawab me ' wa laikum as salam' kaha jaata hai, in dono alfaz ka matlab hai ' tum par aman aur salamati ho'


Nabi sallallaho alaihi wasallam aman pasand insan they........ Jiska saboot in waqeyom se milta hai..


1- hudaibiya ki policy ke mauke par dushman quraishiyon ne badi kadi sharten pesh ki, musalman unko qubool Karne ko taiyyar na they, lekin nabi (sws) ne kisi baat ki parwah na karte hue jhade ko khatm karne ke liye samjhauta kar liya..


2- jab nabi(sws) ne apni fauj ke saath ek jeet ke roop me makka me daakhil hue to aapne hukm diya ki jitna ho sake kam se kam khoon kharaaba ho....bilkul aisa hi huwa, aap (sws) ki fauj kisi tarah ke khoon kharaba ke bina makka me daakhil ho gayi, yah wahi shaher tha, jahan aapko shakt takleef ka saamna karna pada aur isliye aap wahan se chale gaye they, phir bhi aap (sws) ko aman ka itna khyal tha ki khud aap(sws) ek haaji ka libaas pahan kar us paak jagah me daakhil hue...


Nabi(sws) ki aman pasandagi ka saboot aap(sws) ke un huqmon se milta hai jo jung ke waqt aap (sws) apni fauj ko diya karte they, jo neeche darj hai


" allah se daro, apni nafsi zarooriyat ka daman karo, allah ka naam lekar jiyo, allah ke farman ke mutabik jiyo, usi se madad maango aur uski fauj bankar Jung karo, kisi ko kisi tarah ka dhoka na do, dushmano ke maal ki chori na karo, budho(aged), baccho aur aurton par haath na uthaao, na unpar jo jung me shaamil na hon, pedon(trees) ko na kaato, ibadat ki jagah ko na giraao, tumhara sardar jis jagah par tumhe laga den wahin par jame raho, jo madad maange(opponent, yani jo bait karna chahe) use madad do, hamla karte hue allah ko yaad rakho, aag na lagaao, khajoor aur dusre faldaar pedon(trees) ko na kaato, fasalon ko nuksaan na pahunchaao, na unhe jalaao, bina zaroorat maweshion(pet animals) ko na maro , na unhe zakhmi karo"


yah tha nabi(sws) ka jungi hukm

isse samjha ja sakta hai ki jab islam jung ke rules itne peaceful hain ,to uske basic rules bhi kitne peaceful honge


allah hamen islam ko sahi mayne me samajhne ki taufeeq de.

Saturday, May 7, 2011

KYA BARELWI HAZRAAT KAAFIR HAIN?? (FIQH HANAEI KI ROSHNI ME)

Bismillahirrahmanirraheem


Sawal: kya barelwi ahle sunnat ahle qibla musalman hain ya gulu ki inteha ,qabr parasti, aur shirk ki wajah se islam ke daayre se waqai bahar ho gaye hai??


Jawab: is bahes ko be zaroorat samjhte hue ki aap ahle sunnat ke misdaak bhi hain ya nahi? Ham filhaal aapke sawaal tak hi jawab ko seemit rakhte hain, haan to suniye mohtaram, aap logon ke jo aqeede hain uski ru se aap kya hain? Iska jawab ham apni taraf se dene ke bajaaye khud aapke fiqh hanafi ki daleelon se dete hain, khuda gawah hai hamen aapko islam ke daayre se bahar nikaalne se bilkul dil chaspi nahi lekin muskil to yah hai ki jis hanafi fiqh par aap iman rakhte hain uske akaabir aap jaisa aqeeda rakhne walon par kufr ka fatawa laga rahe hai, dekh lijiye...

Mulla ali qaari hanafi imam abu hanifa ki kitab fiqh akbar ki sharah me likhte hain-

" hanafi fiqh ne kholkar kaha hai ki jo insan yah aqeeda rakhe ki nabi (sws) ghaib ka ilm rakhte they wah kaafir hai, kyonki yah aqeeda allah ke is farman ke khilaaf hai ki-' allah ke siwa aasman aur zameen me koi bhi ghaib ka ilm nahi rakhta'

(sharah akbar p185)


ab aap khud soch lijiye ki aapne nabi sws ko nahi, har chhote bade wali balki nang dhadang malango ko bhi ghaib ke ilm ka jaanne wala samjh rakha hai..


Fiqh hanafi ki kitab "fatawa qadhi khan" ki daleel bhi sun lijiye-

" jis insan ne bina gawahon ke nikaah kiya aur mard wa aurat ne kaha ki ham allah aur rasool ko gawah banatd hai, hanafi fiqh kahti hai aisa kahna kufr hai kyonki usne yah aqeeda rakha ki nabi sws allah ki tarah aalimul ghaib hain, jabki nabi sws apne zindagi me gaib na jaante they to maut ke baad kaise jaante honge


isi tarah "bahrurraiq sharah kunzul daqaiq " me bhi hai


ek aqeeda aap logon ka yah bhi hai ki gairullah ke naam ki nazaren dena aap maante hain unke naam ke niyazen dete hain Unki qabron par chadhawe chadhate hain aur unke naam k jaanwar zibaah karte hain, magar hanafi fiqh me is kaam ko bhi najayez balki kufr kaha hai

raddul mukhtar sharah durre mukhtar part 2 page 131 me hai

" nazr makhlook ke liye maanna jayez nahi isliye ki yah ibadat hai aur ibadat makhlooq ke liye jayez nahi"


aage najr lil makhlooq ki hurmat ki daleel dete hue allama shami likhte hain-

" allah ke siwa auron ke liye nazr wa niyaaz ke haraam aur jhoote hone ki ek wajah yah bhi hai ki jiske liye najr maani gayi hai agar use kaaynaat me sab kuch karne ki kuwwat samjh kar aisa kiya gaya to yah aqeeda kufr hai"


Ab aap khuch soch len ki aap lop jo bujurgon ke naam ki nazr wa niyaazen dete hain, 11wi shareef karte hain aur unke naam ke jaanwar zibaah karte hai to yah sab kuch unhe apne maslon me sab kuch karne wala samjhkar karte hain ya nahi??

Beshak hi aap aqeede ke taur par unhe kaaynaat me Tasarruf karne wale samjh kar ki aisa karte hain jabki khud fiqh hanafi is aqeede ko kufr ka naam de raha hai, isi silsile me ek aur hawala apni fiqh ka dekh len.


" jo jaahil log mashaikh aur shaheedon ki qabron par (chadawe ke) jaanwar zibah karte hain wah jaanwar haraam ho jaata hai jabki allah ka naam lekar hi zabah kiya jaaye, aur aisa karne wale ko kaafir kaha hai"

( fatawa gharaib fi tahqikul mazaahib)


buzurgon ki qabron ke saath barelwi hazraat wah sab kuch karta hai jisse shariat ne badi shakhti se roka hai yahan tak ki unki qabron par sazde tak kiye jaate hain jabki hanfi fiqh ne ise bhi kufr ka naam diya hai... Hanafi kh moatbar kitab kifaaya me hai


" hamari shariat islamia me yah kabhi jayez nahi hai ki koi kisi ko (allah ke siwa) kisi tarah ka bhi sazda kare aur jo aisa kare wah kaafir hai"



Ham barelwi hazraat par koi fatawa nahi lagate albatta hamne yah zaroor kiya hai ki aapka Aina yani hanafi fiqh ke irshaadat aapke saamne rakh diye hain taaki isme apna chehra dekhkar apne baare me khud hi faisla kar len, dekhiye......... Ghusse me aakar mere uper koi kufr ka fatawa na lagaiyega,

yah wahabi ka fatawa nahi balki jis fiqh hanafi par aap ke fatwa ka daromadar hai uski daleelen hain......

Friday, May 6, 2011

MASLA KHALF UL IMAM AUR MUQALLIDEEN KE SAWALAT AUR UNKE JAWAB

Bismillahirrahmanirraheem


Sawal 1: Suboot fatiha ki 7 hadith hain jo ek dusre se alag hain?


Jawab: bilkul ghalat hai, koi takrav nahi.


Sawal 2: tum ek hadith par amal karte ho aur 6 ko chhodte ho?


Jawab: Saaton me koi takraav nahi, isliye hamara amal sab par hai, hamare yahan yah usool hai hi nahi ki ayat wa ahadith ko takra kar in ayat wa ahadith ko khatm kar den, koi bhi amal ke qaabil na rahe..... Yah hanfiyon ka usool hai.


Sawal 3- bukhari ko chhod kar baihaiqi ka sahara lete ho??


Jawab: bukhari ko chhodne ka ilzam ghalat hai, haan hamen kisi imam se nafrat nahi, agar imam baihaqi bhi koi sahih hadith riwayat karte hain to ham use kubool karte hai, ham yah nahi kahte ki hamare khasam ki hadith hai, ham usko radd karne ki koshish nahi karte, agar zaahir me takraav bhi hota hai to tatbeek de kar dono sahih hadith par amal karte hai, khatm kisi ko nahi karte....


Sawal 4: Amr bin suaib ki Hadith ke sirf faatiha ka huqm aur elawa ki manahi hai?


Jawab: Amr bin shuaib ki hadith yah hai -" har wah namaz jis me fatiha na padhi jaaye wah nakis hai (kitabul qir'at page 4) is me to elawa ki manahi kahin nahi hai, haan hukm sirf faatiha ka hai, is liye ki wah namaz ka compulsury part hai, use chhoda nahi jaa sakta...


Sawal 5: ek hadith me fatiha aur is se zyada ka huqm hai??


Jawab: hamen zyada ka hukm bhi tasleem hai, fark sirf itna hai ki fatiha har haal me har ek ke liye zaroori hai, is ke bina namaz nahi hoti, zyada padhna har haal me har ek ke liye zaroori nahi hai, muqtadi ke liye sirf surah fatiha laazimi hai zyada padhna lazmi nahi, balki imam ki unchi aawaz ki qir'at ke dauran padhne ki manahi hai.


Sawal 6: iske elawa ek hadith me hz abu huraira ra ki dil me padhne ka huqm hai?


Jawab: hz abu hurairah ra ki hadith me muqtadi ka zikr maujood hai, isliye muqtadi ko dil me padhna Chahiye, buland awaz se padhne ke liye kaun kahta hai aur kis hadith me buland awaz se padhne ka huqm hai, jisse yah hadith takraati ho, balki hadith me muqtadi ko buland aawaz se padhne ki manahi hai, isliye sab ahadith ek dusre me khaas hain, takraav to taqleed ki karishma shazi hai...


Sawal 7: ek hadith me saktah me padhne ka huqm hai?


Jawab: bilkul theek hai, muktadi ko imam ke sakton me padhna chahiye aur jab imam padhe to usko sunna chahiye, hamara isi par amal hai...


Sawal 8: hz ali ki hadith me imam ke peeche khamosh namaz me do suratein padhne ka zikr hai??


Jawab: bilkul theek hai, muqtadi khamosh rakat me fatiha ke elawa koi aur surat bhi padh sakta hai. Hz ali bayan karte hain-" jab imam buland aawaz se qir'at na kare to pahli do rakaton me fatiha bhi padho aur surah bhi aur aakhri rakaton me sirf surah fatiha padho....



Sawal: ab yah 7 hadithen hain jo alag alag hukm deti hain aap ka amal kis hadith par hai??


Jawab: hamara amal saaton par hai, har ek hadith ka alag mauka hai,

surah fatiha har insan ke liye laazimi hai( hadith ubada bin saamit etc)

imam wa munfarid ko surah fatiha ke elawa bhi padhna chahiye( hadith abu saeed ra wa abu hurairah ra etc)

muktadi ko buland aawaz ki rakat me surah faatiha se zyada nahi padhna chahiye (hadith ubada ra)

muktadi ko buland awaaz se nahi balki dil me padhna chahiye(hadith abu hurairah ra)


muqtadi ko khamosh wali rakat me fatiha padhni chahiye aur dusri surah bhi (hadith ali ra)

muktadi ko buland aawaz waali raqat me surah fatiha padhni chahiye(hadith ubada ra)


lekin imam ke saath saath nahi balki saktah me (hadith saktah)

tamam ahadith apne apne maukon par hain, kisi me koi takraav nahi, sab par amal karna shan e iman hai


sawal 10-: hadith ubada ra ke muqtadi ka Zikr nahi?


Jawab: hadith ubada ra me khitaab hi aap sws ne muqtadion se farmaya tha rasoollullah (sws) farmate hain-" jab buland aawaz se qirat karo to quran me se kuch na padho siwaay surah fatiha ke isliye ki uske bina namaz nahi hoti

(abu dawood)


Ye sawal maulwi nawab muhiyuddin sb. Ke they jo pahle hanafi they lekin baad me inki islaah hui aur ye alhamdullih ahle hadith hue....

In sawalon ke jawab jo khalf ul imam se related hai wo maulana masood ahmad ne bade hi khoobsoorat andaz me diye hain.......

Allah unko jaza e khair de......

Is silsile me inki kitab 'talaash e haq' maujood hai........ Jisme tamam sawalat ke jawab diye hain

Wednesday, May 4, 2011

ISLAM KA PAIGHAM PART 1

ISLAM KA PAIGHAM


Hazrat-Muhammed{sall’ Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ka mission kya tha.?

Us mission ka asal kam (highest virtue) kya tha?

Hazrat- Mohammed{sall’allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ke mission ke bare mein baat karne se pehle hum is duniya ko allah ne kyon banaya isse janna bahut zaruri hai.

duniya ke bare mein soch kar ek samjhdar insaan ye sochne par majboor hota hai ke

''yeh kaynat(universe) kyon paida ki gai hai ?

Kisne ne paida ki hai?

Kya Ye apne aap chal rahi?

Yah iska koi chalane wala bhi hai?

Iska anjam kya hone wala hai?

is mein jo allah ne cheeze paida ki hai,kyon paida ki hai?

Fir insan sochta hai meri zindgi ka maqsad kya hai?

Mujhe kyon paida kiya gaya hai?

mera role kiya hai?

meri hasiyat kiya hai?

mera anjam kya hone wala hai?

Ye sawal paida hote hai?

Ab jab hum inka jawab quraan mein dhundte hai tab hum pate hai..allah quran mein farmata hai ,


"aur yaad karo jab tere 'rab'(palnewale) ne 'farishto' se kaha ki mein zameen par ek 'khalifa'(vicegerent) bana ne wala hu"


( surah-al-baqrah,aayat-no: 30)

{yeh hazrat adam ki paidaish ke pehle ka mamla hai,allah ne hazrat adam(yani hum insano) ko is kaynat ka khalifa banaya hai.khalifa kuan hota hai ?

Khalifa= wo jo malik(owner) ki milkiyat(estate, property) mein us(malik) ke diye gaye ikhtiyar(power, rights,privileges) malik ke numayendey(representative) ki hasiyat se istemal kare.

khalifa malik nahi hota balki asal mein malik ka nayib(representative)hota hai.khalifa ke ikhtiyar personal nahi hote balki malik ke diya gaye hote hai,woh apni marzi ke mutabik kam karne ka haq nahi rakhta, balki us ka kaam malik ki marzi ko pura karna hota Hai,

agar khalifa apne aap ko khud malik samjhne lage aur apne ikhteyar ko manmane tareke se istemal karne lage ,ya asal malik ke siwa kise aur ko apna malik samjhne lage toh yeh sab ghaddari aur bagawat hai.

aur dosri baat jab allah ne insano ko zameen ka khalefa banaya to is ka seedha sa matlab ye tha ke,allah insan ko ikhteyar de kar aazmayega ke kuan allah ki marzi ke mutabik un ikhteyar ko istemal karte hai aur kuan nahi.

Aur allah yeh bhi kehta hai ke "hum ne jinno aur insano ko sirf isliye paida kiya hai ke woh meri ibadat(bandegi) karein".

(surah-al-zaryaat, aayat-no: 56)

{ibadat ka matlab sirf namaaz ,roza nahi hota balki puri zindagi allah ki marzi ke mutabik guzari gai hai.( complete obedience not partial obedience)}.


yah to tha insaano ki paydaish ka maqsad.jisko yaad karwane ke liye allah ne waqt-waqt mein apne messengers bheje,aur in sab messengers mein akheri hazrat muhammmed{sall’ allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} hain.

(in sari baton ka ek natija(result) nikalta hai ke ek din aisa hona chahiye jab allah apne farmabardaro ko reward de aur na-farmano ko punishment.) Aaye ab hum dekhte hai hazrat muhammed{ sall’allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}ko allah ne kyon rasool bana kar bheja hai,

muslims se allah kiya chata hai ?

Hum muslims ki kya responsiblity hai?

Sabse pehle hum hazrat muhammed{sall’allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}ke responsiblity ko dekhte hai . Allah aage hume batlata hai, huzur{sall’allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}ko allah ne jab rasool banaya toh kaha

"utho aur kahbardar karo" (arise and warn)

{surah-al-mudassir, aayat-no: 2)


hamesha ki jannat aur dozak ka fasla hojaega.fhir dusri jagah allah farmata hai

"wah(rasool) unhe(logo ko) neki ka hukum deta hai,burai se rokta hai,unke liye pak chize halal aur napak chize haraam karta hai,aur unpar se wah boj( loads) utarta hai joh unpar lade hue the aur wah bandhan khoalta hai jin mein wey jakdey hue the.

{surah-al-aaraaf, aayat-no: 157).


Hazrat muhammed{saw} ke asal maqsad(highest virtue) joh aap ko tamam nabi aur rasoolo ki jamaat mein ek alag position ata karti hai.

allah kehta hai ''wah allah hai jisne apney rasool{saw} ko hidayat[ guidance(quran)] aur deen-e-haq(complete way of living) de kar bheja hai,taki usko galib(superior) kare sare ke sare nizam-e-zindagi(system of life) par aur is haqeqat ki gawahi ke liye allah kafi hai".


(surah-al-fatah, aayat-no: 28)

ye aayat-e-kareem 3 bar quraan mein aai 2 bar similar aur 1 bar sirf thode se farq ke saath

{surah-al_fatah, aayat-no: 28 , surah-al-saff, aayat-no: 9 & surah-al-anfaal, aayat-no: 33 }


allah ne is ayat 3-3 bar nazil kyon ki zara sochiye?

Yani is aayat se hume pata chala ke allah ne hazrat muhammed{ saw} ko 2 chiz di hai nos

1. Hidayat(quran) aur

2. deen(yaani allah ka bheja hua zindgi jeene ka tareqa jise hum 'shariat' bhi kehte hai)


aayat se ek baat aur pata chali ke allah ne farmaya''taki usko galib(superior) kare sare ke sare nizam-e-zindagi( system of life)

to be continued

ISLAM KA PAIGHAM PART 2

Continue



Par ''yani hum muslims ke zimme yeh duty hai ke hume allah ke deen ko galib(superior,bada)banana hai.

Yeh hum sab muslims ki duty hai ,yeh farz-e-aaen hai(no one is exempted).kiya hum ye kaam kar rahe hai ???.


hume allah ne apne deen ko puri duniya mein bada banane ko kaha tha lekin afsos sad afsos musalmano socho toh zara duniya ke kis hisse mein allah ka bheja hua deen chalta hai.

gairo ko chodo khud hamara 'haram-halal' dusre decide karte hai.allah ka bataya 'haram-halal' aaj neeche hai .(allah gawah hai mujhe rohna aa raha hai) jua(gambling) zina( fornication) sood(interest), blue films (ka dekhna kis kadar shaitaan ne asan bana diya),behayai hamre rab ne toh parda de kar hazrat muhammed{saw} ko bheja tha, fasley kis kanoon ke mutabik ho rahi hai allah farmata hai


"joh log allah ke utare hue kanoon ke mutabik fasla na karey wahi toh kafir hai'',


"joh log allah ke utare hue kanoon ke mutabik fasla na karey wahi toh zalim hai''


"joh log allah ke utare hue kanoon ke mutabik fasla na kare wahi toh fasik(reblious) hai''


(surah-al- maidah, aayat-n0 : 44 ,45 ,47)


liberalism,seclarism, etc etc sab hai par afsoos kahi 'allah ka kaha' nahi hai'...

'allah ki aise bagawat isse pehle zameen mein kabhi nahi hui'. Hum kehte zaroor hai 'har namaz mein 'allah hu akbar'(allah sabse bada hai).


Musalmano batao kiya allah sach mein bada hai?

Ya shaitaan bada hai?

Nahi ban paya?


Kiya hamarey ghar mein t.v band ho gayi?

Kiya hum sood(interest) ki lanat se bach gaye?

Kiya hamarey shadi-biyah allah ki marzi ke muttabik hote hai?

Hum kaha-kaha tak haram halal ka tameez karte hai?


Kab tak musalmanno time pass karoge?


Allah farmata hai ''kiya imaan walo ke liye woh waqt nahi aaya ki unke dil allah ke zikr(quran) aur uske utare hue haq ke aage jhuk jae.


(surah- al-hadid, aayat-no: 16)


jab tak shariat(divine law) zameen par lagu nahi kiya jayega allah bada nahi banega!!!


Kyon ke allah ne apne rasool{sall’allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ko deen-e -haq de kar bheja hai.islam isliye aaya hai ke uske mutabik zameen chale.


allah farmata hai agar musalmano tum allah ke kam nahi karoge toh allah tumhare sath ye karega


''kaho agar tumahre baap,tumahre bete,tumahre bhai,tumahri wifes,tumahri family,aur wo maal joh tumne hasil kiya hai aur wah karobaar jiske mandey pad jane ka tumko shak hai aur wah ghar jo tum ko pasand hai tumhe allah se,aur uski rah mein jahddo- jehad(struggle) karne sey zyada mehboob hai toh intezar karo yaha tak allah apna fasla sadir farmaye.aur allah nafarmano ko rah nahi dekhata.


''(surah-al-tauba, aayat-no: 24)


jaddo-jehad(struggle)ye batati hai ke kaun allah se aur uske rasool se sach mein mohabbat karte hai.lambi-lambi zabane rakhne wale musalmanno yeh kaam allah ne hum sab par farz-e-aan(no one is exempted)hai.


Arey apney career ,apney buisness,apney kaamo ko choro aur allah ka kaam chalu karo ..marna tumko bhi hai marna mujhe ko bhi hai qabar Mein jana hai fir allah se kyon daga karte ho, agar nahi karoge to allah farmata hai


''uski rah mein jahddo- jehad(struggle) karne sey zyada mehboob hai toh intezar karo yaha tak allah apna fasla sadir farmaye' 'allah aage farmata hai "tum inke maal aur aulad dekh kar tajjub na karo. Allah to ye chahata hai ke inke zareye sey in ko duniya ki zindagi mein azab de aur inki jaane is haal mein nikale ki wo kafir ho'


(surah-al-tauba, aayat-no: 55)

arey socho zara sahaba nabi{saw} ka sath chor kar apney gharo se nikley madine shareef mein to nabi{saw} the.

'jaha nabi{saw} ka paseena gira sahaba ne apna khoon gira diya..aur islaam galib ho gaya' .


aaj kitne afsoos ki baat hai deen gairoh ka nafis(buland) hai,hum muslim unke deen ke tehat apni zindagi guzar rahe hain.

'hum apney islaam ko sirf mazab(only namaz,roza,haj) bana kar rakh diya hai,

jabki islam deen(24 hours life) hai'.hume unko jaziya(tax) de kar zindagi guzar rahe hai, deen unka bada hai, hum sirf namaaz roza tak muslim hai.

Allah farmata hai ''jab kitab ke ek hissey par amal karoge aur ek hissey ka inkar to aisa karne wale ki saza is ke siwa aur kiya hogi ke duniya mein ruswai aur aakhirat mein sakht tareen azab'


(surah-al-baqrah, aayat- no: 85)


aayat ke in alfaz par ghaur kare 'akhirat mein sakht tareen azab .


qiyamat mein to sab jante hai ke sabse zada azab munafiqo(joh dawah karte hai muslim hone ka lekin islam par pura aamal nahi karte) ko milega .


To be continued.....

Tuesday, May 3, 2011

KYA AHLE HADITH ANGREZ KI PAIDAWAR HAI??? (TAREEKHI JAWAB)

Bismillahirrahmanirraheem


AHLE HADITH SHURU ISLAM SE HAIN:


Baaz muqallidon ye chillate hain ki ahle hadith angrez ke zamane me paida hue... Aur pahle ke daur me koi ahle hadith tha hi nahi........ye kaise mumkin hai, main is baat ke khilaaf hun,


haqiqat iske ulta hai ,imam abu hanifa rh ka daur 120H me qayem huwa (seeratun noman)

bataiye 120 hijri tak jo musalman they wah kis imam ke muqallid they??

Us imam ki imamat kisne radd ki??

Hz imam abu hanifa muqallid they ya gair muqallid??

Agar muqallid they to taqleed ki kaise??

Aur agar gair muqallid they to wo hamare aqeede ke hue na ki aapke,

imam abu hanifa farmate hain-" kisi insan par munasib nahi ki wah meri baat par fatawa de jabtak us ko meri daleel na malum ho jaaye "

(aqdul zayyad)

balki yahan tak farmate hain-" harama alay min lam yarif daleeli in yafti baqlami"


trans: yani wah apni taqleed se mana farmate hain balki be daleel Baat maanne ko haram kah rahe hain,

lijiye jo ham kahte hain wahi imam abu hanifa rh ne farmaya hai beshak jis cheez ko unhone haram kaha hai ham bhi us ko haram samjhte hain lekin muqallideen unke haram kiye ko jayez hi nahi, waajib tak kah dete hain



imam abu hanifa rh ke elawa bhi tamam aimma e deen taqleed se mana karte rahe , jaise imam ahmad bin hambal rh farmate hain:

"la taqleedani wa la taqleedan malik wa la shafai wa la ozzai wa la soori wa khaz min hais akhazwa"


trans: yani hargiz meri taqleed na karna ,na imam malik ki na imam shafai ki, na imam ozzai rh ki, na imam soori ki, balki jahan se unhone ahkam ko liya wahin se tum bhi lena


(aqdul zayyad)

haan to 120H tak poori tarah sab gair muqallid they balki shah waliullah sahab rh ke mutabik 4 sadi hijri ke pahle taqleed e khalis par log jama nahi hue they(hujjatul baligha) to mano 300 saal tak taqleed ka wajood nahi tha,

4 sadi hijri se taqleed ne zor pakadna rhuru kiya aur lagbhag ek hazaar saal tak iska zor raha, lekin yah zamana bhi ahle hadith se khali na tha, har zamana me ulama ki ek badi tadad ahle hadith thi,

Allama zahbi rh ki 'tajkiratul huffaz' padhiye, dekhiye har zamane me kitne ulama e ahle hadith they, allama zahbi bisiyon ulamo ke naam ginate chale jaate hain, unke haalat likhte hain aur yah we log hain jo bade bade hafiz they na malum unke elawa aur kitne honge jinke naam imam zahbi rh ko malum na hue hon aur phir kitne log honge jo unke halqa e asar me honge, gharaj yah ki an ginat log har zamana me ahle hadith they, kuch aise ulama bhi they jo mauka ki nazakat mahsus karte hue taqleed ka talluq apni taraf pasand karte they, jabki wah muqallid nahi hote they


kuch to ilaake aise they jahan muhaddiseen ki tadat bahut zyada hoti thi,


jaise ki arab ke bashar muqaddasi rh jo 275 hijri me hindustan aaya Tha, sindh ke haalat me likhta hai:" yahan ke zimmi moorti pujak(idol worshipper) hai aur ulama me zyada tar ahle hadith hain"

(tareekh sindh part 2)


"rome, shaam, zazira aur ajar baijaan etc mulk ke musalman 5wi sadi me sab ke sab ahle hadith they"


(usooluddin part 1 abu mansoor rh bagdadi)



TAQLEED KA SADION BAAD SHURU HONA:


6 sadi hijri me africa me ahle hadith ki hukumat thi (tareekh islam zahbi rh) is hukumat me kanoon tha ki koi kisi imam ki taqleed na kare (tareekh ibne khalkan)

yahan se bhaage hue logon ne taqleedi mazhab badi tezi se jaari kiya aur yah kanoon banaya ki charon mazahib ki taqleed wajib hai aur unse baghawat haram hai


(mukreji part 2)

7wi sadi me shah jaahir ne charon mazahib ke madarse aur kaazi alag alag kar diye

(mukreji)


7wi sadi hijri me shah naasir ne 4 musalle qayem kar diye

(al badrut ta le part 2)


AULIYA ALLAH AHLE HADITH HI HOTE HAIN:



Aakir me ek baat aur sun lijiye, muhaddiseen aur auliya allah sab ahle hadith they, koi muqallid nahi tha,

shah abdul aziz muhaddis dehlwi rh farmate hain-" ulama muhaddiseen mujtahideen ke mazahib me se kisi ek mazhab ke paband nahi hote"


(fatawa azizia part 2)

Imam shorani rh farmate hain:-" jis insan ka qadam wilayat e muhammadiya par saabit ho gaya, wah sharai ahkam ko wahin se leta hai jahan se mujtahid ne liya tha, wah tamam ulama ki taqleed se alag ho jata hai, aur siway rasool (sws) ke kisi ki pairwi nahi karta....

(meezan kubra)


allah tala un par apni rahmat ki baarish barsaaye

Monday, May 2, 2011

AHLE HADITH KI PAHCHAN

Sahih Bukhari Volume: 1

kitabul-Il m Hadees no: 99

Hazrat Abu-hurera h(R.A) se riwayet hai k unho ne arz kiya. “Ya Rasool Allah(saw) ! Qayamat k din aap ki shifa’at se sab se zyada sa’adat kisey miley gi”? To Rasool(saw ) ne farmaya “A ! abu-Hurera h ! mujhey yakeen tha k tum se pahle koi is k barey mein mujh se daryaaft nehi kare ga. Kyu ki main ne Hadees k mutalik tumhari Hars dekh li thi. Suno ! Qayamat mein sab se zyada faizyaab meri shifa’at se who shaks hoga’ jo sacchey ji se” La ilaha illalah” kahey ga. Hadees shareef ka ilm hasil karney k liye Muhammed(s aw) ne Hazrat Abu-hurera h(R.A) ki tahseen farmai.


Isi se Ahl-e-Hade es ki faziliyet sabit hoti hai. Dil se kahney ka matlab yeh k shirk se bachey’ kyu k jo shrik se na bacha woh dil se is kalmey ka Ka’il nehi hai. Agar cha zubaan se ise padhta ho. Jesa k aaj kal bohot se kabro k pujari naam nihaad Musalmaan ka haal hai.

HANAFI MAZHAB KI PAIRWI KYON!!

BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM


IMAM ABU HANIFA RH AUR JAMA HADITH:


ye sawal kitna ajeeb hai, Agar imam abu hanifa rh kn wah ahadith mili thi to kya ki khoofiya zariye se mili thin ki unke daur ke ulama bilkul anjaan rahe, unhone khud un hadith ko mahfooz kyon na kiya??

Agar un ko fiqh ki tarteeb ne fursat nahi di to un ke shargirdon ne unko mahfooz kyon na ki??

Dusre imamon ki batayi hui hadith to unhone mahfooz kiya lekin apne ustad ki batayi hui hadiths ko gair mahfooz chhod diya,


imam abu hanifa rh ke bayanon ke daftar ke daftar mahfooz hain, lekin in fatawon ke dalail mahfooz nahi, asfos haadi e akram mohtaram sallallaho alaihi wasallam ke ahadith ko radd kar diya gaya aur unke ummati ke fatawon ko mahfooz kiya gaya, kya aql isko tasleem karti hai??


IMAM ABU HANIFA RH AUR UNKI TARAF MANSOOB KIYE GAYE MASAIL:


Gaur karne ka maqaam hai, durre mukhtar me hai,


" summal akbaru ra saun wal asghar U uzwan"


trans:" yani sharton me agar sab barabar hon to phir use imam banaya jaaye jiska sabse bada sar(head) aur satar(penis) sabse chhota ho


Kya ye fatawa imam abu hanifa rh ka hai??

Mera to iman hai ki ye imam sb. Ka nahi hai balki baad me gada(izaad) hai,


agar aap maante hain ki ye fatawa imam sb ka hai to phir aap imam abu hanifa ki rh ki shaan ko do bala nahi kar rahe balki us fatawe ko unki taraf mansoob karke unki tauheen kar rahe hain,

balki aapke mutabik aap ke imam sb rh ka har fatawa hadith ke mutabik hai to phir yah fatawa rasoollullah sallallaho alaihi wasallam ke taraf mansoob huwa aur ab yah ek imam hi ki tauheen nahi rahi balki allah ke rasool (sws) ki tauheen hui,

bataiye koi ummati apne rasool ki taraf aise fatawe mansoob karna gawara karega??


Main to imam abu hanifa rh ki izzat wa taqwa ka khyal karte hue yahi baat kahta hun ki aise masail baad me gade gaye hain aur unke Gade hone ke saboot ke liye sirf unka makrooh hona hi kaafi hai, lekin aap ki tasalli ke liye ek bahut bade hanafi ulama maulwi abdul haiy firangi mahli ki tahrir pesh karta hun ,likhte hain



" fatawa hanfiya me jo masail darj hain, logon ne unko imam abu hanifa rh, imam abu yousuf rh, aur imam muhammad rh, par taane karne ka ek zariya bana rakha hai, kyonki yah masail aksar usool sharai par based nahi hain aur hadith sahiha ke khilaaf hain, wah yah khyal karte hain ki yah aimma salasa ke masail aur mazahib hain, haalanki haqeeqat yah nahi hai balki mashaikh ke takriaat hain na ki un teeno imamon ke, aur is tarah un teeno imamon par taana kashi karna aasan ho jaata hai"


(al nafi al kabeer 113)


aage dekhiye


abdul qaadir badayuni hanfi apni kitab 'bawarik sheikh najdi' me likhte hain


" indraj khwarij wa mutzala dar kutub e hanfiya jaid az ast hajaara hazaar khwarij wa matzala dar faru feqa hanfi Mazhab budand, talamaza khwas imam azam rh wa abu yusuf matmazhab bamzaahib baatila gujashta wa hazaara hazaar rawayat aza kasan eesha dar kutub fatawa daakhil ast"


trans: " hanfi kitabon me kharijion aur motzaliyon ke indrajaat hadd se zyada hain, hazaaro khwariji aur motzila shuru me hanfi they, imam abu hanifa rh aur qaazi abu yousuf ke khaas shargirdon me aise log shamil hain, to jhoote mazhab ke matwale they aur un ke hazaaron riwayatein un ke jhoota mazhab ke mutabik kutub me dakhil hain"


( al kalamul mateem 240)


matlab yah ki namonne ke liye do hi hawale kaafi hain, ab aap samjh gaye honge ki fiqh hanafiya me sab kuch imam abu hanifa rh ka hi nahi hai balki dusron ka bhi gada huwa hai aur uspar ulamaon ki tarjumani gawah hai.......


IMAMON KI GREATNESS TAQLEED KI MOHTAJ NAHI:


Main kisi bhi cheez me apne ko imam abu hanifa rh ka jaisa to alag unke pairon ki dhool ke barabar bhi nahi Samjhta, lekin taqleed nahi karta jis tarah aap imam ozzai rh, imam juhri rh, imam hasan basri rh, imam malik rh, imam shafai rh etc ki taqleed nahi karte lekin aap unki buzurgi ki qayel hain,

Yaad rakhiye, kisi insan ki greatness is baat ki mohtaj nahi ki uski taqleed ki jaaye. Agar sirf greatness hi taqleed ki daleel hai to phir imam basri rh iske zyada haqdaar hain,

isliye ki imam abu hanifa rh ne to sirf ek baar bachpan me hz anas ra ko dekha tha, lekin imam hasan basri rh ki to saari zindagi sahaba ra ki daur me guzri, saikdon sahaba ko dekha hi nahi balki unki sangat aur shargirdi se fayeda paya, aur ek waqt me 300 sahaba kiram ra ki taqatwar jamaat unke saath thi.

(dalilun faaliheen)

isi tarah imam ata rh mashoor tabiee hain, jin ke baare me khud imam abu hanifa rh ka bayan hai ki maine unse bahtar aadmi nahi dekha, saikdon sahaba ra ki sohbat se fayeda uthaya, 200 sahaba ra ke saath masjid haram me namaz padha karte they aur unki buland aawaz se aameen kahne ki aawaz suna karte they (baiheqi)


allah hamen haq baat kahne aur sunnaton par amal karne ki taufeeq de.... aameen

Sunday, May 1, 2011

AHLE SUNNAT WAL JAMAAT AUR AHLE HADITH (TAREEKHI JAYEZA)

BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM


AHLE SUNNAT WAL JAMAAT AUR AHLE HADITH (TAREEKHI JAYEZA)



TABQATUL ULEMA AUR HADITH KI TAFSIR PADHNE WALE JAANTE HAIN KI NABI KARIM (SWS) KI WAFAAT 11 HIJRI ME HUI THI ISKA MATLAB YAH HUWA KI HUZUR (SWS) KE SAHABA ME SE AAKHIRI SAHABI HZ ABU TUFAIL RA 110 HIJRI ME ALLAH KO PYARE HUE TO SAHABA KA ZAMANA 110 HIJRI TAK HUWA AUR FATH UL BARI ETC. ME TABIEEN KA ZAMANA 170(APPROX) HIJRI TAK AUR TABA TABIEEN KA ZAMANA 220 HIJRI TAK SAABIT HUWA HAI TO TEEN ZAMANON (JIN KI KHAIRIYAT KI KHABAR NABI SWS NE DE DI HAI) KI ZYADA SE ZYADA MUDDAT 220 HIJRI TAK HUI AUR AAP YAH KAHIN LIKHA HUWA NAHI PAYENGE KISI KITAB ME ISKA SABOOT NA MIL SAKEGA KI IS MUDDAT TAK KOI AADMI TAQLEED KO JAANTA THA, ACCHI TARAH YAAD RAKHO KI 3 SADI HIJRI TAK TAQLEED KI KISI KO HAWA TAK NA LAGI THI, JAB TAQLEED HI NAHI THI TO PHIR IS BAAT ME KYA SACCHAI HAI KI TAQLEED NA KARNE WALA "AHLUS SUNNAT NAHI" HAI TEEN SADIYON TAK LOG JO BAHTAREEN UMMAT THEY, GAIR MUQALLID HONE KI WAJAH SE AHLE SUNNAT WAL JAMAAT SE BAAHAR THEY?? KABHI BAHAR NA THEY WE PAKKE AHLUS SUNNAT THEY YAH BAAT ACCHI TARAH YAAD RAKHO KI AHLE SUNNAT HUZUR SWS KI SUNNAT PAR AMAL KARNE WALE KO KAHTE HAIN.


SUNNAT NABI KARIM SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM KE PAAK WAJOOD SE CHALI , SAHABA NE IS SUNNAT PAR AMAL KIYA TO SAHABA AHLE SUNNAT HUE PHIR TABIEEN AUR TABA TABIEEN BHI SUNNAT PAR AMAL KARNE KI WAJAH SE AHLE SUNNAT HUE, YAHAN HANAFI, SHAFAI, MALIKI AUR HAMBALI HONE KA TO SAWAL HI NAHI UTHTA, JAB SE SUNNAT CHALI AHLE SUNNAT BHI USI WAQT SE CHALE PHIR YAH KAHNA KI CHARON IMAMON ME SE KISI KI TAQLEED KARE WAH AHLUS SUNNAT HAI, LOGON KO DHOKHA DENA AUR BEWAQOOF BANANA HAI,

YAAD RAKHO KI AHLE SUNNAT WAL JAMAAT WAH HAI JO SEEDHE HZ MUHAMMAD SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM KI PAAK SUNNAT PAR AMAL KARTA HAI, SAHABI HO, TABIEEN HO, TABA TABIEEN HO, MUHADDIS HO, FAQIH HO, IMAM HO, MUQTADI HO, SUNNAT PAR AMAL KARNE WALA HI AHLE SUNNAT WAL JAMAAT HAI,





AHLE SUNNAT KI PAHCHAAN:


" qeela wa min ahlus sunnati wal jaama ati qaalan nabiyyu sallallahu alaihi wa sallama ala alayhil yawam wa ashaabi"


Trans:" Sahaba ne poocha,'hujoor! Ahle sunnat wal jamat kaun hain? Aapne farmaya, "we hain jo us cheez par (amal karne wale) jis par aaj main aur mere sahabi hain"


zaahir hai ki huzoor aur sahaba sirf qur'an aur hadith hi par amal karte they jo ahle sunnat qur'an wa hadith par amal karne wale hue,


hz ali ra se sawal kiya, ahle sunnat kaun hain? Aapne farmaya,' ahle sunnat wo hain jo allah aur uske rasool ki sunnat ko mazbooti se pakadne wale hain aur lekin we thode hain"


matlab yah ki kitab wa sunnat par amal karne wale ahle sunnat hain,



" INNAN NAAS QAANU FI HAYATIN NABIYYI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM AHLUSSUNNATI"


Trans: " beshak log nabi sws ki zindagi me ahle sunnat they"

(musnad ahmad)




Bataiye jo log kahte hain ki muqallid hanfi hi ahle sunnat hain unke kahne ki kahan tak sacchai rah gayi jabki huzur sws ki paak zindagi me taqleed aur hanfiyat ka naam o nishaan tak na tha saare log ahle sunnat they


Imam shafai rh farmate hain-

"beshak tum halaaq aur barbaad ho jaoge jab sunnat ko chhodkar raaye par amal karne lagoge"


Shah waliullah dehlawi farmate hain-

" meri pahle wasiyat ye hai ki kitab wa sunnat ko mazboot pakde rahna"

( wasiyat nama)

"najaat paane wali jamaat wah hai jo aqeede aur amal me kitaab aur sunnat par amal kare jis par sahaba aur tabieen ki badi tadaat thi"


( hujjatul baligha)


in dalail ke saath aap acchi tarah samajh gaye honge ki ahle sunnat wal jamaat we ho sakte hain jo seedhe taur par kitaab wa sunnat par paband aur amal karte hon aur yah baat poori tarh ghalat hai ki muqallid hanfi hi ahle sunnat wal jamaat hain jabki taqleed wa hanfiyat sahaba ke Daur me thi hi nahi,

dekhiye jo log kitab wa sunnat ki roshni me apne imam ke maslak par chalte hai aur taqleed ki shart rakhte hai ki agar baat hadith ke khilaaf saabit ho gaya to we is baad ko chhodkar hadith par amal karenge ye log ahle sunnat hai aur aisi taqleed jayez hai.