Friday, May 13, 2011

KYA AHLE HADITH IMAM BUKHARI WA MUSLIM KI TAQLEED KARTE HAIN??? (ILZAAM KA JAWAB)

Bismillahirrahmanirraheem


Assalam o alaikum


Aaj muasahre me ye failaaya jaa raha hai ki ahlul hadith imam bukhari aur imam muslim wagerah ki taqleed karte hain unki kitabon ki bina par.... Is silsile me mera farz banta hai ki un muqallidon ko jawab dun..

Tamam muqallid hazrat ye kahte hai ki sahih bukhari me jo hadith hain wah imam bukhari rh ka qayaas hi to hai!

Ji nahi! Ahle sunnat ke har firqe ki us ki sehat par razamandi hai, un hadith ki sehat kisi waham aur ghuman ki mohtaj nahi balki iske liye dalail aur saboot hain, aise saboot ki un ke zariye se aaj bhi har kasauti par parkha ja sakta hai, jo kuch unhone likha sanad ke saath ummat ke saamne rakh diya, ab bhi agar koi chahe to parakh kar dekh le, yahan koi cheez radd(destroy) nahi hui,


is maidan me aur log bhi seena thonk kar utre lekin hadith ki kitabon ki tashrih gawah hai ki unhone thokar khaayi aur har hadith jisko wah sahih Samjhte they, sahih nahi nikli,


is maidan me do hi shahaswar nazar aaye ki jo dawa kiya wah sahi saabit huwa, yani imam bukhari aur imam muslim ,


ummat ne unke dawe ko sahih paaya aur dono kitabon ko "sahihain" ka laqab diya


ulama-e-ahnaf in kitabon ko zaeef kah sakte they, magar hairat ka maqam hai ki tamam ulama e ahnaf ne aam raaye se use sahi maana hai, allama kustlani rh likhte hain-" sahih bukhari ke saamne sab kitabon(exept qur'an) ki peshania sazda karti hain

(irshad al sari)

imam nasaai rh farmate hain-" bukhari wa muslim ki sehat par ummat ki sahmati hai"

(nusratul bari)


ustaz abu ishaq farmate hain- " fanne hadith ke mahireen is par sahmat hain ki bukhari wa muslim ki ahadith poore taur par sahih hain"


imamul haramain likhte hain-" ulama e muhaddiseen ki in dono ki sehat par sahmati hai"

(nusratul bari)


imam abu falaah farmate hain-" tamam fuqaha ne sahih bukhari ki har musnaD hadith ko sahih tasleem kiya hai"

(nusratul bari)


isi tarah hafiz abu nasar sanjari rh ne farmaya hai ki-" ulama wa fuqaha aur dusre logon ki sahih bukhari ki tamam hadithson ki sehat par sahmati hai"

(nasratul bari)

mashoor hanafi alim ooni likhte hain-" mashriq wa maghrib ke tamam ulama ki is par sahmati hai ki qur'an majeed ke baad sahih bukhari se zyada sahih koi kitab nahi"

(umdatul qari)


ahmad ali shaharanpuri likhte hain-" ulama ki sahmati hai ki tamam kitabon me sab se zyada sahi yah do kitabe hain sahih bukhari aur sahih muslim"

(nasratul bari)

Anwar shah shahab deobandi likhte hain-" haafiz ibne salaah rh, hafiz ibne hajar rh, imam ibne taimiya rh, shamshul aimma sarkhasi rh, ke nazdeek sahi bukhari ki tamam hadithsen poori tarah theek hain" iske baad likhte hain-' jo inki raaye hai wahi dar haqeeqat meri raaye hai'

(faizul bari)


shabbir ahmad usmani farmate hain-" bukhari wa muslim ki munfarid riwayatein bhi poori tarah theek hai isliye ummat ne har hadith ko tasleem kiya hai"

(sharah sahi muslim)


shah waliullah muhaddis dehlawi rh farmate hain-" sahih bukhari wa sahi muslim me jitni marfoo muttasil hadeesen hain, muhaddiseen ki sahmati hai ki wah sab poori tarah sahih hain aur yah dono kitaben mutwatir hain, jo insan inko thukraaye(yani na maane) wah bidati hai aur momineen ki raah se us ki raah alag hai aur agar aap haq ki safaai chahen to . Ibn abi shaiba, kitabut tahawi aur musnab khwarijmi, musnab imam abu hanifa rh se sahihain ka muqabla karen to aap unme aur sahihain me bada bhari farq paayenge"

(hujjatul baligha)


matlab yah ki aisi daleelen beshumar hai, kahan tak likhun, kisi ne bhi sehat ke lihaaz se in kitabon se matbhed nahi kiya yahan tak ki unke ustadon ne un ki sehad par sahmati ki, ab agar koi shak karta hai to siwaaye uske kiya likhun ki

" na rahe baans na baje bansuri"

yani na sahi bukhari hogi na fiqh ki kirkiri ka mauqa milega, agar sahi bukhari ko aap tasleem nahi karte to aisi ko kitab aap pesh farmaiye jis par ummat ki sahmati ho jo sahi bukhari se unche darje ki ho......


Phir sun lijiye, bukhari,aur muslim ki hadeesen isliye sahi nahi ki imam bukhari rh aur imam muslim rh unhe sahih samjhte hain balki isliye sahih hain ki unse pahle aur unke baad ke tamam ulama ne in hadith ko sahi tasleem kiya hai,

allama ibne khaldun likhte hain-" imam bukhari rh ne sahi bukhari ke liye inhi ahadith ko kaabile bharosa samjha, jinki sehat par sahmati thi" phir imam muslim ke baare me bhi unhone yahi baat likhi

(muqaddama tareekh ibne khaldun)


yani imam bukhari rh wa imam muslim rh ne un ahadith ko in kitabon me jama kiya jinki sehat par us waqt tak ke tamam ulama ki sahmati thi aur un ulama me imam abu hanifa rg bhi shamil they(bashart e aap unhe muhaddis taslim karen)


ALLAH HAME SAMJHNE KI TAUFEEQ DE AUR ILM DE...... Ameen