Saturday, May 28, 2011

NAZAR UTARNE KA NABAWI TAREEQA (HADITH KI ROSHNI ME)

Bismillahirrahmanirraheem


NAZAR UTAARNE KA NABAWI TAREEQA:


Hz abu umama ra ne apne waalid hz sahal bin haneef ra se unka ek waqeya riwayat ki hai ki janab rasoollullah(sws) aur sahaba kiram ra makka mukarrama ki taraf rawaana hue, jab wah mukaam juhfa ki waadi khazzar me pahunche to hz sahal bin haneef ra ghusl karne lage, unka rang(color) gora tha aur jild bahut khusk rang thi, kabeela banu adi bin kaab ke ek sahab hz aamir bin rabia (ra) ne unhe ghusl karte hue dekha to kaha:-" aisi jild to maine kabhi kisi pardanaseen larki ki bhi nahi dekhi (yani kitna khoobsurat rang hai), is par hz sahal ra to wahin zameen par gir pade, kisi ne aakar rasoollullah(sws) se arz kiya:-"aiy rasoollullah ! Kya aap sahal ko dekhenge, allah ki kasam! Wah to sar bhi nahi uthate, unhe koi aaraam nahi ho raha (shakht bukhar hai), nabi (sws) ne farmaya:-" kya tum uske baare me kisi ko doshi(gunahgaar) samjhte ho??" sahaba ne kaha:-" aamir bin rabiaa ne unhe kapde utaarte dekha tha, janab rasoollullah(sws) ne aamir ra to talab farmaya, aur unhe sarzanish farmayi, irshaad farmaya:-" ek aadmi apne bhai ko kyon qatal karta hai? Agar tujhe ek cheez acchi lagi thi to toone barqat ki dua kyon na di?" phir farmaya:-"uske liye apne ang(parts of body) dho (wash)", unhone ek bartan me chehra, haanth kuhniya, ghutne, pair(foot), aur tahband ke andar wala hissa dhokar (wah paani) de diya, wah paani(water) hz sahal ra par daala gaya, uska tareeqa yah hota hai ki jisko nazar lagi ho, koi insan paani uske peeche ki taraf se uske sar(head) aur kamar(waist) par daal de, phir bartan bhi uske peeche hi ulta karke rakh de, baherhaal hz saad ra ke saath aisa hi kiya gaya to wah theek thaak hokar logon ke saath rawaana ho gaye


( Musnad ahmad 2/486,)

(Moatta imam malik, kitabul ain ,baab wuzu, minal ain, 2/938)


MAA, BAAP KE SAATH SULOOK


Hz abdullah bin amr (ra) se riwayat hai ki ek aadmi ne nabi(sws) ki khidmat me haazir hokar arz kiya :" main hijrat ki bait karne ke liye aapki khidmat me haazir hun, aur apne maa, baap ko rote hue chhod kar aa gaya hun" nabi (sws) ne farmaya :-" waapas jaao, aur jis tarah unhe rulaaya hai, usi tarah unhe hasaao"


(SUNAN NISAI, KITABUL BAIT, BAAB BAIT AL HIJRA, H 4174)