Thursday, October 6, 2011

MAIDAAN-E-HASHR KI HOLNAKIYAN




Bismillahirrahmanirraheem



HASHR KI HOLNAKIYAN


HASHR KI HOLNAAKI MAUT AUR KABR KI SHAKHTI SE KAHIN ZYADA HOGI:


" hz anas bin malik ra kahte hain ki aap(sws) ne farmaya:-" jab se allah taala ne insaan ko paida kiya tab se us par maut se zyada shakht koi waqt nahi aaya aur phir maut ke baad ke marhale maut se bhi zyada shakht hain, beshak log hashr ke din ki shakhti se do chaar hone wale hain jisse paseene(sweat) ki lagaam aayi hogi( paseena itna bah raha hoga ki) agar us paseene me kashtiyan chalaayi jaayem to we chalne lagen"

(tabrani attargheeb, juz rabe 5258)


HASHR KI GARMI , PASEENA AUR LAMBI MUDDAT SE TANG AAKAR LOG DUWA KARENGE YA ALLAH! HAMEN HASHR SE NEJAAT DE CHAAHE JAHNNAM ME HI BHEJ DE


" hz abdullah bin masud ra se riwayat hai kh aap(sws) ne farmaya:-" qayamat ke din ek shakhs ko paseene ki(muh tak) lagaam aayi hui hogi aur wah dua magenge aiy mere rab! Is musibat se mujhe nejad de Chahe jahannum me hi bhej de"

(tabrani 5260)


JIS TARAH TEER KAMAAN SE BADI MUSHKIL SE TAHARTA HAI USI TARAH LOG HASHR ME BADI MUSHKIL SE 50,000 SAAL TAK KA ARSA GUZAARENGE


"Hz abdullah bin amr bin aas ra se riwayat hai ki aap(sws) ne quran majeed ki yah aayat tilawat farmayi " jis din log rabbul aalameen ki adalat me khade honge"(mutaffifin 6) aap sws ne irshad farmaya " us waqt tumhara kya haal hoga jab allah taala tumhe 50,000 saal ke liye is tarah ikattha karega jis tarah teer ko kamaan me(shikaar ke waqt) daala jaata hai aur tumhari taraf(itna waqt) nazar bhi na karega"

(haakim kitabul ahwaal 5/8747)


KAFFIRON KO HASHR ME MAUT KI GASHI JAISI TAKLEEF KA SAAMNA HOGA, JABKI AHLE IMAN KO ZUKHAM JAISI TAKLEEF HOGI


" Hz anas ra kahte hai allah ke nabi sws ne mujhe kaha ki main apni ummat ke intezaar me siraat par khada hunga taaki we pul paar karen, achanak hz isa as aayenge aur kahenge:- aiy Muhammad (sws)! Yah ambiya aaye hain aur kuch puchte hai ya yun kaha saare ambiya aapki khidmat me haajir hue hai ki aap allah taala se dua farmaye taaki jis taqleef ka we shikaar hain usse nejad mile, logon ko paseene ki lagaam aayi hngi, ahle iman ko hashr ki taqleef zukham ki taqleef jaisi hogi. Jabki kaafir ko hashr ki takleef maut ki ghashi jaisi hogi

(majmua uz zawaid, ahmad bab fis safaat 10/18506)



HASHR ME SOORAJ KI GARMI:


MAIDAN E HASHR ME SURAJ EK MILES KE FAASLE PAR HOGA AUR LOG APNE APNE AMALON KE MUTABIK PASEENE ME DOOBE HONGE:


" hz miqdad bin aswad ra kahte hain maine aap(sws) ko farmate hue suna:-" qayamat ke din suraj makhlook se meel(miles) bhar ke faasle par aa jaayega aur log apne amalon ke mutabik paseene me doobe hue honge koi takhno tak dooba hoga aur ghutno tak dooba hoga kisi ko paseene ki lagaam aayi hogi" yah farmate hue aap(sws) ne apne haath se apne muh ki taraf Ishara farmaya"

(muslim kitabul jannah)



hz aqba bin amir ra kahte hain maine aap(sws) ko farmate hue suna ki " qayamat ke din suraj zameen ke qareeb aa jaayega aur logon ko paseena aa raha hoga, kisi ka paseena aidi tak hoga,kisi ka paseena aadhi pindaliyon tak hoga, kisi ka paseena ghutno tak hoga, kisi ka paseena peeth tak hoga , kisi ka paseena kamar tak hoga,kisi ka paseena uske kandhon tak hoga, kisi ka paseena uski gardan tak hoga, kisi ka paseena muh ke beech tak hoga" aap(sws) ne apne daste mubarak se is tarah ishara farmaya jaise kisi ke muh me lagaam ho, hz uqba bin amir ra kahte hain maine dekha rasoole akram (sws) ne(apne haath se) yun ishara farmaya:- aur koi apne paseene me duba huwa hoga,"

(ahmad, tabrani, hibban, haakim, abwaab tafsirul quran baab surah mutaffifeen 3/2656)


hz abu hurairah ra se riwayat hai ki aap(sws) ne farmaya:-" qayamat ke din logon ka paseena zameen me 70 baa (approx 140 metre) tak jaayega kuch logon ke muh aur kuch logon ke kaano tak paseena hoga"


(muslim kitabul jannah)