Friday, October 21, 2011

ASAL IMAM KAUN ??(UPDATED)

Bismillahirrahmanirraheem



Rasool Sirf Allah Se Darta Hai



Rasool hi wo hasti hai jo Allah- Taal a ke elawa kisi se nahi darta, jo Taqyah nahi rakhta jo be- khaoof- wakhatar haq biyaan karta hai, Allah-Taal a farmata hai:-


"ye sab (yani Ambiya) aise the ke Allah-Taala ke Ahkaam pahunchaya karte the aur Allah hi se darte the aur Allah ke siwa kisi se nahi darte the aur Allah-Taala hisaab lene ke liye kafi hai.


(Surah-Al-Ahzaa b, Aayat-No---39)


bhala jo log Gair-Allah se darte ho, Taqyah rakhte ho, taqyah karke haq ko chopate ho wo kaise masoom ho sakte hain?

inki har baat kaise haq ho sakti hai?

wo kaise Imaam ho sakte hain?

Imaam to wo dar-haqiqat ho sakta hai jo be-khoof-wa-kha tar Allah ke ahkaam ki tablig kare aur kisi malamat karne wale, tana dene wale ki parwah na kare balke apne mukhalfeen ko challenge de ke tum sab mil kar jo kuch mere khilaaf karna chahate ho kar guzro aur mujhe zara si bhi mahulat ya mauqa na do,

Syedna-Nooh(A.S ) apni Qaoom se farmate hain:-




Tum sab mil kar mere khilaf jo tadbir karna chaho karlo phir mujhe(zara si bhi) mahoolat na do

(Hood,55)


Allah-Taala apne Rasool(saw) ko mukhtib karte hue farmata hai:- Aye Rasool{sws} aap kah dijiye ke apne sharikon ko bolao aur mere khilaaf jo tadbir karni chaho karo phir mujhe(zara si bhi) mahulat na do.

(Aaraaf-195)


is hukum-e-elahi k takmil me Rasool ne bhi apni qauoom ko challange de diya aur kisi qisim ka khoof nahi kiya

Al-garz Rasoolon ke motaliq Allah ki gawahi hai ke wo kisi se nahi darte, wo be-khaoof-wa-khatar har maslah biyaan karte hain, khowa mokhalfeen is maslah ko sun kar kitne hi gussa me aajaye agar Rasool aisa nahi kare to haq-e- risalat ada nahi hoga,

jaisa ke irshad-e-bari-t aala hai:- Aye Rasool{sws} jo kuch bhi aap ki taraf apke Rab ki janib se nazil kiya gaya hai pahuncha dijiye,agar aap ne aisa nahi kiya to aap ne Allah-Taala ki risalat ada nahi ki aur aap ko Allah-Taala logon se bachayega be-shak Allah-Taala kafir logon ki rahbari nahi karta

(Maida-67)




Rasool Taqyah Nahi Rakhta



jin Ulmah ko logon ne khud Imaam bana liya aur inki itaat ko wajib qarar de liya hai inke Emaan ke saboot me bhi inke pass koi yaqini zarya nahi, hum sirf inki zahri Aaqayad-wa -Aamal ki bana par husn-e-zan rakhte hain ke wo momin hai lekin inke momin hone se ye kab lazim aata hai ke inki bate sahih hi hongi, wo Taqyah nahi karenge khoof-wa-m aslihat ki khatir Haq ko nahi chopayenge na hamare pass inki mutaliq Wahee- e-El ahi ki aisi koi sanad hai, na khud in Imaamo ke pass Wahee-e- El ahi ki aisi koi sanad hai, na inke pass Wahee aati hai ke inko galti se bachaye to phir bataye ke aisi surat me wo Imaam kaise ho sakta hai?

Allah-Taal a farmata hai:-


Aye emaan walo! Allah ki itaat karo aur Rasool ki itaat karo aur apne Amaal ko garat mat karo.

(Surah-Al-Moha mmad, 33)

is Aayat se maloom hua ke Amaal ki qabooliyat ka daro-madaar itat- e-Rasool{sws} par hai, tamaam Amaal-e-hasna jo Rasool-Allah{sws} ke farmaan ke mutabiq na kiye jaye batil hai,





kya ye haisiyat bhi kisi ko hansil hai? agar nahi to wo Imaam kaise ho sakta hai?


Allah-Taala farmata hai:- Be-shak musalmano par Allah- Taala ka bada Ahsaan hai ke inhi me se ek Rasool inme bheja jo inhe iski Aayat padh kar sunata hai aur inhe paak karta hai aur kitaab aur hikmat sikhata hai, yaqinan ye sab isse pahle kholi gumrahi me the.


(Surah-Ale-Imraan, Aayat-No--- 164 * )


Kya aisi sanad Allah-Taala ki taraf se kisi aur ko hansil hai?

kya kisi dosre ki itaba se tazkiyah-nafs hona yaqini hai?

Kya kisi aur shakhs ke mutaliq kaha ja sakta hai wo yaqinan sahih hai, agar nahi to wo Imaam kaise ho sakta hai?

Allah-Taala farmata hai:- Aye Emaan walon! farmabardari karo Allah-Taala ki aur farmabardari karo Rasool{sws} ki aur tume se ikhtiyaar walon ki phir agar kisi chaiz me ikhtilaaf karo to isse lautao Allah-Taala ki taraf aur Rasool{saw} ki taraf agar tumhe Allah-Taala par aur Qayamat ke din par Emaan hai, ye bahut bahtar hai aur ba-itbaar anjaam ke bahut acha hai.


(Surah-Al-Nisha, Aayat-No---59)


Kya apas ke ikhtilaafaat me Allah- Taala ki taraf se Rasool{sall’All aahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ke elawa bhi kisi aur ko akhri sanad muqarar kiya gaya hai,


agar nahi to phir wo Imaam kaise ho sakta hai?


Allah-Taala farmata:- [ Aye rasool{sall’All aahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ] yaqinan humne tumhari taraf haq ke sath apni kitaab nazil farmai hai take tum logon me is chiz ke mutabiq faislah karo jise Allah ne apko bataye hain.


(Surah-Al-Nisha , Aayat-No---105 * )


Kya kisi aur ke faisle bhi Allah- Taala ki rahnumai me sadir hote hain, agar nahi to inki baat kaise sanad ho sakti hai?