Friday, October 21, 2011

KYA DUNIYA ME AMBIYA(A.S) KO HAMESHA KI ZINDAGI DI GAYI??

Bismillahirrahmanirraheem



Kya Ambiya(a.s ) Ko Dunya Me Hamesha Zindagi Digai???



Humne inhe “yani Nabiyon ko” aisa na banaya tha k wo khana na khaye aur na wo hamesha rahne wale the.




Tasrih :- ye Abmbiya (a.s) ki bashirat ki dalil di jarahi hai, k wo khana bhi khate the aur wo Maut se hamkanar ho kar is dunya se chale bhi gaye,

agar wo bhashar na hote to in chizon me inka mamla dusre insano se mukhtalif hota.


(Surah-Tul-Ambi ya , Aayat-no--- 8* )


Farman-e-elahi hai:- [*{*(Wa maa Kaanoo-Khaalide en)*}*] Aur wo hamesha rahne wale na the “yani dunya me”

balke wo apni zindagi k pura hone k baad faaut ho jaya karte the “yani inteqaal kar jaya karte the”…

Jaisa k farmaya ( Surah-Tul-Ambi ya, Aayat-no---34 me)


Humne apse pahle bhi kisi bashar ko hamesha ki zindagi nahi di.


( *Tafsir-ibn-Kathir, Surah-Al- Ambiya , Aayat-no---08 *).


Ahsan-ul-B iyaan Ki Tafseer Dekhe

Surah-Ambiya Ki Aayat-No 34 & 35 ke Bare Me


Har Nafs Ko Maut Ka Mazaa Chakhna Hai!!!


Aur DUNYA ME KOI HAMESHA NAHI RAHEGA


"Apse pahele kisi insaan ko bhi humne hameshgi “yani hamesha ki zindagi” nahi di, kya agar aap Mar jaye to wo hamesha k liye rah jayegen,

har jandar maut ka mazaa chakhne wala hai"


(Ambiya , Aayat-no-34 ,35)


Tashrih :- ye kuffar ke jawab me hai, jo Nabi(s.a.w) ki babat kahte the ke ek din isse mar hi jana hai- Allah ne farmaya ‘Maut to har insaan ko aani hai, aur is ussul se yaqinan Mohammad(s.a.w) bhi mustashna “yani baqi” nahi, kyon ke wo bhi insaan hi hai, aur humne kisi insaan ke liye bhi hamesha zinda rahna nahi rakhi hai,

lekin ye baat kahne wale khud nahi marege???

Isse sanam paraston ki bhi tarteed ho gai jo devtaon ki aur ambiya aur auliya ki zindagi ke qayel hain aur is bunyaad par inko hajat rawan aur mushkil-kusa samjhte hain.


(Ahsan-Ul-Biyaan, Page-No--- 773 , Surah-Tul-Ambiya, Aayat-No-- -34 ,35)


aur farmaya





"Aur (Aye nabi!) humne apse pahele bhi kisi basher “yani insaan” ko hamesha ki zindagi nahi di, phir aap Mar jaye “yani wafat kar jaye” to kya wo hamesha rahne wale hain???

(35) Har nafs ko maut ka mazaa chakhna hai.


(Surah-Tul-Ambi ya , Aayat-no--- 34 ,35)


Tashrih:- Irshad bari-taala hai; [*{* (Wa maa ja’alanaa-libas harim- min-qabli kal-khuld)*}*] “aur (aye pagambar) humne apse pahele kisi aadmi ko hamesha ki zindagi nahi bakhshi “yani dunya me balke.


Rahman, Aayat- no-26,27 me hai

jo Makhloq is zamin par hai sabko faana hona hai, aur aap ke parwardigar ke jalaal-wa-Azmat wala chahra hi baqi rahega-“Famaan-e-Elahi hai :- [*{*(afa’im- mit ta)*}*] pas bhala aap faut hojaye “yani mar jaye”???”

Aye Mohammad(s.a.w) [*{*(fahumul-kh aalidon)*}*] to ye log hamesha rahege?”

yani ye umeed rakhte hain ke apke baad zinda rahegen, lihaza ye kabhi nahi ho sakta kyon ke har ek ko ek na ek din Faut ho jana hai “yani mar jana hai” Issi liye farmaya: ..[*{*( Kullu nafsin zaaa’iqatul-maw t;)*}*] Har nafs ko maut ka mazaa chakhna hai-


( *Tafsir-ibn-Kathir, Surah-Al- Ambiya , Aayat-no--34,35)



Mohammad{sws} Se Pahle Bhi Ambiya(a.s ) Ki Ek Badi Jamaat Maut Se Humkanar Ho Kar Dunya Se Rukhsat Ho gaye...



Hazrat Mohammad(s.a.w) sirf rasool hi hain,….inse pahele bahut se rasool ho chuke hain, kya agar inka inteqal(maut) ho jaye ya ye shayeed ho jaye to tum islaam se ulte pao phir jaoge???

Aur jo koi phir jaye ulte pao to hargiz ALLAH ka kuch nahi bigdega.


(Surah-Tul-Imraan , Aayat-no--- 144)





Tasrih :- Mohammad(s.a.w) sirf Rasool hi hain “Yani inka imtiyaz bhi wasif-resalat hi hai, ye nahi k wo Bashari-khususi yat se bala tar hai aur khudai sifat se mutassif ho k inhe “Maut” se do-chaar na hona pade…(yani inhe maut na aaye)..... Jang-e-Ahad me harne ki waja me se ek waja ye bhi thi k Rasool(s.a. w) ke bare me kafiron ne ye afwa faila di k Mohammad(s.a.w) qatal kar diye gaye, Musalmano me jab ye khabar phaili to isse se kuch Musalman k hosle past ho gaye aur ladai se piche hat gaye, Jis par ye Aayat nazil hui k Nabi ka kafiron k hantho qatal ho jana, is par maut ka warid ho jana koi nai( new) baat nahi hai, pichle “ AMBIYA” bhi qatal aur maut se humkanar ho chuke hain, agar aap bhi isse do-chaar ho jaye to kya tum is deen se hi phir jaoge??? Yaad rakho jo phir jayega wo apna hi nuksan karega ALLAH ka kich nahi bigde sakega,,,,,,

Iski puri tafsil k liye dekhe…

(Tafsir-ibn-Kathir, Surah-Al- Imraan , Aayat-no---144).