Thursday, October 6, 2011

QABRON SE UTHANE KA BAYAN




Bismillahirrahmanirraheem



QABRON SE UTHANE KA BAYAN:



MASLA:1- LOG APNI QABRON SE SHAKHT GHABRAHAT KI KAIFIYAT SE UTHENGE:



"jis din soor phunka jayega us din zameen aur aasman ke saari makhlooq ghabra uthenge siwaaye uske jise allah ghabrahat se bacha le aur saare log bila chun chara allah ke saame haajir ho jaayenge"


(surah namal 87)


Tashrih: ghabrahat se safe rahne walon me ambiya, shohada aur farishte shamil honge, kuch ke nazdeek tamam ahle imam bhi isme shamil hain


MASLA-2 JIS SHAKHS KO JAANWAR NE KHAAYA HOGA WAH JAANWAR KE PAIT SE UTHEGA JO AADMI PAANI ME DOOBA HOGA WAH PAANI SE UTHEGA JISKI RAAKH HAWA ME UDAAYI GAYI HOGI WAH HAWA ME SE UTH KHADA HOGA:



" Hz anas bin malik ra kahte hain uhud ke din rasool e akram(sws) hz hamza ra ki laash par tashrif laaye aur dekha ki unka musla kiya gaya hai to irshad farmaya:- agar safiya apne dil me naagwaari mahsus na karti to main hamza ko isi Haalat me rahne deta taaki use jaanwar kha jaayen aur wah qayamat ke din unke peton se uthen"


(tirmizi, bab janaiz 1/811)


MASLA 3- LOG APNI QABRON SE IS TEZI SE UTHENGE JIS TEZI SE TIDDIYAN FIZA ME BIKHARTI HAIN:


" Jis din pukaarne waala (farishta) ek napasandida cheez ki taraf pukaarega to log apni qabron se bikhri hui tiddiyon ki maanind is haal me uthenge ki unki aankhen(zillat wa ruswayi ki wajah se) jhuki hui hongi, log pukaarne wale ki taraf daudenge aur kahenge aaj ka din bada mushkil hai"


(surah qamar 6-8)


MASLA-4 LOG APNI QABRON SE NANGE BADAN , NANGE PAIR, AUR BE-KHATNA UTHENGE:


" Hz aisha ra kahti hain ki maine aap(sws) ko farmate hue suna:-" log qayamat ke din nange pair, nange badan, aur khatna ke bina ikatthe kiye jaayenge" maine kaha-" aiy allah ke rasool(sws)! Kya sab mard aur aurten ek dusre ki taraf nahi dekhenge?" aap(sws) ne farmaya-" aiy aisha! Wah din itna shakht hoga Ki kisi ko ek dusre ki taraf dekhne ka hosh nahi hoga"


(muslim, kitabul jannah)


MASLA 5- KUCH LOG APNI QABRON SE ANDHE BANAKAR UTHAAYE JAAYENGE!


" jo shakhs meri yaad se muh modega uski( duniya me) zindagi mushkil bhari hogi aur qayamat ke din ham use andha karke uthayenge, wah kahega aiy mere rabb! Tune mujhe andha karke kyon uthaya hai main to dekhne waala tha, irshad hoga, jis tarah hamari aayat tumhare paas aayi aur tune unhe bhula diya isi tarah aaj tu bhi bhula diya jaayega"


(surah taaha 124-126)


MASLA 6- KUCH LOG GUNGE, ANDHE, AUR BAHRE BANAKAR AUNDHE MUH UTHAAYE JAAYENGE:


" aur qayamat ke in ham unhe muh ke bal andhe, gunge, aur bahre banaakar uthayenge unka thikaana jahannum hai jab bhi uski aag dheemi hone lagegi, ham use aur bhadka denge"


(al isra 97)


MASLA 7- QABR SE NIKALTE HI DO FARISHTE INSAN KO DABOCH KAR ALLAH TAALA KI ADALAT ME LE AAYENGE:


" Kaash tum dekh sako jab Log ghabraaye phir rahe honge aur kahin bachkar na ja sakenge balki qareeb ki se pakad kiya jaayega"

(saba 51)


" har shakhs allah ki adaalat me haazir ho jaayega is haal me ki uske saath ek haankne waala aur ek gawaahi dene waala hoga"

(surah qaaf 21)


tashrih: haakne waala aur gawahi dene waala, dono farishte honge jo duniya me insan ka amal naama taiyyar karne ke liye uske saath rahe


MASLA 8- KAAFIR APNI QABAR SE UTHANE KE BAAD BADI ZILLAT AUR RUSWAYI KE SAATH APNE APNE MAQAAM HISAAB TAK PAHUNCHEGE:


" jis din ye apni qabron se nikal kar is tarah tezi se daude ja rahe honge jaise apne buton ki tarah daude ja rahe hain(us din) unki nigaahein jhuki hui hongi, zillat un par chhaayi hogi yah wah din hoga jiska unse waayeda kiya gaya hai"

(surah muarij 43-44)


MASLA 9- AHLE IMAAN APNI QABRON SE BINA DARHI MOONCH AUR SURMUNGI AANKHON KE SAATH 30 SAALA UMAR KE SAATH UTHENGE:



" hz muaz bin jabal Ra kahte hai ki aap(sws) ne farmaya:-" qayamat ke din momin bina darhi moonch aur surmughi aankhon ke saath 30 saal ki umar ke saath uthaaye jaayenge"

(musnad ahmad juz aashir 18346)


MASLA 10- KAPDE PAHNAAYA JAANA



" Hz abdullah bin abbas ra kahte hain ki aap(sws) ne farmaya "tum log nange pair aur nange badan ikatta kiye jaaoge sabse pahle jannat ka libaas pahnaya jaayega wo hz ibraheem as honge unhe jannat ka libas pahnaya jaayega aur unke liye ek kursi lakar arsh ki daayin taraf rakh di jaayegi phir mere liye jannat se libaas laaya jaayega aur mujhe pahnaya jaayega jo kisi dusre aadmi ko naì pahnaya jaayega phir mere liye kursi laayi jaayegi aur arsh ke paaye ke paas rakh di jaayegi"


(baihaqi tazkira lil qurtabi abwabul maut)