Monday, October 3, 2011

JAWABAAT E BARELWIYAT (PART 3)

Bismillahirrahmanirraheem



JAWABAAT E BARELWIYAT






Q-40 Jo Auliya ALLAH Se Durust Aqeeda Na Rakhe Uske Mutaliq Ulama Kya Farmate Hen?


BARELWI--.Jo Shaks AuliyaALLA H Se Durust Aqeedat Na Rakkhe Us Ka Khatima Imaan Par Na Hone Ka Qavi Andesha He


(Barkat-E- Qadriat, Page:30) ALLAH Hame Auliya Ki Aqeedat Se Wabista Rakhey


AHLE HADITH-- Agar koi shakhs allah ko haajat rawa, mushkil kusha , daata, ganjbaskhs kahe... Aur shiekh abdul quadir rh ko in sab sifaaton se door rakhe

kya uspar bhi eman se na hone ka fatawa lag jaayega

Qur'an wa hadith se daleel den.. Apne ghar ki kitabon se nahi



Q.41 KARAAMAT Kise Kehte Hen?


BARELWI-- KARAAMAT Ism He Ikram Aur Takrim Se, Istilah Me Us Khark e Aadat Ko Karamat Kehte Hen Jo Aqlan ( Aadatan) Muhaal Yani Zaahiri Asbab K Zarye Iska Sudoor Na' Mumkin Ho Magar ALLAAH Ki Ataa Se Auliya Karaam Se Aisi Baaten Basa Auqaat Sadir Hoti Hn


(Al-Nibraas,P272 ,Mu ltan)


Baaz Auqat Admi Karamat e Auliya K Muamle Me Shetan K Waswasy Me Aakr KARAAMAAT Ko Aqal K Taraazo Me Tol Leta He Aur Gumrah Hojata He



AHLE HADITH-- Par aapke yahan to nang dhadang malang har kism ka baba karamaat dikhaata hai....


Aise logon ke liye allah taala irshad farmata hai:

"aur jo log kufr karte hain unka saathi taghoot(shaitaan) hai, unko roshni se nikaal kar andheron me le jaate hain, ye log jahannum wale hain usme hamesha rahenge"

(baqarah 257)

aur farmaya

"shayateen apne saathion ke dil me (chhupi hui baaton) daalte hain taaki we tumhaare saath bahes karen, lekin agar tumne unki farmabardari ki to mushrik mese ho jaaoge"

(anaam 121)

aur farmaya

"aur jis din ham un sab ko ikattha karenge, kahenge aiy giroh Jinn ! Tumne bahut se insaan gumrah kiye hain aur unke saathi insan kahenge: aiy hamare rabb ! Hamne ek dusre sefaayeda hasil kiya hai aur ham apni muddat ko pahunch gaye jo tune hamare liye muttayyan kiya, allah taala Farmayega , tumhara thikana jahannum me hai usme hamesha rahoge magar jo allah chaahe"

(anaam 128)


Q.42 Ye Aqaid Aamal Par Mabni Hote Hen (Jesey Jhandey Lagana, Milad Manana Wagera) To Phir Isey Aqaid Ka Name Kyu Dya He?


A.Darasal Muhabbat e Rasool Asl e Imaan Aur Aqeeda Ki Bunyad He Jab K Bayan Karda Aamal Is Ke Juzyat Hen Kaheen Saheeul Aqeeda Laa Ilmi Me Juzyat Ka Inkar Na Kar Bethey Aur Ye Jihaalat Usey Asl e Imaan Se Munharif Kar K Bad Aqeedgi Na Paida Kar Dey Is Lye Usey Ye Malumat Faraham Ki Jaa Rahi Hen



AHLE HADITH-- Toh phir ye aqeede sahaba, tabi, taba tabiee, salaf us saliheen ke kyon na they... Kya unko muhabbat na thi aap(sws) se






Q.43 Kya Hamare Aqide Ki Wazaahat Bhi Bayan Karda Aamal Se Hoti He?


BARELWI--.Ji Haan Jab Dour Badalta He To Alaamat Aur Mayaar e Imaan Badalte Hen Jese Kafiron Ki Bheer Me Kalma e Tayiba Mayar Munafiqon K Aane Se Ye Barh Kr Nabi Ki Aqeedat, Kharjyon K Aane K Baad Mola Ali Ki Muhabbat, Rafziyon Me Amma Ayesha O Amir Muawiya Ki Aqeedat, Gair Muqallidon Me Imamon Ka Tasleem Krna, Aur Mojuda Wahabyon Me Bayan Karda Aamal Mayaar Aur Pehchaan Hen


AHLE HADITH-- hamare aqeede ki wazahat sirf quran wa hadith aur ijma e ummat se hoti hai



Q.44 Kya Murdey Ko Zinda Ka Amal Fayda Puhnchata He?


BARELWI--.Jo Musalman Mar Jaye Aur Us Par Musalmano Ki 3 Safen NAMAZ Parhen To ALLAH Us Par JANNAT Wajib Farma Deta He

(Abu Daud J3,P#270 ,H #3166)


AHLE HADITH-- beshak durust kaha hamara bhi amal hai lekin utna hai jitna aap(sws) ne huqm diya..


11wi, 12wi, 40wa, teeja, qur'an khwani, khatam shareef ye hadith se saabit nahi is liye ye sab karna jayez nahi hai


MAYYIT KO SAWAAB PAHUNCHAANE KA SAHI TAREEQA:



"agar taqat ho to mayyit ke sawaab ki niyyat se kuwan(well) khudwa den,madarsa banwa den,yateem wa ghareeb bacchon ko madarsa bhijwa den, agar mayyit karzdaar mari ho to pahle uska karz chuka de phir kahin khairaat ka naam len"

(abu dawood, nisaai,mishkaat 161)


" mayyit ki taraf se khana kaaba ka hajj karen ramzan ke roze rakhen jo us par waajib ho, jo Roze mayyit chhod mari hai unki qaza kara den ya nazar ke roze ho to unko pura kara den"

(tirmizi, abu dawood,nisai,mishkaat)


nabi(sws) ne farmaya-

"jab insaan mar jaata hai to uske saare amal khatm ho jaate hain, magar 3 cheezen maut ke baad bhi faayeda deti hain--1- sadqa wa khairaat 2- deen ka ilm jisse log faayeda uthaayen 3- nek aulaad jo uske liye dua karti rahi.

(muslim, mishkaat)




Q.45 Kya Hamara Esaal e Sawab Pichlon Ko Puhanchta He?


BARELWI--. ALLAH Jannat Me Kisi Bandey Ke Darjaat Buland Karega To Wo Arz Karega, Aye ALLAH Ye Darja Kese Buland Hua? ALLAH Farmaye Ga Ke Tere Betey Na Tery Lye Istigfar Kya

(Adab ul Mufrid P#30) (Ibn e Maja 268) (Tibrani Osat J5 P#349)


AHLE HADITH--besak murdon ko sawab pahunchaaya ja sakta hai magar jaise ki maine uper bataya



Q.46 Kya Sarkar Ne Rooh Aur Jism Ke Saath MERAAJ Ka Safar Farmaya?


BARELWI--.'Paaki He Usey Jo Apne Bandey ko Raaton Raat Le Gaya Masjid e Haraam Se Masjid e Aqsa Ki Taraf' (Para #15) Ayat Me Lafz "BI ABDIHI" He Jis se Murad BANDA He Aur Bandey K Lye Rooh or Jism Ka Ek Sath Hona Laazim He


AHLE HADITH-- Beshak hamara bhi aqeeda hai ki aap (sws) jism wa rooh ke saath meraj tashrif le gaye




Q.47 Kya NIYAZ Jaaiz He?


BARELWI--Quran o Hadis Me Kahin Niyaz Ki Mumaniat Nhe Balke Quran Me Irshad:"To Khao Us Me Se Jis Par ALLAH Ka Name Liya Gaya, Agar Tum Uski Aayaten Maantey Ho"

(Al-In'am V#118)

Yaani Jis Pr ALLAH Ka Name Zikar Kya Gaya, Jese NIYAZ Par FATIHA Dete Waqt Quran Parha...


AHLE HADITH-- Niyaaz par fatiha to saabit karo... Main samjhata hun quran aur hadith se

NAZAR WA NIYAZ KI TAREEF


1- " tumne jo kuch bhi kharch kiya ho aur jo kuch bhi nazr maani, allah ko uska ilm hai aur zaalimon ka koi madadgaar nahi"

(baqarah 270)

Tashrih: yani kharch chaahe allah ki raah ya shaitaan ki raah me ho aur nazar chaahe allah ki raah me maani ho ya allah ke elaawa kisi dusre ke liye, dono sooraton me insaan ki niyat aur use kaam ko allah bakhoobi jaanta hai, jin logon ne allah ke liye kharch kiya hoga aur uske liye nazr maani hogi wah uska sawaab paayege..


2- " jab imran ki aurat ne kaha ki mere parwardigaar main us bacche ko jo mere pait( stomach) me hai teri nazr karti hun wah tere hi kaam ke liye qurbaan hoga meri is nazr ko kubool kar tu sunne waala aur jaanne waala hai"


(aal imran 25)


Tashrih: yani hz imran ki wife ne apne bacche ko allah ki raah me nazr karne ki mannat mani.


" phir wah hajj karne waale apna mail Kuchail(gandagi) door kare aur apni nazaren poori karen aur is puraane ghar ka tawaaf karen"

(al hajj 29)





qur'an majeed ne jin nazron ka charcha kiya hai , unse muraad we nazaren hain, jinko insaan begair kisi shart ke apne zimme khud hi zaroori kar leta hai, lekin nazar ki dusri qism jisko kisi muraad ke poora hone ki shart par apne jimma zaroori kiya jaata hai, hadees paak me us nazar se roka gaya to nahi gaya hai lekin usko napasand farmaya hai aur uski himmat todi gayi hai

irshad hota hai:

"hz abu huraira ra aur hz abdullah bin umar ra riwayat karte hain ki nabi sallallaho alaihi wasallam ne farmaya ki mannat na maano kyonki mannat maanna allah ki taqdeer par gaalib nahi ho sakta lekin usse bakheel ke haath se kuch nikal aata hai"

(BUKHARI,MUSLIM)


Nabi e pak (sws) ka irshaad hai:

"aapne farmaya islam me arq nahi imam abdurrazzaq farmate hai ki mushrikeene arab me yah riwaaz aap tha ki wah buzurgon ke maqbaro par ja kar gaaye(cow) etc. Jaanwar zibaah karte they, nabi e paak (sws) ne isse roka aur mushrikeena rasm o riwaaz ko band kar diya"


(abu dawood)





nabi sws ne farmaya:-

" jo shaks allah ke elawa kisi dusre ke samman(respect) aur nazar o niyaaz ke liye jaanwar zibaah karta hai us par allah ki laanat hoti hai"

(muslim kitabul azha, nisai kitabuz zuhaya)


WASAN: Nabi e paak (sws) ne us jagah nazar maanne se roka hai jis ka 'wasan' ka darja diya gaya ho, ab yah dekhna hai ki wasan kiya cheez hai is ka jawab khud nabi kareem ( sws) ki zubaan-e-mubarak se suniye,


irshaad hota hai:-

"Nabi (sws) ne farmaya aur dua ki ki aiy allah meri qabr wasan na ban jaaye ki uski ibadat hone lage us qaum par allah ka azaab ho jisne nabiyon ki qabron ko masjid bana liya"

( muatta jild 1 page 60)

tafseel: is hadees e paak se saabit huwa ki jab kisi buzurg ki qabr ko log poojna shuru kar den to uska naam qabr na hoga balki 'wasan' hoga aur jab ko qabr wasan ban jaaye to uski ziyaarat haraam hogi..

Allah ka irshaad hai:-

" pas wasan ki napaaki, gandagi aur jhooti baaton se bacho"

(hajj 31)



Q.48 Kya Shab e Bar'at (15 Shabaan) Me Qabarastan Jana Afzal He?


BARELWI--.Mafhum e Hadees: Hazrat Ayesha Radiyallah Ne Ek Raat Sarkar Sallallahu Alehi Wasallam Ko Na Paaya To 'Baqee Sharif' Me Nazar Aye Farmaya! Be Shak Nisf Shabaan (15 ween Raat) ALLAH Khaas Tajalli Farmata He, Pas Qabila Bani Kalb Ki Bakrion Ke Baalon Se Zyada Musalmano Ki Magfirat Farmata He.... Aau Kamaa Qaala (Ibne Maaja, J#2 P#83 H#739 Published: Daarul Fikr Berrut)


AHLE HADITH-- jitna hadith se saabit hai utna amal karo.... Shabe daari ka koi huqm nahi, agarbatti, candles , aur qabron ko chunagach karne ka koi huqm nahi..

Aur rahi baat qabron ki ziyarat ki to ye aam farmaan hai...ziyarat kabhi bhi ki ja sakti hai..

Note: aap(sws) ne ziyarat ka huqm isliye diya kyonki ye akhirat ki yaad dilaati hai..... Khurafaaton ko karne ke liye ziyarat ka huqm nahi diya






Q.49 Kya Damm Karna (Parh Kar Phoonkna) Jaaiz He?

BARELWI-- Hazrat Anas: "Sarkar Ne Nazr e Bad, Zehriley Hewaan Or Keerey Makoro K Kaatney Se Damm Karne Ki Rukhsat Marhamat Farmayi"

(Muslim)

Umme Salma: "Sarkar Ne 1 Kaneeza K Chehre Me Zardi Dekhi To Farmaya Isey Damm Karo"

(Bukhari-M uslim)


AHLE HADITH-- Beshak hamara bhi yahi aqeeda hai ki dua padhkar mareez par phoonkna jayez hai.

Hz auf bin malik ra se riwayat hai:- "ham jahiliyat ke daur me jhaad phoonk karte they, hamne pucha ki aiy allah ke rasool(sws)! Is baare me aap kya farmate hain? Aapne farmaya- tum apne jhaad phook mujhe batao , jis jhaad phook me shirk ke alfaz na hon usme koi haraz nahi"

(rawaah muslim)

NOTE: jhaad phook sirf mareez par karne ka huqm hai.. Khaane peene ki cheez par nahi

"hz ibne abbas ra riwayat karte hain:- nabi(sws) ne bartan me saans lene ya phoonk maarne se mana kiya hai"

(ibne maja)




Q.50 Buzurgo Ke Haath, Paun Choomna Kesa He?


BARELWI--Ibn e Umar Aur Deegar Sahaba RadiyALLAH u Anhum Ne Farmaya Ke Hum Ne Nabi Paak (As) Ke Haath Choomey (Ibn e Maaja J2 P404,H1498) (Abu Daud J3 P640,H1782)

Malum Hua Ke Buzurgo Ke Hath Choomna Jaaiz Bulke Sunnat e Sahaba He


AHLE HADITH-- Beshak mayyit ko choomna jayez hai

Lekin qabron ko nahi !!





Q.51 Kya Namaz e Janaza K Baad Dua Maangna Jaaiz He?


BARELWI--Farman e Ilahi

"Me Dua Qubool Karta Hun Pukarne Waley Ki, Jab Bhi Muje Pukarey"

{Al Baqarah V#186 }

Jab Mutlaqan Dua Maangna Jaaiz To Namaz e Janaza K Baad Bi Jaaiz, Raawi: Suleman Bin Ash'at Abu Huraira

Me K Sarkar Alehisalam : "Jb Tum Mayyat Par Namaz Parh Chuko To Phir Khuloos Se Is Mayyat K Lye Dua Karo"


AHLE HADITH- Subhanallah ! Surah baqarah ki is ayat se aapke aqeede hi ka difa ho raha hai

jab allah dua kubool karta hai toh aap gairon se kyon maangte hain??

Namaz e janaza me aap dua hi to padhte hain !!

Agar yaqeen na ho to tarjuma kar lo

Mayyit ke haq me dua karna jayez hai.... Lekin ulta unse maangna HARAAM hai





Q.52 Kya Azaan Se Pehle Durood o Salaam Parhna Mamnoo He?


BARELWI--Durud o Salam Har Ghari, Har Jaga Parhna Jaaiz Bulke ALLAH Ka Hukum Quran Me Mutlaq Irshad (Al-Ahzaab , V#56 , P#22) Aayat Me Kisi Waqt Ya Jaga Ko Muayyan Nhe Kya

Mafhume Hadis: Arwa Bin Zubair Ki Bani Najjaar Ki Ek Aurat Se Riwayat:Me ra Gar Masjide Nabwi K Gird Tawil Tarin, Hazrat Bilal Mere Gar Ki Chat Par Azaan Dete Pehle Ahl e Quresh K Lye Dua Kartey,

(Abu Daud J1 P#77)


AHLE HADITH-- Durood padhne ka koi zikr hi nahi..

Kya sahaba kiram is baat se bakhabar they??

Agar maan bhi len to batao kaunsa durud padhte they durood-e-ibraheemi ya durud e ahmad raza(jo aapne gada huwa hai)


ahle quraish ki tareef azaan se pahle ki puri hadith bayan karen:- tareef ke alfaz bhi naqal karen


Q.53 Kya Angoothe Choomna Bid'at He?


BARELWI--Hazrat Abubakar ne Azaan Me Sarkar Alehissalam Ka Name Sun Kar Apne Angootho Ko Choom Kr Aankho Par Phera Is Par Sarkar Ne Farmaya "Jo Tumhari Tarah Karey ALLAH Uske Tamam Gunaah Muaf Farmaye Ga"

(Roohul Bayan J4, P648)

Ek Riwayat Me Sarkar Ki Shafa'at Ka Zikar He

(Mozu'aat e Kabir, Maqasid e Hasana P#384)

Mulla Ali Qari: Agar Is Hadis Ka Rafa Siddique Akbar Tak Sabit, To Amal K Lye Kaafi He


AHLE HADITH-- Ruhul bayan hadith ki kitab nahi hai... Asliyat ham batate hain-



Janab barelwi likhte hain-"hz khidr (as) se riwayat haiki jo insaan ash-hadu annamuhammadur-rasool-allah sun kar apne anguthe ko chumega aur phir apni aankhon par lagayega uski aankhen kabhi na dukhengi"

(fatawa rizwiya 383)

Janab ahmad raza ne is riwayat ko imam sakhawi se naqal kiya hai jabki imam sakhawi ne is hadith ko zikr karte hue likha hai-

"Is riwayat ko kisi sufi ne apni kitaab me naqal kiya hai iski sanad me jin raavion ke naam hain we muhaddiseen ke nazdeek majhool aur ghair maroof hain(yani yah gadi hue sanad hai) aur phir hz khidr (as) se kisne suna isbaat ka bhi koi zikr nahi"

(AL MAQA SIDUL HASANALILSAKHAWI)


Imam suyuti (rh) likhte hain-" We tamam riwayaten jinme anguthe ke choomne ka zikr,muhammad taahir al fatni,aur allama shawkani (rh)etc. Ne un tamaam riwayaton ko mangadant karaar diya hai"

(TAZKIRATUL MAUJUAAT)


Yahan to puri daal hi kaali hai



#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks