Monday, October 31, 2011

HEELA-E-ISQAAT (BAKHSWAANE KA TAREEQA) KI HAQEEQAT ( BARELWI AQAL KI DAAD DENI CHAHIYE)

Bismillahirrahmanirraheem



HEELA-E-ISQAAT (BAKHSWAANE KA TAREEQA) KI HAQEEQAT:


Deen ko ek fayede ki tijaarat banaane waale kuch barelwi mullaon ne logon ki daulat ko dono haathon se lootne ke liye kuch aisi bidatein ijaat ki hain jo khullam khulla kitab wa sunnat ke khilaaf khuli baghaawat hai,

barelwion ka aqeeda hai ki agar kisi ne saari zindagi namaz na padhi ho roze na rakhen hon, marne ke baad apna maal kharch karke use bakhswaaya ja sakta hai jise ye log HEELA E ISQAAT ka naam dete hain

iska tareeqa bhi dekh lijiye aur barelwi zaheniyat(aqal) ki daad(tareef) dijiye

" mayyit ki umar(age) ka andaaza laga kar mard(male) ki umar se 12 saal aur aurat ki umar se 9 saal (na baligh ki kam se kam muddat) kam kar diye jaayen, baaqi umar me andaaza lagaiye ki aise kitne faraiz hain jinko wah ada na kar saka aur na kaza, iske baad har namaz ke liye SADQA-E-FITR ki tadaat aadha(half) sa'aa (aaj ke hisaab Se 2 kilo 300gram) anaaj(grains) hai.

Is hisaab se ek din ki witr samet 6 namazon ka fidya lagbhag(approx) 12 ser, ek mahine ka 9 man aur ek saal ka 108 man hoga"


(gaaytul ehtiyaat fi jawaazi heelatil isqaat 34)


yani agar koi shakhs(male) 80 saal ki umar me mara hai to uski umar se 12 saal hata kar bana 68 saal, aur ek saal ka 108 man, to 68 saal ka huwa 7344 mann anaaj(grain)



ab allah taala ka huqm dekh len


"beshak we zaalim jo yateemon ka maal khaate hain we asal me apne pet(stomach) me jahannum ki aag bhar rahe hain aise log jahannam me daakhil honge"

(nisa 10)


" kisi ka bhoj(burden) dusra nahi utha sakta"

(bani israel 15)


" insan ko usi ki saza milegi jo usne khud kamaaya"

(najam 39)


magar barelwi hazraat ne na jaane ye bahaane kahan se paida kar liye hain inka hawala islam ke elawa koi aur deen to ho sakta hai, lekin islami shari'at me inka koi wajood nahi,

kahte hai ki apne Rishtedaar ko bakhswane ke liye itni daulat shayad hi koi kharch kare phir isme kami ke liye dusre heele bahane bayan karte hain taaki use haisiyat se bahar samjh kar bilkul hi na chhod diya jaaye,

jo log in heelo ko nahi maante unke baare me inka zaheniyat hai ki-

" wahabi etc ko duniya se rukhsat hone walon ke saath na koi hamdardi aur na fuqara wa ghareebi( matlab barelwi mullaon) ke liye hamdardi ki chaah hai, agar koi shakhs hisaab ke mutabik fidya ada kare to kitna accha ho"

(heelatul isqaat 35)


agar har mohalle ke log apne sage rishtedaaron ko bakhswane ke liye in heelon par amal shuru karen to in mullaon ki to paancho ungaliyan ghee me aur sar kadahi me ho jaayen,

in heelon se be-namazion aur roze na rakhne walon ki tadaad me ijaafa ho sakti hai.

Barelwi aqaabireen ki tijorian(safe) bhar sakti hain magar azaab ke mustahik murdon ko bakhswaaya nahi ja sakta kyonki in heelon ka na to quran Me zikr hai na hadith me, jisne duniya me jo kamaaya aakhirat me uska fal paayega, agar nek hai to use in heelon ki koi zarurat nahi aur agar badkaar hai to use inka koi faayeda nahi.


ALLAH HAMEN AISE AQEEDON SE MAHFOOZ RAKHE