Tuesday, October 18, 2011

MANHAJ SAHABA KIRAM (RA) WA AHLE HADITH

Bismillahirrahmanirraheem



MANHAJ SAHABA KIRAM (RA) WA AHLE HADITH



Ahle hadith pesh aamda masail me sahaba kiram(ra) ke manhaj wa tareeqe ke mutabik pahle QUR'AN dekhte hain phir HADITH rasool(sws) par nazar karte hain aur dono me koi masla na mile to ijmaa e sahaba ra par amal karte hain aur agar koi masla na qur'an wa hadith me mile aur naa hi ijma e sahaba ra se iska pata chale to hal mujtahid ijtehad aimma par amal karte hain,

is tareeqe ko sahaba ki chand misalein ke zariye is ko dekhte hain:


" hz abdullah bin masud ra ne kaha:-" hamare uper aisa waqt guzra hai ke na ham fatwa dete aur na iske ahl they lekin allah taala ne muqarrar farmaya aur tum dekhte ho ham kis haal ko pahunche hain, aaj ke baad jiske paas bhi ko maamla aaye to wah iske mutabik faisla kare jo allah azzawajal ki kitab me maujood hai, aur agar aisa maamla dar pesh ho jo kitab me na mile to waisa hi faisla kare jaisa ke Rasoollullah(sws) ne faisla farmaya phir agar aisa koi masla saamne aaye jo kitabullah me na ho aur na rasoollulah(sws) ne aisa koi faisla kiya ho to isko wahi faisla karna chahiye jo asalaf kiram ne kiya aur ya na kahe ke mujhe darr hai ya meri ya raaye hai isliye ke haraam wajeh aur halal bhi zaahir hai aur haram wa halal ke darmiyaan kuch umoor muqarrar hai, pas tum ko jis me shubah(shak) huwa use chhod do aur jis me shak wa subhah nahi use apnaao"


(sunan darimi jild 1 , nisaai 8/230, baihaqi 10/115)


hz abdullah bin abi yazid ra se marwi hai ke hz abdullah bin abbas ra ne jab kisi maamle me masla daryaaft kiya jaata to agar wa QUR'AN paak me mazkoor hota to bata dete agar quran kareem me na hota, aur hadith rasool(sws) me mil jaata to bata dete aur agar hadith me bhi na milta to hz abu bakr ra, hz umar ra ke fatawe par nazar daalte agar inke yahan bhi maslah na milta to phir is baare me apni Raaye zaahir farmate"


(sunan darmi jild 1, mustardark 1/127, adaabul qaazi 10/115)


qaazi shareeh se marwi hai ke hz umar bin khattab ra ne unhe likha :-"agar tumhare paas aisa masla aaye jo qur'an kareem me maujood ho to isi ke mutabik faisla karna aur logon ki raaye par mat jaana, aur agar tumhare paas aisa masla aaye jo kitabullah me nahi hai to phir sunnat rasool ko dekhna aur iske mutabik faisla karna aur agar aisa maamla tumhare saamne aaye jisme kitabullah aur sunnat e rasool me isse mutallik hidayat na mile to is baare me logon ka ijmaa dekhkar isko apna lena aur agar aisa masla pesh aaye jo na kitabullah me maujood ho aur na sunnat e rasool me aur na tumse pahle is baare me kisi ne kuch kaha to do mese koi ek baat akhtiyaar kar lena agar chaaho to ijtehaad karke apni raaye zaahir kar dena aur chaaho to toqaf(khamoshi) akhtiyar karna aur main toqaf ko hi tumhare liye bahtar samjhta hun"



(sunan darimi jild 1, adaabul qazi 10/115, al ahkaam ibn hajam 6/1006,)


yani jab hamen masla ka hal(solution) quran wa hadith wa ijma e sahaba me na mile tab hi hamen raaye par amal karna hai..


Lekin aise bahut se amal hain muqallidon ke jo hadith me maujood hone ke baad bhi raaye par amal karte hain



Allah unhe haq baat samjhne wa amal karne ki taufeeq de......AMEEN