Sunday, July 31, 2016

AGAR KISI KO AULAAD NA HO RAHI HO, TOH USE KYA KARNA CHAHIYE






Bismillahirrahmanirraheem




AGAR KISI KO AULAAD NA HO RAHI HO, TOH USE KYA KARNA CHAHIYE




Jab Kisi Ko Aulaad Honay Mein Takheer (Late) Ho Jaye Ya Usay Aulaad Nahi Ho Rahi Ho To Wo Bechain Ho Jata Hai, Aur Aulaad Ke Liye Jayez or Najayez Ka Farq Mita Kar Kuch Bhi Karney Ko Raazi Ho Jata Hai Aur Anjaam Bhi Deta Hai.

Chunanche Aisay Logon Se Mutalliq Badi Ajeeb o Ghareeb Dastaan Sunney Ko Milti Hain.
Yahan Aik Ahem Sawal Paida Hota Hai Ke Aik Sachchey Momin Ka Aisi Halat Mein Kya Muaqif Hona Chahiye?


(1) Sab Se Pehlay To Yeh Aqeedah Zehan Mein Rasikh Karey (Means Yeh Aqeedah Zehan Mein Bitha Le) Ke Bachchon Ki Paidaish Ka Talluq Allah Taala Ki Mashiyyat (Chahat) Se Hai, Is Ke Barey Mein Allah Taala Ne Quran Majeed Mein Wazeh Farmaya Hai:


لِّلَّهِ مُلْكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلْأَرْضِ ۚ يَخْلُقُ مَا يَشَآءُ ۚ يَهَبُ لِمَن يَشَآءُ إِنَٰثًا وَيَهَبُ لِمَن يَشَآءُ ٱلذُّكُورَ


أَوْ يُزَوِّجُهُمْ ذُكْرَانًا وَإِنَٰثًا ۖ وَيَجْعَلُ مَن يَشَآءُ عَقِيمًا ۚ إِنَّهُۥ عَلِيمٌ قَدِيرٌ


Tarjuma: Aasmanon Ki Aur Zameen Ki Saltanat Allah Taalaa Hi Kay Liye Hai, Woh Jo Chahta Hai Paida Karta Hai Jis Ko Chahta Hai Betyian Deta Hai Aur Jisay Chahta Hai Betay Deta Hai. ,Ya Inhein Jama Ker Deta Hai Betay Bhi auyr Betyian Bhi Aur Jisay Chahey Baanjh Kar Deta Hai, Woh Badey Ilm Wala Aur Kamil Qudrat Wala Hai.


(Al Quran, Surah Ash-Shura 42 Ayat 49 - 50)


(2) Jab Yeh Aqeedah Pukhta Ho Jaye Ke Aulaad Ka Mukammal Taur Par Ikhtiyar Allah Ke Paas Hai. To Miyan Biwi Dono Ko Chahiye Ke Allah Taala Ke Samnay Girgira Kar Naik Aulaad Ka Sawal Karen, Aur Poori Giryaa Zaari Kay Saath (Means Ro Kar Or Girgira Kar) Zikr o Dua Mein Mashgool Rahen.


Aisay Logon Ke Barey Mein Allah Taala Ney Quran e Kareem Mein Farmaya:


وَ الَّذِیۡنَ یَقُوۡلُوۡنَ رَبَّنَا هَبۡ لَنَا مِنۡ اَزۡوَاجِنَا وَ ذُرِّیّٰتِنَا قُرَّۃَ اَعۡیُنٍ وَّ اجۡعَلۡنَا لِلۡمُتَّقِیۡنَ اِمَامًا


Tarjuma: Aur Yeh Dua Kertay Hain Kay Aye Hamarey Parwsrdigar! Tu Humein Hamari Biwiyon Aur Aulaad Say Aankhon Ki Thandak Ata Farma Aur Hamein Parhezgaron Ka Paishwa Bana.

(Al Quran, Surah al Furqan 25, Ayat 74)


(3) Agar Miyan Biwi Mein Se Kisi Aik Mein Koi Bimaari Hai, Jis Ki Wajah Se Is Mehroomi Ka Saamna Hai To Jayez Tareeqa Ikhtiyaar Kartey Hue Adwiyaat (Medicines) Ka Sahara Liya Ja Sakta Hai, Jaisa Ki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai:


عَنْ أُسَامَةَ بْنِ شَرِيكٍ قَالَ قَالَتْ الْأَعْرَابُ يَا رَسُولَ اللَّهِ أَلَا نَتَدَاوَى قَالَ نَعَمْ يَا عِبَادَ اللَّهِ تَدَاوَوْا فَإِنَّ اللَّهَ لَمْ يَضَعْ دَاءً إِلَّا وَضَعَ لَهُ شِفَاءً أَوْ قَالَ دَوَاءً إِلَّا دَاءً وَاحِدًا قَالُوا يَا رَسُولَ اللَّهِ وَمَا هُوَ قَالَ الْهَرَمُ


Tarjuma: Osama Bin Shareek Radhiallahu Anhu Kehtey Hain: Aarabiyon (Bedouins) Ne Poocha: Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Kya Hum (Bimariyon Ka) Ilaaj Karen? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya : Haan, Allah Ke Bandoo ! ilaaj Karo, Is Liye Ke Allah Taala Ne Jo Bemari Paida Ki Hai Us Ki Dawa Bhi Zaroor Paida Ki Hai, Siwaye Aik Bemari Ke, Logon Ne Arz Kiya: Aye Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Woh Konsi Bemari Hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Budhapa (Old Age).


(Sunan Tirmidhi: Hadith 2038)
(Sunan Abi Daud: Hadith 3855)

Is Hadees Ko Sheikh Albani Rahimahullah Ne Sahih Qarar Diya Hai.


Aik Doosri Hadees Hai:


عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ـ رضى الله عنه ـ عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ “ مَا أَنْزَلَ اللَّهُ دَاءً إِلاَّ أَنْزَلَ لَهُ شِفَاءً ”.


Tarjuma: Abu Hurairah Radhiallahu Anhu Kehtey Hain Ki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
Allah Taala Ne Koi Aisi Bemaari Nahi Utari Jiski Dawa Bhi Nazil Na Ki Ho.

(Sahih Al Bukhari: Hadith 5678)


(4) Ho Sakta Hai Allah Taala Ne Us Ke Liye Aulaad Ka Aik Waqt Muqarrar (Fix) Kiya Ho Aur Wo Jald Baazi Se Kaam Le Raha Ho. Ya Allah Taala Usey Aulaad Ki Nemat Se Mehroom Karkay Duniya o Akhirat Ki Beshumaar Nematon Se Nawazna Chahta Ho.


Beharhaal! Kuch Bhi Ho, Har Haal Mein Allah Taala Par Kaamil Bharosa Rakhen Aur Us Key Hikmat Bharay Faislon Par Mukammal Sabar Karen Aur Yeh Yaqeen Rakhen Ke Allah Taala Ne Us Ke Liye Is Nemat Se Mehroomi Par Sabr Karney Ki Wajah Se Ajr e Azeem Se Nawazne ka faisla kiya ho, Isliye Hamen Har Soorat Me Allah Ka Shukr Ada Karna Chahiye



#IslamicLeaks
#UmairSalafiAlHindi

DEWAR TOH MAUT HAI










Bismillahirrahmanirraheem



DEWAR TOH MAUT HAI !!!



Aaj Kal Jo Sabse Zyada Khatarnak Fitna Muslim Muasharey Mein Chal Raha Hai Woh Dewar Aur Bhabhi Ka Ikhtilat(Mixing)Hai


Aksar India Aur Pakistan Mein Aam Taur Par Dekha Gaya Hai Ke Shadi Ke Baad Ladki Apne Sasural Mein Dewar Aur Jeth Ke Saath Bagair Sharayi Parde Ke Rehti Hai Aur Is Mein Koi Aib Bhi Nahi Samjha Jata Hai

Jawan Dewar Ka Apni Bhabhi Ke Saath Hansi Mazak Aur Chedkani Aam Hai
Aksar Aurtein Apne Dewar/Jeth Ke Saamne Bagair Sharayi Parde Ke Rehti Hai Aur Jab Unse Parde Ke Baare Mein Kaha Jaye To Kehti Hai Ye To Mere Chote Bhai Jaisa Hai


Kya Islam Mein Ye Jayez Hai?
Ek Aurat Ke Liye Har Us Shaks Se Parda Zaroori Hai jo Gair Mehram Hai Jiske Saath Ta-Hayat Aurat Shadi Kar Sakti Hai
Quran Mein Iski Wazahat Hume Milti Hai , Gair Mehram Se Parda Karna Ebadat Hai


Allah Ta'ala Ka Farman Hai


"Aur Momin Aurtoon Se Bhi Kaheye K Woh Apni Nigahain Neeche Rakha Karain Aur Apni Sharam Gaho Ki Hifazat Kia Karain Aur Apni Zeenat Ko Zahir Na Karain Mager Jo Az Khud Zahir Ho Jae Aur Apni Odhnia Apne Seeno Per Dal Lia Karain Aur Apni Zeenat Ko Zahir Na Karein Magar In Logo Ke Samney Baap , Sasur , Bete (Sotele Bete) Bhai, Bhatijey, Bhanjey Apni Mel Jol Wali Aurtain Kanezain Jinki Woh Malik Hon Aise Khadimm Mard Jo Aurtoon Ki Hajut Na Rakhtey Hon Aur Aise Larkey Jo Aurtoon Ki Poshida Bato Se Abhi Waqif Na Hoe Hon Aur Apne Paoon Zameen Per Martey Hue Na Chalain Ke Jo Zeenut Inhoney Chupa Rakhi Hai Iska Logon Ko Ilm Ho Aur Ae Iman Walo!!
Tum Sub Allah Ke Hazoor Tauba Karo Tawaq'qo Hai Ke Tum Kamyab Ho Jao-"


( Al Quran, Surah Al Noor, Ayat 31)


Is Ayat Mein Allah Ta'ala Har Momin Aurat Ko Hukm De Raha Hai Jiski Ita'at Har Momina Par Farz Hai Aur Iske Inkaar Se Allah Ki Pakad Lazim Hai


Rasool Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:


“(Na Mahram) Aourton ke paas jane se bacho!” Aik Ansari sahabi farmane lage: Ya RasoolAllah! Khawind ke bhaiyyon (dewar aur jeth wagerah) se Mutalliq Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ka kya hukum hai? RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Khawind ke bhai to Mout hain Mout. (Yani in se pardah karne aur door rahne ka to bahot Zyadah Ehtemam karna chahiye)."


( Sahih Al Muslim, Vol. 5, Hadith 5674)


Is Hadees Se Wazeh Huwa Ke Dewar Se Sharayi Parda Karna Har Aurat Par Farz Hai Lazim Hai
Tirmizi Shareef Ki Ek Sahih Hadees Mein Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Hai Ke

:-" Jab Ek Aurat Aur Ek Mard Tanhayi Mein Milte Hai To Unka Teesra Saathi Shaitan Hota Hai "


(Jami At Tirmizi, Hadith 1171)


Quran Mein Allah Ta'ala Ne Farmaya Hai Ke Shaitan Tumhara Khula Dushman Hai


(Al Quran, Surah Bakra 2, Aayaat 207)


Shaitan Har Mumkeen Koshish Karta Hai Ke Dewar Aur Bhabhi Mein Hansi Mazak Ke Zariye Aapas Mein Ek Dusre Ke Dil Mein Ghar Banaya Jaye

Phir Ye Hansi Mazak Aage Chal Kar Zina Jaise Bhayanak Gunaah Ko Anjam Deti Hai , Dewar Ko Maut Is Liye Kaha Gaya Hai Kyun Ke Woh Ghar Mein Aasani Se Aata Jaata Rehta Hai , Uspar Kisi Ko Shak Nahi Hota Koi Agar Bahar Ka Aadmi Ghar Mein Aaye To Gharwalon Ki Aur Padosiyon Ki Nazar Us Par Rehti Hai , Aurat Ke Liye Sasural Ho Ya Uska Mayka Har Waqt Har Jagah Uske Liye Gair Mehram Se Parda Karna Farz Hai Lazim Hai ,Bohot Se Ghar Isi Bina Par Ujad Gaye Ke Dewar Aur Bhabhi Ke Najayez Sambandh Ban Gaye The , Is Fitne Se Bachne Ki Har Mumkeen Koshish Zaroori Hai
Behtar Honga Agar Shadi Ke Baad Alag Raha Jaye ,Ya Phir Mukammal Parde Ke Hifazat Ki Jaye
Allah Hume Sahih Deen Par Chalne Wala Banaye


Allah Subhanahu Wa Ta'ala Du'a Hai Ke Hum Ko Ghar Walon Ko Aap Logon Ko Or Sare Musalmano Ko Quran O Sunnat Ko Sahaba Ke Manhaj Par Amal Karne Wala Fir Daw'at Dene Wala Banaye,

Ameen Ya Rabbal Almeen Ya Hayyu Ya Qayyum


#IslamicLeaks
#UmairSalafiAlHindi