Thursday, December 31, 2015

ILM E GHAIB KI HAQEEQAT AUR GUMRAAH FIRQE: (PART 12)



Bismillahirahmanirraheem


Ilm E Ghaib Ki Haqeeqat Aur Gumrah Firqe: (Part 12)


16 Ayatein Aur Uska Jawab:


Daleel  No .7

Molwi Ahab Ki Agli Daleel

“Aur Hamne Tum Par Qur’an Utaara Ke Har Cheez Ka Roshan Bayaan Hai”

(Surah An Namal Ayat No.1)

Jawab:

Iska Jawab Daleel No.8 Me Dekhe


Daleel No.8

Molwi Sahab Ki Agli Daleel

“Rahman Ne Qur’an Sikhaaya”

(Surah Rahman Ayat No.2)

Molwi Sahab Likhte Hain, Qur’an Me Har Cheez Ka Bayan Hai, Lehaaza Ghaib Bhi Toh Ek Cheez Hai, Toh Rabb Ne Qur’an Sikhaaya Toh Roshan Ho Gaya Ke Apne Mahboob Ko Ilm Ghaib Ka Bhi Waazeh Bayaan Sikhaaya,

Jawab:


Pata Nahin Ye Log Kya Padhte Padhaate, Apne Apne Madarson Me Allah Inko Aqal De Aur Theek Farmaya Rabb Ne Qur’an Me

“Inki Ankhen Hain Magar Ye Dekhte Nahin, Kaan Hain Magar Sunte Nahin,Inke Dilon Par Taale Pade Hain”

(Surah Baqarah Ayat No.7)

Itni Saaf Saaf Aayaton Ko Ye Log Mahaz Apni Zid Aur Nafsiyaati Khwahishaat Ke Bina Par Ya Toh Inkaar Kar Dete Hain Ya Fir Un Aayaton Ki Parwaah Kiye Beghair Un Aayaton Par Nazar Karte Hain, Jo Kahin Se Bhi Inke Muwaafiq Nahin Hoti Fir Ye Un Aayaton Ki Ghalat Taweelein Karke Apne Muwaafiq Bana Lete Hain.

Ab Mujhe Batao, Qur’an Me Toh Jadu Ka Bhi Zikr Hai Toh Kya Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Jadu Ka Ilm Bhi Sikhaaya Gaya Hai Ya Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Qur’an Sikhaaya Gaya Toh Kya Nabi Sallaho Alaihi Wasallam Jadu Bhi Seekh Gaye Jabki Allah Tala Yun Fermata Hai

“Ye Log Wah Cheez Sikhaate Hain Jo Inhe Nuksaan Pahunchaayen Aur Nafa Na Pahuncha Sake, Aur Wah Bil Yaqeen Jaante Hain Ke Jadu Sikhne Wale Ka Aakhirat Me Koi Hissa Nahin”

(Surah Baqarah Ayat No. 102)

Isi Tarah Allah Ke Rasool Ne Bhi Farmaya:

“Un Cheezon Se Bacho Jo Halaakat Karne Waali Hai, ”

Logon Ne Kaha:-“Wah Kya Hai”

Toh Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya:-“Allah Ke Saath Shirk Aur Jadu”

(Bukhari, Muslim)

Toh Malum Hua Quran Me Jadu Ka Zikr Toh Hai Magar Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Jadu Nahin Seekha, Aur Na Hi Allah Tala Ne Apne Nabi Ko Jaadu Sikhaaya

Allah Tala Fermata Hai:-“Mera Nabi Jadugar Nahin Hai”

(Qur’an)

Toh Pata Chala Qur’an Me Kisi Cheez Ka Zikr Aa Jaane Se Us Cheez Ka Ilm Ata Nahin Ho Jaata Jaise Qur’an Me Allah Tala Ne Farmaya Hai, Qayamat Ka Zikr, Rooh Ka Zikr, Barish Ka Zikr Wagerah Farmaakar Khud Kaha Ki In Sab Ghaibon Ka Haal Kisi Ko Bhi Malum Nahin Aur Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Bhi Hazaaron Hadeesen Bayan Kar Di Hain Ke Main Ghaib Nahin Jaanta,

Magar Ye Hadh Se Gaye Ghuzre Log Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Baton Ka Bhi Inkaar Karke Khaam’kha Unko Ghaib’daan Banaane Par Tule Rahte Hain, Fir Qur’an Me Allah Tala Ne Saare Ghaibon Ka Bayan Toh Kiya Nahin Hai, Balke Yun Kaha Hai Ke Har Cheez Ka Roshan Bayaan Hai Yani Wo Roshan Bayan Hai Jisse Insaan Ibrat Haasil Kare Jaise Aadmi Apne Aap Ko Dekhe Ki Wo Kaise Paida Kiya Gaya, Kaaynaat Ko Dekhe Ki Uski Haqeeqat Kya Hai, Isitarah Nek Amal Kaise Kiya Jaaye Uska Bhi Roshan Bayan Hai,Isi Tarah Qayamat Kya Hai, Marne Ke Baad Kya Hoga Jannat-Jahannam  Kya Hai ?? Wagerah Yani Wo Baatein Jo Insaan Ko Ek Saccha Tauheed Parast Musalman Banne Me Kaam Aati Hai Un Baton Ka Roshan Bayaan Hai Na Ke Saare Ghaibon Ko Kaise Jaana Jaaye Iska Bayaan Hai,

Shubuhaat:

Molwion Ka Ye Kahna Ke Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Jadu Ka Ilm Sikhaaya Gaya, Lihaza Aap Jadugar Bhi Bhi They, Balke Ahmad Yar Khan Sahab Shami Ke Muqaddame Ki Taeed Karte Hue Kahte Hain Jadu Ka Seekhna Farz Hai

(Surah Baqarah Ayat No. 102)


Jawab:

Ye Mahaz Baqwaas Hai ! Kyonki Allah Tala Apne Nabion Ko Jadu Nahin Nahin Sikhaata, Isi Tarah Ka Ilzaam Suleman (As) Par Bhi Lagaaya Tha Ki Sulemaan (As) Ki Taaqat Wa Quwwat Ka Raaz Jaadu Hai Allah Tala Ne Qur’an Me Iski Tardeed Farmaayi,

Allah Tala Fermata Hai

“Suleman Ne Toh Kufr Nahin Kiya, Kufr Shaitaan Karte They Wah Logon Ko Jadu Sikhaate They”

(Surah Baqarah Ayat No 102)

Yani Suleman (As) Na Toh Jadu Jaante They, Na Hi Jadu Sikhaaye Gaye They, Kyonki Jadu Ka Seekhna Kufr Hai Isi Tarah Fir’aon Ne Moosa (As) Ko Jadugar Kaha Tha, Qur’an Fermata Hai

“Fir’aon Kahne Laga Yaqeenan Yahi (Moosa) Bada Jadugar Hai”

(Surah Taha Ayat No. 71)

Malum Hua Nabion Ka Ye Samajhna Ki Inke Paas Jadu Ka Ilm Hai, Yah Kafiron Aur Fir’aonion Ka Kaam Hai, Allah Ne Toh Nabi Aur Momino Ko Jadu Ka Ilm Rakhne Walon Se Allah Ki Panaah Maangna Sikhaaya Hai,  Allah Fermata Hai

“Aap Kah Do ! Main Panaah Me Aata Hoon Kaaynaat Ke Rabb Ki, Girah Lagaakar Phoonk Maarne Waalion Ke Sharr Se"

(Surah Falaq Ayat No. 4)

Girah Me Phoonk Maarkar Jaadu Karna Ye Jaadugaron Ka Kaam Hai, Agar Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Jadu Ka Ilm Jaante Hain Toh Khud Ko Kyon Is Ilm Ke Rakhne Walon Se Panaah Maang Rahe Hain, Is Ayat Me Musalman Bhi Jaadugaron Ke Sharr Se Allah Ki Panaah Maangte Hain Agar Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Jaadu Jaante Hain Toh Goya Wo Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Sharr Se Panaah Maangte Hain.

Hazrat Abu Hurairah (Ra) Farmate Hain Ke Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya:-“Jo Shakhs Kisi Kaahin Ke Paas Jaata Hai Aur Uski Tasdeek Karta Hai Wo Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Par Jo Kuch Utara Hai Uska Munkar”

(Abu Dawood)

Malum Hua Jadu Ka Ilm Rakhne Walon Ke Paas Jaana Aur Unki Sacchaayi Ki Tasdeek Karna Kufr Hai, Ab Sawaal Uthta Hai Baqaul Aapke Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Jadu Ka Ilm Rakhte Hain Aur Imaan Wale  Aapki Tasdeek Karte Hain Toh Ye Log Kya Hue Momin Ya Kaafir ??

Mera Imaan Hai Ki Allah Ke Rasool Ko Na Toh Ilm Ghaib Tha Aur Na Hi Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Ko Jaadu Ka Ilm Tha, Kyonki Rasool Ki Shariat Aur Allah Tala Ka Khatmi Deen Elaan Kar Raha Hai Ki….


“Ye Log Wah Seekhte Hain Jo Inhe Nuksaan Pahunchaaye Aur Nafa Na Pahuncha Sake, Aur Wah Jaante Hain Ke Is (Jadu) Ke Seekhne Walon Ka Aakhirat Me Koi Hissa Nahin Aur Ye Bat’tar Cheez Hai”

(Surah Baqarah Ayat No.102)


To Be Continued

#Irfanali
#Islamicleaks
#Umairsalafialhindi

Monday, November 30, 2015

ILM E GHAIB KI HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: (PART 11)








Bismillahirahmanirraheem


ILM E GHAIB KI HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: (PART 11)



16 AYATEIN AUR USKA JAWAB:



DALEEL  NO .2


Molwi Sahab Ki Agli Daleel


“Aur Ye Ghaib Ki Khabrein Hain Jo Ham Tumhari Taraf Wahiy Karte Hain”

(Surah Aal E Imraan Ayat No 44)

 JAWAB:


Waqi Ghaib Ki Khabrein Allah Tala Wahiy Ke Zariye Jab Chaahta Hai Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Khabar Kar Deta Hai Zindagi Bhar Ke Liye Ata Nahin Karta Ke Jab Chaho Apni Marzi Se Kuch Bhi Pata Kar Lo, Agar Aisa Hota Toh Nabi Salallaho Alaihi Wasallam Ko Koi Pareshaani Nahin Hoti Aur Na Hi Wo Wahiy Ka Intezaar Karte Balke Posheeda Baton Ko Jaannne Ka Ek Hi Zariya Hai Aur Wo Wahiyy Hai Bas,


DALEEL NO. 3


Molwi Sahab Ki Agli Daleel


“Aur Ye Ghaib Ki Baatein Hain Jo Khufiya Taur Par Tumhe Bataate Hain”

(Surah Aal E Imraan Ayat No 44)


JAWAB:

Yahi Toh Ham Bhi Kah Rahen Hain Ki Baatein Bataayi Jaati Hain, Ghaib Ko Pata Karne Ka Power Yani Quwwat Ata Nahin Kiya Gaya Aur Kisi Ke Kuch Bata Dene Se Baatein Malum Ho Jaana Ghaib Nahin Hai, Aur Khufiya Taur Par Isliye Bataayi Jaati Hain Ki Kahin Sarkash Jinn Na Sun Lein, Isliye Farishton Ka Pahra Laga Diya Jaata Hai,


DALEEL NO. 4


“Allah Ki Shaan Ye Nahin Ki Tumhe (Aiy Sahaba) Ghaib Ki Baton Se Aagaah Karen Balki Allah Tala Apne Rasoolon Mese Jise Chaahta Hai Chun Leta Hai”

(Surah Aal E Imraan Ayat No 179)


JAWAB:

Molwi Sahab Aur Unke Tamam Party Is Aayat Ko Aur Is Daleel Ko Khud Hi Inkaar Kar Dete Hain Yahan Toh Wo Khud Iqraar Kar Rahen Hain Ke Allah Tala Ki Ye Shaan Nahin Ki Sahaba Ko Ghaib Ata Karen, Allah Sirf Nabion Ko Hi Aagaah Karta Hai, Magar Yahi Log Umar (Ra) Ko Aur Tamam Buzurgaan E Deen Ko Ghaib’daan Saabit Karte Hain. Inki Pooroi Ki Poori Kitaabein Awliyaon Ke  Ghaibi Kaarnaamon Se Bhari Padi Hain,

Kya Main Sawaal Kar Sakta Hoon Ki Aap Log Apne Apne Awliyaon Aur Buzurgon Ko Ghaib’daan Saabit Karke Is Aayat Ka Inkaar Karte Ho Ya Is Aayat Ko Qur’an Hi Nahin Samjhte Ho, Yahan Par Toh Aap Log Nabi Sallaho Alaihi Wasallam Ko Ghaib’daan Saabit Karne Ke Liye Ye Aayat Pesh Kar Diya Aur Iqraar Kiya Ki Allah Tala Nabi Ke Elawa Sahaba Ko Bhi Ghaib Ata Nahin Karta, Duniya Me Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Baad Sabse Azeem Hastiyon Ko Yani Sahaba Ko Jab Allah Ghaib Nahin Ata Karta Toh Fir Tumhare Babaon Ko Kahan Se Ata Ho Jaata Hai ?? Jo Sahaba Ke Nakhun Ke Baraabar Bhi Nahin Hain, Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Ke Taalluq Se Upar Jawab Diya Ja Chukka Hai


DALEEL NO. 5


“Ye Nabi Ghaib Bataane Me Bukhl Nahin”

(Surah At Taqweer Ayat No 24)


JAWAB:

Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Deen Ki Baatein Bataane Me Bukhl Nahin Karte Kyonki Deen Ki Baton Par Imaan Laana Hi Tauheed Hai Aur Imaan Ye Hai Ki Jannat, Jahannum, Mehshar, Barzakh Aur Farishton Aur Allah Tala Ko Beghair Dekhe Sirf Qur’an Aur Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Farmaan Ko Sunkar Imaan Laaya Jaaye Lihaaza Ye Deeni Baatein Jiska Taalluq Islaam Se Hai Aur Jiske Bare Me Allah Taala Ne Qur’an Me Bata Diya Hai Ki Ache Amal Par Jannat Hai Warna Jahannam Jaise Jannat Ki Nematein, Jahannum Ki Holnakiyan, Mehshar Ki Pareshaniyan Is Tarah Ki Posheeda Baatein Jo Allah Taala Ne Nabion Ko Bataayi Aisi Baatein Baataane Me Nabi Bukhl Nahin  Karte, Baaki Raha Ghaib Ka Ilm Ata Karna Toh Ye Power Quwwat Kisi Ko Ata Nahin Kiya Gaya, Tabhi Toh Rabb Ne Farmaya Ke Kah Do

“Mere Paas Allah Ke Khazaane Nahin Hain Aur Na Hi Main Ghaib Jaanta Hoon”

Balke Allah Ne Saaf Kah Diya Ki Zameeno Aasmaano Me Allah Ke Elaawa Koi Ghaib Nahin Jaanta


DALEEL NO. 6


“Aur Sikha Diya Jot Um Nahin Jaante They Aur Allah Ka Tumpar Bada Fazl Hua”

(Surah Nisa Ayat No 113)


JAWAB:

Bechare Molwi Sahab Is Aayat Se Ye Saabit Karna Chaahte Hai Ke Allah Tala Ne Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Ghaib Sikha Diya, Jabke Allah Tala Ne Quraan Me Kai Jagah Saaf Saaf Farma Diya Ke Zameeno Aasmaan Me Allah Tala Ke Siwa Koi Ghaib Nahin Jaanta Magar Ye Molwi Sahab Jo Hai Jo Quraan Ki In Saaf Saaf Aayaton Ka Ya Toh Inkaar Karke Ya Nazar’andaaz Karke Un Ayaton Ki Taraf Rukh Karte Hain Jo Inke Muwafiq Hoti Hi Nahin Hain,

Aiyye Quraan Dekhen Ki Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Allah Taala Ne Kya Sikhaaya, Allah Tala Quraan Me Farmaata Hai

“Aiy Nabi Isse Pahle Aap Jaante Hi Nahin They Ki Imaan Kya Hai, Aur Islaam Kise Kahte Hain”

(Surah Shura Ayat No. 52)

Isse Pahle Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Nahin Jaante They Ki Imaan Aur Islam Ke Bare Me Fir Allah Taala Ne Nubuwwat Ata Farma Kar Aur Wahiyy Bhejkar Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Isse Aagaah Kiya Aur Sikhaya Namaz , Roza, Hajj, Zakaat, Tauheed, Shirk, Bidat Wagerah Wagerah Aur Jo Kuch Is Deen Ke Liye Zaroori Baatein Thi Allah Taala Ne Wo Sab Baatein Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Sikha Di,

Ek Baar Abu Talib Gaar E Hira Ki Taraf Se Guzre Dekha Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Namaz Padh Rahen Hain, Namaaz Ke Baad Chavcha Ne Pooche Bhateeje Ye Kya Kar Rahe They, Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya Chacha Namaz Padh Raha Tha, Chacha Ne Kaha Is Atarh Namaz Padhna Kisne Sikhaaya ?? Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya:

“Mere Rabb Ne Jibreel (As) Ko Bhejkar Namaz Padhna Sikhaaya” (Abu Dawood)

Malum Hua Allah Ne Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Namaz , Roza , Hajj Wagerah Ki Wo Baatein Jo Is Deen Ke Liye Zaroori Thi Wo Baatein Sikhaaya Hai Aur Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Ham Ummat Ke Logon Ko Wahi Baatein Sikhaayi Hain Ke Namaz Aise Padho, Roza Aise Rakho, Wgerah, Toh Pata Chala Ki Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko In Tareeqon Ke Bare Me Pata Nahin Tha Yahan Tak Ke Nabi Sallalaho Alaihi Wsallam Ko Ye Tak Malum Nahin Tha Ki Imaan Kise Kahte Hain Aur Islaam Kya Cheez Hai Fir Allah Taala Ne Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Ko Nubuwwat Ata Karke In Baton Ko Sikhaaya Take Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Apni Ummat Tak In Baton Ko Aur Ibaadat Ke Tareeqon Ko Sikha Den, Toh Malum Hua Allah Tala Ne Sikha Diya Un Baton Ko Jise Aap Nahin Jaante They Aur Allah Tala Ka Bada Fazal Hua Na Ke Ghaib Ka Ilm Sikhaaya

To Be Continued

#Umairsalafialhindi
#Islamicleaks
#Irfanali

Friday, November 27, 2015

ILM E GHAIB KI HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: (PART 10)








Bismillahirahmanirraheem




ILM E GHAIB KI HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: (PART 10)



16 AYATEIN AUR USKA JAWAB:

Ek Maulwi Sahab Hain Jinka Naam Saabir Hussain Hanafi Barkati Hai Inhone Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Aur Awliyaon Ko Ghaib’daan Saabit Karne Ki Naqaam Koshish Ki Hai, Unhone Qur’an Ki 16 Ayatein Urdu  Akhbaar Siyaadad Jaded Me Shaya Kiya, Ye Daleelein Unhone Ek Kitaab Jaal Haq Se Li Thi Jiske Musannif Ahmad Yaar  Khan Naemi Hai, Aur Ye Kitaab Nagpur Se Chhapi Hai,


Jaisa Ki Maine Bayan Kiya Hai Ki Pata Nahin Kyon Ye Log Allah Ki Qibriyaai Aur Badhayi Aur Tareef Sunna Gawaara Nahin Karte Jahan Kisi Ne Allah Ki Shaan Uski Qudrat Taqat Wa Quwwat Ki Badhayi Ki Fauran Hi Ye Log Wahi Shaan Wahi Quwwat Apne Apne Babaon Me Saabit Karna Shuru Kar Dete Hain, Ab Babaon Ko Itna Taqat Wala Wa Ikhtiyaar Wala Agar Bana Denge Toh Duniya Sawaal Karegi Ke


“Inse Afzal Toh Nabi Wa Rasool Hote Hain, Unme Ye Taqat Toh Hai Nahin Fir In Babaon Me Kahan Se Aa Gayi”


Is Sawaal Se Bachne Ke Liye Ye Log Sabse Pahle Nabion Ko Ghaib’daan Saabit Karne Ki Naqaam Koshish Karte Hain, Fir Apne Aap Inka Raasta  Saaf Ho Jaata Hai,


Qasam Hai Rabbe Qaaba Ki In Logon Ne Apne Apne Babaon Ko Itna Badawa Diya Hai Ki Saare Nabi Milkar Bhi Inke Sirf Ek Baba Ki Barabari Nahin Kar Sakte, Aap Hairaan Nah On Inshaallah Agle Posts Me Main Inki Jhalak Dikhaunga Aap Daanton Tale Ungali Daba Lenge Aur Hairaan Wa Pareshaan Ho Jaayenge, Aiyye Dekhen Ye Hanafi Sahab Kya Pesh Kar Rahern Haim


DALEEL NO. 1


“Ghaib Ka Jaanne Wala Apne Ghaib Par Kisi Ko Zaahir Nahin Karta Siwaaye Apne Rasoolon Ke Jise Wah Pasand Kar Le”

(Surah Jinn Ayat No. 26-27)

Maulwi Sahab Likhte Hain

“Allah Nabion Ko Ghaib Ata Kar Deta Hai Yahan Tak Ke Apne Nabion Ko Qayamat Ka  Ilm Bhi Ata Kar Diya”

JAWAB:

Maulana Sahab Ne Poori Ayat Nahin Likhi , Agar Poori Ayaton Ko Likh Dete Toh Ye Ayat Khud Hi Masla Saaf Kar Deti, Poori Ayat Is Tarah Hai

“Ghaib Ka Jaanne Wala Apne Ghaib Ko Kisi Par Zaahir Nahin Karta Siwaaye Apne Rasoolon Ke Jise Wah Pasand Kar Le, Aur Unke Aage Peeche Pahre’dar Muqarrar Kar Deta Hai”

(Surah Jinn Ayat No. 26-27)

Is Ayat Se Toh Pata Chalta Hai Ki Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Ilm E Ghaib Ata Hi Nahin Kiya Gaya, Agar Ghaib Ata Hi Kar Diya Gaya Hai Toh Fir Hz Jibreeel (As) Ko Aakar Khabar  Dene Ki Kya Zaroorat  Aur Us Khabar Ko Itni Nigraani Ki Kya Zaroorat Ki Aage Peeche Farishtey Un Baton Ki Hifaazat Karen Aur Sarkash Jinn Ko Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Se Door Rakhen,

Farishton Ki Itni Shakht Nigraani Is Baat Ki Daleel Hai Ki Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Ghaib Ata Nahin Kiya Gaya Balke Jibreel Un Posheeda Baton Ko Bataate Hain Tab Nabi Ko Maalum Hota Hai, In Baton Se Pata Chala Ki Jis Tarah 2 Log Aapas Me Koi Khoofiya  Baatein Karte Hain Toh Raaz Ko Bar’qaraar Rakhne Ke Liye Teesre Shakhs Ke Paas Aane  Par Pabandi Laga Di Jaati Hai Take Raaz Faash Na Ho Jaaye,   Theek Usi Tarah Sarkash Jinno- Shaitano Par Pabandi Laga Di Jaati Hai Take Wo Paas Jaakar Baatein Na Sun Saken Kyonki Wo Sarkash Jinn Chupke Se Baton Ko Sunkar Kisi Kaahin Ya Najoomi Ko Wo Baatein Bata Deta Jise Sunkar Ye Faasiq Log Jhooti Nubuwwat Ka Daawa Kar Sakte They Ya In Aayaton Me Fer Badal Kar Sakte They Aur Logon Me Apni Maqbooliyat Qayam Kar Lete,

Isi Tarah Kai Wujuhaat Ki Bina Par Jise Allah Hi Khoob Jaanta Hai Ke Tahat Pahra Laga Diya Jaata Tha, Malum Hona Chahiye Ki Shaitaan Logon Ko Gumraah Karne Ke Liye Faasiq Wa Faajiron Aur Kaahin Wa Najoomion Ko Aur Shobda’bazon Ko Apna Elchi Banaayen Rakhte Hain Aur Unse Ulte Seedhe Kaam Karwa Kar  Logon Ke Aqeede Ko Barbaad Karte Hain Isi Baat Ko Allah Tala Ne Yun Farmaya

“Suno Main Bataun Shaitaan Ki Par Utarte Hain,  Har Jhoote Gunahgaar Par Utarte Hain Jo Suni Hui Baat (Inke Kaan Me) Daalte Hain Aur Wo Aksar Jhoote Hain”

(Surah Ash Shura Ayat No. 221,222,223)

Is Ayat Se Pata Chala Ki Agar Shaitaano Ko Farishton Se Door Na Rakhen Toh Wo Log Bhi In Posheeda Baton Se Aagaah Ho Jaate Jo Nabion Ko Bataayi Jaati Thi, Toh Kya In Baton Ko Chupke Se Sun Lene Se  Ya Un Posheeda Baton Ke Pata Chal Jaane Se Wo Bhi Ghaib’daan Ho Jaate ??

Zaahir Si Baat Hai Kisi Ki Koi Baat Sun Lene Se Koi Ghaib’dan Nahin Ho Jaata Fir Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Se Pahle In Baton Ko Jibreel (As)  Ne Suna Aur Un  Baton Ko Sunkar Nabi Ko Baataane Aaye Toh Kya Jibreel (As) Ko In Baton Ka Pata Ho Jaane Se Wo Bhi Ghaib’daan Ho Gaye ??

Balke Unhone Toh Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Se Pahle Un Baton Ko Jaana Toh Kya Jibreel (As) Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Se Bhi Bade Ghaib’daan Ho Gaye Kyonki Unhone Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Se Pahle Un Baton Ko Jaana Jabki Allah Tala Qur’an Me Farmaata Hai

“Zameeno Aasmano Aur Saari Kaaynaat  Me Allah Ke Siwa Koi Ghaib Nahin Jaanta”

Jinno Aur Farishton Ke Mutaallik Maine Pahle Hawaale Pesh Kar Diya Hai Ki Unhe Ghaib Ka Ilm Nahin Hai Toh Pata Chala Ki Allah Apne Rasoolon Ko Posheeda Baatein Batata Toh Hai Magar Unhe Ghaib Jaanne Ki Ya Ghaib Ki Pata Karne Ki Quwwat Nahin Ata Karta Balke Farishton Ke Zariye Khabar Bhejta Hai Aur Ye Baat Sab Jaante Hain Ki Jo Baatein Jibreel (As) Ne Nabi Sallalaho Alaihi Wasllam Ko Bataayi Wahi Baatein Nabi Sallaho Alaihi Wasallam Ne Ummat Ko Bataayi Toh Jab Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Un Baton Ko Sunkar Ghaib’daan Ban Sakte Hain Toh Ummat Wahi Baton Ko Jaan Rahi Hai Toh Inhe Aap Kya Kahenge ??

To Be Continued


#Umairsalafialhindi
#Irfanali
#Islamicleaks

Tuesday, November 17, 2015

ILM E GHAIB KI HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: (PART 9)







Bismillahirahmanirraheem




ILM E GHAIB KI HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: (PART 9)



MUHAMMAD SALLALAHO ALAIHI WASALLAM  KO ILM E GHAIB NAHIN:



Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Bhi Halaanke Aur Rasoolon Ki Tarah Ek Rasool Hain Aur Allah  Ne Farmaya Ki Imaan Waale Toh Wo Log Hote Hain Jo Hamare Bheje Gaye Rasoolon Par Imaan Late Hain Aur Kisi Me Farq Nahin Samjhte Aur Sabhi Rasoolon Ko Allah Ka Banda Aur Rasool Kahte Hain


“Aur Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Sirf Ek Rasool Hain Au Rinse Pahle Bhi Bahut Se Rasool Ghuzar Chuke Hain”


(Surah Aal E Imran Ayat No.144)


Ek Jagah Irshad Rabbani Hai


“ Aiy Nabi Kah Do Main Anokha Paighambar Nahin Hoon”


(Surah Ahqaf Ayat No 9)


  Toh Jis Tarah Aur Nabi Aaye Aur Tauheed Ki Daawat Di Aur Malik E Haqeeqi Ki Taraf Kooch Kiya Isi Tarah Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Bhi Aaye Aur Tauheed Ki Daawat Di Aur Malik E Haqeeqi Ki Taraf Kooch Kiya


“Aur Aap Kah Dijiye Ken A Toh Mere Paas Allah Ke Khazaane Hain Aur Na Hi Main Ghaib Jaanta Hoon Aur Na Hi Main Tum Se Ye Kahta Hoon Ki Main Farishta Hoon, Main Roh Jo Kuch Mere Paas ‘Wahiy’ Aati Hai, Iski Ittela Karta Hoon”

(Surah Anaam Ayat No 50)

Yahan Par Ek Baat Ghaur Karne Ki Hai. Ek Taraf Ye Kaha Jar Aha Hai Ki Main Ghaib Nahin Jaanta Aur Dusri Taraf Kaha Jar Aha Hai Mi Main ‘Wahiy’ Ki Pairwi Karta Hoon, Goya Ghaib Ja Jaanna Alag Baat Hai, Aur Wahiy Ke Zariye Koi Baat Jaanna Alag Baat Hai, Agar Dono Ka Matlab Ek Hota Toh Isko Alag Alag Bayan Na Kiya Jaata, Lihaaza Iska Seedha Matlab Ye Hua Ke Main Ghaib Nahin Jaanta Hoon Aur Jo Kabhi Kabhi Kuch Baatein Bataata Hoon Toh Wo Allah Mujhe Wahiy Ke Zariye Bata Deta Hai Aur Wo Main Tum Logon Ko Bata Deta Hoon, Aur Jo Cheez Kisi Ke Bataane Se Malum Ho Jaaye Wo Ghaib Nahin Hota.

SHUBUHAAT:

Kuch Jhola’chhaap Molwi Yahan Shubuhaat Pesh Karte Hain Ke Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Kahan Kaha Hain Ke Main Ghaib Nahin Jaanta Ye Toh Allah Kahalwa Raha Hai Ke Aap Kahen Ke Main Ghaib Nahin Jaanta, Dusra Ye Ke ‘Wahiy’ Ke Zatiye Khabar Paana Bhi Toh Ghaib Jaanna Hota Hai

JAWAB:

Pahli Baat Ye Ke Main Poochna Chaahta Hoon Un Logon Se Ke Qur’an Me Hi Allah Tala Ne Muhammad Sallalaho Alaihin Wasallam Se Kahalwaya Ke

“Aap Kah Dijiye Ke Allah Ek Hai. Allah Be’niyaaz Hai, Na Isse Koi Paida Hua Na Wo Kisi Se Paida Hua Aur Na Koi Uska Hamsar Hai”

(Surah Ikhlaas)

Mujhe  Batao Is Aayat Me Allah Ne Nabi Se Kaha Ke Aap Kah Dijiye Allah Ek Hai, Toh Kyat Um Is Bina Par Kahoge Ke Ye Toh Nabi Se Kahalwaya Ja Raha Hai Ke Allah Ek Hai Magar Allah Ek Nahin Hai (Nauzubillah), Zara Mujhe Batao Jo Baat Nabi Se Kahalwayi Jaati Hai, Kya Wo Baatein Jhooti Kahalwaayi Jaati Hain ?? Kya Allah Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Se Jhoot Bulwa Raha Hai Ke Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Toh Ghaib Jaante Hain Magar Logon Se Jhoot Bol Dijiye Ki Main Ghaib Nahin Jaanta, Kya Allah Kisi Se Darta Hai (Nauzubillah)..

 Aise Anokhe Shubuhaat Pesh Karne Walon Ko Chahiye  Apne Imaan Ki Khair Manaayen Aur Tauba Karen, Dusri Baat Ittela Ke Zariye Khabar Paana Ghaib Nahin Hota, Aur Inshaallah Iski Wazahat Agle Posts Me Hogi

“Aap Kah Dijiye Ke Agar Main Ghaib Jaanta Toh Bahut Si Bhalaaiya Kama Leta Aur Mujhe Koi Taqleef Bhi Na Pahunchti Main Toh Sirf Daraane Wala Hoon”

(Surah Aaraaf Ayat No.188)

Lafz Bata Raha Hai Ki “Agar Main Ghaib Jaanta Toh” Yani Ghaib Ka Ilm Nahin Hai, Tabhi Toh Kaha Ja Raha Hai Ki Agar Main Ghaib Jaanta Toh Bahut Si Bhalaiya Kama Leta, Saabit Ho Gaya Ki Nabi Ghaib Nahin Jaante

“Aiy Nabi Kuch Munaafiq Jo Nifaq Me Pade Hain, Aap Unhe Nahin Jaante, Unhe Ham Jaante Hain, Inko Ham Duhri Saza Denge”

(Surah Tauba Ayat No 101)

“Paak Hai Wo Zaat Jisne Sair Karaayi Apne Bande Ko Raaton Raat Masjid E Haram Se Masjid E Aqsa Tak Take Ham Apni Qudrat Ke Baaz Namoone Dikhaayen”

(Surah  Bani Israel Ayat No.1)

Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Itna Sataya Ja Raha Tha, Pareshani Ki Wo Kaifiyat Likhi Nahin Ja Sakti Isse Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Mayoos Ho Gaye They Tab Allah Tala Ne Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Meraaj Kara Kar Dikhaaya Ki Aap Sabr Karen Aur Apne Sahaba Ko Jaakar Bataayen Ki Kya Kuch Hamne Taiyyar Kar Rakha Hai,  Is Tarah Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Meraaj Karke Dili Sukoon Mila Aur Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Kuffaron Ke Zulm O Sitam Ko Bardaasht Karne Me Ek Nayi Taqat Mil Gayi Thi, Is Waqye Ka Asal Maqsad Ye Hai Ki Agar Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Ilm E Ghaib Hi That Oh Fir Allah Ko Dikhaane Ki Kya Zaroorat Thi, Ghaib Nahin Hai Tabhi Toh Dikhaaya Jar Aha Hai.

Is Tarah Ke Be’shumaar Ayatein Qur’an Majeed Me Maujood Hain Jisse Saabit Hota Hai Ki Muhammad Salallaho Alaihi Wasallam Ko Ilm E Ghaib Nahin Tha, Maslan Surah Saad Ayat No. 69.70.71, Surah Al Fath Ayat No. 25, Surah Ahzaab Ayat No,63

To Be Continued

#Umairsalafialhindi
#Islamicleaks
#Irfanali