Bismillahirahmanirraheem
Ilm E Ghaib Ki
Haqeeqat Aur Gumrah Firqe: (Part 12)
16 Ayatein Aur Uska
Jawab:
Daleel No .7
Molwi Ahab Ki Agli
Daleel
“Aur Hamne Tum Par
Qur’an Utaara Ke Har Cheez Ka Roshan Bayaan Hai”
(Surah An Namal Ayat
No.1)
Jawab:
Iska Jawab Daleel
No.8 Me Dekhe
Daleel No.8
Molwi Sahab Ki Agli
Daleel
“Rahman Ne Qur’an
Sikhaaya”
(Surah Rahman Ayat
No.2)
Molwi Sahab Likhte
Hain, Qur’an Me Har Cheez Ka Bayan Hai, Lehaaza Ghaib Bhi Toh Ek Cheez Hai, Toh
Rabb Ne Qur’an Sikhaaya Toh Roshan Ho Gaya Ke Apne Mahboob Ko Ilm Ghaib Ka Bhi
Waazeh Bayaan Sikhaaya,
Jawab:
Pata Nahin Ye Log Kya
Padhte Padhaate, Apne Apne Madarson Me Allah Inko Aqal De Aur Theek Farmaya
Rabb Ne Qur’an Me
“Inki Ankhen Hain
Magar Ye Dekhte Nahin, Kaan Hain Magar Sunte Nahin,Inke Dilon Par Taale Pade
Hain”
(Surah Baqarah Ayat
No.7)
Itni Saaf Saaf
Aayaton Ko Ye Log Mahaz Apni Zid Aur Nafsiyaati Khwahishaat Ke Bina Par Ya Toh
Inkaar Kar Dete Hain Ya Fir Un Aayaton Ki Parwaah Kiye Beghair Un Aayaton Par
Nazar Karte Hain, Jo Kahin Se Bhi Inke Muwaafiq Nahin Hoti Fir Ye Un Aayaton Ki
Ghalat Taweelein Karke Apne Muwaafiq Bana Lete Hain.
Ab Mujhe Batao,
Qur’an Me Toh Jadu Ka Bhi Zikr Hai Toh Kya Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko
Jadu Ka Ilm Bhi Sikhaaya Gaya Hai Ya Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Qur’an
Sikhaaya Gaya Toh Kya Nabi Sallaho Alaihi Wasallam Jadu Bhi Seekh Gaye Jabki
Allah Tala Yun Fermata Hai
“Ye Log Wah Cheez
Sikhaate Hain Jo Inhe Nuksaan Pahunchaayen Aur Nafa Na Pahuncha Sake, Aur Wah
Bil Yaqeen Jaante Hain Ke Jadu Sikhne Wale Ka Aakhirat Me Koi Hissa Nahin”
(Surah Baqarah Ayat
No. 102)
Isi Tarah Allah Ke
Rasool Ne Bhi Farmaya:
“Un Cheezon Se Bacho
Jo Halaakat Karne Waali Hai, ”
Logon Ne Kaha:-“Wah
Kya Hai”
Toh Aap Sallalaho
Alaihi Wasallam Ne Farmaya:-“Allah Ke Saath Shirk Aur Jadu”
(Bukhari, Muslim)
Toh Malum Hua Quran
Me Jadu Ka Zikr Toh Hai Magar Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Jadu Nahin
Seekha, Aur Na Hi Allah Tala Ne Apne Nabi Ko Jaadu Sikhaaya
Allah Tala Fermata
Hai:-“Mera Nabi Jadugar Nahin Hai”
(Qur’an)
Toh Pata Chala Qur’an
Me Kisi Cheez Ka Zikr Aa Jaane Se Us Cheez Ka Ilm Ata Nahin Ho Jaata Jaise
Qur’an Me Allah Tala Ne Farmaya Hai, Qayamat Ka Zikr, Rooh Ka Zikr, Barish Ka
Zikr Wagerah Farmaakar Khud Kaha Ki In Sab Ghaibon Ka Haal Kisi Ko Bhi Malum
Nahin Aur Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Bhi Hazaaron Hadeesen Bayan Kar Di
Hain Ke Main Ghaib Nahin Jaanta,
Magar Ye Hadh Se Gaye
Ghuzre Log Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Baton Ka Bhi Inkaar Karke
Khaam’kha Unko Ghaib’daan Banaane Par Tule Rahte Hain, Fir Qur’an Me Allah Tala
Ne Saare Ghaibon Ka Bayan Toh Kiya Nahin Hai, Balke Yun Kaha Hai Ke Har Cheez
Ka Roshan Bayaan Hai Yani Wo Roshan Bayan Hai Jisse Insaan Ibrat Haasil Kare
Jaise Aadmi Apne Aap Ko Dekhe Ki Wo Kaise Paida Kiya Gaya, Kaaynaat Ko Dekhe Ki
Uski Haqeeqat Kya Hai, Isitarah Nek Amal Kaise Kiya Jaaye Uska Bhi Roshan Bayan
Hai,Isi Tarah Qayamat Kya Hai, Marne Ke Baad Kya Hoga Jannat-Jahannam Kya Hai ?? Wagerah Yani Wo Baatein Jo Insaan
Ko Ek Saccha Tauheed Parast Musalman Banne Me Kaam Aati Hai Un Baton Ka Roshan
Bayaan Hai Na Ke Saare Ghaibon Ko Kaise Jaana Jaaye Iska Bayaan Hai,
Shubuhaat:
Molwion Ka Ye Kahna
Ke Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Jadu Ka Ilm Sikhaaya Gaya, Lihaza Aap
Jadugar Bhi Bhi They, Balke Ahmad Yar Khan Sahab Shami Ke Muqaddame Ki Taeed
Karte Hue Kahte Hain Jadu Ka Seekhna Farz Hai
(Surah Baqarah Ayat
No. 102)
Jawab:
Ye Mahaz Baqwaas Hai
! Kyonki Allah Tala Apne Nabion Ko Jadu Nahin Nahin Sikhaata, Isi Tarah Ka
Ilzaam Suleman (As) Par Bhi Lagaaya Tha Ki Sulemaan (As) Ki Taaqat Wa Quwwat Ka
Raaz Jaadu Hai Allah Tala Ne Qur’an Me Iski Tardeed Farmaayi,
Allah Tala Fermata
Hai
“Suleman Ne Toh Kufr
Nahin Kiya, Kufr Shaitaan Karte They Wah Logon Ko Jadu Sikhaate They”
(Surah Baqarah Ayat
No 102)
Yani Suleman (As) Na
Toh Jadu Jaante They, Na Hi Jadu Sikhaaye Gaye They, Kyonki Jadu Ka Seekhna
Kufr Hai Isi Tarah Fir’aon Ne Moosa (As) Ko Jadugar Kaha Tha, Qur’an Fermata
Hai
“Fir’aon Kahne Laga
Yaqeenan Yahi (Moosa) Bada Jadugar Hai”
(Surah Taha Ayat No.
71)
Malum Hua Nabion Ka
Ye Samajhna Ki Inke Paas Jadu Ka Ilm Hai, Yah Kafiron Aur Fir’aonion Ka Kaam
Hai, Allah Ne Toh Nabi Aur Momino Ko Jadu Ka Ilm Rakhne Walon Se Allah Ki
Panaah Maangna Sikhaaya Hai, Allah
Fermata Hai
“Aap Kah Do ! Main
Panaah Me Aata Hoon Kaaynaat Ke Rabb Ki, Girah Lagaakar Phoonk Maarne Waalion
Ke Sharr Se"
(Surah Falaq Ayat No.
4)
Girah Me Phoonk
Maarkar Jaadu Karna Ye Jaadugaron Ka Kaam Hai, Agar Nabi Sallalaho Alaihi
Wasallam Jadu Ka Ilm Jaante Hain Toh Khud Ko Kyon Is Ilm Ke Rakhne Walon Se
Panaah Maang Rahe Hain, Is Ayat Me Musalman Bhi Jaadugaron Ke Sharr Se Allah Ki
Panaah Maangte Hain Agar Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Jaadu Jaante Hain Toh
Goya Wo Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Sharr Se Panaah Maangte Hain.
Hazrat Abu Hurairah
(Ra) Farmate Hain Ke Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya:-“Jo Shakhs Kisi
Kaahin Ke Paas Jaata Hai Aur Uski Tasdeek Karta Hai Wo Nabi Sallallaho Alaihi
Wasallam Par Jo Kuch Utara Hai Uska Munkar”
(Abu Dawood)
Malum Hua Jadu Ka Ilm
Rakhne Walon Ke Paas Jaana Aur Unki Sacchaayi Ki Tasdeek Karna Kufr Hai, Ab
Sawaal Uthta Hai Baqaul Aapke Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Jadu Ka Ilm
Rakhte Hain Aur Imaan Wale Aapki Tasdeek
Karte Hain Toh Ye Log Kya Hue Momin Ya Kaafir ??
Mera Imaan Hai Ki
Allah Ke Rasool Ko Na Toh Ilm Ghaib Tha Aur Na Hi Aap Sallallaho Alaihi
Wasallam Ko Jaadu Ka Ilm Tha, Kyonki Rasool Ki Shariat Aur Allah Tala Ka Khatmi
Deen Elaan Kar Raha Hai Ki….
“Ye Log Wah Seekhte
Hain Jo Inhe Nuksaan Pahunchaaye Aur Nafa Na Pahuncha Sake, Aur Wah Jaante Hain
Ke Is (Jadu) Ke Seekhne Walon Ka Aakhirat Me Koi Hissa Nahin Aur Ye Bat’tar
Cheez Hai”
(Surah Baqarah Ayat
No.102)
To Be Continued
#Irfanali
#Islamicleaks
#Umairsalafialhindi