Friday, August 1, 2014

RAMADHAN KE MUKHTASAR MASAIL





Alhamdulillhi rabbil aalameen,was salaatu was salaamu ala ashrafil ambiyaaee wal mursaleen, ammaa baad:

Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..


Bismillahirrahm
anirraheem ..

Allah Rabbul Alameen Farmata hai :


''Ramzan wo Mahina hai jisme Quraan Nazil keya gaya (yaani looh e Mahfooz se Dunyawi Asmaan per Utara gaya) , jo logo k leye Hidayat hai Aur Esme Hidayat k leye Aur hak wa batil me Fark karne k leye Dalill hai,Tum me jo Saks es Mahina me Maouzud ho wo eske Roze Rakhe''


[Sureh bakra ,Ayat no-185]


>>>>Ramzan ul Mubarak k Mukhtasar Ahkaam o Masail<<<<


1-Jannat me (8 darwaza hai usme se) ek Darwaza ka Naam ''Reyyan '' hai,jisme serf Rozedaar he Dakhil honge.

[Sahi Bukhari ,hadees no-1896,Sahi Muslim hadees no-1152]

2-Jibarayel A.S Rasulullah (s.a.w) k pass aye Aur kaha :

jis Saks ne Ramzan k Mahina paya Aur apne Gunaho ki Baksis Aur Magfirat Hasil Na karwa saka tou ayse Saks k leye Halakat (barbaadi) hai, eske jawab me Rasulullah (s.a.w) ne ''Aameen'' kahi (Aye Allah Jibrayel A.S ki yah Baddua kabul Farma le) !
[Sahihuttargib : hadees no-1679, Sahi]

3-Haiz (Period) ya Nefaas (Postpartum period) ki Halat me Aurat ko Roza Aur Namaz Maaf hai,Leken Baad me Kaza Roza Rakhna jaruri hai,Namaz Maaf hai.

[Sahi Muslim hadees no-335]

4- Ager Ramzan me (Roze ki Wajah se) Hamla(pregnant)
ko Apne leye ya Dood pelane waali ko bacche per khatra Mahsus ho tou Roza Na Rakhne ki Izazat hai- baad me Ager chahe tou Roza ki kaza kar le, Rakhne me Tarteb Jaruri nahi,leken Ager Kaza k Erada Na ho tou her Din Roze k badle ek misken ko khana khilaye.
[Eske Wajahat k leye Dekhe Abu Daood hadees no-2308,Hasan Sahi-Abdullah Ibn Abbas Aur Abdullah Ibn Umar r.a k Qoul k leye : Dare kutni jild-2/
207- Tafseerultatbeer Al Bakra 184,Irwa ul Galil : 4/19-912]

5-Hamla ya Dood pilane wale ko Asar Na ho tou Sehat Mand ho tou Ramzan me Roza Rakhna Jaruri hai.

[Fatawa Ibn Usaimen : 1/487]

6-Ahtalam ya Jima (humbistari) ki wajah se (Aurat ya Mard) jumbe (Napaak) hone ki Halat me v Sehre karke Roza Rakhna jaiz hai,Baad me Rasulullah (s.a.w) Fazar ki Namaz se pahle Gusul kar lete the (Sehre se pahle Waju karna behtar hai).

[Sahi Bukhari hadees no-1931,Sahi Muslim hadees no-1109]

7-Roza ki Halat me yah kaam jaiz hai :


(A)-Tail lagana,kangha karna,apna thuk negalna,taazi ya sukhi Miswak kisi v Waqt karna.

[Sahi Bukhari,kablal hadees :1930]
(B)-Ager apne Sehwat (jajbaat) per kaabu Rakhne ki Takat hai tou Sarek e Hayat yaani Biwi ko Bosa (kiss) Wagaira jaiz hai,Serf Jima (samvoog,Sex) Haram hai.
[Bukhari,kabla hadees no-1927,Sahi Muslim hadees no-1108]
(C)-Elaaz k leye Diabetes k Inzeksan Lagana jaiz hai.
[Fatawa Aljanna Addaim: 10/252]
(D)-Roza apne Aap kaie(ulti,Vomit
) Aane se Nahi tut ta hai,leken jaan bujh kar kaie karne se Roza tut jata hai.
[Abu Daood hadees no-2380, sahi]

(E)-Mendi Lagane ,Surma lagane ,Nakhun katne ya bacche ko Dood pilane se Roza Nahi tut ta hai.

[Fika ul Ahadees : kittabussiyam]

(F)Daadi (Beard) k elawa Her jagah k Baal katna jaiz hai,leken yah yaad rahe k Ramzan ho ya Gair-Ramzan Daadi Mundna har haal me Haram hai kuki Rasulullah(s.a.
w) se Daadi Mundna ya katna Sabit Nahi.
[dekhe : Sahi Muslim 259- ahkaam o Masail :668]

8-Rasulullah (s.a.w) ne Faramay : Momin ki Behtareen Sehri Khazur hai. (esleye Sehri me Khazur khana Afzal hai)

[Abu Daood hadees no-2345 sahi]

9-Rasulullah (s.a.w) ne Farmaya : jisne Fazr (yaani Subah Sadik) se pahle (Farz Roza ki pukhta Neyat Na ki uska Roza Nahi.

[Abu Daood hadees no-2454, sahi]

Note : Neyat Dil k Eradeko kahte hai,Aur eske leye Dil me Serf Roza ki Neyat hone chaheye,Roza k leye Sehri karna v Neyat hai ! Leken Afsos ! baaz Hazrat ne Roze ki Neyat k leye yah Alfaaz gad leya hai ''وبصوم غد نويت من شهر رمضان '' jabke yah Imam Azam Muhammad Sallahu Alaihe Wasallam Aur Sahaba r.a se Sabit Nahi , Esleye yah ya Dusri Alfaz juban se ya Dil me padna Biddat hai,Lehaza esko Hargiz na padhe.


10-Rasulullah (s.a.w) ne Farmaya : logo jab tak Roza Iftaar karne me jaldi karte Rahoge Hamesha Khair o Afiyat (valai) se Rahoge.

[Sahi Bukhari hadees no-1957,Sahi Muslim hadees no-1098]

11-Muhammad(s.a
.w) k Sahaba r.a logo me Sabse jald (suraj gurub yaani Dubte he) Aftaar karte Aur Sabse Takheer (Der) se (Subah Sadik hone tak ) sehri khate the.
[Fata ul baari jild-4/
713,Sahi]

Note : Aajkal Subah Sadik hone se 4-5 minut pahle he Sehri band kar de jaati hai Aur Roza Waqt pe na kholne k 2-3 Minut der se khola jata hai,jabke yah 2no tareka Sahi Nahi hai,Balke Aehteyat k Naam per Apne Payare Nabi Rasulullah Sallahu Alaihe Wasallam se Aage badna hai jo ki Jaiaz Nahi .

Allama Hafiz Ibn Hazar r.al ne v es Ahteyaat ko Rasulullah (s.a.w) ki Sunnat ki Mukhalfat karna kaha hai.
[Dekhe Fata ul Baari jild-4/199]

12-Kisi v Sahi Hadees me Iftaar ki yah dua ''Allah humma inni laka sumto wa bika Amanto Alaika tawalkalto wa ala rizkeka Aftarto'' Rasulullah (s.a.w) se padna Sabit Nahi.

[Fika ul Ahadees jid-1/727]

13-Rasulullah(s
.a.w) ne Farmaya : jisne Imaan ki halat me,Sawab ki Neyat se Ramzan k Qeyam keya (Tarawi padhe) tou uske Guzista Saare (Sagira/chote) gunah Maaf kar deya jaata hai.
[Sahi Bukhari hadees no-2009,Sahi Muslim hadees no-759]

14-Tahajjud yaani Tarawi ka Waqt Isha ki Namaz k baad se tulu Fazar (Subah Sadiq hone) tak hai.

[Sahi Muslim hadees no-736]

15-Tahajjud ,Qiyam e Ramzan Aur Qiyam ul Lail ko Ramazan me Tarawi kahte hai yaani yah sab ek he Namaz k Mukhtalif Naam hai.

[Sahi Bukhari :1147,Sahi Muslim:738,Tirm
izi:806,hasan Sahi-Fika ul Ahadees : 1/468]

16-Tarawi k Bich me ''Tasbih Tarawi'' k Naam se padhe jaane wale Dua ya her Asre (yaani her 10 din) ki koi khas Dua padna Rasulullah Sallahu Alaihe Wasallam ya Sahaba r.a se padna Sabit Nahi !


17-Rasulullah (s.a.w) ne Farmaya : Lalatul Qadr (Sab Qadr) Ramzan k Akher Asre ki Taak Raato (21-23-25-27-29
) me Talash karo.
[Sahi Muslim hadees no-2017,Sahi Muslim hadees no-1129]

18-Quraan me Irshad Baari Tala hai :


''Sab Qadr (ki Ibadat) ek Hazar Mahino (Takriban 83 Saal 4 mahine ki Ibadat) se behtar hai''

[Sureh Qadr ,Ayat no-3]

19-Rasulullah (s.a.w) Aam tour se Ramzan k Akher Asre me Ehtekaaf karte the (Esleye Akher Asre yaani Akher 10 din me Ekhtekaaf karna Afzal hai) !

[Sahi Bukhari hadees no-2026,2044,Ab
u daood hadees no-2463 Sahi]

20-Ghar me Ehtekaaf karne k Sareyat me koi Sabut (proof) Nahi hai,Aurat v Ager Ehtekaaf kare tou Serf Masjid me he kare (jisme her Chiz k Mard se Alag Intezaam ho) ! Azwaze Mutahhrat Yaani Rasulullah (s.a.w) ki Biwia v Aap Sallahu Alaihe Wasallam k baad Masjid he me Ehtekaaf keya karte the.

[Sahi Bukhari hadees no-2026]

21-Sadka e Fitr her Musalman Mard ho ya Aurat ,Chota ho ya Bada ,Rozadaar ho ya Gair-Roza daar (Saheb e heyaat ho ya na ho) Sab per Fitra Farz hai ! (Sewaye uske jiske paas ek din Aur Ek raat ki khuraak se jayada Galla yaani khana Na ho) !

[Sahi Bukhari hadees no-1503,Sahi Muslim hadees no-984,Ahkaam o Masail : 306]

22-Rasulullah (s.a.w) k jamane me Sahaba e Karaam r.a Khaane me jo khud Estemaal karte the yaani jer e Istemaal Galla ya Anaaz Wagaira me se ek Saaa (takreban dhai kg / 2.5kg) Sadka e Fitr Nekalte the.

[Sahi Bukhari hadees no-1506-1508,Sa
hi Muslim hadees no-985]

23-Rasulullah Sallahu Alaihe Wasallam Eid ul fitr ki Namaz k leye jaane se pahle taak eddat(yaani 1,3,5,7,9) Khazur Khaya karte the (Esleye Khazur Kha k jana Afzal hai) .

[Sahi Bukhari hadees no-953]

24-Eid ul Fitr k Chand Dekhte he Takberaat kahna Chayye.

[Tafseruttabri Al bakra, Ayat no-185]

25-Namaz k leye ghar se Eid-gah jaate hue Aur Eid-ul-Fitr ki Namaz tak Buland Awaz se Takber kahna Chayye.

[Musannif Ibn Abi saiba :5609]

Note :Kuch loog Buland (unchi) Awaz se Takber kahne me Sarmaate hai,yaad Rakhe Allah Rabbul Alameen ki Badai k Ailaan karne me kisi se v Hargiz na Sarmaye Buland Awaz se Takber kahe , leken Chekhe Chillaye Nahi.


26-Eid-gah me Eidain ki Namaz k leye parda Nasin (yaani tamam) Aurto ko hatta ki haiza Aurat ko v le k jana chayye ,Albatta Haiz (period) Waali Aurat Namaz Nahi padhege jaye Namaz (Saf) se Alag Rahege leken Takbero Aur Dua me Sarek hongi.

[Sahi Bukhari hadees no-351,Sahi Muslim hadees no-890]

Note : humare Muslim bahne yaad Rakhe ki Bazar ho,Masjid ho ya Eidgah wagaira en sab jagah pe Banaw Singaar ya khusbu Laga k hargiz na nekle balke Sadge se Aur ba-parda hoker jaye (chehra k v parda kare kuki Allah Aur Rasulullah (s.a.w) ne eska hukm deya hai esleye chehre k parda Wajib hai).


27-Rasulullah (s.a.w) ne Faramaya : jis saks ne Ramzanul Mubarak k Roze Rakhe fer Sawwal k 6 (Nafil) Roze rakhe wo Saks Aysa hai jaise usne Sara Saal k Roze Rakhe.

[Sahi Muslim ,hadees no-1164]

*Allah Tala k Aap Mamul Aur rehmat ek neke k Azr kam se kam 10 guna ata karna hai (Sureh Aanam ayat no-160) , Es Tarah 30 Roza 300 din Aur 6 Roza 60 din k Roza Rakhne k Barabar ho jayege,yaad rahe kamri (Islame) Saal 360 Din k hota hai.


Note : yah (Sas Eid) k 6 Roze Sawwal k mahine k Suru me yaani Eid ul Fitr k baad Laga taar Rakhna behtar hai,leken Ager pure Mahina me kavi v,ek Sath ya Alag-Alag v Rakha ho tou v Sahi hai Fazilat tab v wahi hasil hoge.

[Sareh Muslim lil Nabwi : 8/56,Fika ul Ahadees : 1/735]

28-Rasulullah (s.a.w)ne Farmaya : tum Kharch karo Aur Sumaar na karo,Warna Allah v tumhe Sumaar (Count) karke dega Aur Bukhl (Kanzusi) Na karo,Warna Allah v tumse

Rok lega,Estetaat k hisab se kharch karti (karate) Raho.
[Sahi Bukhari hadees no-1434]

Note: jis Edare ye Madarsa wagaira me Sirk o Biddat ki Talim de jaate ho,usme Zakaat ya kisi v tarah Rakam Wagaira Dena Jaiz Nahi.


29-Humare Payare Nabi Mohammada (s.a.w) kahte the : ''Yakinan Sase behtarin Hadees Allah ki kitab hai Aur Sabse Behtaren Rasta Mohammad (Sallahu Alaihe Wasallam) k Rasta hai Aur Sabse Badtareen kaam (Deen me) Naye Ezaad karda (yaani Biddat ya khurafaat) hai Aur her Biddat gumrahe hai''.

[Sahi Muslim hadees no-867]

Esleye mere Kalma Sareek Bhaiyo Aur Mere Bahno ! Ayse Kitabe v Hargiz Na padhe jisme Quraan ki chand Surato ki Aad me Sirkeya ya Biddateyana wa Maan-gadhak Zikr-o-Azkaar,k
isse ya Wajifa ho,Jaise Pakistani panzSureh kuki esme Quraan ki Surato ko Aur kuch Baato ko chod k Sirkeya wa Biddateyana Azkaar Mouzud hai,Misaal k tour per purane Aur Naye panzsureh k ya Hawale Dekhe :

*108 se 121,379,384,179
,4,15 se 22,138,139,160 se 170,180 se 239-
*83 se 94,285,145,4,13
se 19,106,107,127 se 139,146 se 193-

30-Pure Ramzan me jayada se jayada Ibadatkare,kita
bullah (Quraan) ki tilawat kare,Nawafil (Itmenan wa Sukun se jab tak souk Aur Dilchaspi) bina kisi khas tadaad k padhe,Gunaho se touba kare,Sadka khairaat jayada se jayada kare Aur Allah Tala se khub gir-gira kar Aur Roo ker Dua kare.

*Aaj kal Kawwali k Naam pe khub Music Suna ja raha hai jo ki Islam me Haram hai,Es leye Aaj-kal Naat per Sirkiya Alfa'azo waali Naat khub Bazae Aur Padhe ja rahe hai jisme Allah ki Saan me gustakhi tak ki ja rahe hai Aur Muhabbat k Naam per Nabi(s.a.w) ki Saan me guli kar k Allah k Barabar tak karar deya ja raha hai-Mesaal k tour per unme se kuch yah hai.


°Chalo Sir k Bal Chalo,Mohammad k sahar me... Huzur he k karam ne mujhe Tasalli de..sab tou juke hai khana ka'aba k samne Ka'aba juka hua hai Muhammad k Sahar me...Arse Bari se kam nahi Taiba ki sir Jami...

°Var do jhooli mere Ya Mohammad lout ker May Na jauga khali...!
°Allah janta hai Mohammad k martaba.. Wo Noor hai uska kahi Saya he Nahi hai...!

Samjhne k leye yah Serf Chand Mesaal hai,Esleye yah ya es tarah ki Naat ya Askaar Wagaira ko bilkul v Na Sune,Na Enka karobaar kare,Na padhe Aur Na gun-gunaye,Eske
Aur jayada Malumaat k leye Aap Aqeda e Tauheed k unwaan per ''Idara Dawatul kitab wasunnah'' se DVD Aur pampalet Free Sabilillah(free) Hasel kar sakte hai.

*****Huamre Dawat*****


Logo ko Sirk o biddat ki halat me Marta hua dekh kar hame Takleef hote hai.


*****Humara Maksad*****


Quraan aur Hadees k paigaam ko Aa-lam e Inshaniyat tak Etne he khubsurte k sath pahuchana jitna ki uska hak hai,Ager Aap v Khalish Ibadat kitab o Sunnatki es Dawat se Muttafiq hai Aur yakinan hoge tou es Dawat e haq ko Failane humare Sath dejye. Post Shear kejye...


E-mail : Idkws2008@gmail
.com

humare web side..


WWW.Islamicleaks.com


Via-Imran Khan Salafi