Monday, August 25, 2014

DEFINITION OF SALAF (ROMAN URDU)




Mashur Lughat Ke Imam Ibn Manzur Afriki rh. Lisan al Arab 9/159 main likhty hain :

"Salaf kehty hain Jo apke pechly Aba Ajdaad guzry hain, Isliay Tabaen ko Salaf Salehen kaha jata ha" Isi liay Nabi saw ne Apni Beti Fatima r.a ko Farmaya mai Tumhara Salaf Hu
 

[Sahi Muslim 2450]
-
Imam Zahhabi Kahte Hai Salafi Wo Hai Jo Salaf Saliheen Ke Manhaj Per Ho
[Siyaar Alaam an Nubla 6/21]
-
Shykh Ul Islam Ibn Taymiyya rh. Kehte Hai"
Ismain Koi Aib Nahi Jo Apne Apko Salaf Ke Manhaj Pe Zahir Karta Hai Aur Apne Apko Iski Taraf Mansub Karta Ha Aor Ispe Fakhar Karta Hai Balki Ise Qabul Karna Lazim Hai Bil Ijma, Kyo Ki Salaf Ka Mazhab Siwae Haq k Kuch Nahi"
[Majmoa Fatawa 4/149]
-
Imam Muslim rh. Ne Sahih Muslim Mai Ahadis Lane Se Pehle Ravio Ke Mutaliq Ek Qaeda Samjhaya Hai :Ibn Mubarak Logo ko Amr bin Sabit ki Riwayat Se Khabar Dar Karte Kyo Ki Wo Salaf Ko Bura Kahta Tha
[Muqadma Sahih Muslim 38]
-
Sunan Daruqutni 385H Ke Musanif Muhadis Imam Daruqutni rh. Ke Bare Main Allama Zahhabi rh. Likhte Hain :Imam Daruqutni rh. Salafi The
[Siyaar Alam an Nubla 16/457]


-
Imam Zahhabi rh. Khair Ul Qurun Ke Imam Yaqub Bin Sufyan rh. Jo 277 Hijri Mai Faut Huwe Inke Bare Main Likhty Hain :"Mujhe Yaqub Bin Sufyan rh. Ke Maslak Ke Bare Main Kuch Ilm Nahi Siwaye Iske Ke Wo Salafi the"
[Siyar Alaam An Nubla 13/183]
-
Shaykh Ul Islam Ibn Taymiyya Likhte Hain :"Ahle Biddat Ki Ye Nishani Hai Wo Salaf Ke Tareeke Se Muh Pherte Hain"
[Majmoa Al Fatawa 4/155]



Via-Ayan khan salafi