Bismillahirrahmanirraheem
ASHRA-E-MUHARRAM AUR SAHABA KIRAM (RA) KA RUTBA:
Ashra-e-muharram me aam dastoor wa riwaaj hai ki raafzi aqaid ki buniyaad par karbala ke waqeye ko khoobsoorat rang(color) aur romantic andaaz me bayan kiya jaata hai.
Shia ulema to is baare me jo kuch karte hain wa sooraj ki tarah roshan hai,
lekin bahut se ahle sunnat ke ulama aur peshwa bhi apne chamatkaari bayan se mahfilon me maujood logon se in waqeyon ko bayan karte hain jo shiat ki ijaad aur unki aqaid ka saboot hai, is shahadat ke waqeye ka ek pahlu sahaba kiram ra par gaali ghaloch hai jiske bina shiaon ki "MAHFIL MATAM HUSSAIN RA" Poori nahi hoti
Ahle sunnat is hadd wa kameengi tak to nahi utarne lekin kuch log kuch sahaba kiram par laan taan kar lene me koi harj nahi samajhte,
jaise ek mulla ne yahan tak kah diya ki sangat ki kami hone ki wajah se unke dilon ki safaai (naozubillah) nahi hui thi,
jabki sach Yah hai ki tamaam unche wa kam tar sahaba ke darjo wo fazilaton me farq hone ke bawajood sahabi hone ke samaan(equal) respect wa darja islam ka matloob hai
kisi sahabi ke baare me zabaan laan taan ke liye kholna aur bura lafz istemal karna halaaqat wa tabaahi ke khatre ko dawat dena hai
sahabi ke maayene(definition) har us shakhs par fit aati hai jisne imaan ki haalat me nabi akram sallallaho alaihi wasallam(p.b.u.h) ko dekha ho aur qur'an wa hadith me sahaba kiram ke jo khoobiyan aur darje bayan kiye gaye hain unka matlab bhi har sahabi par hoga
haafiz ibne hajar (rh) ne al asaba me sahabi ki jis maayene ko sab se zyada sahih aur poora qaraar diya hai wah yah hai
" sabse zyada sahih maayene sahabi ki jis par main ba khabar huwa wah yah hai ki:-" wah shakhs jisne imaan ki haalat me huzoor nabi akram sallallaho alaihi wasallam(p.b.u.h) se mulakaat ki aur islam hi par uski maut hui" to usme har wah Shakhs daakhil hai jisne nabi akram sallallaho alaihi wasallam(p.b.u.h) se mulaaqaat ki (yah baat chhodkar ki) use aap ki sangat ka rutba zyada haasil raha ya kam, aapse riwayaat ki ya na ki, aap ke saath gazwe me shareek huwa ya nahi aur jisne aapko sirf ek nazar hi se dekha ho aur aap ki majaalis, sangat ke sharf ka mauqa use na mila ho aur jo kisi khaas wajah ke bina par aapko dekhne ka sharf haasil na kar saka ho jaise andhapan"
(al asaba fi tameez al sahabah 1/158)
isliye ahle sunnat ka charon khalifon hz abu bakr ra. Hz umar ra. Aur hz usman wa hz ali ra. Aur baaqi unjaise sahaba ke rutbe wa sammaan(respect) ko dhyan na rakhna lekin kuch unche darje ke sahaba e rasool ki respect ka dhyan rakhna ya kam se kam respect ka haqdaar na samjhna jin ke paak naam shajre mushajarat ke silsile me aate hain jaise hz muawiya ra, hz amr bin aas ra, hz mughira bin shoaba ra hain, poori tarah ghalat aur shiat Ka ek hissa hai,
ahle sunnat ko is nuqte par sochna wa samjhna chahiye ki charon khalifon ki izzat wa samman to kisi hadh tak samjhdaar pasand shia bhi karne ko majboor hai aur unka zikr we kharaab andaaz me karne se bacha hi karte hain, albatta hz muawiya ra , hz amr bin aas ra etc ko we bhi maaf nahi karte,
agar sahaba kiram ra ko maanne waale bhi yahi tareeqa apna len, to phir sahaba se muhabbat aur dushmani rakhne waalon me farq hi kya rah jaata hai ? Aur un sahaba ko ijjat(respect) se kam khyaal karke unke izzat wa darjon ko ghaayal karna kya sahabiyat ke qile me naqab lagaana nahi hai ?
Kya is tarah nafr sahabiyat ki pakeezgi ghaayal nahi hoti ? Aur sahabiyat ki greatness taar taar nahi hoti ?
Baher haal ham yah kah rahe they ki qur'an wa hadith me sahaba kiram ra ke jo khoobiyan wa darje bayan hain we tamaam sahaba ke liye hai isme bilkul bhi apwaad(exception) ki koi gunjaish nahi hai aur In nusoos ki wajah se ham is baat ke paband hain ki tamaam sahaba ko nafs e sahabiyat ke sammaan me barabar izzat wa darjon ka haqdaar samjhen,
is silsile me yah hadith har waqt hamare saamne rahni chahiye
hz abu saeed khudri ra bayaan karte hai ki nabi akram sallallaho alaihi wasallam(p.b.u.h) ne farmaya:- "mere sahaba par laan taan na karo (yani unhe bura aur buraayi ka nishaana na banaao) unhe allah ne itna buland darja (ata farmaya hai) ki tum mese koi shakhs agar uhud pahaad(mountain) jitna sona(gold) bhi allah ki raah me kharch kar de to wah kisi sahabi ke kharch kiye ek mud (approx ek ser) balki aadhe mud ke baraabar nahi ho sakta"
(sahih muslim fazail e sahaba 2040-2041)
allah hamen badakhlaaqi se bachaaye.....AMEEN